1 00:00:01,084 --> 00:00:02,514 Pichhli martaba "The 100" mein... 2 00:00:05,806 --> 00:00:07,466 Mount Weather mein khush aamdeed. 3 00:00:11,479 --> 00:00:12,899 Humari phir se mulaqaat horahi hai. 4 00:00:13,040 --> 00:00:15,539 Clarke, nahi! Agar tum nay woh lever ghumaaya tou ye log maaray jayengay. 5 00:00:15,630 --> 00:00:17,070 Thori si bhi radiation unki jaan le legi. 6 00:00:17,160 --> 00:00:18,521 -Kisi nay hudood ki khilaaf warzi ki hai. -Bachao! 7 00:00:18,612 --> 00:00:20,615 Tumharay khoon ki gardish nay aisi salahiyat murattib ki hai 8 00:00:20,706 --> 00:00:22,152 ke woh radiation shuda khoon saaf karta hai. 9 00:00:22,276 --> 00:00:25,579 Tumharay nizaam e gardish se agar Maya ka khoon guzara jaye... 10 00:00:25,698 --> 00:00:26,790 Tou kya woh theek hojayegi? 11 00:00:26,881 --> 00:00:29,600 Insaan par ki gai pehli aazmaaish kamiyab huwi hai. 12 00:00:29,690 --> 00:00:32,050 Agar un se istefaada haasil nahi karna hai tou yahan laaye kyun hain? 13 00:00:32,154 --> 00:00:33,170 Main sab dekh chuki hun. 14 00:00:33,260 --> 00:00:35,148 Mujhe pata hai tum unkay sath kiya kar rahay ho. 15 00:00:38,203 --> 00:00:39,400 Humein inhein bahar nikalna hoga. 16 00:00:39,491 --> 00:00:41,124 Hum Mount Weather ki maalumaat haasil kar kay 17 00:00:41,215 --> 00:00:42,919 Kane ko baaziyaab karanay keliye team bhejengay. 18 00:00:43,037 --> 00:00:44,801 -Finn kaha hai? -Tumhein dhoondnay nikla hai. 19 00:00:44,945 --> 00:00:47,544 Woh larki kahan hai jis nay ye ghari pehni huwi thi? 20 00:00:50,472 --> 00:00:52,452 Tumharay dost yahan maujood nahi hain. 21 00:00:54,687 --> 00:00:55,690 Humein yahaan se jaana hoga! 22 00:00:55,781 --> 00:00:56,809 Finn! 23 00:01:04,349 --> 00:01:05,654 Main nay tumhein dhoond nikaala. 24 00:01:07,408 --> 00:01:11,779 Dou Dinoun Kay Baad 25 00:01:25,874 --> 00:01:27,164 Acha, mujhe phir se batao. 26 00:01:27,255 --> 00:01:28,467 Woh aik bhool bhulaya ki tarah hai. 27 00:01:28,558 --> 00:01:30,206 Hum is surang kay zariye band tak pohanchay thay. 28 00:01:30,256 --> 00:01:31,975 Ye sab kaan kay nizaam se milay huwe hain. 29 00:01:32,066 --> 00:01:33,554 Hum is raastay se daakhil hongay. 30 00:01:33,867 --> 00:01:35,804 Ye us waqt mumkin hai agar hum pahaari aadmiyoun 31 00:01:35,895 --> 00:01:37,437 aur fasal kaatnay waaloun se bach nikal paye. 32 00:01:38,303 --> 00:01:39,341 Khuda ki qasam 33 00:01:39,481 --> 00:01:42,441 agar tumhari ammi jald mission ki manzoori nahi dengi tou main khud jaunga. 34 00:01:42,631 --> 00:01:44,201 Tum akelay nahi hogay. 35 00:01:50,799 --> 00:01:52,589 Shayad tafteesh ka amal khatam hogaya hai. 36 00:01:55,236 --> 00:01:56,758 Bahar haal Finn ki kesi tabiyat hai? 37 00:01:57,292 --> 00:01:59,237 Jab se hum waapis aye hain, meri us se baat nahi huwi hai. 38 00:02:00,099 --> 00:02:01,741 Mujhe samajh hi nahi aata kya baat karun? 39 00:02:04,532 --> 00:02:06,039 Woh bas goliyaan chalata raha tha. 40 00:02:06,709 --> 00:02:08,359 Hum aik jung larr rahay hain, Clarke. 41 00:02:09,362 --> 00:02:10,928 Hum sab ki kuch na kuch ghaltiyan hain. 42 00:02:12,666 --> 00:02:13,667 Hello. 43 00:02:14,902 --> 00:02:15,910 Hello. 44 00:02:21,230 --> 00:02:22,590 Agli baari meri taraf se hogi. 45 00:02:34,066 --> 00:02:35,272 Mount Weather? 46 00:02:36,464 --> 00:02:38,710 -Kya mansooba banaya hai? -Abhi us hi par kaam jaari hai. 47 00:02:40,967 --> 00:02:41,970 Ye dekho main kya laaya. 48 00:02:42,076 --> 00:02:44,701 Drop-ship se Monty kay bachay huwe saamaan mein se le kar aya hun. 49 00:02:44,930 --> 00:02:47,834 Ab dekhtay hain ke kya shayad woh log Monty ko bacha paatay hain ya nahi? 50 00:02:49,090 --> 00:02:50,818 Itmenan rakho. Bas mazaaq kar raha tha. 51 00:02:54,148 --> 00:02:56,297 Theek hai. Tum isay batao ke kya hum bari hogaye hain? 52 00:02:59,023 --> 00:03:00,050 Nahi. 53 00:03:00,714 --> 00:03:02,513 Lagta hai ke zinda rehnay ki bakhshish mein, 54 00:03:02,604 --> 00:03:04,287 duniya mein waqt guzaarna bhi shaamil hai. 55 00:03:04,378 --> 00:03:06,597 Ab shayad aur bhi dilchusp cheezain aur zaruri kaam karnay hongay. 56 00:03:06,863 --> 00:03:08,505 Hum nay wohi kiya jo humein karna tha. 57 00:03:10,125 --> 00:03:11,257 Mujhe jaana hai kaheen. 58 00:03:14,638 --> 00:03:15,967 Jannat main mushkilaat aagai hai? 59 00:03:17,922 --> 00:03:21,136 Unho nay tumhein maaf kiya hai tou iska matlab ye nahi ke main nay bhi kar diya. 60 00:03:27,387 --> 00:03:28,420 Clarke. 61 00:03:28,782 --> 00:03:30,010 Yahan se jao, Murphy. 62 00:03:30,172 --> 00:03:31,805 Theek hai, phir acha waqt guzaaro. 63 00:03:34,851 --> 00:03:38,043 Mujhe pata lag gaya hai ke kyun humein dousray Ark station se jawaab nahi mila. 64 00:03:38,718 --> 00:03:40,520 Mount Weather nay humara raabta rok rakha hai. 65 00:03:42,536 --> 00:03:43,583 Mujhe dikhao. 66 00:03:50,974 --> 00:03:53,490 Mujhe resonator mein thori tabdeeli karnay se ye aawaaz mili. 67 00:03:56,129 --> 00:03:57,730 Ye aawaaz har frequency par aarahi hai. 68 00:03:58,249 --> 00:04:00,564 Taweel faaslay par raabta bilkul nahi kiya jaa sakta. 69 00:04:00,677 --> 00:04:02,912 Is hi wajah se humaray walkie-talkie ziada faaslay par nahi chaltay. 