1 00:00:02,250 --> 00:00:03,940 Main khala mein paida huwi thi. 2 00:00:04,270 --> 00:00:06,530 Mainay kabhi apnay chehray par sooraj ki kiran mehsooos nahi ki, 3 00:00:06,530 --> 00:00:09,660 na asli hawa mein saans li hai na kabhi paani mein tairi hun. 4 00:00:09,925 --> 00:00:11,478 Hum mein say kisi nay is cheez ka luft nahi uthaya. 5 00:00:11,505 --> 00:00:13,896 Teen naslon say, Ark nay bachi huwi insaani nasal... 6 00:00:13,921 --> 00:00:16,111 ko zinda rakha hai. 7 00:00:16,136 --> 00:00:18,296 Lekin ab hamara ghar tabah ho raha hai... 8 00:00:18,321 --> 00:00:21,101 aur hum insaaniyat ki aakhri umeed hain. 9 00:00:21,370 --> 00:00:24,584 Sou qaidiyon ko zameen par aik khatarnaak mission par bheja gaya. 10 00:00:25,150 --> 00:00:27,397 Hum sab yahan is liye hain kyunke humnay qanoon ki khilaafwarzi ki thi. 11 00:00:27,422 --> 00:00:29,772 Zameen par, koi qanoon nahi hai. 12 00:00:29,797 --> 00:00:31,638 Humein yahan bas zinda rehna hai. 13 00:00:31,663 --> 00:00:33,128 Lekin zameen humein azmayegi, 14 00:00:33,158 --> 00:00:35,863 apnay posheeda raazon ke zariye... 15 00:00:36,340 --> 00:00:38,479 aur sab say barh kar, aik dusray ke zariye. 16 00:00:39,140 --> 00:00:40,930 Ab tak "The 100" mein... 17 00:00:40,955 --> 00:00:42,955 -Mujh par goli kisnay chalayi? -Bellamy Blake nay. 18 00:00:42,980 --> 00:00:44,021 Wo dropship mein chupke say chala gaya tha. 19 00:00:44,046 --> 00:00:45,726 Hum ab bhi is baat ki tafteesh kar rahe hain ke uski madad kisnay ki. 20 00:00:46,780 --> 00:00:47,735 Chancellor ko maar dou. 21 00:00:47,760 --> 00:00:49,180 Isi liye tumnay wristbands liye thay, 22 00:00:49,205 --> 00:00:50,995 tum chahtay thay sab ko yeh lagay ke hum mar chukay hain. 23 00:00:51,020 --> 00:00:52,490 Agar Ark ko pata lag gaya ke hum zinda hain... 24 00:00:52,529 --> 00:00:55,239 wo nichay ayengay, aur jab aisa hoga, tou main maara jaunga. 25 00:00:55,620 --> 00:00:57,713 Zameen par zinda rehna mumkin hai. 26 00:00:57,793 --> 00:01:00,126 Insaaniyat apnay ghar jarahi hai. 27 00:01:00,182 --> 00:01:02,512 Hey, tum uska difa kyun kar rahi thi? 28 00:01:02,600 --> 00:01:04,320 Kyunke usnay meri jaan bachayi thi. 29 00:01:09,510 --> 00:01:11,805 Mainay kabhi nahi chaha ke tumharay saath aisa kuch ho. 30 00:01:12,059 --> 00:01:13,609 Shukriya. 31 00:01:39,170 --> 00:01:40,580 Kya tumnay Ark say raabta kiya? 32 00:01:42,300 --> 00:01:45,250 Mainay Digg ki mom ko yeh khabar di. John ke dad ko bhi. 33 00:01:45,587 --> 00:01:47,327 Mujhay Roma ke walidein ko yeh khabar baad mein deni hai. 34 00:01:47,360 --> 00:01:48,546 Aisa karnay ka shukriya. 35 00:01:49,450 --> 00:01:50,641 Main tumhara ehsaan-mand hun. 36 00:01:51,540 --> 00:01:54,856 Saray walidein ko yeh batana ke unkay bachon ko Grounder nay qatal kiya hai... 37 00:01:55,305 --> 00:01:57,095 kaash main un say keh sakta ke humein insaaf milnay wala hai. 38 00:01:57,120 --> 00:01:58,360 Hum isay maar nahi rahay hain. 39 00:02:06,191 --> 00:02:07,315 Tum kaafi khaufnaak lag rahay thay... 40 00:02:07,340 --> 00:02:08,990 jab tumharay chehray par wo rung laga huwa tha. 41 00:02:16,260 --> 00:02:17,705 Mujhay Grounder ke baray mein batao. 42 00:02:17,730 --> 00:02:19,485 Kya wo humein sardiyon mein zinda rehnay ke hawalay say koi maloomat... 43 00:02:19,510 --> 00:02:20,637 faraham kar sakta hai? 44 00:02:22,030 --> 00:02:24,008 Hum yahan taiyaari karnay ke liye jo hosakta hai wo kar rahay hain. 45 00:02:24,033 --> 00:02:26,670 Hum mewa aur berries ikhata kar rahe hain, gosht ko mehfooz kar rahay hain, 46 00:02:26,695 --> 00:02:27,895 jarrein talash karnay ke liye khudayi kar rahe hain, 47 00:02:27,935 --> 00:02:30,611 lekin sach yeh hai ke hum bhookay marnay say pehlay hi baraf mein jam jayengay. 48 00:02:30,680 --> 00:02:32,085 Is maamlay par aik achi khabar hai. 49 00:02:32,110 --> 00:02:34,697 Jung say pehlay ke civil defense plans ke mutabiq... 50 00:02:34,740 --> 00:02:36,735 wahan aik purana hungaami imdaadi godaam hai 51 00:02:36,760 --> 00:02:38,340 jo landing site say ziada duur nahi hai. 52 00:02:38,854 --> 00:02:40,034 Yeh rahay uskay coordinates. 53 00:02:40,059 --> 00:02:41,225 Supplies ke ilawa... 54 00:02:41,250 --> 00:02:42,688 wo 100 le liye chath bhi faraham kar sakta hai... 55 00:02:42,713 --> 00:02:44,839 aur un shehariyon ke liye bhi jo Ark say zameen par arahay hain. 56 00:02:44,864 --> 00:02:46,617 Aur aap ko kyun lagta hai ke wo godaam ab bhi salamat hai? 57 00:02:46,670 --> 00:02:49,118 Usay atomi hamlay ko bardasht karnay ke liye takhleeq kiya gaya tha. 58 00:02:49,170 --> 00:02:50,556 Theek hai. Koshish karkay dekh saktay hain. 59 00:02:50,606 --> 00:02:52,636 Chancellor, mujhay is baat par aiteraaz karna hai. 60 00:02:52,660 --> 00:02:54,484 Project Exodus shuru ho chuka hai. 61 00:02:54,509 --> 00:02:57,995 Bachon ko apnay khaimay mein rehna chahiye jab tak pehla dropship launch nahi hojata. 62 00:02:58,020 --> 00:03:00,170 Agar sab cheezein bina kisi rukawat ke ho bhi jayen... 63 00:03:00,180 --> 00:03:02,895 tou 100 imdaad anay say pehlay hi uska saamna kar kay mar jayengay. 64 00:03:04,240 --> 00:03:06,270 Main Clarke say akelay mein baat karna chahunga, please. 