1
00:00:01,281 --> 00:00:02,751
Ab tak "The 100" mein...
2
00:00:03,196 --> 00:00:05,810
Carl Emerson, meray paas tumharay rehnuma
keliye aik paighaam hai.
3
00:00:05,900 --> 00:00:08,596
Jab tak meray logon ko aazaad nahi kiya,
main nahi rukungi.
4
00:00:08,687 --> 00:00:10,136
Agar tum nay unhein aazaad nahi kiya
5
00:00:10,227 --> 00:00:12,353
tou main paanchwi noiyat
ki radiation khol dungi.
6
00:00:12,594 --> 00:00:16,237
Hum sab ko dard mila hai.
Aik kisam ka dard jismaami hota hai.
7
00:00:17,124 --> 00:00:18,404
Is se woh takleef duur hojayegi.
8
00:00:19,643 --> 00:00:21,537
Wapis kaam par lagnay
ka waqt aagaya hai, Raven.
9
00:00:21,628 --> 00:00:23,285
Roshniyoun ka Shehar waqai sacha hai!
10
00:00:23,376 --> 00:00:25,762
Aur kya iskay badolat
main Roshniyoun kay Shehar main hunga?
11
00:00:27,629 --> 00:00:30,107
Hum tumhein itnay dinoun
se dhoond rahay hain.
12
00:00:32,701 --> 00:00:33,872
Ye tou muqaddas nishaani hai.
13
00:00:34,598 --> 00:00:35,599
Kharay hojao.
14
00:00:35,689 --> 00:00:38,789
Baahar maujood Grounders is khaimay
par humla karengay.
15
00:00:38,841 --> 00:00:40,270
Agar hum nay intezaar kiya
tou maaray jaayengay.
16
00:00:40,360 --> 00:00:43,146
Ye zameen ab humari malkiyat hai.
17
00:00:43,440 --> 00:00:46,620
Agar koyi mazahmat karega
tou usko maut se khush amad kiya jayega.
18
00:00:46,726 --> 00:00:50,797
Hum us mor par hain ke aik aur jung
chhir sakti hai jisay tum rok sakti ho.
19
00:00:50,938 --> 00:00:52,878
Khoon ka badla khoon zaruri nahi hai.
20
00:01:21,556 --> 00:01:24,232
Aray, aray, sab kheriyat se hai.
21
00:01:25,121 --> 00:01:26,420
Tum theek ho.
22
00:01:27,861 --> 00:01:29,341
Tumharay khwaab mein kya aaya?
23
00:01:29,883 --> 00:01:31,335
Jo mujhse pehlay kay Commander thay.
24
00:01:31,360 --> 00:01:33,194
Woh mujhse meray khwaab
mein baat kartay hain.
25
00:01:34,535 --> 00:01:36,010
Main nay unko martay huwe dekha.
26
00:01:36,638 --> 00:01:40,219
Koyi jung chal rahi thi aur woh
aik qaatil kay haathoun maaray gaye.
27
00:01:40,602 --> 00:01:42,446
-Ye sirf aik bura khwaab tha.
-Nahi.
28
00:01:44,962 --> 00:01:46,590
Nahi. Ye mujhe khabardaar kiya gaya hai.
29
00:01:47,721 --> 00:01:49,922
Unko lagta hai main unki meeraas
se faraib kar rahi hun.
30
00:01:50,998 --> 00:01:53,582
Khoon ka badla khoon humesha se...
31
00:01:54,863 --> 00:01:56,868
humari qom ka tareeqa kaar raha hai.
32
00:01:57,664 --> 00:01:58,692
Meri baat suno.
33
00:02:00,327 --> 00:02:03,086
Jung-bandi karwaana
dhokay baazi nahi kehlaai jaati hai.
34
00:02:03,224 --> 00:02:06,824
Jung kay maidaan mein tumharay faislay se
aik jung ruki hai.
35
00:02:09,553 --> 00:02:12,413
Tumhari meeraas mein aman hoga.
36
00:02:24,021 --> 00:02:27,048
Aray, ye...
37
00:02:28,070 --> 00:02:29,601
Ye abhi namukamal tasweer hai.
38
00:02:35,613 --> 00:02:36,629
Andar daakhil hojao.
39
00:02:40,335 --> 00:02:41,454
Mujhe maaf karna, Heda.
40
00:02:41,712 --> 00:02:43,342
Mujhe nahi maalum tha ke tum masroof ho.
41
00:02:50,235 --> 00:02:51,924
Kya tum mujhe batao gay ya nahi
ke box mein kya hai?
42
00:02:52,015 --> 00:02:53,058
Mujhe maaf karna.
43
00:02:53,370 --> 00:02:56,965
Ye tohfa Azgeda kay Badshaah Roan
nay bhijwaya hai Wanheda keliye.
44
00:02:58,450 --> 00:03:00,301
Jis kay zariye ye bhijwaaya tha
us nay kaha tha
45
00:03:00,392 --> 00:03:02,762
ke ye Azgeda ki wafadaari ka saboot
bhi hai itehaad ki taraf
46
00:03:03,559 --> 00:03:06,839
aur us sawaal ka jawaab bhi hai jis sawaal
ka jawaab abhi tak mila nahi hai.
47
00:03:07,526 --> 00:03:08,655
Aapki ijaazat ho tou isay kholun?