70 00:04:03,030 --> 00:04:06,187 Ye wohi signal hai jo Monty nay Exodus kay jahaz kay black box mein suni thi. 71 00:04:06,736 --> 00:04:08,835 Mount Weather nay Exodus ka jahaz tabah kar diya tha. 72 00:04:09,399 --> 00:04:10,913 Kya tum is signal se nimat sakti ho? 73 00:04:11,004 --> 00:04:12,327 Nimat tou nahi sakti hun. 74 00:04:12,418 --> 00:04:14,710 Lekin agar main us tower tak pohanch saki jahan se ye nashar hota hai 75 00:04:15,349 --> 00:04:16,799 tou main usko tabah kar sakti hun. 76 00:04:17,243 --> 00:04:18,786 Koyi bhi kahi nahi jaa raha hai. 77 00:04:19,173 --> 00:04:20,199 Ammi, meri baat suniye... 78 00:04:20,290 --> 00:04:22,031 Tumhein main kis tarah se apni baat samjha sakti hun? 79 00:04:22,122 --> 00:04:23,972 Tum aur tumharay dost sipaahi nahi hain 80 00:04:24,111 --> 00:04:27,812 aur tumhara yehi rawaiya raha tou tum kaafi jaanein khatray mein daal rahi ho. 81 00:04:27,903 --> 00:04:29,249 Aap samajh nahi rahi hai. 82 00:04:29,602 --> 00:04:31,023 Raven nay aik cheez pata lagai hai. 83 00:04:31,181 --> 00:04:33,946 Mount Weather humaray raabtay rok raha hai. 84 00:04:34,373 --> 00:04:36,790 Ye sach hai. Zameen par aur bhi Ark station hosaktay hain. 85 00:04:36,881 --> 00:04:37,997 Aur ziada muhaafiz bhi hosaktay hain. 86 00:04:38,088 --> 00:04:40,993 Aap nay kaha tha ke humaray paas itnay log nahi jo dou jagahoun par jung lar sakein. 87 00:04:41,115 --> 00:04:43,172 Ammi, hum pehlay se hi jung larr rahay hain. 88 00:04:43,523 --> 00:04:47,294 Qatal e aam kay baais inteqami humla kabhi bhi kiya ja sakta hai aur aisa honay par 89 00:04:47,385 --> 00:04:50,378 humein saaray mard maujood chahiye hain is panaah gaah ki difaah keliye. 90 00:04:50,469 --> 00:04:51,888 Tou humein jaanay dijiye. 91 00:04:52,863 --> 00:04:54,450 Tum ruknay waali tou ho nahi, hai na? 92 00:04:54,606 --> 00:04:56,265 Jab tak meray dost mehfuz nahi hotay, tab tak nahi. 93 00:05:01,280 --> 00:05:02,300 Theek hai. 94 00:05:03,707 --> 00:05:05,187 Lekin main tumharay sath chalun gi. 95 00:05:05,405 --> 00:05:06,948 Ma'am, main nay abhi kaha hai... 96 00:05:07,591 --> 00:05:09,210 Dou dinoun se pur sukun mauhol raha hai. 97 00:05:09,384 --> 00:05:11,717 Hosakta hai Kane grounders kay commander par bartari haasil kar chuka ho.. 98 00:05:11,808 --> 00:05:13,176 Ya hosakta hai ke woh mar chuka ho 99 00:05:13,288 --> 00:05:15,857 aur abhi jis doraan hum baat kar rahay hain woh apni fauj ikhatta kar rahay houn. 100 00:05:16,481 --> 00:05:17,502 Shayad aisa ho... 101 00:05:18,270 --> 00:05:20,397 Aur yehi wajah hai ke humein aur muhaafizoun ki zarurat hai. 102 00:05:23,898 --> 00:05:25,122 Phir tou faisla hogaya hai. 103 00:05:27,236 --> 00:05:28,900 Hum waapis Mount Weather jaa rahay hain. 104 00:06:01,830 --> 00:06:04,313 Guzargaah 5b 105 00:06:06,409 --> 00:06:11,326 Sir, abhi bas teen din hi guzray hain aur Maya kay aadad barhtay jaa rahay hain. 106 00:06:11,488 --> 00:06:13,867 Itni jaldi hum yaqeen nahi kar saktay lekin mera maanna hai 107 00:06:13,958 --> 00:06:17,676 ke ab tak tou woh khud se radiation istehaal kar rahi hogi. 108 00:06:22,476 --> 00:06:25,416 Jab hum nay Jasper ka khoon kisi baahar walay kay khoon kay sath naapa tha 109 00:06:25,507 --> 00:06:27,822 tou Jasper ka khoon banisbatan aath guna ziada asar andaaz tha 110 00:06:27,913 --> 00:06:30,396 Main abhi bhi jaanch partaal kar rahi hun lekin zaahir hota hai 111 00:06:30,487 --> 00:06:33,215 ke Jasper kay nizaam nay Maya ka bhi nizaam mutaharrak kar diya. 112 00:06:33,485 --> 00:06:35,874 Kya tumhara matlab hai ke ye aik mustaqil hal hai? 113 00:06:36,037 --> 00:06:37,751 Kya Maya duniya main zinda reh sakti hai? 114 00:06:37,842 --> 00:06:39,680 Main keh rahi hun ke ye mumkin hai. 115 00:06:39,887 --> 00:06:41,219 Main us par nigraani jaari rakhungi. 116 00:06:41,310 --> 00:06:43,255 Us doraan, sir, aapko mujhe ijaazat deni hogi 117 00:06:43,346 --> 00:06:45,859 ke main baaqi kay 47 logon par bhi amal shuru karun. 118 00:06:54,344 --> 00:06:55,358 Nahi. 119 00:06:56,401 --> 00:06:58,261 Abbu, main iski baat par ittefaq karta hun. 120 00:06:58,437 --> 00:07:02,016 Mujhe malum hai ke humara mansooba unkay genes ikatha kar kay jazb karna tha 121 00:07:02,107 --> 00:07:04,596 lekin ye tareeqa kaar sab badal deta hai. 122 00:07:04,792 --> 00:07:07,697 Us nay abhi kaha ye saabit karda nahi hai. 123 00:07:08,066 --> 00:07:11,698 Mr President, agar ye mustaqil hal nahi bhi hota hai 124 00:07:12,434 --> 00:07:13,662 tou inkay khoon ki wajah se 125 00:07:13,762 --> 00:07:16,536 humein ilaaj kam karwana parega, humari zindagi taweel hogi 126 00:07:16,698 --> 00:07:18,000 aur hum behtar mehsus karengay. 127 00:07:18,117 --> 00:07:19,793 Jasper razakarana tor par khud aaya tha. 128 00:07:20,540 --> 00:07:24,119 Main un bachoun ko jaanwaron ki tarah pinjray mein nahi daalunga. 129 00:07:24,460 --> 00:07:26,503 Aisa koyi bhi nahi chahta hai. 130 00:07:26,928 --> 00:07:28,457 Agar aap baqi logon ko bhi mana letay hain 131 00:07:28,548 --> 00:07:30,270 razakaraana tor par aanay keliye tou achi baat hai, 132 00:07:30,825 --> 00:07:32,282 lekin agar aap nahi manaa paaye tou? 133 00:07:33,748 --> 00:07:36,167 Har din aap yahan se bahar ki duniya ki tasweer banaatay hain 134 00:07:36,455 --> 00:07:39,251 aur agar Dr Tsing is baaray mein theek hoti hain 135 00:07:39,342 --> 00:07:42,419 tou aap shayad phir se duniya dekh paayein, abbu. 136 00:07:47,058 --> 00:07:48,606 Meri baat suno. 137 00:07:49,320 --> 00:07:51,208 Tumhein ye samajhna zaruri hai. 138 00:07:51,290 --> 00:07:54,180 Agar main un bachon ka zakheera jamah karnay ka ehkaam deta hun 139 00:07:54,270 --> 00:07:56,947 tou main duniya ko phir se dekhnay ka haq daar nahi hun. 140 00:08:03,616 --> 00:08:04,904 Aap kahan jaa rahay hain? 141 00:08:06,880 --> 00:08:09,293 Tumharay liye kuch razaakaaroun ko dhoondnay. 