65 00:03:07,840 --> 00:03:09,850 Aur main yeh bhi janta hun ke bohot say walidein apnay bachon say baat 66 00:03:09,890 --> 00:03:11,410 karnay ka intezaar kar rahay hain. 67 00:03:17,460 --> 00:03:20,280 Clarke, hum sab ko bohot fakhar hai... 68 00:03:20,305 --> 00:03:21,725 jo bhi tumnay waahan kiya hai. 69 00:03:22,394 --> 00:03:23,377 Tumhari maa... 70 00:03:23,402 --> 00:03:25,170 Main apni maa ke baaray mein baat nahi karna chahti. 71 00:03:26,455 --> 00:03:29,022 Please, Clarke. Maaf karnay ka waqt agaya hai. 72 00:03:29,180 --> 00:03:31,410 Mujhe tumharay aur Abby kay beech mulaqaat karwanay ke liye waqt nikaalne... 73 00:03:31,435 --> 00:03:32,346 Dekho. 74 00:03:32,820 --> 00:03:35,990 Janti hun ke aap dono ko lagta hai ke meray dad ko dhoka dena... 75 00:03:36,590 --> 00:03:37,644 aur unka maarna... 76 00:03:38,760 --> 00:03:40,420 aik naguzeer saneha tha... 77 00:03:41,820 --> 00:03:44,493 magar main isko us nazar say nahi dekhti aur nah hi kabhi dekhungi. 78 00:03:45,925 --> 00:03:47,640 Tou bas mujhay batayen ke agli baari kisi ki hai... 79 00:03:47,665 --> 00:03:48,966 aur un logon ko baari milnay dein... 80 00:03:48,991 --> 00:03:50,987 jo waqai apnay walidein say baat karna chahtay hain. 81 00:03:57,000 --> 00:03:58,181 Dax. 82 00:04:00,094 --> 00:04:01,587 Hey, tum logon nay Dax ko dekha hai? 83 00:04:02,490 --> 00:04:04,070 Us taraf hai. Gosht walay amlay ke pass. 84 00:04:06,470 --> 00:04:07,593 Dax... 85 00:04:08,641 --> 00:04:10,241 Tumhari baari agayi hai. 86 00:04:20,060 --> 00:04:21,190 Meri mom kahan hain? 87 00:04:21,270 --> 00:04:23,520 Hamari choti si baat cheet ke baad tum unhein dekh sakogay. 88 00:04:23,664 --> 00:04:24,844 Kya tum akelay ho? 89 00:04:25,020 --> 00:04:26,937 Haan. Kyun? 90 00:04:27,012 --> 00:04:28,420 Agar mujhay theek say yaad parta hai... 91 00:04:28,453 --> 00:04:30,049 tou tumnay aik aadmi ko jaan say maar diya tha. 92 00:04:30,074 --> 00:04:31,914 -Usnay meri cheez churayi thi. -Thand rakho. 93 00:04:32,677 --> 00:04:33,825 Mera aik masla hai aur mujhay lagta hai 94 00:04:33,850 --> 00:04:35,360 tum usay hal karne mein meri madad kar sakte ho, 95 00:04:35,418 --> 00:04:37,245 aur badlay mein, main pehli dropship mein tumhari mom ko jagah 96 00:04:37,270 --> 00:04:38,887 denay ki zamanat de sakte hun... 97 00:04:39,952 --> 00:04:43,270 ...aur jab main Zameen par aunga tou tumhari marzi ka assignment dunga. 98 00:04:45,848 --> 00:04:47,282 Tum chahtay ho main kya karun? 99 00:04:49,122 --> 00:04:50,638 Bellamy Blake ki jaan lelo. 100 00:05:03,331 --> 00:05:04,513 Tum abhi tak yahaan ho? 101 00:05:04,658 --> 00:05:07,152 Main yahan say nahi hilungi jab tak tum mujhay uppar us say milnay nahi dogay. 102 00:05:07,809 --> 00:05:08,972 Araam say raho. 103 00:05:11,986 --> 00:05:14,090 Mainay usay zinda chor diya. Kya yeh kaafi nahi hai? 104 00:05:14,130 --> 00:05:16,862 Usnay meri aur tumhari jaan bachayi thi. 105 00:05:16,887 --> 00:05:18,256 Main janta hun tum is baat ko is nazar se dekh rahi ho lekin... 106 00:05:18,281 --> 00:05:19,521 Baat aisi hi hai. 107 00:05:19,835 --> 00:05:22,695 -Wo ab bhi khatarnaak hai. -Tum ne jo kiya iss wajah se sirf. 108 00:05:22,726 --> 00:05:24,725 Jo bhi oot-pataang rishta hai tumhare khayal mein tumhara us janwaar 109 00:05:24,750 --> 00:05:26,120 ke saath, usay bhool jao. 110 00:05:26,534 --> 00:05:29,163 Tum us say nahi milogi. Bas baat khatam. 111 00:05:29,397 --> 00:05:31,887 Agar maine tumhari zindagi barbaad ki hai tou tumhein kyun parwah hai is baat ki? 112 00:05:31,929 --> 00:05:33,274 Tumhein mujhay uppar janay dena chahiye. 113 00:05:33,309 --> 00:05:34,976 Kya pata tum khushqismat ho aur wo mujhay maar daalay, 114 00:05:35,000 --> 00:05:36,144 masla hi hal hojayega. 115 00:05:36,220 --> 00:05:38,820 Octavia, tum janti ho mera yeh matlab nahi tha. 116 00:05:40,340 --> 00:05:41,240 Bellamy... 117 00:05:41,265 --> 00:05:42,755 Mera jawaaab ab bhi nah hi hai. 118 00:05:42,780 --> 00:05:44,140 Main Jaha say baat nahi kar raha. 119 00:05:44,165 --> 00:05:46,632 Hey, araam say. Main is liye yahan nahi ayi hun. 120 00:05:46,657 --> 00:05:48,798 -Phir kis liye? -Ark ko kuch puranay dastawezaat mile hain 121 00:05:48,823 --> 00:05:49,968 jin say aik samaan say bharay godaam ka pata chalta hai 122 00:05:49,993 --> 00:05:51,190 jo ke yahan se ziada dur nahi. 123 00:05:51,938 --> 00:05:52,868 Kis tarha ke samaan? 124 00:05:52,980 --> 00:05:55,630 Aisay ke jis say shayad hamari sardiyaan guzar jayen. 125 00:05:56,160 --> 00:05:58,158 Main jaa kar dekh kar aati hun. Mujhe shayad thori nafree ki zaroorat paray. 126 00:05:58,880 --> 00:06:00,520 Tum mujhsay kyun puch rahi ho? 127 00:06:00,545 --> 00:06:02,400 Kyunke is waqt mera unke qareeb rehnay... 128 00:06:02,425 --> 00:06:04,302 ka bilkul dil nahi hai jinhein main pasand karti hun. 129 00:06:09,092 --> 00:06:11,676 Main apna samaan le kar aata hun, tumsay das minute mein mulaqaat hoti hai. 130 00:06:19,410 --> 00:06:21,250 Tumhein kya lagta hai wo grounder ke saath kya karengay? 131 00:06:22,240 --> 00:06:23,630 Main is baray mein sochna nahi chahunga. 132 00:06:24,050 --> 00:06:26,235 Bellamy ko usay pakray huway kaafi din guzar gaye hain. 133 00:06:26,260 --> 00:06:28,270 Uske dost kitni dair baad dhoondnay ayenge? 134 00:06:29,240 --> 00:06:30,240 Khush hojao. 