1 00:00:11,010 --> 00:00:12,459 -Tom? -Kiya woh madad ke liye aa rahay hain... 2 00:00:12,550 --> 00:00:13,640 ya phir apna kaam khatam karne ke liye? 3 00:00:13,730 --> 00:00:15,350 Jeep mein baitho. Foran. 4 00:00:15,550 --> 00:00:17,220 Humein nahin pata woh jahaz kis ne uraya. 5 00:00:17,620 --> 00:00:18,730 Woh raha tumhara jawab. 6 00:00:18,820 --> 00:00:19,951 Jao, jao, jao! 7 00:00:22,290 --> 00:00:23,400 Hathiyaar? 8 00:00:23,490 --> 00:00:24,369 Bastay mein hain. 9 00:00:58,060 --> 00:00:59,159 Uppar dekho! 10 00:01:22,850 --> 00:01:25,460 Theek hai. 25 nautical meel saahil ke paar 11 00:01:25,551 --> 00:01:32,554 2.60 ke aas paas shumal se 106.94 mashriq par. 12 00:01:35,668 --> 00:01:37,644 Meri abhi baat hui Vietnamese logon se. 13 00:01:38,190 --> 00:01:41,112 Unki hifazati team ke aath logon ko aik nightclub ke baahir goli maar di gayi. 14 00:01:41,800 --> 00:01:44,710 Humnay James ko Vietnam bheja aik paigham ke liye. 15 00:01:44,800 --> 00:01:46,478 Peng ne bhi humein wapas jawab diya hai. 16 00:01:46,569 --> 00:01:49,332 Captain Chandler ka jahaz hifazati khala mein ajayega chaar ghanton ke andar. 17 00:01:49,423 --> 00:01:51,489 Humein Peng ke baray mein behtar andaza hoga jab hum uss se baat kar lengay. 18 00:01:53,870 --> 00:01:55,980 The James hifazati toar par Vietnamese saahil paar kar chuka hai. 19 00:01:56,086 --> 00:01:58,300 Woh EMCON par hain, hum se maaloomat ke muntazir hain. 20 00:01:58,391 --> 00:02:00,162 Kisi bhi gumshuda mallah ka pata nahin chala na? 21 00:02:00,253 --> 00:02:01,220 Nahin, sir. 22 00:02:10,349 --> 00:02:12,300 Yahan par sarbarahi kis ki hai? 23 00:02:12,390 --> 00:02:13,440 Taubah. 24 00:02:13,531 --> 00:02:16,540 Mere dost ko doctor chahiye. Patti karne se khoon nahin ruk raha. 25 00:02:16,630 --> 00:02:18,119 Kamazkam mujhay isay dekhnay toh dou. 26 00:02:18,210 --> 00:02:20,640 Aray, aray. Agar hum yarghamali hain, toh humein kisi ko khona nahin chahiye. 27 00:02:20,730 --> 00:02:22,637 Aray, usay haath mat lagao! 28 00:02:23,123 --> 00:02:25,040 Yahan ke sarbarah se baat karni hai! 29 00:02:25,240 --> 00:02:27,100 Yahan ke sarbarah se baat karni hai! 30 00:02:40,779 --> 00:02:42,879 Sambhalo khud ko, Mason. Sambhalo khud ko dost. 31 00:02:42,970 --> 00:02:44,608 -Tumhari madad ke liye bulatay hain. -Kiya koi English bolta hai? 32 00:02:44,699 --> 00:02:46,120 Humare saathi ko madad chahiye. 33 00:02:46,920 --> 00:02:47,946 Usay madad chahiye! 34 00:02:49,130 --> 00:02:50,408 Bas wahan kharay mat raho! 35 00:02:52,388 --> 00:02:54,348 Main uss ki madad kar sakta hun agar mujhay koi manhoos samaan de de. 36 00:02:55,500 --> 00:02:56,516 Sambhalo khud ko dost. 37 00:02:57,236 --> 00:02:58,434 Bas mujhay kuch toh saman de do! 38 00:02:59,500 --> 00:03:00,542 Sambhalo khud ko. 39 00:03:23,824 --> 00:03:24,505 Hong Kong, China 40 00:03:24,530 --> 00:03:25,900 Main phir se kehta hun, main hun Zephyr. 41 00:03:25,990 --> 00:03:27,382 Alpha Team, jawab dou. 42 00:03:28,000 --> 00:03:30,409 Koi hai Alpha Team se, main hun Zephyr. 43 00:03:31,000 --> 00:03:32,710 Kiya tumhein lagta hai yeh sahi channel par hai? 44 00:03:32,800 --> 00:03:35,450 Yeh sahi channel hai, aur yeh poora hafta saaf tha. 45 00:03:35,548 --> 00:03:38,619 -Alpha Team, Zephyr, jawab dou. -Hum EHF par kaam kar rahay thay. 46 00:03:38,710 --> 00:03:40,120 Yeh poori tarhan se mehfooz hai. 47 00:03:40,210 --> 00:03:41,231 Agar woh jawab nahin de rahay, 48 00:03:41,322 --> 00:03:43,269 tou shayad Peng unhein le gaya hoga, woh kameena... 49 00:03:43,360 --> 00:03:46,215 Aray! Kiya tum chahtay ho ke main chalaun? 50 00:03:47,210 --> 00:03:48,417 Main sambhal lunga, sir. 51 00:03:49,780 --> 00:03:51,417 Bas chalain iss jahanuum se niklain. 52 00:03:56,660 --> 00:03:59,503 Aray, koi raabta nahin ho sakta iss ilaqay mein. Phones abhi tak bandd hain. 53 00:03:59,594 --> 00:04:01,500 Radios abhi tak FUBAR hain. Main kuch nahin kar sakta. 54 00:04:01,590 --> 00:04:04,640 Chalo yahan se niklain. Shukriya. Tum bohat hi pyaari ho. 55 00:04:04,730 --> 00:04:06,660 Humein apnay jahaz mein wapas jana hai. Shukriya. 56 00:04:07,148 --> 00:04:08,640 Hum sab ki nazron mein aa rahay hain. 57 00:04:08,730 --> 00:04:11,140 Humein kapray badalnay hongay issay pehlay ke hum bund tak pohanchay. 58 00:04:11,340 --> 00:04:13,850 OOD, kiya koi raabta hua radar ya visual se? 59 00:04:13,940 --> 00:04:16,420 -Nahin sir. -Kuch bhi? 60 00:04:16,826 --> 00:04:19,131 Nahin, aur local frequencies bhi saaf hain. 61 00:04:19,679 --> 00:04:20,576 Unn sab ke paas radios thay, 62 00:04:20,667 --> 00:04:22,518 aur unn mein se kisi aik ke paas bhi raabtay ka mauqa nahin tha. 63 00:04:22,609 --> 00:04:24,730 -Hamla bohat taizi se hua hoga. -Tum theek kehti ho. 64 00:04:24,820 --> 00:04:26,392 Humein unhein pehlay hi aagah kar dena chahiye tha. 65 00:04:27,150 --> 00:04:28,318 Yeh faisla karna mushkil tha. 66 00:04:30,020 --> 00:04:30,960 Acha. 67 00:04:31,050 --> 00:04:32,947 St Louis ne kaha tha sahil se duur rehna, lekin unhon ne yeh nahin kaha tha ke 68 00:04:33,038 --> 00:04:34,967 humein haath par haath dhar ke baithna parega. 69 00:04:35,058 --> 00:04:36,470 Kiya aap woh teen kashtiyan dhundhna chahtay hain? 70 00:04:36,560 --> 00:04:38,941 Woh hamla honay ke aik ghanta pehlay khaleej se ghayab ho gayi thi. 71 00:04:39,032 --> 00:04:41,210 Agar hum unn ke peechay jayengay, toh hum khatra lekar unhein bacha sakain. 72 00:04:41,300 --> 00:04:44,151 Agar humare log unn par sawar hain, humare paas mauqa hai unhein pakarne ka. 73 00:04:48,200 --> 00:04:51,050 OOD, agay barho 1-8-5 Do Son ki jaanib. 74 00:04:51,140 --> 00:04:53,486 Baayeen taraf rudder kar dou. Seedha le kar chalo 1-8-5. 