142 00:08:17,009 --> 00:08:18,230 Woh waapis aajayengay. 143 00:08:18,443 --> 00:08:19,743 Aur agar woh naa aayein tou? 144 00:08:20,453 --> 00:08:23,031 Aur agar koyi razaakaar bannay keliye taiyaar na ho? 145 00:08:25,352 --> 00:08:27,398 Phir humein kisi bhi haal mein khud se karna parega. 146 00:08:33,278 --> 00:08:35,702 Mujhe yaqeen nahi aata ke unho nay Finn ko aanay diya. 147 00:08:35,980 --> 00:08:37,751 Woh raasta pata laganay mein sab se acha hai. 148 00:08:38,525 --> 00:08:39,595 Upar dekhna mat bhoolna. 149 00:08:39,686 --> 00:08:41,449 Grounders darakhton ka istemaal kartay hain. 150 00:08:42,046 --> 00:08:43,955 Hum nay John Mbege ko bhi aisay hi khoya tha. 151 00:08:46,446 --> 00:08:48,246 Tum sahi keh rahi thi ke mujhe inko laana chahiye. 152 00:08:49,661 --> 00:08:50,810 Fikar mat kijiye. 153 00:08:52,247 --> 00:08:53,617 Aapkay muhaafiz wahan tak pohanch jayengay. 154 00:08:57,286 --> 00:08:59,309 Mujhe pata hai tum Finn keliye pareshan ho. 155 00:09:01,397 --> 00:09:03,387 Uski rihai keliye vote karnay ka shukriya. 156 00:09:03,691 --> 00:09:05,831 Mujhe laga woh apnay doston ko bacha raha tha. 157 00:09:07,428 --> 00:09:10,267 Zaruri sawaal tou ye hai ke kya woh khud ko begunah saabit kar payega? 158 00:09:19,376 --> 00:09:20,888 Kane, ruk jao. 159 00:09:22,641 --> 00:09:25,339 Agar woh humein maarna hi chahtay thay tou kab ka maar chukay hotay. 160 00:09:26,442 --> 00:09:29,742 Dou dinon se bhooka aur pyaasa rakha hai. 161 00:09:29,833 --> 00:09:30,900 Aray, jaanay bhi do. 162 00:09:30,990 --> 00:09:34,215 Kitni dafa hum Ark par dou din tak paani piye baghair rahay hain? 163 00:09:35,097 --> 00:09:36,128 Ye... 164 00:09:36,885 --> 00:09:39,284 Ye humari kahani ka ikhtitaam nahi hai, Marcus. 165 00:09:39,547 --> 00:09:42,844 Hum zameen par yaksaan train station par milay hain 166 00:09:44,118 --> 00:09:45,380 kya sirf is mein marnay keliye? 167 00:09:48,137 --> 00:09:49,627 Humein abhi aur bhi kaam karnay hain. 168 00:09:51,398 --> 00:09:53,008 Tum itnay yaqeen se kaisay keh rahay ho? 169 00:09:54,690 --> 00:09:56,110 Meray betay nay mujhe bataya tha. 170 00:10:26,632 --> 00:10:28,680 Thehro! Hum aman-o-amaan kay sath aye hain. 171 00:10:29,615 --> 00:10:32,085 Hum aman-o-amaan kay sath aye hain. Baraye meharbani ruk jao. 172 00:10:42,052 --> 00:10:43,502 Tum aman ki baat kartay ho 173 00:10:43,593 --> 00:10:47,284 jab ke meray aik gao mein aik qaatil ko bhejtay ho. 174 00:10:47,693 --> 00:10:49,689 -Tum kis baaray mein baat kar rahay ho? -Khoon... 175 00:10:50,696 --> 00:10:52,152 kay badlay khoon laazmi hai. 176 00:10:55,574 --> 00:10:58,084 Tum dounon mein se kisi aik ho marna hoga 177 00:10:58,239 --> 00:11:01,418 yaheen, aaj, aglay kay haathoun. 178 00:11:01,640 --> 00:11:03,760 Tum dounon mein se jo zinda bachega 179 00:11:04,943 --> 00:11:06,473 main uski sharaait sununga hawalgi ki. 180 00:11:12,915 --> 00:11:15,245 Jab kaam poora hojaye tou bhar kay lay aana. 181 00:11:34,922 --> 00:11:36,716 Woh hum dounon ko aapas mein larwaana chahtay hain. 182 00:11:37,891 --> 00:11:39,433 Unko insaaf chahiye. 183 00:11:46,667 --> 00:11:49,883 Dounon taraf logon ki maut huwi hai. 184 00:11:53,601 --> 00:11:56,737 Is hi wajah se humein ye jung rokni hai! 185 00:12:14,097 --> 00:12:15,217 Tumhara naam kya hai? 186 00:12:17,601 --> 00:12:18,810 Lexa. 187 00:12:18,901 --> 00:12:19,989 Lexa. 188 00:12:21,748 --> 00:12:23,036 Mera naam Thelonious hai... 189 00:12:24,606 --> 00:12:26,160 aur iska naam Marcus hai. 190 00:12:28,171 --> 00:12:32,773 Tumharay commander nay kisi gaoun mein qatal o gharat honay ki baat ki thi? 191 00:12:35,433 --> 00:12:36,443 Han. 192 00:12:37,634 --> 00:12:39,652 Humaray 18 logon ka qatal huwa hai. 193 00:12:40,131 --> 00:12:41,430 Buzurgaan... 194 00:12:43,818 --> 00:12:44,868 bachay. 195 00:12:50,075 --> 00:12:51,805 Humara us se koyi taaluq nahi. 196 00:12:51,896 --> 00:12:53,176 Us se koyi farq nahi parta. 197 00:12:53,905 --> 00:12:55,635 Commander ko lagta hai tum nay karwaya hai. 198 00:12:57,629 --> 00:12:59,447 Tum dounon mein se koyi aik chakhoo uthao. 199 00:13:02,038 --> 00:13:03,338 Ye humara tor tareeqa hai. 200 00:13:03,807 --> 00:13:05,262 Aur agar hum inkaar kar dein tou? 201 00:13:09,832 --> 00:13:12,846 Phir commander is hi ko istemal kar kay tum dounon ka halaq kaat dega. 202 00:13:27,705 --> 00:13:28,865 Jasper. 203 00:13:30,405 --> 00:13:34,059 Main tumharay jaanay se pehlay tum se milna chaah raha tha. 204 00:13:34,150 --> 00:13:36,803 Mujhe andaza hai ke sirf main hi nahi hun jo tumhari bahaduri se mutaasir hai. 205 00:13:36,894 --> 00:13:39,234 Aray, main nay wohi kiya jo mera farz tha. 206 00:13:39,332 --> 00:13:41,138 Main is baat par yaqeen karna chahunga. 207 00:13:41,313 --> 00:13:42,933 Kya main tumharay sath chal sakta hun? 208 00:13:43,413 --> 00:13:44,438 Zarur. 