135 00:06:30,343 --> 00:06:33,265 Us waqt tak, hum sab hypothermia ki waja say maaray ja chukay hongay. 136 00:06:36,243 --> 00:06:37,484 Hey, hey, hey! 137 00:06:39,420 --> 00:06:40,632 Tum kaisa mehsoos kar rahay ho? 138 00:06:42,210 --> 00:06:44,160 Kamzor, bore... 139 00:06:46,174 --> 00:06:47,607 zinda honay ka shukar mana raha hun. 140 00:06:47,870 --> 00:06:49,908 Agar tum zinda rehna chahtay ho tou tumhein araam karna chahiye. 141 00:06:49,933 --> 00:06:51,686 Main isay baandh dungi agar mujhay aisa bhi karna para tou. 142 00:06:57,456 --> 00:06:59,049 Main aaj khemay say bahir jaungi. 143 00:06:59,534 --> 00:07:01,275 Kya tum kuch ghanton mein iski marham patti kar sakti ho? 144 00:07:01,300 --> 00:07:02,509 Ruko. Tum kahan jaa rahi ho? 145 00:07:02,898 --> 00:07:05,702 Ark nay chota sa assignment diya hai. Fikar ki koi baat nahi hai. 146 00:07:05,780 --> 00:07:07,111 Wahan jana itna mehfooz nahi hai. 147 00:07:07,136 --> 00:07:10,436 Finn, Clarke ab bari hogayi hai. Wo apna khayaal khud rakh sakti hai. 148 00:07:10,657 --> 00:07:11,859 Clarke... 149 00:07:13,446 --> 00:07:14,781 chalo chalnay ki taiyar kartay hain. 150 00:07:15,812 --> 00:07:17,630 Dihaan rakhna ke yeh bistar par hi rahay. 151 00:07:18,259 --> 00:07:19,659 Acha khayal lagta hai. 152 00:07:27,670 --> 00:07:29,100 Yeh tou kaafi saari khoraak hai. 153 00:07:29,855 --> 00:07:31,976 Tumhein andaza hai ke yeh sirf aik din ka safar hai. 154 00:07:32,001 --> 00:07:33,637 Din mein bohot kuch ho sakta hai. 155 00:08:10,456 --> 00:08:11,502 Hey, Miller... 156 00:08:11,531 --> 00:08:13,601 Roma ke walidein radio par tumhara intezaar kar rahay hain. 157 00:08:33,451 --> 00:08:34,423 Hey! 158 00:08:34,448 --> 00:08:35,977 Hamaray pass ziada waqt nahi hai. 159 00:08:40,627 --> 00:08:42,112 Main tumharay liye thora sa paani laayi hun. 160 00:08:44,950 --> 00:08:46,003 Yeh lo. 161 00:08:51,355 --> 00:08:52,560 Acha, haina? 162 00:08:55,522 --> 00:08:58,040 Maafi chahti hun main tumsay wo sab honay ke baad say mili nahi hun. 163 00:09:00,692 --> 00:09:02,602 Mera bhai mujhay tum say duur rakh raha hai. 164 00:09:04,155 --> 00:09:05,335 Wo aik number ka kameena insaan hai, 165 00:09:05,360 --> 00:09:07,160 jo tumhein shayad ab tak pata lag gaya hoga. 166 00:09:08,335 --> 00:09:11,385 Tum meri baatein samajhtay ho. Main jaanti thi. 167 00:09:16,512 --> 00:09:18,592 Kamazkam mujhay apni jaldi say safayi karnay dou. 168 00:09:46,585 --> 00:09:48,910 Yeh sab meri ghalti hai kyunke main bohot ziada dar gayi thi 169 00:09:48,935 --> 00:09:50,725 jab tumnay us ghoofa mein qaid kar diya tha. 170 00:09:54,588 --> 00:09:56,527 Tumhein meri baat achi tarha samajh ajati agar tumhein pata hota 171 00:09:56,552 --> 00:09:57,933 main kaisay pali bari hun. 172 00:09:59,926 --> 00:10:01,361 Mera naam... 173 00:10:02,330 --> 00:10:03,504 Lincoln hai. 174 00:10:07,348 --> 00:10:08,587 Lincoln. 175 00:10:10,517 --> 00:10:11,792 Main Octavia hun. 176 00:10:18,758 --> 00:10:19,802 Bas itna hi? 177 00:10:20,706 --> 00:10:22,113 Bas tum itni hi baat karogay? 178 00:10:23,886 --> 00:10:25,976 Hamara is tarha baat karna mehfooz nahi hai. 179 00:10:27,035 --> 00:10:28,963 Agar humein baat nahi karni chahiye tou phir... 180 00:10:29,457 --> 00:10:31,087 tumnay mujhay apna naam kyun bataya? 181 00:10:32,520 --> 00:10:34,310 Main chahta hun meray marnay ke baad... 182 00:10:35,930 --> 00:10:37,240 tum mujhay yaad rakho. 183 00:10:37,880 --> 00:10:39,947 Tum nahi marogay. Aisa mat bolo. 184 00:10:40,230 --> 00:10:41,330 Octavia... 185 00:10:43,530 --> 00:10:44,660 Iska... 186 00:10:45,680 --> 00:10:47,540 Iska anjaam sirf aik hi hai. 187 00:10:47,839 --> 00:10:49,070 Un say baat karo. 188 00:10:50,689 --> 00:10:52,371 Unhein batao ke tum dushman nahi ho. 189 00:10:54,990 --> 00:10:56,207 Main dushman hun. 190 00:11:01,720 --> 00:11:04,708 -Octavia, yahan say isi waqt chali jao. -Bellamy yahan mojood hi nahi hai. 191 00:11:04,733 --> 00:11:06,379 Chali jao warna main isay buri tarah say peetunga jo main kab say karna 192 00:11:06,404 --> 00:11:08,568 -chah raha hun. -Theek hai. Main samajh gayi. 193 00:11:09,325 --> 00:11:10,417 Main jaa rahi hun. 194 00:11:23,810 --> 00:11:26,550 Pata hai pehli dropship bohot jald zameen par anay wali hai. 195 00:11:27,783 --> 00:11:29,935 Mujhay pura yaqeen hai tum Jaha ko hamesha nazarandaaz nahi kar saktay. 196 00:11:29,960 --> 00:11:30,952 Main koshish kar sakta hun. 197 00:11:37,640 --> 00:11:39,460 Godaam yahin kahin hona chahiye. 198 00:11:40,045 --> 00:11:42,020 -Qareeb mein. -Yahan zaroor koi darwaza hoga. 199 00:11:42,934 --> 00:11:44,115 Shayad wo narmi say paish aye. 200 00:11:44,140 --> 00:11:45,428 Dekho. Mainay usay goli maari thi, Clarke. 201 00:11:45,453 --> 00:11:47,423 Wo us baat ko aisay hi bhoola kar mujhay maaf nahi karega. 202 00:11:48,897 --> 00:11:50,637 Phail jatay hain, hum ziada achi tarha talash kar sakengay. 