75 00:04:58,278 --> 00:05:00,390 Taubah. Mujhay chashmon ke baghair kuch nazar nahin aa raha. 76 00:05:00,480 --> 00:05:01,729 Mujhay shikanjay chahiyen. 77 00:05:01,820 --> 00:05:03,549 Mujhay shikanjay chahiyen! Shikanjay! 78 00:05:03,640 --> 00:05:05,104 Roomal aur bareek kapra kafi nahin hai. 79 00:05:06,990 --> 00:05:08,082 Green farar ho gaya. 80 00:05:10,320 --> 00:05:12,032 Shayad Burk bhi gaya. 81 00:05:12,574 --> 00:05:13,459 Koi shakk nahin. 82 00:05:14,060 --> 00:05:15,821 Shayad woh abhi James ke raastay mein hon. 83 00:05:15,912 --> 00:05:18,431 Unke paas EMPs thay. Issi tarha unhon ne raabta band kiya. 84 00:05:18,900 --> 00:05:21,054 Main janta hun baitay. Main janta hun. 85 00:05:30,810 --> 00:05:32,880 Woh kiya kar rahay hain? Kiya woh usay le kar ja rahay hain? 86 00:05:34,913 --> 00:05:36,248 Nahin, nahin, nahin! 87 00:05:37,580 --> 00:05:39,900 Ruko! Ruko! Nahin, nahin! Iss admi ko nahin le ja saktay! 88 00:05:39,990 --> 00:05:41,870 Iss admi ko nahin le ja saktay! Usay wapas rakh dou! 89 00:05:41,960 --> 00:05:43,090 Nahin! Nahin! 90 00:05:45,630 --> 00:05:46,831 Kameenay! 91 00:05:47,588 --> 00:05:48,832 Kameenay! 92 00:05:55,730 --> 00:05:57,342 Shayad unhon ne uss ke liye doctor bulaya ho. 93 00:06:19,620 --> 00:06:20,731 Woh humein dhundh rahay hain. 94 00:06:21,820 --> 00:06:22,924 Main ne aath ka hisaab lagaya. 95 00:06:23,990 --> 00:06:25,265 Woh humein zinda chahtay hain, haina? 96 00:06:25,807 --> 00:06:27,398 Ussay faida toh humara hi hoga na. 97 00:06:28,990 --> 00:06:30,453 Humein sirf chand log hi zinda chahiye... 98 00:06:31,960 --> 00:06:34,249 ...agar hum pata karna chahtay hain ke humare log kahan par hain. 99 00:06:42,570 --> 00:06:45,710 Sir, Shackleton aur Hayward ka Okinawa pohanch janay ka waqt 100 00:06:45,800 --> 00:06:47,050 teen se kum ghanton ka hai. 101 00:06:47,140 --> 00:06:50,900 Main kahunga ka foran unn mein tail daal kar Hai Phong rawana kiya jaye. 102 00:06:50,990 --> 00:06:52,730 Tail dalwana hai, haan, lekin humein phir bhi unn jahazon ki zarurat paregi 103 00:06:52,820 --> 00:06:54,494 Japan mein honay wali jinsi tabdeeli ki tafteesh ke liye. 104 00:06:54,987 --> 00:06:57,559 Yeh mat bhoolo ke hum ne Chandler ko Asia kis kaam ke liye bheja tha. 105 00:06:58,476 --> 00:07:00,670 Mujhay nahin lagta uss ilaqay mein kisi ko bhejna aik mohtat faisla hoga 106 00:07:00,760 --> 00:07:02,729 jab tak hum soorat e haal ka behtar andaza na laga lain, sir. 107 00:07:02,930 --> 00:07:07,080 Mr President, kisi ne humare 13 log pakar liye. 108 00:07:07,170 --> 00:07:08,904 Ab mujhya parwah nahin hai ke woh Peng hai, 109 00:07:08,929 --> 00:07:10,544 Vietnamese hai, ya phir samundari daaku. 110 00:07:10,610 --> 00:07:13,119 The James wahan akela hai uss ke X.O. ke baghair, 111 00:07:13,210 --> 00:07:15,785 uss ke C.O. ke baghair, bilkul akela. 112 00:07:18,580 --> 00:07:20,160 Aik baar James EMCON se wapas aa jaye, 113 00:07:20,250 --> 00:07:22,593 humein zaroorat paregi poora raabta rakhnay wali khasiyat ki. 114 00:07:23,117 --> 00:07:25,780 Awaaz ka masla hum theek kar lengay. Lekin humein video nahin mil rahi. 115 00:07:26,590 --> 00:07:28,188 Val janay se pehlay iss par kaam kar rahi 116 00:07:28,213 --> 00:07:29,886 thi, lekin dekho agar tum ussay chala sako. 117 00:07:30,419 --> 00:07:31,316 Theek hai. 118 00:07:31,407 --> 00:07:33,500 Aur agar tum sahi huay, Alex, agar yeh Peng hai, 119 00:07:33,590 --> 00:07:36,270 toh yeh aik jaal bhi ho sakta hai humare teen west-Pac jungi jahazon ko 120 00:07:36,360 --> 00:07:37,210 aik saath tabah karne ke liye. 121 00:07:37,300 --> 00:07:40,000 Main muttafiq hun. Hum intezar karengay jab tak Captain Chandler ittala na dain. 122 00:07:40,090 --> 00:07:42,400 Tab tak, kuch bhi iss kamray se baahir nahin jana chahiye. 123 00:07:42,490 --> 00:07:44,366 -Samajh aayi? -Ji. 124 00:07:51,280 --> 00:07:54,050 Tumhein kyun lagta hai tumhari yeh dost humari madad karegi? 125 00:07:54,141 --> 00:07:56,619 Woh aik pilot thi Doctors Without Borders ke liye, 126 00:07:56,710 --> 00:07:58,051 aur uss jaisi main ne ab tak nahin dekhi. 127 00:07:58,385 --> 00:08:00,430 Jab wabaa phaili thi, woh China se bahir nahin nikal paayi, 128 00:08:00,520 --> 00:08:02,273 lekin uss ne beemari ke khadshay ke bawajud 129 00:08:02,298 --> 00:08:03,732 sunsan ilaqon mein imdad pohanchayi 130 00:08:04,328 --> 00:08:05,687 Peng ke anay se pehlay, 131 00:08:05,778 --> 00:08:07,318 main apnay raabton ke saath us ki madad karti thi 132 00:08:07,343 --> 00:08:08,724 mushkil tareen ilaqon mein bhejnay ke liye. 133 00:08:08,790 --> 00:08:11,640 Hum wahan khana, tail, aur baaqi saazo saman bhijwatay thay. 134 00:08:12,360 --> 00:08:14,594 Aik baar jab Peng ke paas taqat aa gayi aur tum ne cure de diya, 135 00:08:14,685 --> 00:08:17,617 Main aik sifarti kirdar nibhaanay lagi. 136 00:08:18,100 --> 00:08:19,146 Jesse ne aisa nahin kiya. 137 00:08:19,670 --> 00:08:23,153 Usay naye logon se thori uljhan hoti hai. 138 00:08:23,690 --> 00:08:25,925 Tum yahan kyun nahin ruktay? Mujhay pehlay ussay baat kar lene dou. 139 00:08:30,210 --> 00:08:31,070 Jesse? 140 00:08:33,240 --> 00:08:34,358 Jesse? 141 00:08:39,964 --> 00:08:41,374 Kiya tum koshish karna chaho gay? 142 00:08:41,520 --> 00:08:42,593 Ji, sir. 143 00:08:59,540 --> 00:09:00,443 Jesse? 144 00:09:04,683 --> 00:09:05,553 Jesse? 145 00:09:08,750 --> 00:09:11,028 Hello, Sasha. 146 00:09:11,922 --> 00:09:13,402 Tauba, Jesse! 147 00:09:13,620 --> 00:09:15,200 Kon hain yeh? Tumhare paishawar gunday? 148 00:09:15,290 --> 00:09:17,136 Peng ka kaam tamam karnay aayi ho? 149 00:09:17,560 --> 00:09:18,739 Kiya baat kar rahi ho tum? 150 00:09:19,160 --> 00:09:20,140 Tum nahin janti? 