209 00:13:45,005 --> 00:13:46,853 Jo kuch Maya kay sath huwa, 210 00:13:46,944 --> 00:13:49,938 uskay baad mujhe yaqeen hai ke tum ye jaan kar hairaan nahi hogay 211 00:13:50,100 --> 00:13:53,564 ke hum yahan mukamal tor par mehfuz nahi hain. 212 00:13:54,141 --> 00:13:56,920 Mount Weather itnay lambay arsay tak sambhaalnay keliye nahi bana tha. 213 00:13:57,010 --> 00:14:00,740 Barhtay waqt kay sath, thori radiation andar jaati rehti hai. 214 00:14:00,830 --> 00:14:03,687 Dorm mein huwi khilaaf warzi uski sakhti misaal hai. 215 00:14:03,778 --> 00:14:06,198 Humaray paas tor tareeqay hain in se nimatnay keliye 216 00:14:06,324 --> 00:14:08,283 lekin sach kahun tou, in tareeqoun ka rung pheeka par jaata hai 217 00:14:08,382 --> 00:14:11,008 tumharay aur Maya kay amal se agar milaaya jaye tou. 218 00:14:12,428 --> 00:14:13,686 Sir, main... 219 00:14:13,777 --> 00:14:15,694 Mujhe nahi lagta main aisa sab keliye kar sakta hun. 220 00:14:15,826 --> 00:14:18,066 Hargiz bhi nahi, lekin agar tum 221 00:14:18,157 --> 00:14:21,527 apnay doston ko mutaasir kar kay apnay naqsh-e-qadam par chalao 222 00:14:21,620 --> 00:14:24,327 tou socho tum kitna bara badlao laa saktay ho. 223 00:14:32,100 --> 00:14:34,024 Woh raha. Mujhe dikh gaya hai. 224 00:14:34,986 --> 00:14:36,036 Is taraf. 225 00:14:45,184 --> 00:14:46,404 Jald andhera hojayega. 226 00:14:46,495 --> 00:14:48,071 Hum jaaloun se bach nahi paayengay. 227 00:14:48,207 --> 00:14:51,180 Humein yaheen khaima lagana chahiye aur phir roshni hotay hi barhengay. 228 00:14:57,037 --> 00:14:58,422 Yahan par dou log kum hain. 229 00:15:01,491 --> 00:15:02,611 Woh kahan hain? 230 00:15:02,782 --> 00:15:04,934 Bellamy! Octavia! 231 00:15:05,066 --> 00:15:09,719 Clarke, hum dushman ki zameen par hain aur main unki zindagi ki zimedaar hun. 232 00:15:11,237 --> 00:15:12,872 Woh andar tak jaanay ka raasta dhoondnay gaye hain. 233 00:15:12,981 --> 00:15:14,010 Andar tak jaanay ka raasta. 234 00:15:14,101 --> 00:15:15,959 Ye tou is mission ka hissa nahi hai. 235 00:15:16,050 --> 00:15:17,290 Unkay liye tou hai. 236 00:15:19,626 --> 00:15:20,666 Dhoondo unhein. 237 00:15:20,757 --> 00:15:22,458 -Unko waapis lay kar aao. -Jee, ma'am. 238 00:15:22,549 --> 00:15:24,224 Tum dounon meray sath chalo. 239 00:15:25,955 --> 00:15:27,124 Main unkay sath jaa raha hun. 240 00:15:27,583 --> 00:15:28,883 Finn, thehar jao. 241 00:15:29,748 --> 00:15:31,349 -Humein tumhari yahan zarurat hai. -Kyun? 242 00:15:31,756 --> 00:15:33,118 Takeh mujh par nigraani kar sako? 243 00:15:36,290 --> 00:15:38,541 Uskay liye tou tumhein mujh par nazar rakhni paregi na. 244 00:15:40,414 --> 00:15:41,444 Finn... 245 00:15:41,535 --> 00:15:43,158 Tumhein kya lagta hai main kya karungi? 246 00:15:43,835 --> 00:15:44,934 Finn. 247 00:15:50,180 --> 00:15:51,320 Main usko jaa kar laati hun. 248 00:15:58,963 --> 00:16:00,875 Finn! Waapis ao. 249 00:16:07,201 --> 00:16:08,618 Woh aik haadsa tha. 250 00:16:11,906 --> 00:16:12,956 Ye kya tha? 251 00:16:15,643 --> 00:16:16,730 Bhaago! 252 00:16:24,200 --> 00:16:25,600 Taizaabi dhund hai! Kaheen chhupo! 253 00:16:25,691 --> 00:16:27,894 Ammi, agar meri aawaaz aarahi hai tou khaimoun mein chhup jayein! 254 00:16:28,644 --> 00:16:30,438 Mera khaima! Main apna basta bhool aai! 255 00:16:30,529 --> 00:16:32,613 Koyi baat nahi! Hum bunker tak pohanch jayengay! 256 00:16:34,628 --> 00:16:38,164 Clarke kay muttabiq bumbaari se pehlay, yahan aiteraaf mein imaaratein thi. 257 00:16:38,255 --> 00:16:40,896 Shayad un mein se kuch ko bunker tak rasaai haasil thi. 258 00:16:41,136 --> 00:16:45,111 Humein bachi kuchi cheezain dhoondni hain, kuch bhi jo insaan ki banai huwi ho. 259 00:16:45,202 --> 00:16:46,322 Suno! Blake! 260 00:16:47,661 --> 00:16:48,930 Abhi foran waapis chalo. 261 00:16:49,920 --> 00:16:52,399 Agar tum bhool gaye ho tou batata chalu ke tum hum par hukum nahi chala saktay. 262 00:16:52,490 --> 00:16:53,830 Humein zabardasti mat karnay do. 263 00:16:53,920 --> 00:16:57,338 Scott, humaray 47 log is paahaar par bator qaidi hain. 264 00:16:57,429 --> 00:16:59,173 -Aur is wajah se hi hum yahan hain. -Ghalat. 265 00:16:59,278 --> 00:17:01,629 Tum log yahan Ark kay baaki station ka pata laganay aye ho. 266 00:17:02,246 --> 00:17:03,876 Hum yahan apnay doston ko talaash karnay aaye hain. 267 00:17:03,991 --> 00:17:05,240 Bell. 268 00:17:11,860 --> 00:17:12,940 Ye kya kar rahay hain? 269 00:17:15,188 --> 00:17:16,190 Bhaag rahay hain. 270 00:17:20,497 --> 00:17:21,587 Taizaabi dhund. 271 00:17:21,686 --> 00:17:23,326 Humein foran se kahi chhupna hoga! 272 00:17:23,680 --> 00:17:25,030 Chalo foran se khaimay lagao. 273 00:17:28,865 --> 00:17:29,911 Han, main khol raha hun. 274 00:17:31,238 --> 00:17:32,698 Saari tarpaalein nikaal do. 275 00:17:36,390 --> 00:17:37,550 Idher waapis aao! 276 00:17:40,082 --> 00:17:41,162 Bell! 277 00:17:41,329 --> 00:17:43,848 Yahan andar koyi jagah maujood hai. Shayad ye barbaadi kay baad ki jagah hai. 278 00:17:43,985 --> 00:17:45,575 Suno! Is taraf aao! 279 00:17:45,980 --> 00:17:48,349 Jaldi chalo! 280 00:17:48,440 --> 00:17:49,510 Main nay jagah dhoond nikaali! 281 00:17:53,418 --> 00:17:55,330 -Chalo, isay kheencho. -Jaldi karo! 282 00:17:58,280 --> 00:18:00,730 Jaldi karo! Foran! Andar jao! 283 00:18:02,370 --> 00:18:03,990 Chalo, andar jao! Chalo! 284 00:18:08,136 --> 00:18:09,820 Hatto! Ziada waqt laga diya! 285 00:18:16,548 --> 00:18:17,586 Kya tum theek ho? 286 00:18:18,934 --> 00:18:20,156 Han, main theek hun. 287 00:18:20,617 --> 00:18:21,660 Main theek hun. 288 00:18:55,390 --> 00:18:56,510 Clarke? 289 00:18:56,601 --> 00:18:58,034 Clarke, kya tum mujhe sun sakti ho? 290 00:19:00,290 --> 00:19:01,490 Hum signal kay zariye kay qareeb hain. 291 00:19:01,580 --> 00:19:03,480 Qareeb hotay huwe bhi signal nahi aarahay. 