203 00:11:50,662 --> 00:11:52,106 Itnay faaslay par rehna ke humein aik dusray ki awaaz aye. 204 00:12:08,817 --> 00:12:10,296 Mujhay dusray banday ko dekh kar ghussa ata. 205 00:12:10,321 --> 00:12:12,387 Tumhein aya tha, jab tum us par tashadud kar rahi thi. 206 00:12:13,984 --> 00:12:15,284 Finn mar raha tha. 207 00:12:15,309 --> 00:12:17,559 Main aisa kuch karnay par maafi nahi mangungi jo mujhay karna zaroori tha. 208 00:12:18,430 --> 00:12:21,110 Zaroor bura mehsoos huwa hoga yahan akar yeh jannay ke liye 209 00:12:21,135 --> 00:12:23,455 ke aap ka boyfriend kisi aur mein dilchaspi rakhta hai. 210 00:12:27,212 --> 00:12:28,682 Main tumharay saath yeh nahi kar rahi. 211 00:12:49,790 --> 00:12:50,933 Hey. 212 00:12:51,638 --> 00:12:52,523 Hey. 213 00:12:56,036 --> 00:12:56,993 Piyaas lagi hai? 214 00:13:07,133 --> 00:13:08,317 Mujhe karne dou. 215 00:13:22,657 --> 00:13:24,266 Sabar karo. Sabar karo. 216 00:13:24,291 --> 00:13:26,481 Main sabar hi karti arahi hun jab say un honay tumhein Ark mein qaid kiya tha. 217 00:13:28,376 --> 00:13:31,696 Hum nahi kar saktay, jab tak hum baat nah karlein. 218 00:13:31,721 --> 00:13:32,831 Main baat nahi karna chahti. 219 00:13:36,991 --> 00:13:38,014 Kuch huwa tha. 220 00:13:38,039 --> 00:13:41,313 Finn, mujhay pata hai, aur main kabhi us baray mein baat... 221 00:13:41,379 --> 00:13:43,029 -Kis baray mein? -...nahi karna chahti 222 00:13:46,492 --> 00:13:47,961 Kya tum mujhsay pyaar kartay ho? 223 00:13:49,895 --> 00:13:50,995 Hamesha say. 224 00:13:51,517 --> 00:13:52,518 Theek hai, phir. 225 00:14:02,607 --> 00:14:04,497 Tumhein araam karna chahiye. 226 00:14:05,470 --> 00:14:07,045 Yeh kaam mujhay karnay dou. 227 00:14:33,810 --> 00:14:34,810 Bellamy. 228 00:14:37,860 --> 00:14:39,930 Is taraf. Mujhay aik darwaza mila hai. 229 00:14:47,507 --> 00:14:48,956 Meray khayal say is mein zung lag chuka hai. 230 00:14:48,990 --> 00:14:50,392 Haan. Apna paer sambhalo. 231 00:14:52,807 --> 00:14:54,487 Theek hai. Uthanay mein meri madad karo. 232 00:15:04,637 --> 00:15:05,553 Yeh lou. 233 00:15:07,075 --> 00:15:09,391 Tumhein waqai lagta hai jung ke baad se is jagah ko haath tak nahi lagaya gaya? 234 00:15:11,190 --> 00:15:12,561 Lagta tou aisa hi hai. 235 00:15:13,570 --> 00:15:14,515 Chalo. 236 00:15:25,572 --> 00:15:27,251 Marnay ke liye kaafi buri jagah hai yeh. 237 00:15:31,739 --> 00:15:33,289 Humein tou yahan rehna tha. 238 00:15:33,330 --> 00:15:35,100 Yeh jagah tou naa-gawaar hai. 239 00:15:36,328 --> 00:15:37,328 Satyanaas ho! 240 00:15:38,897 --> 00:15:40,731 Yahan jo bhi bacha kucha hai wo barbaad chuka hai. 241 00:15:44,271 --> 00:15:46,446 Unhon nay zaroor ziada tar samaan aakhri bombs phatnay... 242 00:15:46,504 --> 00:15:48,107 say pehlay hi baant diye honge. 243 00:15:58,394 --> 00:16:00,172 Hey! Mujhay razayi mili hain. 244 00:16:00,293 --> 00:16:02,023 Kuch razayiyaan dekh kar khushi ho rahi ho? 245 00:16:04,456 --> 00:16:05,596 Kamazkam yahan kuch tou hai. 246 00:16:05,621 --> 00:16:07,961 Aik canteen ya tibbi samaan... 247 00:16:07,986 --> 00:16:09,760 yaa aik kehmay ke baray mein kya khayal hai? 248 00:16:38,860 --> 00:16:40,110 Ya, meray Khuda. 249 00:16:40,262 --> 00:16:41,231 Kya huwa? 250 00:16:48,450 --> 00:16:49,630 Zameen khaufnaak hai. 251 00:16:49,750 --> 00:16:51,280 Zameen herat-angaiz jagah hai... 252 00:16:51,932 --> 00:16:53,742 taaza hawa, darakht... 253 00:16:56,123 --> 00:16:57,156 Meway. 254 00:16:59,390 --> 00:17:00,860 Inka zaiqa mamool say behtar hai na? 255 00:17:03,505 --> 00:17:05,295 Main Zameen ko zor say galay lagana chahta hun. 256 00:17:06,658 --> 00:17:08,138 Tum ajeeb tarha say bartao kar rahay ho. 257 00:17:08,170 --> 00:17:10,940 Mujhay ajeeb sa mehsoos ho raha hai, lekin achi tarha say. 258 00:17:12,813 --> 00:17:13,898 Main washroom say ata hun. 259 00:17:50,878 --> 00:17:52,451 Octavia? Octavia... 260 00:17:54,820 --> 00:17:56,239 Meray khayal say main pagal ho raha hun, 261 00:17:56,264 --> 00:17:58,620 yaa phir grounders yahan agaye hain yaa main pagal ho raha hun... 262 00:17:58,645 --> 00:18:01,335 Theek hai. Gehri saans lou. Bas mujhe batao tumnay kya dekha. 263 00:18:06,826 --> 00:18:07,804 Usay. 264 00:18:10,959 --> 00:18:13,158 -Jasper, wahan koi nahi hai. -Wo bilkul waheen khara hai! 265 00:18:13,183 --> 00:18:14,305 Humein bhaagna parega. Humein bhaagna parega. 266 00:18:14,330 --> 00:18:15,530 Koi kuch kar kyun nahi raha hai... 267 00:18:15,560 --> 00:18:18,407 Bas karo. Chup hojao, Jasper, kya tumnay koi nasha-awar cheez li hai? 268 00:18:18,432 --> 00:18:20,512 Main tumsay pyaar karta hun, aur main tumhein bas yeh batana chahta tha. 269 00:18:20,537 --> 00:18:22,595 Hum sab jald mar jayengay, theek hai? 270 00:18:22,620 --> 00:18:23,660 Main tumsay pyaar karta hun. 271 00:18:25,139 --> 00:18:26,380 Kya tumnay pura din yahi khaya hai? 272 00:18:26,405 --> 00:18:28,381 Yahi khaya hai, lekin ab kya farq parta hai? 273 00:18:28,406 --> 00:18:29,499 Yeh... 274 00:18:30,604 --> 00:18:31,784 Tum bilkul nashay mein ho. 275 00:18:33,410 --> 00:18:34,614 Araam say. 276 00:18:34,639 --> 00:18:36,899 Yeh lou. Yeh pakro. 277 00:18:38,260 --> 00:18:40,053 -Yeh aik charri hai. -Nahi. 278 00:18:40,277 --> 00:18:41,950 Yeh grounder say bachnay ke liye aik charri hai. 279 00:18:42,280 --> 00:18:45,453 Jab tak tum isay pakray rahogay aur yahan bethay rahogay... 280 00:18:45,688 --> 00:18:47,228 grounders tumhein dekh nahi sakengay. 281 00:18:48,724 --> 00:18:50,544 -Dekha? -Haan. Baat samajh arahi hai. 282 00:18:51,320 --> 00:18:52,520 Main bas isi jagah rahunga. 