48
00:03:10,628 --> 00:03:11,667
Isko khola jaaye.
49
00:03:19,823 --> 00:03:21,006
Emerson.
50
00:03:27,394 --> 00:03:31,044
Pakro isay! Isko yahan se bahar le jao!
51
00:03:31,409 --> 00:03:33,092
Isko abhi foran se pinjray mein band karo!
52
00:03:33,800 --> 00:03:34,841
Main theek hun.
53
00:04:24,260 --> 00:04:25,388
Kya kaam mukamal hogaya hai?
54
00:04:25,728 --> 00:04:27,300
Bas 10 martaba aur nikaal lu
aur kaam mukamal hai.
55
00:04:32,846 --> 00:04:34,564
Pike kay karkun abhi bhi
kaam kar rahay hain.
56
00:04:34,918 --> 00:04:36,402
Mitti aur paani kay namoonay
lay jaa rahay hain.
57
00:04:36,557 --> 00:04:37,969
Kuch andaaza hai ke unka kya mansooba hai?
58
00:04:38,060 --> 00:04:40,270
Nahi, lekin jis lehaaz
se woh hathiyaar se les hain
59
00:04:40,407 --> 00:04:42,225
mujhe lagta hai woh nahi chahtay
ke kisi ko pata lagay.
60
00:04:45,446 --> 00:04:46,680
-Aray, yaar.
-Kya huwa?
61
00:04:46,771 --> 00:04:48,989
Aik Grounder bacha aaya hai.
Kuch dair thehro.
62
00:04:54,980 --> 00:04:56,100
Hello bachay.
63
00:04:58,618 --> 00:04:59,766
Darro mat.
64
00:05:01,779 --> 00:05:03,177
Hum usay waapis jaanay
nahi day saktay hain.
65
00:05:03,421 --> 00:05:05,104
Woh apnay logon ko bata dega
usnay humein dekha hai.
66
00:05:05,269 --> 00:05:07,088
Octavia, koyi jawaab dou.
67
00:05:07,946 --> 00:05:08,960
Hannah.
68
00:05:17,296 --> 00:05:19,468
Meray saath iska peecha karo.
69
00:05:20,036 --> 00:05:21,196
Octavia, kya tum sun rahi ho?
70
00:05:24,056 --> 00:05:26,723
Woh us bachay ka peecha kar rahay hain.
Main jaa kar unka raasta rokti hun.
71
00:05:31,573 --> 00:05:32,578
Sab alag phail jao.
72
00:05:57,564 --> 00:05:58,564
Woh gum hogaya hai.
73
00:05:58,782 --> 00:06:00,200
Waapis se jheel kinaaray chalo.
74
00:06:00,735 --> 00:06:01,981
Woh ziada dur nahi gaya hoga.
75
00:06:36,904 --> 00:06:38,114
Koyi baat nahi.
76
00:06:40,804 --> 00:06:43,326
-Kane.
-Haan. Kya tum theek ho?
77
00:06:44,328 --> 00:06:47,419
Tumhein pata lagana hoga ke Pike
ka kya mansooba chal raha hai?
78
00:06:47,886 --> 00:06:51,427
Kuch bhi ho, woh isko raaz rakhnay keliye
aik bachay ka qatal karnay waalay thay.
79
00:06:51,726 --> 00:06:53,501
Hum pata lagatay hain.
Tum apni hifazat karo.
80
00:06:56,131 --> 00:06:58,881
Ab batao? Kuch mehsus horaha hai?
81
00:06:58,972 --> 00:07:01,127
Nahi. Sab theek hai.
82
00:07:02,215 --> 00:07:03,257
Takleef jaa chuki hai.
83
00:07:04,682 --> 00:07:05,702
Tumhara paon...
84
00:07:05,830 --> 00:07:07,839
-Abhi tak kaam nahi kar raha hai.
-Main jaanti hun.
85
00:07:09,134 --> 00:07:10,395
Mujhe bas ab takleef nahi horahi hai.
86
00:07:14,206 --> 00:07:15,229
Aray, zara thehro.
87
00:07:19,530 --> 00:07:21,044
Tumhari putliyaan waseeh nahi huwi.
88
00:07:24,562 --> 00:07:26,993
Jaha nay mujhe Roshni kay Shehar
ki Key di thi, Abby.
89
00:07:27,283 --> 00:07:28,646
Koyi nasha nahi karwaaya tha.
90
00:07:29,697 --> 00:07:31,531
Haan. Chalo dekhtay hain
khoon kay test mein kya aata hai.
91
00:07:33,271 --> 00:07:35,766
-Mujhe laga tumhein meri liye khushi hogi.
-Mujhe khushi hai.
92
00:07:37,575 --> 00:07:40,620
Takleef ka itni jaldi khatam hojana
ghair maamuli baat hai.
93
00:07:42,293 --> 00:07:44,317
Tou kya ab main bay qusoor hun?
94
00:07:44,899 --> 00:07:45,944
Bazahir tou bay qusoor ho.
95
00:07:48,685 --> 00:07:50,599
Meri baat Sinclair tak pohancha dena
96
00:07:50,624 --> 00:07:52,566
ke tumhein kaam par jaanay ki ijazat hai
97
00:07:52,875 --> 00:07:57,072
lekin agar test mein kuch bhi ghalat aaya
tou tumhein waapis se bitha diya jaayega.