292 00:19:04,751 --> 00:19:06,625 Clarke, kya tum mujhe sun sakti ho? 293 00:19:07,912 --> 00:19:08,936 Kya bakwaas hai! 294 00:19:09,027 --> 00:19:10,430 Clarke aur Finn ko in junglaat ka pata hai. 295 00:19:10,520 --> 00:19:12,547 Woh apna basta yahan bhool gai hai jis mein uska khaima hai. 296 00:19:12,678 --> 00:19:13,968 Unko chhupnay ki jagah mil jayegi. 297 00:19:22,870 --> 00:19:24,494 -Ye kya hai? -Mujhe nahi maalum. 298 00:19:25,305 --> 00:19:28,185 Aisa lag raha hai woh har frequency ko rok rahay hain siwaye iskay. 299 00:19:28,813 --> 00:19:29,886 Kya aapko sunai diya? 300 00:19:30,440 --> 00:19:31,744 Is frequency ka signal saaf hai. 301 00:19:32,289 --> 00:19:33,638 Tumhein ye aawaaz saaf lagti hai? 302 00:19:33,729 --> 00:19:35,550 Is encryption ka pata laga kar hojaye gi. 303 00:19:35,640 --> 00:19:37,800 Acha, aasaan lafzoun mein batao, Raven. Is baat ka kya matlab hai? 304 00:19:37,934 --> 00:19:41,292 Iska matlab hai ke hum Mount Weather par honay waali guftugu sun sakengay. 305 00:19:43,666 --> 00:19:44,680 Chalo aagay barhtay hain. 306 00:19:50,335 --> 00:19:51,342 Hum kahan aagaye hain? 307 00:19:55,316 --> 00:19:56,586 Dikhnay mein tou garage hai. 308 00:19:57,113 --> 00:19:58,413 Aik maqbarah lag raha hai. 309 00:20:04,327 --> 00:20:06,013 Dekho, mujhe afsos hai ke tum nay apna aadmi khoya hai 310 00:20:06,104 --> 00:20:08,168 lekin humein Mount Weather tak pohanchnay keliye raasta dhoondna hai. 311 00:20:08,259 --> 00:20:10,624 -Aray, itni jaldi mat dikhao. -Sir, us dhund ki wajah se hum 312 00:20:10,715 --> 00:20:11,925 wahan rookay rehtay... 313 00:20:13,583 --> 00:20:15,884 Hum batt jaatay hain aur is jagah 15 minute mein waapis miltay hain. 314 00:20:18,316 --> 00:20:19,476 Apni hifazat rakhna. 315 00:20:21,027 --> 00:20:22,126 Aao chalein. 316 00:20:33,624 --> 00:20:34,750 Chalna band karo. 317 00:20:36,876 --> 00:20:38,124 Yaqeenan woh kheriyat se hongay. 318 00:20:39,529 --> 00:20:40,911 Sab kay paas khaimay thay. 319 00:20:46,504 --> 00:20:48,403 Pehle tou tum mujhe dekh bhi nahi rahi thi 320 00:20:49,470 --> 00:20:51,901 aur ab aisay dekh rahi ho ke jaisay main dushman hun. 321 00:20:54,370 --> 00:20:55,750 Main tumhein aisay tou nahi dekh rahi. 322 00:20:57,125 --> 00:20:59,356 Bahar haal, tum jaisay mujhe pehlay dekhti thi ab waisay nahi dekhti. 323 00:21:09,240 --> 00:21:11,623 Main tumhein ye denay keliye sahi lamha dhoond raha tha. 324 00:21:12,993 --> 00:21:15,383 Ab aisa lag raha hai ke shayad woh waqt nahi aayega. 325 00:21:23,368 --> 00:21:25,013 Mujhe maalum hai ye tumharay liye kitni eham hai. 326 00:21:28,275 --> 00:21:29,674 Tumhein ye kahan mili? 327 00:21:30,787 --> 00:21:32,122 Ye iskay gardan kay gird thi. 328 00:21:52,196 --> 00:21:54,648 Tum sab zara socho inho nay humaray liye jo kuch kiya hai. 329 00:21:55,284 --> 00:21:56,871 Rehnay ki jagah di, saaf kapray diye. 330 00:21:56,971 --> 00:21:58,801 Unho nay humein Grounders se mehfuz rakha. 331 00:22:01,039 --> 00:22:03,883 Miller? Unho nay tumhari zindagi bachai na? 332 00:22:04,015 --> 00:22:06,230 -Tum teen din ultiyan kar rahay thay. -Woh alag baat thi. 333 00:22:06,320 --> 00:22:08,420 Jo maamuli ilaaj hai woh itna bura nahi hoga. 334 00:22:08,511 --> 00:22:09,940 -Woh bhi yehi kehtay hain. -Aur phir kya hota hai? 335 00:22:10,005 --> 00:22:11,755 Bas aik din hi ulti aayegi? 336 00:22:12,198 --> 00:22:13,210 Main nahi kar sakta. 337 00:22:13,769 --> 00:22:14,874 Maaf karna, Jasper. 338 00:22:14,981 --> 00:22:16,130 Main bhi nahi kar sakti. 339 00:22:18,533 --> 00:22:19,574 Aisa tou mat karo! 340 00:22:20,547 --> 00:22:21,915 Unho nay humein cake diya tha! 341 00:22:22,952 --> 00:22:24,844 -Meray paas darkhwaast bhi hai. -Yaar. 342 00:22:25,032 --> 00:22:27,361 -Ye tum kya kar rahay ho? -Kya? 343 00:22:28,507 --> 00:22:30,563 Tum nay unkay liye kab se kaam karna shuru kar diya? 344 00:22:31,163 --> 00:22:32,952 Pata hai kya? Chhoro, koyi baat nahi. 345 00:22:33,043 --> 00:22:35,725 Ab jo tumhari tabiyat behtar hogai hai, main Clarke ki baat sununga. 346 00:22:36,776 --> 00:22:38,628 Bilkul sahi waqt par. 347 00:22:38,787 --> 00:22:40,468 Hello, doston. Jasper. 348 00:22:40,559 --> 00:22:42,109 Tumhein behtar dekh kar mujhe bohat khushi huwi. 349 00:22:42,200 --> 00:22:43,780 ITMENAN MEIN DIKHO WOH SUN RAHAY HAIN!!! 350 00:22:44,252 --> 00:22:45,791 Shukriya. Han main behtar hun ab. 351 00:22:46,134 --> 00:22:48,045 WOH KHILAAF WARZI HAADSA NAHI THA! MERA PEECHHA KARO! 352 00:22:48,136 --> 00:22:50,302 Tum pur sukun lag rahi ho. 353 00:22:51,080 --> 00:22:53,990 Aaj pizza khaanay ka din hai. Kisko bhook lagi hai? 354 00:23:09,730 --> 00:23:12,244 Humaray paas ziada waqt nahi lekin yahan hum khool kar baat kar saktay hain. 355 00:23:12,358 --> 00:23:13,681 Ye sab kya chal raha hai? 356 00:23:15,858 --> 00:23:16,905 Maya? 357 00:23:17,749 --> 00:23:18,790 Mujhe maaf karna. 358 00:23:18,960 --> 00:23:20,209 Kis baaray mein? 359 00:23:21,138 --> 00:23:23,064 Tumhara kya matlab hai ke ye aik haadsa nahi tha? 360 00:23:23,210 --> 00:23:25,396 Iska matlab hai ke isay jaan boojh kar radiation kay saamnay kiya tha. 361 00:23:25,487 --> 00:23:26,995 Shartiya tor par ye tumhein mananay keliye hoga 362 00:23:27,086 --> 00:23:28,820 takeh tum us se khoon ka taaluq bananay keliye razamand hojao. 