283 00:18:53,177 --> 00:18:54,487 Baat waqai samajh arahi hai. 284 00:18:55,625 --> 00:18:56,827 Yaheen bethay raho. 285 00:19:03,389 --> 00:19:04,336 Bahir jao. 286 00:19:04,956 --> 00:19:05,997 Ghussa mat karo. 287 00:19:06,262 --> 00:19:07,559 Mujhay laga tumhein bhook lagi hogi. 288 00:19:08,567 --> 00:19:09,728 Yeh aik aman ki paishkash hai. 289 00:19:10,482 --> 00:19:12,393 Mujhay pehlay yahan akelay nahi ana chahiye tha. 290 00:19:12,735 --> 00:19:14,785 Wo bewakoofi thi aur khatarnaak bhi tha aur... 291 00:19:16,760 --> 00:19:17,904 Yeh iskay laiq nahi hai. 292 00:19:18,349 --> 00:19:20,314 Main Bellamy ko nahi bataungi agar tum nahi bataogay. 293 00:19:26,574 --> 00:19:28,014 Is say sab kuch badal jayega. 294 00:19:29,208 --> 00:19:31,238 Ab naizon say bhagna nahi parega. 295 00:19:32,049 --> 00:19:33,505 Aik badmash bannay ke liye taiyaar ho, Clarke? 296 00:19:33,530 --> 00:19:36,380 Dekho, main bandooqein khemay tak lejanay ke liye tumsay jhagra nahi karungi. 297 00:19:36,405 --> 00:19:37,375 Main janti hun humein iski zarurat hai, 298 00:19:37,400 --> 00:19:39,368 magar yeh tawaqqa mat karna ke mujhay yeh khayal pasand ayega. 299 00:19:39,393 --> 00:19:41,523 Hum khushqismat hain ke bandooqein grease ki teh mein rakhi huwi thi. 300 00:19:41,548 --> 00:19:44,916 Bandooqon ke bachnay ka maltab yeh hai ke hum ab nakaara nahi rahay. 301 00:19:45,479 --> 00:19:47,423 Tumhein seekhnay ki zarurat hai ke inhein kis tarha chalaya jata hai. 302 00:19:51,237 --> 00:19:53,801 Tou mujhay bas isay apnay kandhay par rakhnay ki zarurat hai? 303 00:19:53,826 --> 00:19:56,286 Haan, thora sa uppar... 304 00:19:56,931 --> 00:19:57,771 yahan tak. 305 00:20:00,402 --> 00:20:02,012 Haan. Yeh theek hai. 306 00:20:02,037 --> 00:20:03,647 Mujhay dekho aur seekho. 307 00:20:16,759 --> 00:20:18,010 Abhi tak sirf dekh hi rahi hun. 308 00:20:18,035 --> 00:20:21,045 Meri goliyaan nikal nahi rahi hain. Apni chala kar dekho. 309 00:20:31,943 --> 00:20:33,766 Yeh herat-angaiz tha. 310 00:20:36,363 --> 00:20:38,361 Kya aisa mehoos karna mujhay bura bana deta hai? 311 00:20:38,729 --> 00:20:39,689 Dobara koshish karo. 312 00:20:39,852 --> 00:20:41,482 Nahi. Humein goliyaan zaaya nahi karni chahiye. 313 00:20:41,507 --> 00:20:42,777 Tumhein practice ki zarurat hai. 314 00:20:42,826 --> 00:20:44,116 Nahi. Humein yeh sochnay ki zarurat hai 315 00:20:44,150 --> 00:20:45,586 ke hum khemay mein bandooqein kaise rakhengay... 316 00:20:45,625 --> 00:20:48,521 hum inhein kahan rakhengay, aur in tak kiskay pass rasayi hogi. 317 00:20:51,396 --> 00:20:53,740 Tumnay grounder par nazar rakhne ke liye Miller ko peechay chora hai. 318 00:20:54,840 --> 00:20:56,197 Tumhein uss par bharosa hoga. 319 00:20:56,424 --> 00:20:57,837 Tumhein uskay saath rehna chahiye. 320 00:20:58,016 --> 00:20:59,339 Dusray log uski baat mantay hain. 321 00:20:59,483 --> 00:21:00,816 Mujhay uskay saath rehna chahiye? 322 00:21:01,830 --> 00:21:03,400 Bellamy, kya chal raha hai? 323 00:21:03,962 --> 00:21:05,883 Tum pura din ajeeb tarha say bartao kar rahay ho. 324 00:21:09,258 --> 00:21:10,758 Tumnay itna sara samaan liya tha. 325 00:21:11,314 --> 00:21:12,424 Tum bhaagnay walay ho. 326 00:21:12,497 --> 00:21:14,307 Isi liye tumnay mera saath anay par haami bhari thi. 327 00:21:14,341 --> 00:21:16,935 Tum saara samaan logay aur ghayab hojaogay. 328 00:21:16,960 --> 00:21:19,350 Meray pass aur koi raasta nahi hai. Ark bohot jald yahan pohonch jayega. 329 00:21:19,395 --> 00:21:21,085 Tou tum bas Octavia ko chor kar chalay jaogay? 330 00:21:21,110 --> 00:21:22,625 Octavia mujhsay nafrat karti hai. Wo theek hojayegi. 331 00:21:22,650 --> 00:21:25,070 -Tumhein nahi pata... -Dekho maine chancellor ko goli maari thi. 332 00:21:25,337 --> 00:21:26,727 Wo mujhay maar dalengay, Clarke. 333 00:21:26,923 --> 00:21:28,622 Aur agar main khushqismat huwa tou wo mujhay saari zindagi grounder 334 00:21:28,647 --> 00:21:31,340 ke saath qaid mein daal dengay, aur aisa kabhi nahi honay wala ke 335 00:21:31,365 --> 00:21:33,615 main Jaha ko is baat ki khushi honay dun. 336 00:21:34,573 --> 00:21:36,683 Practice karti raho. Mujhay thori taaza hawa ki zarurat hai. 337 00:22:00,143 --> 00:22:01,393 Bellamy Blake. 338 00:22:19,080 --> 00:22:20,265 Tum yahan kaisay aye? 339 00:22:20,706 --> 00:22:21,718 Tum tou Ark mein ho. 340 00:22:22,384 --> 00:22:24,134 Tumnay Ark par mujh par goli chalayi thi. 341 00:22:24,830 --> 00:22:26,560 Lekin main tumhara intezaar kar raha tha. 342 00:22:31,477 --> 00:22:32,877 Mainay kiya jo mujhay karna tha. 343 00:22:32,902 --> 00:22:34,727 -Octavia ki hifazat karna. -Bilkul theek. 344 00:22:35,112 --> 00:22:36,162 Ghatiya harkat ki... 345 00:22:36,785 --> 00:22:39,479 apni behen ka istemaal karke apnay jaraim par pardah daal rahay ho. 346 00:22:39,504 --> 00:22:42,024 Apnay zulm-o-sitam, aur khud-garzi par bhi? 347 00:22:42,213 --> 00:22:43,935 Agar tum meri jaan lenay aye ho, tou lelo. 348 00:22:45,826 --> 00:22:47,186 Main tumhari jaan kyun loon? 349 00:22:48,778 --> 00:22:50,228 Dusray logon ki tarha... 350 00:22:50,756 --> 00:22:52,583 main tumhari be-wafayi say bach gaya. 351 00:22:53,870 --> 00:22:55,345 Tum kis baray mein baat kar rahay ho? 352 00:22:56,510 --> 00:23:00,250 Wo 320 roohein jinhein Ark say alag kardiya gaya tha 353 00:23:00,480 --> 00:23:02,209 takay baaqi log zinda reh saken. 