151 00:09:20,230 --> 00:09:21,108 Mujhay koi andaza nahin. 152 00:09:21,199 --> 00:09:25,169 Guangzhou? Wahi jahannumi jaga jissay sab se chupana tha. 153 00:09:25,570 --> 00:09:28,202 Hum wahan pohanchay, toh wahan PLA ki bharmaar thi. 154 00:09:28,570 --> 00:09:29,821 Agar tum mujhay batati ke Peng 155 00:09:29,912 --> 00:09:32,010 apnay missiles hata raha tha, toh shayad hum uss jaal mein na phastay! 156 00:09:32,100 --> 00:09:34,380 Main nahin janti thi ke Peng kuch idhar se udhar karega! 157 00:09:34,470 --> 00:09:36,180 Khair woh humari badqismati thi, 158 00:09:36,270 --> 00:09:37,980 ya phir kisi ne unhein bataya tha ke hum wahan ja rahay hain. 159 00:09:38,475 --> 00:09:40,250 Kyun ke Lau Hu wahan muntazir tha. 160 00:09:40,850 --> 00:09:45,100 Mera bhai, mere saray dost, neechay chalay gaye thay. 161 00:09:45,191 --> 00:09:48,073 Jesse, mujhay iss ke baray mein kuch nahin pata. 162 00:09:49,121 --> 00:09:50,330 Tumhein mera yaqeen karna hoga. 163 00:09:50,420 --> 00:09:51,730 Tumhara yaqeen? 164 00:09:51,820 --> 00:09:54,685 Tumhara waisay bhi Peng ke mahal mein aik shandar kamra hoga. 165 00:09:55,260 --> 00:09:57,155 Ya phir kaheen tum ussi ke kamray mein toh nahin soti? 166 00:09:57,246 --> 00:09:57,730 Suno. 167 00:09:58,944 --> 00:10:00,257 Tum janti ho main kon hun? 168 00:10:01,200 --> 00:10:03,738 Main yahan Peng ko roknay aya hun cure ko zaya karnay se. 169 00:10:04,200 --> 00:10:05,832 Ab, uss ne mujhay marnay ki koshish ki... 170 00:10:06,369 --> 00:10:07,410 Darasal, hum sab ko hi. 171 00:10:07,500 --> 00:10:10,750 Mujhay lagta hai ke iss waqt jo koi mere saath hoga ussay bhi khatra hai. 172 00:10:10,840 --> 00:10:13,440 Aur uski MSS hum se das minute duur hai. 173 00:10:13,840 --> 00:10:15,690 Mujhay tumhare doston ka sun kar afsos hua. 174 00:10:15,780 --> 00:10:17,410 Main ne bhi kaafi khoye hain. 175 00:10:17,810 --> 00:10:19,120 Jahan tak mera sawal hai, 176 00:10:19,145 --> 00:10:20,924 Peng unn sab ki qabron ki behurmati kar raha hai, 177 00:10:21,080 --> 00:10:22,456 lekin tumhara raaz faash ho chuka hai. 178 00:10:23,790 --> 00:10:25,202 Isiliye humein ab jana chahiye. 179 00:10:28,620 --> 00:10:29,728 Humein helo chahiye. 180 00:10:32,730 --> 00:10:34,139 Tauba. 181 00:10:35,423 --> 00:10:36,319 Ab chalo. 182 00:10:42,040 --> 00:10:44,050 -Sonar? -Abhi tak kuch nahin mila, sir. 183 00:10:44,141 --> 00:10:46,640 -Aur hum zameen se duur hain. -Humein radar par kuch mila. 184 00:10:46,730 --> 00:10:48,710 -Sonar mein bhi aa raha hai. -Kiya yeh koi jahaz hai? 185 00:10:49,266 --> 00:10:50,820 Yeh nashar kar raha hai aik paishwar radar ko 186 00:10:50,910 --> 00:10:52,897 aur shanakht kar raha hai maahigeer ka behri jahaz AIS par, 187 00:10:52,988 --> 00:10:55,560 leki yeh unn jahazon mein se nahin hai jinhein humne jaancha tha aatay huay. 188 00:10:57,480 --> 00:10:58,869 Sonar, mujhay sunnay ka aala dou. 189 00:11:07,183 --> 00:11:08,248 Iske engine ki toh awaaz bhi hai. 190 00:11:10,800 --> 00:11:12,241 Yeh woh jahaz hai jisne apni shanakht 191 00:11:12,266 --> 00:11:13,934 Chinese Class B maahi geer jahaz se ki thi. 192 00:11:14,000 --> 00:11:15,530 Ji, sir. Mujhay bhi aisa lagta hai sir. 193 00:11:15,621 --> 00:11:18,280 Tum apni awaz ki shanakht badal saktay ho, lekin apnay engine ka khar kharaana nahin. 194 00:11:18,370 --> 00:11:19,750 Gator, OOD ko bolo humein qareeb le jaye. 195 00:11:19,840 --> 00:11:21,720 -Roger. -Unn baaqi dou jahan ka pata chala? 196 00:11:21,810 --> 00:11:23,650 -Nahin, sir. -Paanch ghantay ho chukay hain. 197 00:11:23,740 --> 00:11:25,140 Ab toh woh pata nahin kahan chalay gaye hongay. 198 00:11:36,550 --> 00:11:37,608 Yeh kon hain? 199 00:11:38,320 --> 00:11:39,830 Mujhay nahin lagta yeh Vietnamese hain. 200 00:11:39,920 --> 00:11:41,187 Ajeeb po gahreeb hi thi. 201 00:11:42,160 --> 00:11:44,070 Main ne thori Thai, thori Chinese suni. 202 00:11:44,160 --> 00:11:46,148 Chinese likhayi thi samaan ki aik taraf. 203 00:11:48,700 --> 00:11:49,660 Kiya tum theek ho bachay? 204 00:11:50,170 --> 00:11:51,896 Haan, bas thori ulti ho rahi hai. 205 00:11:52,928 --> 00:11:54,852 Yeh kashti James se zyada hilti hai. 206 00:11:55,740 --> 00:11:58,919 Suno. Apnay ghutnay maor kar, seenay ke qareeb karo, aur ankhain band kar lo. 207 00:11:59,010 --> 00:12:01,140 Har 60 seconds ke baad, unhein kholo aur paanch tak ginti karo. 208 00:12:01,540 --> 00:12:02,508 Phir se karo. 209 00:12:04,280 --> 00:12:05,551 4:32. 210 00:12:06,250 --> 00:12:08,257 Kitni dair se hum yahan hain? Taqreeban 3 ghanton se? 211 00:12:08,750 --> 00:12:11,460 Mujhay lagta hai 12 se 14 knots ki raftar par, qayam kar diya hai. 212 00:12:11,550 --> 00:12:12,800 Kis rukh? 213 00:12:12,890 --> 00:12:15,837 Jahaz ki rawangi ko dekh kar, agar hawa mashriq ki janib hai, 214 00:12:15,928 --> 00:12:17,301 junoob, junoob mashriq, kiya khayal hai? 215 00:12:18,460 --> 00:12:19,570 China se duur hain. 216 00:12:19,660 --> 00:12:20,674 Vietnam se duur hai. 217 00:12:21,700 --> 00:12:22,745 Woh humein kahan le kar ja rahay hain? 218 00:12:52,560 --> 00:12:53,570 Saaray aath aa rahay hain. 219 00:12:53,660 --> 00:12:54,856 Unn mein se dou ko zinda chorna hai. 220 00:12:57,697 --> 00:12:59,445 Unko taangon mein goli maarna. Humien woh zinda chahiyen! 221 00:13:26,660 --> 00:13:28,179 Theek hai, Danny ke bachay! 222 00:13:28,270 --> 00:13:29,570 Main ne aik ko maar diya! 223 00:13:39,040 --> 00:13:40,159 Ab mere paas dou hain. 224 00:13:41,930 --> 00:13:42,974 Iss ka matlub pooray chaar. 225 00:14:57,100 --> 00:14:58,763 Main ye zabaan nahin bolta kameenay. 