98
00:07:57,768 --> 00:07:59,812
Aisi naubat nahi aayegi. Shukriya, doctor.
99
00:08:07,222 --> 00:08:08,949
Koyi agar puch guch karay
tou kinara kashi kar lena.
100
00:08:09,040 --> 00:08:10,667
Main bata chuka hun
ke koyi bhi maujood nahi hai.
101
00:08:17,660 --> 00:08:18,692
Aisay kya hans rahay ho?
102
00:08:18,871 --> 00:08:21,162
Tum nay kabhi socha nahi hoga ke hum sath
qanoon ki khilaaf warzi karengay
103
00:08:21,253 --> 00:08:22,859
jab tum nay mujhe Ark
par giraftaar kiya tha.
104
00:08:23,382 --> 00:08:24,585
Ye koyi khel nahi hai, Nate.
105
00:08:24,691 --> 00:08:27,550
Agar hum Pike ka mansooba pata nahi
kar paaye tou aur logon ki jaan jaayegi.
106
00:08:27,714 --> 00:08:29,290
Chalo, phir pakray jaanay
se bachat kartay hain.
107
00:08:34,640 --> 00:08:36,226
Chancellor Pike,
aapko dekh kar khushi huwi.
108
00:08:38,140 --> 00:08:41,336
Kisi jagah chhupa kar rakhna
ke nazroun mein naa aaye.
109
00:08:41,427 --> 00:08:42,906
Main tumhein kuch waqt dilwaata hun.
110
00:08:49,961 --> 00:08:50,983
Tum yahan ho.
111
00:08:51,074 --> 00:08:53,565
Jaha jo cheez baant raha hai
us silsilay mein tum se baat karni hai.
112
00:08:53,656 --> 00:08:55,610
Nahi, koyi zarurat nahi.
Woh Abby ka mehakma hai.
113
00:08:55,701 --> 00:08:58,850
-Mujhe dousray fori kaam karnay hain.
-Jaisay kay jo qaid huwe Grounder hain?
114
00:08:58,940 --> 00:09:01,305
Unko sabki hifazat keliye
nazarband kiya hai.
115
00:09:01,396 --> 00:09:02,867
Woh hum se madad maangnay aaye thay.
116
00:09:03,106 --> 00:09:05,299
Agar unki madad nahi kar saktay
tou kam az kam unhein waapis bhej do.
117
00:09:05,390 --> 00:09:07,000
Woh humari zimedaari hain.
Agar unhein chhor diya
118
00:09:07,091 --> 00:09:09,827
tou woh apni qom ko humaray difaah aur
salahiyaton se aagah karengay.
119
00:09:09,918 --> 00:09:12,850
-Main sirf Lincoln ki baat kar raha hun.
-Nahi, hum dushman ki baat kar rahay hain.
120
00:09:12,940 --> 00:09:14,440
Tamaam Grounder dushman nahi hain.
121
00:09:14,530 --> 00:09:17,560
Kane, hum pehlay bhi baat kar chukay hain.
Inktikhaabaat se faisla huwa tha.
122
00:09:17,651 --> 00:09:19,842
Logon ki raaye rakhna
fuzul baat hai, Charles.
123
00:09:19,972 --> 00:09:23,007
Meri zimedaari humein mehfuz rakhna hai,
kisi keliye acha banna nahi hai.
124
00:09:23,772 --> 00:09:25,138
Phir acha kaam jaari rakho.
125
00:09:51,240 --> 00:09:52,571
Ye kaafi khush dikhai detay hain.
126
00:09:56,493 --> 00:09:59,246
Haan. Ye sab zarur khush dikh rahay hain.
127
00:10:01,497 --> 00:10:03,295
Aur aaj aur bhi log
is khushi mein shaamil huwe hain.
128
00:10:04,021 --> 00:10:05,563
Mujhe pata hai tum laalchi ho rahay ho
129
00:10:05,654 --> 00:10:09,029
lekin pehlay mujhe pata laganay do
ke ye hai kya, theek hai?
130
00:10:17,394 --> 00:10:19,559
Chalo, is mulaqaat mein
kaam ki baat shuru ki jaaye.
131
00:10:19,696 --> 00:10:23,018
Hum khush aamad kartay hain
Farm Station kay Monty Green
132
00:10:23,109 --> 00:10:25,120
aur kaarkhaanay ki larki Zoe Monroe ko.
133
00:10:25,210 --> 00:10:28,225
Aur hum apnay aglay zaruri iqdaam
ki shuruwaat kartay hain.
134
00:10:28,315 --> 00:10:30,432
Jo kay nijaat kay zaraaye
ko aur mazeed phelaana hai.
135
00:10:30,523 --> 00:10:33,378
Aur ye cheez rehnumai karegi.
136
00:10:33,469 --> 00:10:35,235
-Khaak?
-Mitti.
137
00:10:35,512 --> 00:10:37,863
Aisi mitti jo kaasht kaari kay qaabil hai.
138
00:10:38,050 --> 00:10:41,170
Jab se hum yahan aaye hain,
is se ziada kuch bhi zarkhaiz nahi mila.
139
00:10:41,277 --> 00:10:44,374
Hum darakhtoun ko kaat kar, aik maheenay
mein hi fasal ugaana shuru kardengay.