354 00:23:03,628 --> 00:23:05,998 Tum jantay thay ke unhein qurbaan kardiya jayega. 355 00:23:08,450 --> 00:23:09,510 Radio. 356 00:23:11,670 --> 00:23:13,360 Main nahi janta tha ke aisa hoga. 357 00:23:13,471 --> 00:23:15,781 Tumhein mujhsay maafi nahi mangni chahiye. 358 00:23:16,682 --> 00:23:17,878 Un say maangni chahiye. 359 00:23:19,230 --> 00:23:21,280 Qaatil. 360 00:23:22,240 --> 00:23:23,380 Qaatil. 361 00:23:24,050 --> 00:23:25,240 Qaatil. 362 00:23:26,130 --> 00:23:27,160 Qaatil. 363 00:23:27,957 --> 00:23:28,915 Qaatil. 364 00:23:28,940 --> 00:23:30,370 -Qaatil. -Bas karo. 365 00:24:14,331 --> 00:24:16,421 Tumnay aisa nahi socha tha, hai na? 366 00:24:19,720 --> 00:24:20,640 Dad? 367 00:24:57,558 --> 00:24:59,018 Hey, kya chaand yahan par hai? 368 00:24:59,043 --> 00:24:59,945 Monty! 369 00:24:59,970 --> 00:25:02,645 Main chaand ki madad ke bina leharon ko nahi badal sakta. 370 00:25:03,321 --> 00:25:04,471 Bahir jao yahan say. 371 00:25:04,707 --> 00:25:06,036 Yeh physics ki bunyaadi baatien hain. 372 00:25:09,358 --> 00:25:10,728 Yaheen raho. 373 00:25:24,154 --> 00:25:26,224 Isay nazar-andaaz karo. Baahir aao. 374 00:25:37,350 --> 00:25:39,010 Aap asli nahi hain, hai na? 375 00:25:40,020 --> 00:25:41,420 Maaf karna, meri beti. 376 00:25:42,220 --> 00:25:43,520 Kaash mein hota. 377 00:25:44,343 --> 00:25:45,259 Thehrein. 378 00:25:45,690 --> 00:25:47,360 Yeh kaisay mumkin hai? 379 00:25:48,141 --> 00:25:49,571 Meray khayal mein "Kaisay"... 380 00:25:50,091 --> 00:25:51,701 say ziada aiham sawaal hai ke "Kyun". 381 00:25:52,796 --> 00:25:53,816 Main hi kyun? 382 00:25:56,967 --> 00:25:58,537 Kyunke main aap ko yaad karti hun. 383 00:26:00,118 --> 00:26:02,058 Yeh us say kayi ziada barh kar hai, meri beti. 384 00:26:14,203 --> 00:26:15,782 Aap chahtay hain main unhein maaf kardun. 385 00:26:28,635 --> 00:26:30,175 Tumhari maa tumsay pyaar karti hain, Clarke. 386 00:26:32,072 --> 00:26:33,428 Unhon nay aap ko dhoka diya tha. 387 00:26:33,580 --> 00:26:35,570 Main unhein is ke liye kaisay maaf kar sakti hun? 388 00:26:39,308 --> 00:26:41,438 Aap ka yeh mayoosi say bhara chehra jaiz nahi hai. 389 00:26:44,126 --> 00:26:45,466 Main koshish kar rahi hun. 390 00:26:46,172 --> 00:26:48,370 Main har waqt koshish karti hun... 391 00:26:49,886 --> 00:26:51,406 lekin sab log mujh se umeedein lagaye baithay hain... 392 00:26:51,431 --> 00:26:53,051 aur yeh bohot mushkil hai. 393 00:26:53,177 --> 00:26:54,369 Yahan aao. 394 00:26:55,784 --> 00:26:57,584 Main jaanta hun, meri jaan. 395 00:26:59,450 --> 00:27:01,120 Bohot mushkil waqt guzra hai, hai na? 396 00:27:02,250 --> 00:27:04,660 Mainay kisi par tashaddud honay diya. 397 00:27:09,501 --> 00:27:10,582 Suno. 398 00:27:12,944 --> 00:27:14,314 Tum jitna kar sakti ho wo tum kar rahi ho. 399 00:27:15,416 --> 00:27:18,022 Aap chahtay hain ke main yeh kahun ke mom say jitna hosakta tha unhon nay kiya. 400 00:27:20,476 --> 00:27:22,266 Tum jo karna chahti ho yeh is baray mein hai. 401 00:27:24,908 --> 00:27:26,540 Aap ki jaan unki waja say gayi hai. 402 00:27:27,788 --> 00:27:29,646 Wo meri maafi ki haqdaar nahi hain. 403 00:27:32,487 --> 00:27:33,604 Meri baat suno. 404 00:27:35,154 --> 00:27:38,577 Maaf karnay ka matlab yeh nahi hai ke log kis ke haqdaar hain. 405 00:27:45,090 --> 00:27:46,237 Dekhein. Mujhay maaf kardein. 406 00:27:47,455 --> 00:27:48,627 Main aisa nahi kar sakti. 407 00:27:48,716 --> 00:27:52,012 Jaisa tumhein theek lagay. Pagal aurat. 408 00:27:52,437 --> 00:27:53,448 Dad? 409 00:27:59,596 --> 00:28:00,707 Hilna mat. 410 00:28:03,656 --> 00:28:05,297 Humein abhi jana hoga. 411 00:28:09,620 --> 00:28:10,929 Tum aisa kyun kar rahi ho? 412 00:28:11,220 --> 00:28:12,460 Kapray pehno bas. 413 00:28:12,821 --> 00:28:14,301 Unhein pata lag jayega ke tumnay meri madad ki hai. 414 00:28:15,843 --> 00:28:18,703 Tumnay hi kaha tha... tum yahan rahay, tou maray jaogay. 415 00:28:19,320 --> 00:28:20,510 Main aisa honay nahi dungi. 416 00:28:22,653 --> 00:28:24,168 Main tumhari zindagi khatray mein nahi daalunga. 417 00:28:24,930 --> 00:28:26,381 Yeh abhi hi karna hoga. 418 00:28:26,803 --> 00:28:27,833 Theek hai. 419 00:28:28,090 --> 00:28:30,790 In kapron mein bhi wo mujhay dekh lengay. 420 00:28:31,878 --> 00:28:34,458 Logon ko abhi kaafi saari cheezein dikhayi de rahi hain. 421 00:28:36,174 --> 00:28:37,119 Uth jao. 422 00:28:39,601 --> 00:28:40,757 Theek hai. Chalo chaltay hain. 423 00:28:44,081 --> 00:28:45,224 Tumnay kya kiya hai? 424 00:28:45,455 --> 00:28:47,862 Sardiyon ki khoraak ka hissa waqt say pehlay hi nikaal diya. 425 00:28:49,682 --> 00:28:52,262 Jobi meway, jo khana tumnay meray guard ko diya tha... 426 00:28:52,345 --> 00:28:54,185 unhein kuch hojata hai... unhein cheezein nazar ati hain... 427 00:28:54,210 --> 00:28:55,560 lekin uska nasha utar jata hai. 428 00:28:55,599 --> 00:28:57,559 Bas jitna duur ja saktay ho chalay jao, theek hai... 429 00:28:58,070 --> 00:28:59,600 aur koshish karna ke maaray na jao. 430 00:29:32,818 --> 00:29:33,838 Mujhsay dobara kaho. 431 00:29:34,781 --> 00:29:37,101 Tum jhaaruon ki almaari... 