363 00:23:30,032 --> 00:23:31,470 Mujhe maalum tha. Clarke sahi keh rahi thi. 364 00:23:31,560 --> 00:23:32,600 Monty, khaamosh raho. 365 00:23:33,602 --> 00:23:34,808 Kya tumhein ye pehlay se pata tha? 366 00:23:35,798 --> 00:23:37,871 -Nahi. -Unho nay aisa kyun kiya tumharay sath? 367 00:23:37,977 --> 00:23:41,532 Jo ilaaj amooman hota hai woh bohat bekaar hai banisbaat tumharay tareeqay kay. 368 00:23:41,890 --> 00:23:43,200 Yehi baat Dante nay kahi thi. 369 00:23:43,323 --> 00:23:44,889 Amooman kya ilaaj hota hai? 370 00:23:46,320 --> 00:23:47,446 Us taraf hota hai. 371 00:24:05,506 --> 00:24:06,796 Uff, meray Khudaaya. 372 00:24:08,902 --> 00:24:09,922 Kya ye sab... 373 00:24:11,070 --> 00:24:12,510 Grounders hain? 374 00:24:13,537 --> 00:24:14,576 Aik second thehro. 375 00:24:15,602 --> 00:24:17,082 Tum humein ye kyun dikha rahi ho? 376 00:24:18,090 --> 00:24:19,320 Kyunke mujhe darr hai. 377 00:24:19,676 --> 00:24:20,710 Kis baat ka darr hai? 378 00:24:21,679 --> 00:24:23,043 Ke tum logon ki agli baari hai. 379 00:24:29,924 --> 00:24:31,561 Aur kisko is baat ka pata hai? 380 00:24:32,010 --> 00:24:34,602 Sab jaantay hain lekin koyi kuch bolta nahi hai. 381 00:24:35,105 --> 00:24:36,860 Humein sawaal na karna sikhaya jata hai. 382 00:24:38,406 --> 00:24:40,401 Dekho, baghair ilaaj karaye hum mar jayengay. 383 00:24:40,594 --> 00:24:41,927 Hum aur kar bhi kya kar saktay hain? 384 00:24:42,160 --> 00:24:43,233 Mar jao. 385 00:24:47,199 --> 00:24:48,650 Humein yahan se nikalna hoga. 386 00:24:48,741 --> 00:24:50,211 Dante nay kaha tha ke hum ja saktay hai na? 387 00:24:50,302 --> 00:24:51,327 Woh jhoot bol raha tha. 388 00:24:52,472 --> 00:24:54,270 Usko maalum tha main baahar janay se darrunga 389 00:24:54,361 --> 00:24:57,536 jaisay woh jaanta tha ke mujhe Maya ko bachanay keliye jo bhi hai, karna parega. 390 00:24:57,793 --> 00:24:58,952 Tou phir hum puchhengay hi nahi. 391 00:24:59,638 --> 00:25:01,431 Agar Clarke bahar nikli hai tou hum bhi nikal saktay hain. 392 00:25:01,521 --> 00:25:04,130 Aisa mumkin nahi ho sakta. Jab se Clarke ghayab huwi hai 393 00:25:04,220 --> 00:25:06,347 is paahar kay gird sakhti aur nigraani barh gai hai. 394 00:25:06,438 --> 00:25:08,223 -Humein koshish karni hogi. -Hum kahi nahi jaa rahay. 395 00:25:08,946 --> 00:25:10,802 Main dousron ko chhor kar nahi ja sakta. 396 00:25:11,895 --> 00:25:13,412 Warna unka bhi yehi haal hoga. 397 00:25:14,703 --> 00:25:16,185 Aur kya raasta hai humaray paas? 398 00:25:18,348 --> 00:25:19,745 Hum razakaar bannay keliye aamaadah hongay. 399 00:25:22,080 --> 00:25:23,595 Itna waqt kyun lag raha hai? 400 00:25:24,087 --> 00:25:25,363 Bas main theek karnay lagi hun. 401 00:25:25,521 --> 00:25:28,909 Woh yahan Audio Modulation istemal kar rahay hain, aik feedback loop ki tarah. 402 00:25:29,000 --> 00:25:30,879 Mujhe us loop kay buniyaad ki nishaandahi karni hai, 403 00:25:30,970 --> 00:25:32,540 aur unki khabar rasaani ki awaaz barhani hai. 404 00:25:33,605 --> 00:25:35,607 Bas mujhe woh sahi jagah dhoondni hai jis se... 405 00:25:40,850 --> 00:25:42,964 ...woh jagah dekho aur phir khabar do. 406 00:25:43,055 --> 00:25:44,147 -Tum nay kar dikhaya. -Theek hai. 407 00:25:44,241 --> 00:25:46,656 Maghribi sarhad dekh raha hun. Sath raho abhi. 408 00:25:47,792 --> 00:25:49,268 Zindagi ki koyi nishaani nahi. 409 00:25:49,359 --> 00:25:51,339 Ab kya parday ko utha liya hai? 410 00:25:51,527 --> 00:25:54,423 Nahi, sir. Abhi bhi 90 feesad maujood hai. 411 00:25:54,945 --> 00:25:56,147 Khoj jaari rakho. 412 00:25:56,238 --> 00:25:59,904 Jaisay hi woh log dikhein, tou un par phir se humla karo. Alvida. 413 00:26:01,918 --> 00:26:02,979 "Pardah." 414 00:26:03,253 --> 00:26:04,802 Woh dhund ki baat kar rahay hain. 415 00:26:05,413 --> 00:26:06,537 Woh aik hathiyaar hai. 416 00:26:06,628 --> 00:26:08,347 Jiska matlab hai unho nay hum par humla kiya tha. 417 00:26:13,816 --> 00:26:15,084 Sergeant Porter? 418 00:26:15,191 --> 00:26:16,234 Jee, ma'am? 419 00:26:18,146 --> 00:26:19,250 Apna bomb banana shuru kijiye. 420 00:26:19,595 --> 00:26:22,231 Jaisay hi dhund ghatay, tower ko tabah kar dega. 421 00:26:22,431 --> 00:26:24,760 -Sun liya? -Jee sun liya, ma'am. 422 00:26:25,072 --> 00:26:26,173 Kya masla hai? 423 00:26:27,276 --> 00:26:28,822 Hum dushman ko sun rahay hain. 424 00:26:30,488 --> 00:26:32,369 Antenna tabah kar kay hum ye bhi nahi kar paayein gay. 425 00:26:32,460 --> 00:26:35,330 Agar tabah nahi kiya tou hum Ark mein bachnay walon se raabta nahi kar paayengay 426 00:26:35,420 --> 00:26:37,597 aur humein woh zaayed imdaad ki zarurat hai, Raven. 427 00:26:38,349 --> 00:26:39,368 Mushkil faisla hai. 428 00:26:40,762 --> 00:26:42,409 Mujhe pata hai Clarke hoti tou kya karti. 429 00:26:49,376 --> 00:26:50,820 Mujhe is aawaz se nafrat hai. 430 00:27:20,153 --> 00:27:21,299 Zara ye dekho. 431 00:27:35,775 --> 00:27:36,815 Kaun hai wahan? 432 00:27:37,806 --> 00:27:38,844 Blake! 433 00:27:39,539 --> 00:27:40,599 Kya tum Blake ho? 434 00:27:41,981 --> 00:27:43,053 Mujhe kuch nahi dikh raha. 435 00:28:04,151 --> 00:28:05,174 Scott? 436 00:28:07,859 --> 00:28:08,913 Kya tum ho wahan? 437 00:28:22,826 --> 00:28:24,026 Bell, woh kya hai? 438 00:28:29,773 --> 00:28:30,983 Reapers. 439 00:28:38,911 --> 00:28:40,498 -O. -Kya huwa? 440 00:28:41,050 --> 00:28:42,399 Ye rakho. 441 00:28:55,978 --> 00:28:57,000 Maarna mat. 442 00:29:00,877 --> 00:29:01,904 Woh Lincoln hai. 443 00:29:03,739 --> 00:29:04,940 Lincoln. 444 00:29:05,622 --> 00:29:06,993 Lincoln, ye main hun. 445 00:29:08,497 --> 00:29:09,958 Main Octavia hun. 446 00:29:14,634 --> 00:29:15,780 Octavia! 