140
00:10:44,680 --> 00:10:46,842
Hum shuruwaat mein soybean
aur makai ugaayengay.
141
00:10:46,933 --> 00:10:48,268
Woh sab se taizi se barhtay hain.
142
00:10:50,642 --> 00:10:52,735
Koyi masla hai, Monty?
Kya tumhein makai nahi pasand?
143
00:10:52,857 --> 00:10:54,870
Dar asal main nay kabhi bhi makai
nahi khaai hai.
144
00:10:56,287 --> 00:10:57,563
Kya hum is jagah jaayengay?
145
00:10:58,199 --> 00:11:00,283
-Haan, yaheen ja rahay hain.
-Yahan tou aik gaon hai.
146
00:11:00,374 --> 00:11:01,978
Aur wahan kay rihaishiyoun ka kya hoga?
147
00:11:02,069 --> 00:11:04,310
Ye Sector 4 hai. Hum is baaray mein
baat kar chukay hain.
148
00:11:04,401 --> 00:11:07,459
-Wahan kay logon se khatra nahi hai.
-Humein zameen ka woh hissa chahiye hai.
149
00:11:08,645 --> 00:11:10,849
Mount Weather kay wasaail
kho denay kay baad,
150
00:11:10,940 --> 00:11:13,354
aik saal kay andar Arkadia mein
kuch khaanay ko maujood nahi hoga.
151
00:11:18,418 --> 00:11:19,872
Nihaayat adab kay sath bolunga, sir,
152
00:11:20,480 --> 00:11:22,603
aap nay abhi tak Monty kay sawaal
ka jawaab nahi diya.
153
00:11:22,847 --> 00:11:23,973
Tumhein jawaab maalum hai.
154
00:11:24,548 --> 00:11:27,766
Fasal taiyaar karnay keliye har zameen
ko patharoun se nijaat dilaani hogi.
155
00:11:27,965 --> 00:11:31,014
Humein wahan aik bachay nay dekha tha
tou unko humaray aanay ki khabar hogi
156
00:11:31,105 --> 00:11:33,824
lekin jab hum nay unki fauj ko haraaya tha
tou unkay jungjoo fauji maaray gaye thay.
157
00:11:33,930 --> 00:11:36,603
-Kisi kisam ki muzahmat ki umeed nahi hai.
-Woh sab Grounders hain.
158
00:11:37,805 --> 00:11:38,843
Woh muzahmat karengay.
159
00:11:41,608 --> 00:11:44,855
Woh muzahmat nahi bhi karein tou Commander
kay paighaam mein saaf waazeh tha
160
00:11:45,766 --> 00:11:47,263
Khoon ka badla khoon zaruri nahi hai.
161
00:11:47,354 --> 00:11:48,810
Iska matlab ye nahi
ke hum is baat ka faida...
162
00:11:48,901 --> 00:11:50,199
Tum kis baat ki haami bharo gay?
163
00:11:50,290 --> 00:11:51,875
Apnay ghar keliye shaheed hojaana?
164
00:11:51,966 --> 00:11:53,308
Ya phir bhookay mar jaana?
165
00:11:56,349 --> 00:12:00,293
Kya tum apni qom ki zindagi keliye
jo zaruri hai woh karogay ya nahi?
166
00:12:12,244 --> 00:12:13,752
Jo kaam zaruri hai, hum woh karengay.
167
00:12:19,413 --> 00:12:21,722
Uska asar tumharay faisloun par
hota jaa raha hai...
168
00:12:21,813 --> 00:12:23,123
Mujhe laga tum wafa daar raho gay.
169
00:12:23,214 --> 00:12:26,105
Main wafa daar hun lekin tum zaati tor par
kuch ziada hi...
170
00:12:26,959 --> 00:12:28,002
Woh aagai hai.
171
00:12:28,553 --> 00:12:30,922
-Tum mujhse milna chahti thi, Commander?
-Haan.
172
00:12:32,847 --> 00:12:35,267
Mujhe us aakhri pahaari aadmi
kay muqaddar ki baat karni hai.
173
00:12:35,939 --> 00:12:39,427
-Mera maanna hai uska qatal karna chahiye.
-Woh khud baat kar sakti hai, Titus.
174
00:12:45,060 --> 00:12:46,300
Titus sahi keh raha hai.
175
00:12:50,218 --> 00:12:51,263
Tum nay ghor kiya?
176
00:12:53,098 --> 00:12:55,306
Badla lena insaani fitrat
mein maujood hai.
177
00:12:56,275 --> 00:12:58,666
Aik dafa jab aas poori hoti hai
tou hi sukuun milta hai.
178
00:12:58,927 --> 00:13:02,013
-Humara yehi tareeqa kaar hai.
-Woh humara tareeqa kaar huwa karta tha.
179
00:13:06,636 --> 00:13:07,640
Clarke...
180
00:13:12,418 --> 00:13:14,688
Khoon ka badla khoon nahi lenay ki shart
181
00:13:15,112 --> 00:13:17,142
kya sirf meray qom kay logon keliye thi.
182
00:13:17,303 --> 00:13:19,146
Woh baat aik jung rooknay keliye thi.
183
00:13:19,666 --> 00:13:21,368
Ye aik jung khatam karnay ki baat hai.