432 00:29:37,126 --> 00:29:39,726 ke sab say khoobsurat jhaaru ho. 433 00:29:48,270 --> 00:29:49,502 Isay main sambhaalta hun. 434 00:29:49,706 --> 00:29:50,842 Hey... 435 00:29:51,300 --> 00:29:52,492 Hey... 436 00:30:21,560 --> 00:30:22,510 Qaatil. 437 00:30:22,520 --> 00:30:23,730 Qaatil. 438 00:30:24,440 --> 00:30:26,120 Qaatil. Qaatil. 439 00:30:26,290 --> 00:30:27,260 Qaatil. 440 00:30:27,285 --> 00:30:28,563 Qaatil. 441 00:30:29,721 --> 00:30:30,769 Qaatil. 442 00:30:35,132 --> 00:30:37,022 Please mujhay maar dou. 443 00:30:38,197 --> 00:30:39,290 Maar dou mujhay! 444 00:30:47,762 --> 00:30:49,802 Main mout ka haqdaar hun. Please. 445 00:30:55,090 --> 00:30:56,980 Main aur jung nahi kar sakta. 446 00:30:57,958 --> 00:31:02,118 Kya tumhein nahi pata? Zindagi khud aik jung hai. 447 00:31:08,277 --> 00:31:09,987 Mujhay kya karna hai? 448 00:31:10,118 --> 00:31:13,408 Zinda raho, jeeyo, saans lo, takleef bardaasht karo. 449 00:31:14,233 --> 00:31:15,914 Yeh sab tumhara qarz hai in par. 450 00:31:16,269 --> 00:31:18,136 Tum mout ka sukoon chahtay ho. 451 00:31:20,016 --> 00:31:21,536 Tumhein uska haqdaar banna parega. 452 00:31:24,709 --> 00:31:25,872 Larayi ka jawab dou! 453 00:31:35,429 --> 00:31:38,659 Kya tumhain lagta hai ke tumhain apne dard se nijaat milni chahiye? 454 00:31:38,926 --> 00:31:40,486 Kya tum us tohfay ke haqdaar ho? 455 00:31:41,739 --> 00:31:43,424 Kyunke tumhein wo zaroor milega. 456 00:31:49,579 --> 00:31:51,027 Tumsay koi zaati dushmani nahi hai. 457 00:32:00,049 --> 00:32:01,229 Hathiyaar nichay rakh dou, Dax. 458 00:32:03,213 --> 00:32:04,897 Tumhein waheen par rehna chahiye tha, Clarke. 459 00:32:05,649 --> 00:32:08,588 Mainay koshish ki tumhein nah marnay ki, magar tum meray rastay mein agayi... 460 00:32:08,852 --> 00:32:11,762 aur Shumway nay kaha tha kisi gawah ko baaqi mat chorna. 461 00:32:12,299 --> 00:32:13,837 Yeh kis baray mein baat kar raha hai? 462 00:32:14,009 --> 00:32:15,351 Yeh sab Shumway ka kiya dhara tha. 463 00:32:16,551 --> 00:32:18,448 Usnay mujhay bandooq di thi chancellor par goli chalanay ke liye. 464 00:32:18,719 --> 00:32:20,969 Meray raastay say hat jao, main tumhari jaan nahi loonga. 465 00:32:21,159 --> 00:32:22,979 Hathiyaar nichay rakh dou. 466 00:32:24,069 --> 00:32:25,089 Tumhari marzi hai. 467 00:32:29,779 --> 00:32:31,011 Nahi! 468 00:32:51,038 --> 00:32:52,311 Uskay uppar say hat jao! 469 00:33:20,249 --> 00:33:21,269 Tum theek ho. 470 00:33:23,949 --> 00:33:25,339 Nahi, main theek nahi hun. 471 00:33:27,346 --> 00:33:28,516 Meri maa... 472 00:33:30,839 --> 00:33:32,389 Agar unko pata lag gaya jo mainay kiya hai... 473 00:33:33,469 --> 00:33:34,479 Jo main hun... 474 00:33:36,099 --> 00:33:38,399 Unhon nay mujhay acha insan aur behtar insaan bannay ke liye paala posa... 475 00:33:38,813 --> 00:33:39,747 Bellamy... 476 00:33:39,779 --> 00:33:41,414 ...aur main bas logon ko takleef hi pohonchata hun. 477 00:33:43,729 --> 00:33:44,869 Main aik jaanwar hun. 478 00:33:48,929 --> 00:33:50,649 Tumnay aaj meri jaan bachayi hai. 479 00:33:52,879 --> 00:33:54,839 Tum shayad kabhi kabaar bohot buray hotay ho... 480 00:33:57,119 --> 00:33:58,524 lekin... 481 00:33:59,618 --> 00:34:01,157 ...mujhay tumhari zarurat hai. 482 00:34:03,069 --> 00:34:04,829 Hum sab ko tumhari zarurat hai. 483 00:34:06,089 --> 00:34:09,123 Agar tum nah hotay tou hum mein say koi bhi is jagah mein zinda nah bachta. 484 00:34:11,054 --> 00:34:13,844 Tumhein maafi chahiye, theek hai, main tumhein maaf kardungi. 485 00:34:13,869 --> 00:34:15,049 Main tumhein maaf karti hun, theek hai... 486 00:34:16,219 --> 00:34:17,909 lekin tum bhaag nahi saktay, Bellamy. 487 00:34:20,229 --> 00:34:21,789 Tumhein meray saath wapas chalna hoga. 488 00:34:23,469 --> 00:34:24,879 Tumhein saamna karna hoga. 489 00:34:26,699 --> 00:34:28,149 Jaisay tumnay apni mom ka saamna kiya? 490 00:34:36,212 --> 00:34:37,122 Tum sahi keh rahay ho. 491 00:34:37,979 --> 00:34:39,249 Main apni mom ka saamna karna nahi chahti. 492 00:34:41,579 --> 00:34:43,149 Main kisi cheez ka bhi saamna nahi karna chahti. 493 00:34:46,399 --> 00:34:49,551 Main har roz bas yahi sochti hun ke hum sab ko zinda kaise rakhengay... 494 00:34:50,761 --> 00:34:52,429 lekin hamaray pass koi aur raasta nahi hai. 495 00:34:58,289 --> 00:35:00,279 Jaha jab zameen par ayega tou mujhay maar dalega. 496 00:35:03,139 --> 00:35:04,939 Hum uska koi na koi hal nikal lengay. 497 00:35:08,419 --> 00:35:10,208 Kya hum baad mein hal nikal saktay hain? 498 00:35:20,039 --> 00:35:21,279 Jab bhi tum taiyaar hojao. 499 00:35:31,849 --> 00:35:32,888 Sakht raat guzri? 500 00:35:33,499 --> 00:35:35,377 Haan. Mera sar... 501 00:35:36,169 --> 00:35:38,829 dukh raha hai. Tum batao? 502 00:35:39,101 --> 00:35:40,923 Mujhay pura yaqeen hai mainay aik pine cone khaya tha... 503 00:35:41,462 --> 00:35:42,869 kyunke usnay mujhsay khanay ko kaha. 504 00:35:43,089 --> 00:35:45,719 Wo faraar hogaya hai. Grounder faraar hochuka hai. 505 00:35:49,524 --> 00:35:51,174 Kya hoga agar wo dusray grounders ko apnay saath wapas le ata hai? 506 00:35:51,199 --> 00:35:53,019 -Wo hum sab ko maar dalengay. -Yaa us say bhi kuch badtar hoga. 507 00:35:54,039 --> 00:35:55,419 Grounders ko anay dou. 508 00:35:59,299 --> 00:36:02,559 Hum kaafi arsay say usnay khaufzada hain aur aisa kyun hai? 509 00:36:03,099 --> 00:36:04,909 Un kay chaaku aur naizay ki waja say. 510 00:36:05,423 --> 00:36:06,870 Main aap logon ke baray mein tou nahi keh sakta. 