447 00:29:28,888 --> 00:29:30,260 Utho. 448 00:29:30,912 --> 00:29:32,362 Humein kisi mehfuz muqaam jana hai. 449 00:29:37,473 --> 00:29:39,023 Bohat dair hochuki hai. 450 00:29:39,951 --> 00:29:41,901 Isko hal karnay ka koyi aur bhi tareeqa hoga. 451 00:29:43,432 --> 00:29:45,283 Koyi aisa tareeqa jiska hum abhi tak soch nahi paaye hain. 452 00:29:45,451 --> 00:29:46,630 Aur koyi tareeqa nahi hai. 453 00:29:48,122 --> 00:29:50,254 Ye sahi keh rahi hai. Woh apna faisla nahi badlengay. 454 00:29:55,163 --> 00:29:56,822 Hum muzaakaraat kar kay dekhtay hain. 455 00:29:58,854 --> 00:30:01,714 Ye puraanay khayaalat kay log hain. Main nay inki zindagi dekhi hai. 456 00:30:02,228 --> 00:30:04,245 Humari technology aur humari adwiyaat inkaay kaam ayengi. 457 00:30:04,336 --> 00:30:06,406 Bas badlay mein hum aman chahtay hain. 458 00:30:07,428 --> 00:30:09,436 Agar humein waqai aman chahiye... 459 00:30:10,926 --> 00:30:12,642 tou woh bata kar gaya hai ke kaisay milega. 460 00:30:13,322 --> 00:30:14,512 Qatal kar kay? 461 00:30:16,488 --> 00:30:17,863 Qurbaani day kay. 462 00:30:33,689 --> 00:30:36,163 Marcus, tum kya kar rahay ho? 463 00:30:36,469 --> 00:30:38,035 Agar hum koyi faisla nahi letay hain... 464 00:30:40,527 --> 00:30:41,840 tou dounon maaray jaayengay. 465 00:30:46,633 --> 00:30:48,038 Aur qatal-e-aam nahi rukega. 466 00:30:59,795 --> 00:31:01,465 Bas aik hi hal hai is maslay ka. 467 00:31:13,189 --> 00:31:14,629 Tumhein mera qatal karna hoga. 468 00:31:17,545 --> 00:31:18,999 Tumhein aisa karna parega. 469 00:31:19,090 --> 00:31:20,685 Yehi bas humaray ikhtiyaar mein hai. 470 00:31:20,838 --> 00:31:22,904 Kane, nahi. 471 00:31:23,163 --> 00:31:24,583 Woh bahaduri ki qadar kartay hain. 472 00:31:24,674 --> 00:31:26,256 Aao hum unhein apni bahaduri dikhaatay hain. 473 00:31:26,347 --> 00:31:27,391 Main keh raha hun... 474 00:31:28,526 --> 00:31:29,532 ke nahi. 475 00:31:32,163 --> 00:31:34,129 Qatal karnay ka ehkaam tumhara nahi tha. 476 00:31:35,721 --> 00:31:36,871 Woh waala tou nahi. 477 00:31:37,736 --> 00:31:40,330 Marcus, tumhein talaafi karnay ki zarurat nahi hai. 478 00:31:40,699 --> 00:31:43,646 Hum nay Ark mein faisla kiya tha ke mushkil haalat ka bhi saamna karengay. 479 00:31:43,737 --> 00:31:46,886 Hum nay wohi sab kiya jo insaani nasal ko bachanay keliye tha. 480 00:31:46,977 --> 00:31:48,824 Insaani nasal pehlay se hi bachi huwi thi. 481 00:31:48,915 --> 00:31:50,249 Phir hum nay ye apnay logon keliye kiya! 482 00:31:50,340 --> 00:31:52,080 Han, aur ab humein yehi karna chahiye. 483 00:31:54,100 --> 00:31:55,490 Bas yehi tareeqa hai. 484 00:31:55,992 --> 00:31:57,432 Aisa nahi honay dunga. 485 00:32:03,665 --> 00:32:05,927 Tum aik achhay insaan ho, Thelonious. 486 00:32:08,418 --> 00:32:10,161 Main apni khaatir tumhein marnay nahi dunga. 487 00:32:11,441 --> 00:32:12,630 Marcus, nahi! 488 00:32:18,341 --> 00:32:20,494 Chalo. Baraye meharbaani humari madad kar do. 489 00:32:21,504 --> 00:32:22,530 Meharbaani kar kay. 490 00:32:28,845 --> 00:32:30,794 Chalo. Meharbaani. 491 00:32:30,885 --> 00:32:31,908 Shukriya. 492 00:32:37,858 --> 00:32:40,638 Main nay kaha tha tumhein ke hum yahan tak isliye nahi aaye 493 00:32:41,572 --> 00:32:42,600 ke hu maaray jayengay. 494 00:32:47,374 --> 00:32:48,534 Thelonious! Nahi! 495 00:32:49,180 --> 00:32:50,670 Main zinda rehnay ka faisla karta ho! 496 00:32:54,311 --> 00:32:55,810 Ye aik Reaper hai? 497 00:32:58,476 --> 00:32:59,986 Aisa kis tarah mumkin hosakta hai? 498 00:33:00,536 --> 00:33:02,196 Woh bas mujhe dekhay jara raha tha. 499 00:33:05,459 --> 00:33:06,477 Kaisay? 500 00:33:10,683 --> 00:33:11,873 Kya us nay humein dekha? 501 00:33:12,683 --> 00:33:13,710 Mujhe nahi maalum. 502 00:33:27,728 --> 00:33:28,867 Meri baat sunno. 503 00:33:28,958 --> 00:33:30,678 Hum usay lay aayengay. Main tum se waada karta hun. 504 00:33:36,821 --> 00:33:38,311 Ye zanjeerain kholo. 505 00:33:38,640 --> 00:33:41,522 Thelonious, meharbaani karo, ye bas aik maasum larki hai. 506 00:33:42,004 --> 00:33:43,493 Ye apna faisla kar chuka hai. 507 00:33:43,834 --> 00:33:45,101 Aur ye faisla mera khud ka hai. 508 00:34:03,113 --> 00:34:05,077 Mujhe jo sunna tha, woh main nay sun liya. 509 00:34:06,187 --> 00:34:07,595 Jee, Commander. 510 00:34:17,274 --> 00:34:18,542 Kya tum commander ho? 511 00:34:22,974 --> 00:34:24,809 Main tumharay baaray mein kaafi kuch seekh gai hun. 512 00:34:24,987 --> 00:34:27,042 Saaf zaahir hai ke tumharay izzat daar iraaday hain. 513 00:34:27,133 --> 00:34:29,121 Aman keliye chaah bhi sachi hai. 514 00:34:31,448 --> 00:34:32,448 Inhein aazaad kar do. 515 00:34:36,283 --> 00:34:37,591 Hum baad mein baat karengay. 516 00:34:37,891 --> 00:34:40,690 Us doraan tumharay dost ko aik paighaam bhijwaanay keliye istemaal kiya jayega. 517 00:34:41,473 --> 00:34:42,491 Nahi. 518 00:34:43,917 --> 00:34:45,817 Nahi, nahi. Aisa mat karo. Ruk jao! 519 00:34:47,160 --> 00:34:49,685 Baraye meharbaani ruk jao! 520 00:34:58,148 --> 00:35:00,448 Qatal-o-ghaarat ka jawab zarur diya jayega. 521 00:35:01,145 --> 00:35:03,309 Khoon ka jawaab khoon hoga. 522 00:35:15,369 --> 00:35:16,821 Kya tum ye karnay keliye taiyaar ho? 523 00:35:19,285 --> 00:35:21,775 Theek hai. Tum us ko bulaana. Baqi main sambhaal lunga. 524 00:35:32,500 --> 00:35:33,520 Lincoln! 525 00:35:36,114 --> 00:35:37,129 Lincoln! 