226 00:15:02,303 --> 00:15:03,702 Tauba. Yeh toh saat ho gaye. 227 00:15:05,300 --> 00:15:07,380 Mujhay bas itna bata dou ke woh aakhri wala abhi tak saans le raha hai. 228 00:15:13,110 --> 00:15:15,017 Humari maujooda jagah se woh behri jahaaz 1.3 nautical 229 00:15:15,042 --> 00:15:16,774 meel ki doori par hai shumaali maghribi rukh mein. 230 00:15:16,840 --> 00:15:18,320 OOD, taizi se aagay barho. 231 00:15:18,410 --> 00:15:20,010 Usay saamnay le aao. Raah mein rukawat daal dou uss kashti ki. 232 00:15:20,410 --> 00:15:23,105 Hum uss par charhengay, aur pata lagayengay ke humare log kahan hain. 233 00:15:24,882 --> 00:15:28,399 Maahegeer jahaz chheh kilometers Do Son jazeeray ke junoobi mashriq rukh mein, 234 00:15:28,490 --> 00:15:30,832 yeh hai U.S. Navy Warship 1-5-1, 235 00:15:30,923 --> 00:15:34,100 dou kilometers duur jahaz ke saamnay channel 1-6 se bula rahay hain. 236 00:15:34,190 --> 00:15:35,122 Over. 237 00:15:44,670 --> 00:15:47,050 Maahgeer jahaz chheh kilometers junoobi mashriq rukh mein... 238 00:15:47,140 --> 00:15:49,310 Woh raftaar barha kar aagay barh rahay hain. 239 00:15:49,400 --> 00:15:51,280 Shumal maghrib ki jaanib 3-4-0. 240 00:15:51,370 --> 00:15:53,649 OOD, raasta durust kar lain. 3-4-0. 241 00:15:53,740 --> 00:15:55,122 Tum uss ke peechay lago. 242 00:16:02,350 --> 00:16:03,999 Suno, kiya tum cigarette peena band karo gi? 243 00:16:04,090 --> 00:16:05,990 Kiya tumhein phaiphron ke cancer ka darr hai? 244 00:16:06,390 --> 00:16:07,670 Yahan aur bhi baray maslay hain, samjhay? 245 00:16:07,760 --> 00:16:09,834 MSS 10 minutes peechay hain hum se? 246 00:16:10,581 --> 00:16:11,770 Ho sakta hai. 247 00:16:11,860 --> 00:16:12,868 Aur nahin bhi. 248 00:16:14,030 --> 00:16:15,473 Matlub, Peng ne humein bhi maarnay ki 249 00:16:15,498 --> 00:16:17,053 koshish ki, agar yeh sub acha lagay. 250 00:16:21,351 --> 00:16:22,390 Tum kaafi khamosh ho. 251 00:16:25,317 --> 00:16:26,352 Soch raha hun. 252 00:16:28,229 --> 00:16:29,296 Main yeh shakal pehchaanti hun. 253 00:16:30,259 --> 00:16:31,498 Tum soch nahin rahay. 254 00:16:32,380 --> 00:16:33,353 Tum ghussay se ubal rahay ho. 255 00:16:37,920 --> 00:16:39,760 Aap ko samajhna hoga, Mr President, 256 00:16:39,850 --> 00:16:42,703 logon ko zinda rehnay ke liye bohat kuch karna parta hai. 257 00:16:43,020 --> 00:16:44,520 Ab aap woh har cheez badalna chahtay hain. 258 00:16:44,611 --> 00:16:48,059 Yeh ration cards aik bohat hi khatarnaak masla bannay wala hai. 259 00:16:48,150 --> 00:16:49,151 Mujhay pata hai sab ko samjhota karna parega, 260 00:16:49,242 --> 00:16:50,881 lekin agar inn sab cheezon se aik baat seekhi hai woh yeh hai, 261 00:16:50,972 --> 00:16:52,989 Amreeki log kaafi lachakdaar hain. 262 00:16:53,080 --> 00:16:55,150 Tum janti ho na ke uss ka acha waqt... 263 00:16:55,240 --> 00:16:58,064 -...khatam honay wala hai. -Log unn ke saath hain. 264 00:16:58,155 --> 00:16:59,955 Logon ki yaaddasht bohat choti hoti hai 265 00:17:00,046 --> 00:17:01,949 aur tumhein jaana chahiye ke baahir sarkon par, 266 00:17:02,040 --> 00:17:04,909 sirf Chandler aur Dr Scott ko hi log tasleem karengay. 267 00:17:05,180 --> 00:17:06,850 Meri biwi aaj bazar mein thi. 268 00:17:06,940 --> 00:17:08,443 Aik aadmi dukaan mein ata hai, woh 269 00:17:08,468 --> 00:17:10,184 cereal ke chheh dabbay lena chahta hai. 270 00:17:10,250 --> 00:17:11,130 Uss ke paas paisay bhi kaafi hain, 271 00:17:11,220 --> 00:17:13,380 lekin uss ke haftay ke rations ke mutabiq woh sirf aik hi le sakta hai. 272 00:17:14,188 --> 00:17:16,811 Phir woh uppar shelves par dekhta hai aur usay 300 dabbay paray huay nazar aye. 273 00:17:17,320 --> 00:17:19,200 Unn mein se aadhay cereals kharab ho jatay hain. 274 00:17:19,290 --> 00:17:20,270 Yeh log. 275 00:17:20,360 --> 00:17:21,900 Inn logon ne apnay ilaaqon ko saath rakha 276 00:17:21,990 --> 00:17:24,560 aik saal tak woh bhi apnay tahammul aur balbootay par. 277 00:17:24,760 --> 00:17:25,907 Jahan se woh baithtay hain, 278 00:17:26,400 --> 00:17:28,692 agar cure wahan ki jaga yahan naa jata, 279 00:17:28,783 --> 00:17:30,940 toh phir in dono mein se koi aik hukum chala raha hota. 280 00:17:31,030 --> 00:17:32,110 Yeh toh ehmaqana baat hai. 281 00:17:32,200 --> 00:17:35,210 Beatty aik senator tha, aur Castillo aik limousine company ka maalik. 282 00:17:35,300 --> 00:17:37,350 Aur Michener aik kumtar cabinet ka Secretary. 283 00:17:37,440 --> 00:17:39,795 Congress ne usay manzoor kiya, jis ki waja se woh president hai. 284 00:17:39,886 --> 00:17:41,480 Woh ghair muntakhib tha. 285 00:17:41,571 --> 00:17:44,159 Aur yeh mat bhoolo, woh mudafaati hai. 286 00:17:44,711 --> 00:17:46,590 Main janta hun tumhare ain saaz yeh nahin sunna chahtay, 287 00:17:46,680 --> 00:17:48,471 lekin yeh ab khayanat aur hissa dene wala masla ban gaya hai. 288 00:17:48,562 --> 00:17:49,730 Agar iss admi ke paas zaroorat se zyada hoga, 289 00:17:49,820 --> 00:17:52,379 toh usay aisi jagayen bhejna chahiye jahan koi aur wasaail na hon. 290 00:17:53,250 --> 00:17:55,200 Hum jitna karsaktay hain utna kar rahay hain, Mr President, 291 00:17:55,290 --> 00:17:57,800 lekin aap logon se unn ke bunyadi aqaaid badalnay ka bol rahay hain 292 00:17:57,890 --> 00:17:59,870 ke humare samaaj ko asal mein kaam karna chahiye. 293 00:17:59,960 --> 00:18:02,429 Rationing American DNA mein paya hi nahin ja sakta. 294 00:18:02,700 --> 00:18:04,379 Main samajh raha hun jo aap hazraat bol rahay hain. 295 00:18:05,140 --> 00:18:07,708 Captain Chandler ka jahaz saaf khala mein hona chahiye, 296 00:18:07,799 --> 00:18:09,161 lekin hum usss jahaz tak pohanch nahin pa rahay. 297 00:18:09,900 --> 00:18:11,292 Humne Sasha Cooper aur apni hifazati team 298 00:18:11,317 --> 00:18:12,774 se ruju karne ki koshish ki Hong Kong mein. 299 00:18:12,840 --> 00:18:14,280 Hum unn tak bhi nahin pohanch paye. 300 00:18:14,370 --> 00:18:16,010 Woh Pearl Harbor kab tak pohanchengay? 