184
00:13:22,106 --> 00:13:24,736
Maaf karna, lekin agar mera mashwara
maang rahi ho
185
00:13:25,145 --> 00:13:26,725
tou main Titus ki baat se muttafiq hun.
186
00:13:27,190 --> 00:13:29,329
Usnay apnay kiye ki saza kay bator
maut milni chahiye.
187
00:13:29,985 --> 00:13:31,711
Main mashwara nahi talaash kar rahi hun.
188
00:13:32,287 --> 00:13:33,655
Main aik faisla dhoond rahi hun.
189
00:13:34,691 --> 00:13:35,934
Isay tumhein tohfay mein diya gaya tha.
190
00:13:36,700 --> 00:13:39,700
Isnay tumharay logon kay khilaaf
jurm anjaam diye hain.
191
00:13:42,545 --> 00:13:44,115
Tou phir kya faisla logi, Clarke...
192
00:13:47,357 --> 00:13:49,287
Usko humari zameenoun
se jala watan kar dena
193
00:13:49,896 --> 00:13:52,582
ya phir tumharay haathoun 49 waaroun
se maut?
194
00:13:53,764 --> 00:13:55,598
Tumharay paas faisla lenay keliye
shaam tak ka waqt hai.
195
00:14:16,914 --> 00:14:18,837
Aray, aakhir kaar aagaye.
Mera ghora kidher hai?
196
00:14:19,289 --> 00:14:20,994
Baahar hai. Tumhein dekh kar khushi huwi.
197
00:14:21,085 --> 00:14:22,566
Octavia, thori dair thehro.
198
00:14:22,735 --> 00:14:24,316
Kya tumhein lagta hai ke Grounders
ka aik giroh
199
00:14:24,407 --> 00:14:26,331
tumharay kehnay par apna ghar bhaar
chhor dengay?
200
00:14:26,716 --> 00:14:29,077
Ya tou unko bhaagna parega
warna nist o naabood hojayengay.
201
00:14:29,516 --> 00:14:31,068
Aur agar woh chhornay keliye
raazi nahi huwe?
202
00:14:31,159 --> 00:14:33,300
Tou phir hum apnay logon ko
maut kay ghaat utaarengay.
203
00:14:34,370 --> 00:14:35,979
Agar tum apnay bhai se baat karo...
204
00:14:36,070 --> 00:14:38,590
Mera bhai ghalat logon kay sath hai.
205
00:14:38,762 --> 00:14:40,016
Tou kya hum koshish bhi nahi kar saktay?
206
00:14:40,107 --> 00:14:43,397
Tumhein andaaza hai kya tehalka machega
jab Lexa ko pata chalega ke Skaikru
207
00:14:43,488 --> 00:14:45,628
nay Grounder kay aik aur gaon
mein qatal o ghaarat ki?
208
00:14:48,537 --> 00:14:50,705
Jung hogi,
humaray aur dost maaray jaayengay.
209
00:14:52,680 --> 00:14:53,876
Is humlay ko roknay se...
210
00:14:54,990 --> 00:14:56,277
aik jung roki jaa sakti hai.
211
00:15:20,554 --> 00:15:21,605
Kya tabiyat behtar mehsus huwi?
212
00:15:21,798 --> 00:15:24,223
Behtar? Main tou zabardast
mehsus kar rahi hun.
213
00:15:24,559 --> 00:15:26,314
Tum dounon ka bohat shukriya.
214
00:15:26,407 --> 00:15:27,644
Shukriya, Raven.
215
00:15:28,201 --> 00:15:31,069
Tumhari wajah se aur bhi log
Roshni kay Shehar ki taraf mutawaja hain.
216
00:15:31,160 --> 00:15:32,767
Meray laaiq koyi bhi kaam ho,
main zarur karungi.
217
00:15:37,137 --> 00:15:38,145
Kya baat hai?
218
00:15:38,236 --> 00:15:40,989
Ab jo tum engineering core ka hissa
ban gai ho... Alie ki badolat.
219
00:15:41,080 --> 00:15:42,879
Hum chahtay hain
ke tum humara aik kaam karo.
220
00:15:42,970 --> 00:15:43,970
Bas naam lijiye.
221
00:15:44,061 --> 00:15:46,222
Main kaafi arsay se aik cheez ki talaash
mein thi
222
00:15:46,567 --> 00:15:49,283
jisay main murdaar technology
mein khoj rahi thi.
223
00:15:49,469 --> 00:15:52,039
Ye aik wajuhat mein se hai jiski wajah se
hum Arkadia pehlay tashreef laaye.
224
00:15:52,232 --> 00:15:54,305
Mujhe yaqeen hai ke meray code
ka dousra pehlu
225
00:15:54,396 --> 00:15:56,781
kaheen na kaheen Ark kay computer system
mein maujood hai.
226
00:15:57,079 --> 00:15:59,555
Tumharay dousray pehlu ki kya zarurat thi?
Kya tum mein koyi kharaabi thi?
227
00:15:59,646 --> 00:16:01,898
-Is mein koyi kharaabi nahi hai.
-Bura mat maanna.
228
00:16:02,102 --> 00:16:04,022
Main bas baat kar rahi hun ke programmers
aur engineers
229
00:16:04,113 --> 00:16:05,851
us waqt tak dousra pehlu taiyaar
nahi kartay jab tak...