511 00:36:07,789 --> 00:36:09,179 Main dar kar jeenay say thak chuka hun. 512 00:36:15,479 --> 00:36:16,525 Yeh mumkin nahi. 513 00:36:16,969 --> 00:36:19,589 Yeh hathiyar hain, theek hai, khilonay nahi hain... 514 00:36:20,763 --> 00:36:23,598 aur humein yeh guard ko deni hongi jab dropchips nichay ayengi... 515 00:36:24,032 --> 00:36:25,285 magar tab tak... 516 00:36:25,870 --> 00:36:27,497 yeh humein mehfooz rakhnay mein madad karengi. 517 00:36:27,888 --> 00:36:29,837 Aur jahan say humein yeh mili hain wahan aisi aur bhi mojood hain. 518 00:36:30,669 --> 00:36:32,359 Kal say hum training shuru karengay... 519 00:36:34,536 --> 00:36:35,951 aur agar grounders aye... 520 00:36:37,349 --> 00:36:38,733 hum un say jung ke liye taiyaar hongay. 521 00:37:12,571 --> 00:37:14,222 Mujhay tawaqqa nahi hai ke tum mujhay maaf kardogi... 522 00:37:15,538 --> 00:37:17,432 lekin tumhein meray saath jeenay ka koi raasta dhoondna hoga... 523 00:37:20,929 --> 00:37:22,531 ...kyunke main kahin nahi ja raha. 524 00:37:27,019 --> 00:37:28,218 Bellamy... 525 00:37:29,869 --> 00:37:30,873 Waqt agaya hai. 526 00:37:42,079 --> 00:37:43,548 Grounder ka faraar hona... 527 00:37:44,889 --> 00:37:46,325 tumhari madad say tou nahi huwa? 528 00:37:47,832 --> 00:37:49,245 Mera us cheez say koi lena dena nahi. 529 00:37:53,971 --> 00:37:55,288 Razayi laanay ke liye shukriya. 530 00:38:01,539 --> 00:38:02,669 Mr. Blake... 531 00:38:03,559 --> 00:38:05,839 main kaafi arsay say aap say baat karna chahta tha. 532 00:38:05,864 --> 00:38:07,183 Is say pehlay ke aap kuch kahein... 533 00:38:07,939 --> 00:38:09,539 main kuch kehna chahungi. 534 00:38:10,176 --> 00:38:11,616 Jab aapnay humein yahan bheja tha... 535 00:38:13,229 --> 00:38:14,820 aapnay humein marnay ke liye bheja tha... 536 00:38:15,257 --> 00:38:17,172 lekin mojzaana tor par... 537 00:38:17,699 --> 00:38:19,919 hum mein say ziada log ab bhi zinda hain. 538 00:38:20,650 --> 00:38:23,210 Wo ziada tar, is ki waja say huwa hai... 539 00:38:24,649 --> 00:38:25,839 Bellamy ki wajah se. 540 00:38:28,619 --> 00:38:30,993 Yeh hum mein say aik hai aur hum sab ki tarha... 541 00:38:31,018 --> 00:38:33,898 yeh apnay juraim ki maafi ka mustahiq hai. 542 00:38:34,474 --> 00:38:36,314 Clarke, main tumharay nazariye ki qadar karta hun... 543 00:38:36,339 --> 00:38:37,669 lekin yeh itna asaan nahi hai. 544 00:38:37,708 --> 00:38:38,682 Asaan hai... 545 00:38:38,897 --> 00:38:41,272 agar aap yeh janna chahtay hain ke Ark mein aap ko kon maarna chahta hai. 546 00:38:56,079 --> 00:38:57,179 Bellamy Blake... 547 00:38:58,579 --> 00:39:00,436 tumhein tumharay jaraim ke liye maaf kiya jata hai. 548 00:39:03,292 --> 00:39:04,525 Ab... 549 00:39:06,081 --> 00:39:08,264 mujhay batao tumhein bandooq kisnay di thi. 550 00:39:25,142 --> 00:39:26,487 Tum aik ghatya shakhs ho. 551 00:39:27,369 --> 00:39:29,075 Main bhi tumhari tarha... 552 00:39:30,154 --> 00:39:31,504 apnay nazariye ke liye lar raha hun. 553 00:39:31,529 --> 00:39:32,879 Tou phir tumhara nazariya hai kya? 554 00:39:47,521 --> 00:39:48,902 Mujhay iska moaina karnay ki zarurat hai. 555 00:39:50,189 --> 00:39:51,301 Banqoodein? 556 00:39:52,119 --> 00:39:53,095 Waqai? 557 00:39:54,689 --> 00:39:57,551 Grounder ke faraar honay say humein badlay ki tawaqqa karni chahiye. 558 00:39:58,629 --> 00:39:59,889 Humein taiyaar rehna hoga. 559 00:40:01,039 --> 00:40:03,529 Haan. Hamaray abbao-ajdaad bhi taiyaar rehna chahtay thay. 560 00:40:03,794 --> 00:40:05,454 Isi liye unhon nay bombs banaye. 561 00:40:05,479 --> 00:40:07,618 Rifles atomi bomb ki tarha khatarnaak nahi hain. 562 00:40:07,649 --> 00:40:09,259 Wo Bellamy ke haath mein hain tou wo khatarnaak ban jatay hain. 563 00:40:10,239 --> 00:40:11,379 Clarke, chalo. 564 00:40:11,590 --> 00:40:13,191 Wo jo karnay wala hai tum uski paishan-goyi nahi kar sakti. 565 00:40:13,235 --> 00:40:15,002 Iska koi behtareen jawaab nahi hai, Finn. 566 00:40:15,035 --> 00:40:17,165 Grounder nay Octavia ki jaan bachayi... 567 00:40:17,194 --> 00:40:19,174 aur Bellamy usay yahan laaya aur us par tashadud kiya. 568 00:40:19,199 --> 00:40:21,413 Haan, lekin agar wo usay yahaan nah laata tou tumhari jaan jaa chuki hoti. 569 00:40:21,438 --> 00:40:23,228 -Mujhay maloom hai. -Main uske uppar bharosa karti hun. 570 00:40:27,939 --> 00:40:29,519 Tum sanjeeda ho? 571 00:40:31,079 --> 00:40:32,131 Haan, main hun. 572 00:40:34,459 --> 00:40:35,379 Clarke... 573 00:40:37,277 --> 00:40:40,027 tum aur Bellamy humein aik khatarnaak mor par le kar jarahay ho. 574 00:40:40,233 --> 00:40:42,328 Kaash tum is baray mein pehlay mujhsay baat karleti. 575 00:40:44,185 --> 00:40:46,319 Kaash tum mujhsay kaafi saari cheezon ke baray mein baat karletay... 576 00:40:47,319 --> 00:40:48,318 lekin tumnay nahi ki. 577 00:41:10,389 --> 00:41:11,650 Shukar hai Khuda ka tum agayi. 578 00:41:12,335 --> 00:41:14,085 Mujhay laga meri jaan lenay walay hain. 579 00:41:18,149 --> 00:41:19,939 Baat wahan tak nahi jayegi, commander. 580 00:41:21,013 --> 00:41:22,391 Ruko. Kya chal raha hai? Mainay... 581 00:41:22,416 --> 00:41:24,156 Mainay wohi kiya jo tumnay mujhsay karnay ko kaha tha!