301 00:18:16,197 --> 00:18:17,580 Sadhay paanch ghanto mein. 302 00:18:18,292 --> 00:18:20,519 Iss waqt humaray jahazon mein tail dal raha hai Okinawa mein. 303 00:18:20,610 --> 00:18:21,660 Wahan janay tak ka mat socho abhi. 304 00:18:21,750 --> 00:18:23,069 Abhi sirf iss jahaz se raabta qayam karo. 305 00:18:23,792 --> 00:18:24,703 Ji, ma'am. 306 00:18:26,574 --> 00:18:28,925 -Zara ruk jao, Alex. -Tum yeh maanna nahin chahogi, 307 00:18:29,016 --> 00:18:31,062 lekin uss ke bohat maslay hain yahan aghar mein. 308 00:18:31,590 --> 00:18:33,756 Jis tarha woh yeh saray maslay suljhayega baahir ja kar, 309 00:18:33,960 --> 00:18:36,210 uss ke liye usay bohat himmat chahiye. 310 00:18:36,300 --> 00:18:39,710 Main aap hazraat ke maslay samajhta hun, lekin aap logon ko sabar karna parega. 311 00:18:39,800 --> 00:18:41,053 Aagay kiya karma hai uss ka faisla ho chuka hai. 312 00:18:44,100 --> 00:18:45,150 Kahan hai woh kashti? 313 00:18:45,240 --> 00:18:47,167 Ab bhi 60 miles junoob maghrib ki jaanib hai. 314 00:18:47,740 --> 00:18:49,431 Mujhay woh behri jahaz 30 knots se nazar aa raha hai. 315 00:18:50,093 --> 00:18:50,879 Unn hi par nazar rakho. 316 00:18:51,210 --> 00:18:53,820 Tees knots? Yeh koi maahgeer ka jahaz nahin lagta. 317 00:18:53,910 --> 00:18:55,990 Woh Cat Ba Pass ki taraf barh rahay hain. Woh humare janay ke liye chota hoga. 318 00:18:56,080 --> 00:18:57,490 Agar hum iss jazeeray ki taraf se chalain, 319 00:18:57,580 --> 00:18:59,649 toh hum shayad unhein aagay barhnay se rok saktay hain. 320 00:18:59,740 --> 00:19:01,790 OOD, baayen janib poori ghuma dou. 321 00:19:01,880 --> 00:19:04,250 -Hum unhein dusri taraf se rokengay -Baayen janib poori ghuma dou! 322 00:19:08,692 --> 00:19:10,694 Peng ne paani pe har jaga apnay log rakhay huay hain. 323 00:19:11,329 --> 00:19:13,289 Issi tarha se hi woh radar se bach jati hai. 324 00:19:13,655 --> 00:19:16,831 Aik baar hum Kowloon pohanch jayen, meri aik gaari hai jo wahan khari hogi. 325 00:19:17,170 --> 00:19:19,510 Umeed karti hun tumhare liye ke woh waheen par ho. 326 00:19:19,600 --> 00:19:22,070 -Tumhare liye bhi. -Mujhay farq nahin parta. 327 00:19:22,601 --> 00:19:23,650 Mere paas jeenay ke liye kuch hai hi nahin. 328 00:19:23,675 --> 00:19:26,925 Waisay hum sab ne kuch na kuch zaroor khoya hai. 329 00:19:27,080 --> 00:19:28,620 Aur agar tum waqai Peng ko dard pohachana chahti ho, 330 00:19:28,710 --> 00:19:30,977 toh tumhein sirf aur sirf issi cheez ki parwah honi chahiye. 331 00:19:33,580 --> 00:19:34,051 Suno! 332 00:19:38,420 --> 00:19:39,515 Wahan uss ghar mein, 333 00:19:40,637 --> 00:19:42,266 tumnay kaha tah ke main bahir intezar karun. 334 00:19:44,350 --> 00:19:46,590 Tum ussay pehlay milna chahti thi usay chup karwanay ke liye. 335 00:19:46,989 --> 00:19:49,789 Woh bas Peng ke khanay aur tail ki baat nahin thi. 336 00:19:49,880 --> 00:19:50,789 Woh cure ke liye tha. 337 00:19:51,540 --> 00:19:53,039 Woh sab Peng ke baad hua. 338 00:19:53,130 --> 00:19:55,254 Jab tum aik sifaratkar ban kar kaam kar rahi thi. 339 00:19:57,782 --> 00:19:59,250 Main ne kuch hafton pehlay hi kaam chora hai 340 00:19:59,340 --> 00:20:01,070 jab mujhay laga tha ke kuch garbar ho rahi hai. 341 00:20:01,602 --> 00:20:04,719 -Woh tab se mujhsay naraz hai. -Kiya Rivera janti hai? President ko? 342 00:20:04,810 --> 00:20:07,760 Nahin, bilkul nahin. Main unn ko iss tarha khatray mein nahin dalungi. 343 00:20:08,471 --> 00:20:10,485 Tumhein humesha har cheez apnay hisaab se karni hoti hai. 344 00:20:11,520 --> 00:20:12,830 Sasha behtar jaanti hai. 345 00:20:12,920 --> 00:20:14,660 Unhein inkar karne ki qabliyat chhaiye thi, 346 00:20:14,750 --> 00:20:16,300 aur waisay bhi unhein yeh bata nahin sakti. 347 00:20:16,390 --> 00:20:18,770 Tum jantay ho Hong Kong se States tak koi bhi hifazati raabta nahin ho sakta. 348 00:20:18,860 --> 00:20:21,640 Tum samajhti ho isii waja se mere logon ko nishana banaya gaya. 349 00:20:21,730 --> 00:20:23,429 Tumhein lagta hai Vietnam badla tha jo bhi 350 00:20:23,454 --> 00:20:25,034 Jesse ke sath kar rahi hun uss ke liye? 351 00:20:25,100 --> 00:20:26,610 Mera jahaz bhi. 352 00:20:26,701 --> 00:20:28,480 Agar Peng ko kisi bhi baray mein pata hota, 353 00:20:28,570 --> 00:20:31,180 toh yeh foran jannay ke baad woh meri jaan azaab mein daal deta. 354 00:20:31,270 --> 00:20:33,259 Jaisay tumnay kaha, woh lamba khail khelta hai... 355 00:20:34,840 --> 00:20:37,563 ...aur woh tumhein maar deta jaisay hi main wahan se jata. 356 00:20:40,447 --> 00:20:41,970 Main sharminda hun tumhare logon ke baray mein, Tom, 357 00:20:43,110 --> 00:20:44,020 lekin main waada karti hun, 358 00:20:44,110 --> 00:20:46,290 yahan uss se bhi baray maslay ho rahe hain jo ke 359 00:20:46,388 --> 00:20:49,077 mujhay aur uss larki ko cure ke saath sarhad paar karwanay se baray hain. 360 00:21:15,793 --> 00:21:17,237 Tum kis kay liye kaam kartay ho? 361 00:21:24,606 --> 00:21:25,739 Hukumat kay liye? 362 00:21:27,113 --> 00:21:28,221 Tum kis kay liye kaam kartay ho? 363 00:21:29,274 --> 00:21:31,319 Chinese? Kaun? 364 00:21:34,640 --> 00:21:36,398 Kiya humein yaqeen hai ke woh Vietnamese hai? 365 00:21:37,410 --> 00:21:39,759 Iss chaaku par toh kisi alag tarha ki zaban likkhi hai. 366 00:21:44,520 --> 00:21:47,972 Hum khulay paani mein janay walay hain. Batao zara ke kashti nazar aa rahi hai. 367 00:21:48,063 --> 00:21:49,330 Main unhein abhi dekh sakti hun. 368 00:21:49,420 --> 00:21:52,500 Mujhay woh 2-7-0 par 6,000 gaz ke faaslay par nazar aa rahay hain. 369 00:21:52,590 --> 00:21:54,400 Woh jazeeron ke paas hain. 370 00:21:54,490 --> 00:21:56,170 Gehrayi yahan bata rahi hai 14 feet. 371 00:21:56,260 --> 00:21:57,210 Taubah. 