230
00:16:05,942 --> 00:16:06,980
Raven...
231
00:16:08,075 --> 00:16:09,133
Haan, bilkul.
232
00:16:10,663 --> 00:16:12,072
Haan, main bilkul tumhari madad karungi.
233
00:16:12,256 --> 00:16:13,264
Lekin mujhe yaqeen hai
234
00:16:13,355 --> 00:16:16,160
ke agar Ark mein koyi AI maujood tha
tou uski khabar mujhe zarur hoti.
235
00:16:16,251 --> 00:16:18,379
Woh shayad aik muaatil shudaa program hoga
236
00:16:19,351 --> 00:16:21,068
ya phir naamukamal hoga.
237
00:16:21,731 --> 00:16:24,003
Agar tum mujhe mainframe
tak rasaai dilwa sako gi,
238
00:16:24,108 --> 00:16:26,978
tou main usay dhoond kar baqia code
ko download kar lungi.
239
00:16:27,548 --> 00:16:28,992
Ye aik acha mansooba lagta hai, Red.
240
00:16:30,939 --> 00:16:32,514
Tum say dousri taraf mulaaqat hoti hai.
241
00:16:36,197 --> 00:16:38,749
Tum usko meray baaray mein sach
kyun nahi bata rahay thay?
242
00:16:39,489 --> 00:16:40,899
John Murphy ko sachaai maalum thi
243
00:16:40,990 --> 00:16:42,688
aur tumhein yaad ho
tou tum usay gawa bethay thay.
244
00:16:42,956 --> 00:16:45,142
John Murphy nay kabhi Roshni ka Shehar
nahi dekha tha.
245
00:16:45,309 --> 00:16:47,333
Phir isko dhair saari ehtiyaat karna
samajh lo.
246
00:16:47,987 --> 00:16:50,327
Akhir kaar hum us se aisa kaam karnay
ko bol rahay hain jis se woh
247
00:16:50,723 --> 00:16:54,019
aik jadeed computer program dhoondegi
jis nay duniya ka khaatma kiya tha.
248
00:17:05,162 --> 00:17:07,708
-Ye tou kaafi hathiyaar hain.
-Umeed karo iski zarurat na paray.
249
00:17:08,709 --> 00:17:09,753
Humara mansooba kya hai?
250
00:17:10,223 --> 00:17:11,510
Mustaqbil kay silsilay mein hai.
251
00:17:12,347 --> 00:17:14,307
Ye tou humaray maazi jaisa lag raha hai.
252
00:17:15,040 --> 00:17:16,973
Hum aik zindagi bananay ki koshish
kar raha hain.
253
00:17:17,378 --> 00:17:21,555
Aik aisi qom se aman qaayem karna chah
rahay hain jo sirf jung larti hai.
254
00:17:21,660 --> 00:17:22,691
Bilkul durust kaha.
255
00:17:24,804 --> 00:17:27,636
Hannah, tumhein apna beta
abhi haal mein hi mila hai.
256
00:17:27,984 --> 00:17:29,474
Usko wahan marnay keliye mat bhejo.
257
00:17:29,565 --> 00:17:31,105
Kisi ki bhi jaan nahi jaayegi.
258
00:17:37,593 --> 00:17:38,724
Chalo ab rawaana hona hai.
259
00:17:44,150 --> 00:17:46,840
Aray, tum kahan par thay?
260
00:17:46,930 --> 00:17:48,820
Mujhse ghora gum gaya.
261
00:17:49,380 --> 00:17:51,310
Dar asal, ghora bhaag gaya tha lekin...
262
00:17:52,509 --> 00:17:53,648
Mujhe khushi hai ke tum salamat ho.
263
00:17:54,590 --> 00:17:56,262
Kaash tumhein inkay sath jaana na parta.
264
00:17:57,252 --> 00:17:58,306
Aaj hi rawana hona hai, Bryan.
265
00:18:01,186 --> 00:18:02,191
Kaam par se bulaawa aagaya hai.
266
00:18:02,318 --> 00:18:05,088
Haan. Suno, apna dehaan rakhna.
267
00:18:08,778 --> 00:18:09,788
Theek hai.
268
00:18:49,389 --> 00:18:50,979
Main tumhein takleef pohanchaanay
nahi aai hun.
269
00:18:52,060 --> 00:18:53,564
Main tumhein takleef pohanchaanay
nahi aai hun.
270
00:18:57,590 --> 00:19:00,034
Jhooti. Main tumhein dekh chuka hun.
271
00:19:00,326 --> 00:19:01,886
Tum pahari wali jung ka hissa thi.
272
00:19:02,515 --> 00:19:04,382
Iska taaluq Skaikru se hai.
273
00:19:04,676 --> 00:19:08,776
Tumharay hathiyaaroun se humari behnoun
aur bhaaiyoun ki maut huwi hai.
274
00:19:09,210 --> 00:19:11,279
Un sipahiyoun ki maut huwi hai
jinhein Commander nay bheja tha
275
00:19:11,370 --> 00:19:13,173
tum logon ki hifazat kay silsilay mein.
276
00:19:13,410 --> 00:19:15,425
Mujhe tumharay nuqsaan ka afsos hai
277
00:19:16,020 --> 00:19:17,583
lekin main yahan mohtaat karnay aai hun
278
00:19:17,725 --> 00:19:21,399
ke jin sipaahiyoun nay aisa kiya tha
woh sab is taraf hi rawaana hain.