526 00:35:37,502 --> 00:35:38,810 Kya tum mujhe sun saktay ho? 527 00:35:46,402 --> 00:35:48,080 -Mujhe maaf karna. -Aray! 528 00:35:59,144 --> 00:36:00,175 Ab kya karengay? 529 00:36:01,679 --> 00:36:03,001 Ab hum isay waapis lay chalengay. 530 00:36:12,686 --> 00:36:13,869 Dhund saaf hochuki hai. 531 00:36:23,321 --> 00:36:24,435 Clarke? 532 00:36:30,018 --> 00:36:31,281 Unkay paas hathiyaar nahi thay. 533 00:36:33,757 --> 00:36:34,810 Humein ab chalna hoga. 534 00:36:37,198 --> 00:36:39,338 Mujhe tou ab samajh bhi nahi aata ke tum ho kaun. 535 00:36:53,487 --> 00:36:54,690 Naa hi main samajh paata hun. 536 00:37:02,186 --> 00:37:03,591 Hum kis cheez mein tabdeel hogaye hain? 537 00:37:08,534 --> 00:37:10,763 Ab sab tarteeb mein hai, Monty. 538 00:37:11,343 --> 00:37:13,963 Abhi tum thori dair mein soon hona shuru hojao gay. 539 00:37:14,235 --> 00:37:15,759 Tumhein kuch bhi mehsus nahi hoga. 540 00:37:19,586 --> 00:37:21,040 Tum abhi kitnay nashay mein ho? 541 00:37:21,924 --> 00:37:25,592 Mujhe taqreeban koyi farq nahi par raha ke meri gardan mein 6-inch ka spike hai. 542 00:37:33,561 --> 00:37:37,924 Main tum se bohat mutaasir hun, Jasper aur bohat shukar guzaar bhi hun. 543 00:37:39,606 --> 00:37:41,443 Ye tou bas abhi shuruwaat hai, sir. 544 00:37:42,139 --> 00:37:44,439 -Aur bhi log ayengay. -Mujhe koyi shak nahi. 545 00:37:44,814 --> 00:37:46,326 Aap nay humari jaan bachai hai na? 546 00:37:46,973 --> 00:37:48,359 Kam az kam hum ye tou kar saktay hain. 547 00:38:06,537 --> 00:38:07,917 Tum nay dekha, doctor? 548 00:38:09,081 --> 00:38:11,056 Ye humara mustaqbil hai. 549 00:38:11,147 --> 00:38:14,928 Bas humari bantti huwi insaaniyat par thora sa bharosa hona chahiye. 550 00:38:18,447 --> 00:38:20,437 Umeed hai baaqi sab bhi itnay farmaanbardar hon. 551 00:38:21,682 --> 00:38:23,270 Iski fikar mat karein, abbu. 552 00:38:23,361 --> 00:38:26,772 Dr Tsing apni ghaltiyan baa aasani maan leti hain. 553 00:38:26,918 --> 00:38:28,848 Lekin mujhe aap ki daad deni paregi. 554 00:38:28,946 --> 00:38:31,946 Humein ab tak ka sab se moasir ilaaj milna mumkin hoga 555 00:38:32,484 --> 00:38:35,035 aur ye sirf aapki baat karnay ki wajah se hai. 556 00:38:39,644 --> 00:38:41,469 Kya tumhein main bewaquf lagta hun? 557 00:38:42,446 --> 00:38:44,797 Mujhe batao ke tum us khilaaf warzi mein mulawis nahi thay 558 00:38:44,888 --> 00:38:46,509 jo Maya ki taqreeban jaan le chuka tha. 559 00:38:47,261 --> 00:38:48,431 Main mulawis nahi tha. 560 00:38:49,450 --> 00:38:51,923 Abbu, main aisa nahi karunga. 561 00:38:52,984 --> 00:38:54,957 Mujhe tum se pyaar hai, Cage, 562 00:38:55,752 --> 00:38:59,142 aur bambaari kay baad se is daftar mein aik Wallace maujood raha hai 563 00:38:59,232 --> 00:39:01,806 lekin agar mujhe pata chalta hai ke tum jhoot bol rahay thay 564 00:39:01,897 --> 00:39:04,835 tou meray baad yahan koyi Wallace nahi bachega. 565 00:39:07,382 --> 00:39:09,451 Kya tumhein meri baat samajh aarahi hai? 566 00:39:20,717 --> 00:39:22,040 Mujhe ye gaana bohat pasand hai. 567 00:39:29,760 --> 00:39:31,008 Theek hai, ab baat ki jaa sakti hai. 568 00:39:31,817 --> 00:39:34,344 Humein thora waqt mil gaya hai lekin humein aur logon ko shaamil karna hoga 569 00:39:34,434 --> 00:39:35,620 jo ke sirf bharosay mand hon. 570 00:39:35,711 --> 00:39:38,481 Hum mazeed aur kitnay waqt tak intezar karnay ki baat kar rahay hain? 571 00:39:38,833 --> 00:39:40,580 Bas jab tak Clarke humein aakar bacha nahi leti. 572 00:39:41,818 --> 00:39:43,950 Humein tou ye bhi nahi pata ke kya Clarke zinda bhi hai ab tak. 573 00:39:44,492 --> 00:39:45,614 Usko zinda rehna hoga. 574 00:39:46,729 --> 00:39:48,386 Kher tou phir woh jaldi karay aanay mein. 575 00:40:07,359 --> 00:40:08,689 Bellamy aur Octavia kahan hain? 576 00:40:08,909 --> 00:40:10,460 Unko is muqaam par milnay ka pata hai. 577 00:40:10,550 --> 00:40:12,095 Kya aap nay radio par baat karnay ki koshish ki? 578 00:40:12,186 --> 00:40:14,674 -Abhi tak rukawat hai. -Kya tum nay tower nahi tabah kiya? 579 00:40:14,818 --> 00:40:15,945 Raven ko aik tareeqa pata chala 580 00:40:16,036 --> 00:40:17,828 jis kay zariye Mount Weather ki baatein sun saktay hain. 581 00:40:18,020 --> 00:40:20,580 Agar hum antenna tabah kar detay tou aisa nahi kar paatay. 582 00:40:22,515 --> 00:40:24,520 Baaqi kay Ark station ka kiya? 583 00:40:24,611 --> 00:40:26,071 Hum nahi jaantay ke woh pohanch paaye ya nahi. 584 00:40:26,420 --> 00:40:28,810 Hum ye zarur jaantay hain ke humaray 47 log 585 00:40:28,900 --> 00:40:30,863 us paahaar mein bator qaidi hain. 586 00:40:31,387 --> 00:40:32,650 Hum unko aazaad karwayengay. 587 00:40:40,750 --> 00:40:41,770 Mujhe maaf karna. 588 00:40:43,609 --> 00:40:45,652 Hum sab ko jung mein koyi na koyi daagh lagtay hain, Finn. 589 00:40:48,315 --> 00:40:49,539 Unka saamna kar kay bhool jao. 590 00:40:51,018 --> 00:40:52,595 Aur khud keliye mazboot bano. 591 00:40:55,716 --> 00:40:56,737 Meri madad karo! 592 00:40:57,424 --> 00:40:59,488 -Yaheen rukiye, Chancellor. -Meri madad karo! 593 00:41:01,440 --> 00:41:02,640 Apnay haath upar karo. 594 00:41:10,371 --> 00:41:11,520 Hathiyaar neechay karo. 595 00:41:17,868 --> 00:41:18,890 Thelonious. 596 00:41:31,351 --> 00:41:32,471 Meray paas aik paighaam hai 597 00:41:33,520 --> 00:41:34,720 Commander ki jaanib se. 598 00:41:36,407 --> 00:41:37,434 Yahaan se jaao... 599 00:41:39,130 --> 00:41:40,150 warna maaray jao gay. 600 00:41:44,177 --> 00:41:45,648 Humaray paas dou dinoun ka waqt hai.