372 00:21:58,123 --> 00:21:59,140 Sirf patwar se chalao, OOD. 373 00:21:59,230 --> 00:22:01,566 Aagay barho, 1/3 teen knots tak. 374 00:22:01,927 --> 00:22:03,084 Phir se woh ghayab ho gaye. 375 00:22:03,966 --> 00:22:04,815 Woh sach mein gahayb ho gaye. 376 00:22:09,570 --> 00:22:11,420 Toh main ne suna hai ke tum aik achi pilot ho. 377 00:22:11,510 --> 00:22:13,550 Hum kab tak milengay tumhare helo se? 378 00:22:13,641 --> 00:22:15,110 Tum toh kaafi baysabray ho rahay ho. 379 00:22:15,201 --> 00:22:17,457 Mujhay apnay aur bhi kaam thay aaj. 380 00:22:19,580 --> 00:22:21,911 -Yeh kiya hai? -Hong Kong mein khush amdeed. 381 00:22:24,020 --> 00:22:25,385 Main ne yahan kabhi koi talashi ki chauki nahin dekhi. 382 00:22:26,604 --> 00:22:27,676 Yeh humari waja se hai. 383 00:22:39,991 --> 00:22:40,680 Khaoi. 384 00:22:41,598 --> 00:22:42,781 Khao! Khao! 385 00:22:47,056 --> 00:22:50,440 Filet mignon aur khoobani? 386 00:22:51,040 --> 00:22:52,811 Jab woh mujhay pehlay bathroom le gaye thay, 387 00:22:53,610 --> 00:22:55,430 main ne unn ke baaqi logon ko bhi dekha. 388 00:22:55,520 --> 00:22:57,662 Woh aik dibiya mein se beans nikal kar kha rahay thay. 389 00:23:01,420 --> 00:23:02,404 Maaf karna doston. 390 00:23:03,120 --> 00:23:04,640 Humein isay kuch patla kar ke pilana hoga. 391 00:23:04,730 --> 00:23:06,825 Usay paani ki zaroorat hai. Paani. 392 00:23:07,250 --> 00:23:09,140 Haan, aur yahan thori safayi karne ki bhi zaroorat hai. 393 00:23:09,230 --> 00:23:10,792 Paani. haan? 394 00:23:16,700 --> 00:23:18,294 Kiya kar rahay ho? 395 00:23:18,400 --> 00:23:19,693 Aray, aray! 396 00:23:21,578 --> 00:23:22,924 Kiya kar rahay ho? Bachay ko chor dou.. 397 00:23:23,015 --> 00:23:25,190 -Usay paani chahiye! -Choro usay! Woh bas aik bacha hai! 398 00:23:25,280 --> 00:23:27,150 Hum bas usay taazi hawa khilanay le ja rahe hain. 399 00:23:27,750 --> 00:23:30,480 Ab... tum khao. 400 00:24:47,950 --> 00:24:49,155 Neechay ho jao! 401 00:24:51,032 --> 00:24:53,840 Tauba, Sasha main ne kaha neechay ho jao. 402 00:24:53,930 --> 00:24:54,871 Aur main ne tumhari sun li. 403 00:25:17,630 --> 00:25:19,150 Bas kuch fazool saman tha. 404 00:25:19,350 --> 00:25:21,150 Mujhay nahin samajh aa raha yeh kahan se hain. 405 00:25:21,750 --> 00:25:22,733 Tum kaisay ho? 406 00:25:23,566 --> 00:25:26,027 Main theek hun. Mujhay bas iss ke liye pareshani ho rahi hai. 407 00:25:29,095 --> 00:25:30,482 Uss ke saath sahi haal karna. 408 00:25:32,260 --> 00:25:33,155 Main intezar karunga. 409 00:25:40,870 --> 00:25:43,050 Yeh toh behosh ho raha hai. Aray! Suno! 410 00:25:43,140 --> 00:25:45,270 Saath raho! Saath raho! 411 00:25:46,924 --> 00:25:50,312 Uska... khoon... zaaya ho raha hai. 412 00:25:50,958 --> 00:25:52,240 Uss ne kaha tumhara khoon zaya ho raha hai. 413 00:25:52,650 --> 00:25:54,320 Kiya? Tum English mein baat kartay ho? 414 00:25:54,820 --> 00:25:57,634 Usay yeh acha nahin lage ga. 415 00:25:58,550 --> 00:26:01,470 -Woh kis ki baat kar raha hai? -Kon? Kisay acha nahin lage ga? 416 00:26:01,560 --> 00:26:03,905 Tum kis ke liye kaam kartay ho? Kisne bheja hai tumhein, bolo? 417 00:26:08,540 --> 00:26:09,507 Manhoos! 418 00:26:18,490 --> 00:26:20,310 Ab junoob ki taraf ja rahay hain shayad. 419 00:26:22,895 --> 00:26:25,030 Lagta hai jaisay hum bas gol gol ghoom rahay hain. 420 00:26:25,120 --> 00:26:26,745 Woh nahin chahtay humein pata chalay hum kahan hain. 421 00:26:29,030 --> 00:26:30,598 Kiya pata woh humein kaheen le kar hi na gaye hon. 422 00:26:32,830 --> 00:26:34,380 Kiya pata woh humein yaheen rakhna chahtay hon. 423 00:26:46,410 --> 00:26:48,366 Yaheen baitho bachon. Main jaldi hi wapas ati hun. 424 00:26:49,110 --> 00:26:51,079 Hum ne peechay kaafi lashain chor di hain. 425 00:26:51,420 --> 00:26:53,810 Kitna waqt lagega MSS ko humari taraf aanay mein? 426 00:26:54,893 --> 00:26:57,500 Talashi lene wali choki aur tafteesh har aadhay ghantay mein. 427 00:26:57,590 --> 00:27:00,690 Jab Peng ko unn se jawab nahin milega, toh woh aur log bheje ga. 428 00:27:03,345 --> 00:27:05,199 Yeh aik taabkar ilaqa hai. 429 00:27:06,060 --> 00:27:08,459 Yahan chay meel ki duuri par aik nuclear power ka kaarkhana hai. 430 00:27:09,147 --> 00:27:10,389 Aur phir koi shigaaf aa gaya tha? 431 00:27:10,733 --> 00:27:11,807 Taqreeban tabahkun tha. 432 00:27:12,584 --> 00:27:15,151 Kuch maheenay pehlay. Koi bhi hifazati nizam ko barqarar nahin rakh saka tha. 433 00:27:16,740 --> 00:27:20,820 -Toh woh apna helo yahan rakhti hai? -Andar janay ke liye 9 minute lagtay hain. 434 00:27:20,910 --> 00:27:22,490 Humein 11 minute lagtay hain uss cheez ko hawa mein laanay ke liye 435 00:27:22,580 --> 00:27:23,690 issay pehlay ke hum taabkaari se maaray jayen. 436 00:27:23,780 --> 00:27:24,986 Giyara minutes? 437 00:27:25,793 --> 00:27:26,910 Taqreeban. 438 00:27:31,357 --> 00:27:33,081 Mein Pearl Harbor se baat kar rahi hun. 439 00:27:33,425 --> 00:27:35,100 Unhein radar par jahaz mil hi nahin raha. 440 00:27:35,190 --> 00:27:36,700 Aur woh wahan se radio calls ka jawab bhi nahin de rahay. 441 00:27:36,790 --> 00:27:38,940 Mr President aap ko Hong Kong se call aa rahi hai. 442 00:27:39,030 --> 00:27:40,079 President Peng ki. 443 00:27:41,728 --> 00:27:42,613 President Peng. 444 00:27:43,288 --> 00:27:46,395 Mr President, main janta hun yahan bohat dair ho gayi hogi, 445 00:27:46,793 --> 00:27:49,810 toh main Vietnam mein aap ko mazeed takleef dene ke liye maazrat chahta hun. 446 00:27:49,900 --> 00:27:52,470 Nahin. Nahin. Kiya aap ke paas humare liye koi khabar hai? 447 00:27:52,870 --> 00:27:54,006 Afsos ke saath kahunga ke haan. 448 00:27:55,110 --> 00:27:57,249 Lagta hai ke Captain Chandler ke jahaz ke 449 00:27:57,274 --> 00:27:59,514 engine ke saath koi bohat bara masla hogaya 450 00:27:59,580 --> 00:28:01,622 jaisay hi woh jahaz airport se parwaz lene wala tha. 451 00:28:02,024 --> 00:28:05,180 Badqismati se, woh jahaz gir gaya. 452 00:28:07,950 --> 00:28:08,993 Jahaaz gir gaya? 453 00:28:11,320 --> 00:28:12,579 Kiya unn mein se koi bhi bacha? 