279
00:19:22,336 --> 00:19:23,821
Unhein tumhari zameenein chahiye hain
280
00:19:23,935 --> 00:19:27,240
aur usko paanay keliye
woh tum sab ko maar daalengay.
281
00:19:27,630 --> 00:19:30,500
Tum sabko foran se ye jagah chhorni hogi.
282
00:19:30,590 --> 00:19:31,900
Kya tum humein dhamka rahi ho?
283
00:19:40,240 --> 00:19:41,923
Main madad karnay ki koshish kar rahi hun!
284
00:19:42,510 --> 00:19:44,258
Hum tumhara yaqeen kyun karein?
285
00:19:44,855 --> 00:19:47,188
Kyunke is nay mujhe bachaaya tha, Semet.
286
00:19:50,310 --> 00:19:52,090
Kya tum nay Gavriel ki jaan bachai thi?
287
00:19:59,722 --> 00:20:00,735
Yahan se jaana mat.
288
00:20:05,474 --> 00:20:08,024
Meri pitaai honay se pehlay
nahi keh saktay thay?
289
00:20:14,858 --> 00:20:18,122
Puraani chott ka dard sirf raat gaye
nahi jaa sakta.
290
00:20:18,213 --> 00:20:19,773
Malumaat batati hai ke aisa mumkin hai.
291
00:20:20,740 --> 00:20:22,845
Serotonin aur Dopamine ki bhaari miqdaar
ka tasalsul
292
00:20:22,936 --> 00:20:25,002
Raven kay khoon mein uski baatoun
kay muttabiq hai
293
00:20:25,027 --> 00:20:26,875
aur kyunke ye maamool kay muttabiq hai
294
00:20:27,854 --> 00:20:29,619
tou mujhe nahi lagta
ke ye kisi nashay ka asar hai.
295
00:20:31,862 --> 00:20:32,946
Tum maayoos dikhai deti ho.
296
00:20:34,547 --> 00:20:35,548
Nahi.
297
00:20:36,454 --> 00:20:37,472
Bas hairat horahi hai.
298
00:20:37,862 --> 00:20:40,191
Hum itnay sakht lamhaat se guzray hain
299
00:20:40,216 --> 00:20:44,239
ke hum umeed
ko bhi nahi pehchaan paatay hain
300
00:20:45,889 --> 00:20:47,578
bhalay woh humaray saamnay hi kyun na ho.
301
00:20:52,265 --> 00:20:55,062
Jackson, tum hawaalat mein jaa kar
Grounder mareezoun ki jaanch partaal karo.
302
00:20:55,153 --> 00:20:56,843
Mujhe waapis aakar khabar dena, theek hai?
303
00:21:03,463 --> 00:21:05,284
Octavia ab tak gaaon pohanch chuki hogi
304
00:21:07,120 --> 00:21:09,664
lekin agar woh unko jagah chhornay
par raazi nahi kar paai...
305
00:21:09,755 --> 00:21:11,333
Tumharay bas mein jo tha woh tum nay kiya.
306
00:21:11,424 --> 00:21:12,443
Nahi.
307
00:21:14,391 --> 00:21:15,718
Nahi, main nahi kar paaya.
308
00:21:16,317 --> 00:21:18,019
Main nay aisa honay diya.
309
00:21:20,929 --> 00:21:22,847
Main nay intekhaabat ki peshkash ki thi.
310
00:21:29,527 --> 00:21:31,136
Aur ab humara Chancellor Pike bana hai.
311
00:21:33,020 --> 00:21:34,960
Aisi jung shuru honay wali hai
jisay hum jeet nahi saktay
312
00:21:36,510 --> 00:21:38,067
aur main usko rukwaanay keliye
313
00:21:38,484 --> 00:21:41,696
bachon ko khatray mein bhejnay
kay elawa kuch nahi kar sakta.
314
00:21:42,544 --> 00:21:43,560
Aray...
315
00:21:45,004 --> 00:21:46,746
Agar tum nay ab tak ghor nahi kiya hai
316
00:21:47,160 --> 00:21:48,536
tou woh ab bachay nahi rahay hain.
317
00:21:51,054 --> 00:21:53,235
Clarke kay ghaayeb honay kay baad
ab sirf Bellamy kuch kar sakta hai.
318
00:21:54,292 --> 00:21:57,499
Main usko samjhaanay ki koshish kar chuka
hun lekin Pike ka us par ziada asar hai
319
00:21:58,193 --> 00:22:00,665
aur usko lag raha hai
ke woh theek kaam kar raha hai.
320
00:22:01,912 --> 00:22:03,497
Har koyi aisa hi karta hai.
321
00:22:14,339 --> 00:22:15,340
Ye kisliye tha?
322
00:22:20,929 --> 00:22:22,222
Isay umeed hi samajh lo.
323
00:22:27,336 --> 00:22:28,648
Tou ye tay-shudaa hai.
324
00:22:28,781 --> 00:22:31,389
Main dousron ko aagah karta hun,
tum larki ko sambhaalo.
325
00:22:33,778 --> 00:22:35,015
Tum chaaho tou isay pyaar karsaktay ho.