454 00:28:13,590 --> 00:28:15,200 Hum abhi paani mein talash kar rahay hain, 455 00:28:16,630 --> 00:28:17,912 lekin koi umeed nahin nazar aati. 456 00:28:18,456 --> 00:28:20,011 Humein unn par yaqeen nahin karna chahiye. 457 00:28:20,491 --> 00:28:23,310 Yeh koi mashkook harkat lag rahi hai, Mr President, 458 00:28:23,400 --> 00:28:24,873 jo kuch Vietnam mein hua. 459 00:28:25,681 --> 00:28:26,912 Jaisay ke main ne aap ko bataya, 460 00:28:27,241 --> 00:28:29,975 iss ilaqay mein kaafi badmash anaasir ka nizam chal raha hai. 461 00:28:30,176 --> 00:28:32,047 Pehlay humein laga ke behri gunday hongay, 462 00:28:32,540 --> 00:28:35,244 lekin aap ke pilot ne radio mein bataya ke engine ke saath masla hai. 463 00:28:36,402 --> 00:28:37,859 Hum abhi aap ko tarseel bhej rahay hain 464 00:28:37,950 --> 00:28:40,367 aap ke pilot aur humare hawai traffic nizam ke beech. 465 00:28:40,732 --> 00:28:43,590 Haan. Bazahir, humein uss recording ko sunnay mein dilchaspi hai. 466 00:28:43,838 --> 00:28:48,173 Main aap ko yaqeen dilata hun, hum aik bharpoor tafteesh karengay 467 00:28:48,990 --> 00:28:50,570 aur aap ko tafseeli jankari dete rahengay. 468 00:28:51,100 --> 00:28:53,151 Waisay aap ka behadd shukriya President Peng, 469 00:28:54,080 --> 00:28:55,230 aur hum jald hi baat karengay. 470 00:28:58,019 --> 00:28:59,310 Aap ne unki baat maan toh nahin li na? 471 00:28:59,400 --> 00:29:01,001 Main kisi cheez ka faisla nahin kar raha abhi, 472 00:29:01,991 --> 00:29:03,583 aur iss kamray mein kisi aur ko bhi nahin karna chahiye. 473 00:29:04,770 --> 00:29:06,028 Chalo woh tarseel suntay hain. 474 00:29:11,540 --> 00:29:14,598 Tum nay daair ki aur ab mujhe Americans kay saath masla ho raha hai. 475 00:29:15,265 --> 00:29:16,939 Agar Chandler zinda ayaa tou hamaari jung 476 00:29:17,156 --> 00:29:20,066 shuru ho jayegi United States kay saath. 477 00:29:22,033 --> 00:29:24,013 Dhoondo usay. 478 00:29:48,541 --> 00:29:50,390 Tumnay aik Chinese fauji helo chura liya? 479 00:29:50,480 --> 00:29:52,659 Hum China mein hain. Tumhein kiya laga tha? 480 00:29:52,750 --> 00:29:54,230 Kitna dairakaar hai iss cheez ka? 481 00:29:54,272 --> 00:29:55,672 Taqreeban 600 miles tak. 482 00:29:55,811 --> 00:29:57,430 Bas itna jitnay mein hum Hai Phong pohanch jayengay. 483 00:29:57,520 --> 00:29:58,831 Hawa se andaza hoga. 484 00:29:59,960 --> 00:30:01,333 Tum theek ho? 485 00:30:01,424 --> 00:30:02,350 Bas thori ulti mehsoos ho rahi hai. 486 00:30:02,460 --> 00:30:04,210 Behtar hoga ke hum yahan se jaldi niklain. 487 00:30:05,500 --> 00:30:06,833 Theek hai, qass kar baith jao. 488 00:30:07,733 --> 00:30:09,982 -Grenade phenkay walay hathiyar? -Hifazat ke liye kuch toh chahiye. 489 00:30:11,093 --> 00:30:12,006 Tauba. 490 00:30:12,758 --> 00:30:13,720 Mazak mat karo mere sath. 491 00:30:13,810 --> 00:30:14,810 Garam karni paregi? 492 00:30:15,880 --> 00:30:18,190 Battery lo aur woh alligator clips gaari se nikal lo. 493 00:30:18,280 --> 00:30:21,184 Tum aik 28-volt ki battery ko 12 volts se nahin chala sakti. 494 00:30:21,275 --> 00:30:23,204 Aik puraani pickup khari hai generator ki dusri taraf. 495 00:30:23,295 --> 00:30:24,550 Hum usay istemaal kar saktay hain. 496 00:30:45,996 --> 00:30:47,055 MSS aa raha hai. 497 00:30:47,900 --> 00:30:49,697 -Tumhein chain chahiye? -Haan. 498 00:30:49,795 --> 00:30:50,918 Tum araam se kar lo. 499 00:31:02,202 --> 00:31:03,345 Hum tayyar hain! 500 00:31:05,190 --> 00:31:08,190 Mere turbines ab bhi jaldi nahin chal rahay. 501 00:31:10,488 --> 00:31:12,228 Unhein aur duur nahin rakh sakta! 502 00:31:22,508 --> 00:31:23,918 Ab koshish karo! 503 00:31:25,706 --> 00:31:27,290 Mere paas generator online aa gaya hai. 504 00:31:27,380 --> 00:31:29,748 Pins nikal lo aur andar aakar baith jao. 505 00:31:30,306 --> 00:31:31,512 Chalo chalain. Chalo, chalo! 506 00:32:01,303 --> 00:32:02,630 Tum theek ho? 507 00:32:02,720 --> 00:32:04,668 Kiya tumhare paas aik Geiger counter hai? 508 00:32:12,426 --> 00:32:13,685 Lag raha hai jaisay hum pichlay haftay hi... 509 00:32:14,660 --> 00:32:15,962 ...uss gunbad ke neechay kharay ho kar... 510 00:32:17,426 --> 00:32:18,745 ...cure baant rahay hain. 511 00:32:23,810 --> 00:32:25,756 Ho sakta hai ke Peng jhoot bol raha ho. 512 00:32:26,850 --> 00:32:28,843 Tum ne cockpit mein honay wali tarseel suni hai na. 513 00:32:31,660 --> 00:32:33,739 Humare Air Force captain ke unn awaazon ki tasdeeq kardi hai. 514 00:32:43,489 --> 00:32:45,612 Hum iss waqt 16 miles jaga se duur hain, sir. 515 00:32:46,689 --> 00:32:47,659 Tauba. 516 00:32:48,093 --> 00:32:49,520 OOD, kuch nazar aa raha hai? 517 00:32:49,610 --> 00:32:51,867 -Nahin, sir. -Kuch bhi? 518 00:32:52,450 --> 00:32:55,060 Koi nishan nahin hai na unn ka na humare logon ka. 519 00:32:55,150 --> 00:32:57,169 Humein ussi jaga jana hoga unhein bachanay ke liye. 520 00:33:02,860 --> 00:33:04,645 Uss fazool party mein jana hi nahin chahiye tha. 521 00:33:05,296 --> 00:33:07,609 Saaray sarbarahi walay log jahaz se neechay utar gaye aik waqt mein. 522 00:33:08,260 --> 00:33:10,195 Hum toh aik sifarti maqsad par aaye thay. 523 00:33:12,300 --> 00:33:14,080 Cameron kaafi qabil hai. 524 00:33:14,170 --> 00:33:16,006 Burk aur Green unhein dhundh lengay, 525 00:33:16,376 --> 00:33:17,618 aur phir woh humein bhi dhundh lengay. 526 00:33:38,704 --> 00:33:40,340 Aatish jala lo starboard ki taraf, hara, laal, hara, 527 00:33:40,430 --> 00:33:43,209 dikha raha hai 3-5-0, lekin woh kamazkam 10 miles bahir hain. 528 00:33:43,300 --> 00:33:45,700 Woh humari janib hai, aur ab woh rawana ho chukay hain. 529 00:33:46,235 --> 00:33:49,569 TAO, mujhay poori radar aur sonar se ilaqay ka nazara karwao. 530 00:33:50,166 --> 00:33:52,050 OOD, ussi nishan se aagay barho. 531 00:33:52,140 --> 00:33:54,196 Seedhi taraf moar lor, aur seedha chalo 3-5-0. 532 00:33:57,531 --> 00:34:00,590 Tumhara andaza sahi hona chahiey uss jahaz ke liye, kyun ke tail khatam ho raha hai, 533 00:34:00,680 --> 00:34:02,932 aur aglay 10 minute mein, humein aur zyada ki zaroorat paregi. 534 00:34:03,497 --> 00:34:06,899 SOP ne kaha ke woh Hai Phong se 20 mile ke dairay mein hongay. 535 00:34:06,990 --> 00:34:09,100 Ab toh hum radio ke dairay mein aa gaye hongay. 536 00:34:09,190 --> 00:34:10,785 Usay chor dou. Woh kharab ho chuka hai. 537 00:34:14,490 --> 00:34:18,570 Munasib nikalnay walay nuktay yahan, yahan aur yahan hain, 538 00:34:18,660 --> 00:34:21,105 lekin humein 20 minutes lagengay faasla khatam karne ke liye. 539 00:34:22,330 --> 00:34:24,182 Suno, Burky woh aakhir kahan hain? 540 00:34:25,140 --> 00:34:27,008 Woh saahil ke qareeb hongay. 541 00:34:32,040 --> 00:34:35,343 Nayi satah se raabta 0-4-0 woh bhi aik nautical mile 542 00:34:35,434 --> 00:34:37,396 jo ke 2-4-5 ki taraf 35 knots se barh raha hai. 543 00:34:37,789 --> 00:34:39,074 Bridge, TAO. 544 00:34:39,306 --> 00:34:40,530 AIS ki alamat maloom ho chuki hai. 545 00:34:40,620 --> 00:34:42,520 Dushman behri jahaz wapas aa gaya. 546 00:34:42,651 --> 00:34:45,582 Saray paancho stations tayar hain, hum apke muntazir hain humlay ke liye. 547 00:34:45,673 --> 00:34:46,782 Hathiyar paanch inch ke hain, sir. 548 00:34:46,873 --> 00:34:48,420 Nahin, TAO. Hum humla nahin karen gay. 549 00:34:48,510 --> 00:34:49,890 Unke jahaz mein yargamaal bhi hongay. 550 00:34:49,980 --> 00:34:51,880 Inn ka saamna karne ke liye aik raasta tajveez karain. 551 00:34:51,971 --> 00:34:53,510 Unhein rok lo issay pehlay ke woh humare logon ke qareeb jayen. 552 00:34:53,600 --> 00:34:56,300 Behtar rahega. OOD, rasta banao 0-2-0. 553 00:34:56,390 --> 00:34:57,980 -Saray engines ke sath aagay barho. -Bilkul, sir. 554 00:34:58,070 --> 00:35:00,443 -Helm, seedhi taraf rukh karo. -Woh wapas unn jazeeron ke paas gaye hain, 555 00:35:00,534 --> 00:35:01,650 humare logon ki jaanib. 556 00:35:01,740 --> 00:35:03,279 CCS, saari hifazati alamat ko chor dou. 557 00:35:03,370 --> 00:35:05,198 Humlay ki tayari karo. Hum unhein rokengay. 558 00:35:06,640 --> 00:35:08,445 Ab waqt hai phir se apnay sair o tafreeh ke mansoobay bananay ke liye. 559 00:35:08,536 --> 00:35:10,350 Itna batao ke tumhara radar kaam kar raha hai kamazkam. 560 00:35:10,440 --> 00:35:11,460 -Usay haath mat lagao. -Sasha. 561 00:35:11,550 --> 00:35:13,230 Tumhare jahaz ko lagega ke hum Chinese hain. 562 00:35:13,320 --> 00:35:15,190 Unhein lagega ke hum unn par hamla karne ki koshish kar rahay hain. 563 00:35:15,280 --> 00:35:16,560 Tumhein lagta hai main yeh nahin janta? 564 00:35:16,650 --> 00:35:19,599 -Koi toh tareeqa hoga. -Aik waqt mein aik masla. 565 00:35:19,690 --> 00:35:21,561 Kiya tum aik saath ho? 566 00:35:21,652 --> 00:35:22,832 Isay chala dou. 567 00:35:23,790 --> 00:35:27,757 Namaloom afraad aa raha hai 0-8-0, 110 knots ki taizi se. 568 00:35:27,848 --> 00:35:28,870 Sir, kuch qareeb aa raha hai. 569 00:35:28,960 --> 00:35:30,226 Lagta hai jaisay Chinese helo hai. 570 00:35:32,700 --> 00:35:35,870 Humein James nazar aa rahi hai. Woh 10 miles duur hai, maghrib junoon maghrib. 571 00:35:37,070 --> 00:35:38,337 Kiya kar rahay ho tum? 572 00:35:38,428 --> 00:35:39,425 Hello bol raha hun. 573 00:35:41,070 --> 00:35:43,063 Jahaz ne apni awaaz badal di. 574 00:35:44,740 --> 00:35:46,547 1-2-0-9. 575 00:35:47,188 --> 00:35:49,430 -1-2-0-9? -Kiya iss ka koi matlub hai? 576 00:35:49,520 --> 00:35:50,860 -Nahin nahin. Aisa nahin ho sakta. -Kiya hua? 577 00:35:50,950 --> 00:35:53,660 Yeh toh CNO. Yeh uss ki saalgirah hai, December 9th. 578 00:35:53,750 --> 00:35:55,330 Woh isay kabhi apni shanakht ke liye istemaal karta tha. 579 00:35:55,420 --> 00:35:58,370 CNO? Yahan? Aik Chinese helicopter par? 580 00:35:58,460 --> 00:36:00,499 Tees second mein raabta khatam ho jayega. 581 00:36:00,590 --> 00:36:01,870 Uss kashti par humare log bhejo. 582 00:36:01,960 --> 00:36:03,346 Unhein bata do ke unn ke saath masla honay wala hai. 583 00:36:06,830 --> 00:36:08,007 Saath raho mere dost! 584 00:36:09,530 --> 00:36:10,534 Hum ghar pohanchnay walay hain. 585 00:36:13,271 --> 00:36:14,937 khatray ka andesha, uss taraf se. 586 00:36:16,465 --> 00:36:18,326 Mujhay lagta hai laal ka istemal sahi nahin tha. 587 00:36:18,640 --> 00:36:19,215 Nahin. 588 00:36:21,810 --> 00:36:24,860 Lagta hai uss choti kashti mein humare hi dou larkay hain. 589 00:36:24,950 --> 00:36:27,190 Unn ke peechay koi hai! Humein madad karni hogi..Aagay barho 590 00:36:27,280 --> 00:36:29,340 Tail khatam ho gaya hai. Humein zameen par jana hoga. 591 00:36:29,430 --> 00:36:30,606 Main ne kaha aagay barho! 592 00:36:32,808 --> 00:36:34,069 Uppar dekho! 593 00:36:34,160 --> 00:36:35,410 Khud ko bachao! 594 00:36:40,260 --> 00:36:41,530 Humein aur qareeb le jao. 595 00:36:42,565 --> 00:36:44,060 Burky, unn par hamla karo! 596 00:36:45,927 --> 00:36:47,188 Woh qareeb aa rahay hain! 597 00:37:12,496 --> 00:37:14,167 Haan! Haan! 598 00:40:01,134 --> 00:40:03,207 Is ka saraa khoon nikaal lo. 599 00:40:03,289 --> 00:40:05,572 Is say pehlay kay is ka dil rouk jaye.