326
00:22:43,485 --> 00:22:44,513
Gavriel...
327
00:22:44,604 --> 00:22:45,673
Apna samaan taiyaar karo.
328
00:22:46,336 --> 00:22:47,351
Chalo jao.
329
00:22:50,768 --> 00:22:52,353
Iskay waaldein fauj ka hissa thay
330
00:22:53,229 --> 00:22:55,231
aur dounon Skaikru kay hathiyaaroun
se maaray gaye.
331
00:22:56,260 --> 00:22:57,879
Tum logon nay jagah chhornay
ka faisla kar liya hai.
332
00:22:58,532 --> 00:23:02,226
Ye tum bhi jaanti ho ke hum Skaikru
ka saamna nahi kar saktay hain.
333
00:23:03,249 --> 00:23:07,361
Tumhara ye iqdaam jung keliye taiyaar
honay jaisa bahadur hai, Semet.
334
00:23:31,111 --> 00:23:33,246
-Ye kis cheez keliye hai?
-Tumhein lagta hai tum humein jaanti ho?
335
00:23:34,318 --> 00:23:35,940
Tumhein kuch nahi maalum, larki.
336
00:23:41,314 --> 00:23:43,663
Sab cheezain taiyaar hain.
Bas tumhein in sab se jorna hai.
337
00:23:44,681 --> 00:23:45,891
Kya main aik sawaal puchun?
338
00:23:46,705 --> 00:23:48,707
Dousri AI ko khila mein kyun rakha hoga?
339
00:23:50,170 --> 00:23:53,648
Meri maabood ko aik ziada mehfuz mahol
ki zarurat thi.
340
00:23:54,407 --> 00:23:55,617
Tou kya tum bhi khila mein gai thi?
341
00:23:56,453 --> 00:23:57,495
Nahi.
342
00:23:57,586 --> 00:24:01,013
Usay meri hi wajah se
aik mehfuz mahol darkaar tha.
343
00:24:08,328 --> 00:24:09,358
Woh ab jur chuki hai.
344
00:24:13,714 --> 00:24:14,725
Kaun jur gai hai?
345
00:24:14,884 --> 00:24:17,429
Jasper, tumhein yahan neechay aanay
ki ijazat nahi hai.
346
00:24:17,552 --> 00:24:18,999
Mujhe pabandiyoun se kabhi farq
nahi para hai.
347
00:24:19,440 --> 00:24:21,401
Kya ye Jaha ka samaan hai?
348
00:24:26,848 --> 00:24:28,066
Tumhein kya chahiye, Jasper?
349
00:24:28,657 --> 00:24:29,839
Main maafi maangnay aaya tha.
350
00:24:30,420 --> 00:24:33,628
Main nay shayad Finn ki raakh churai hogi
351
00:24:33,719 --> 00:24:35,596
aur dropship par phailai hogi.
352
00:24:37,291 --> 00:24:40,294
Tum ghussa tou nahi ho naa?
353
00:24:42,352 --> 00:24:43,395
Main ghussa nahi hun.
354
00:24:44,028 --> 00:24:45,076
Theek hai.
355
00:24:45,361 --> 00:24:48,952
Tum nay kaunsa nasha kiya huwa hai
aur main kaisay haasil kar sakta hun?
356
00:24:52,296 --> 00:24:53,310
Bohat aasaan baat hai.
357
00:24:55,028 --> 00:24:57,339
Main nay faisla kar liye
ke bas bohat kuch seh liya hai.
358
00:24:58,088 --> 00:24:59,548
Tum nay bhi bohat kuch saha hai, Jasper.
359
00:24:59,880 --> 00:25:02,842
Agar tum taiyaar ho
tou Jaha kay paas Key hai.
360
00:25:08,109 --> 00:25:09,110
Humein kuch waqt akela chhor do.
361
00:25:19,378 --> 00:25:22,086
Carl Emerson, Mount Weather
kay hifazati iqdaamaat sambhaaltay thay.
362
00:25:23,329 --> 00:25:25,165
Main nay woh laqab suna jis se
tumhein pukaara jaata hai...
363
00:25:25,483 --> 00:25:28,862
Wanheda, Maut ki Commander.
364
00:25:30,118 --> 00:25:33,553
Mujhe ye pata hona chahiye tha ke tum nay
pahaar ko tabah karnay ka hukam diya tha.
365
00:25:34,623 --> 00:25:36,333
Main nay Mount Weather tabah
nahi kiya tha.
366
00:25:37,458 --> 00:25:38,504
Tum nay kiya tha.
367
00:25:40,006 --> 00:25:41,841
381 log...
368
00:25:43,341 --> 00:25:45,093
jis mein se 182 mard thay...
369
00:25:45,959 --> 00:25:47,794
173 auratein thi...
370
00:25:49,787 --> 00:25:51,096
26 bachay thay.
371
00:25:54,416 --> 00:25:55,834
Jin mein se dou tou meray thay.
372
00:26:00,140 --> 00:26:02,851
Tumharay Sadar nay aur koyi chaara
nahi chhora tha.
373
00:26:08,221 --> 00:26:09,297
Kya baat hai?
374
00:26:11,170 --> 00:26:13,450
Tumhein apnay andar basay jalaad
ka saamna karna pasand nahi hai?
375
00:26:16,699 --> 00:26:20,351
Agar tumhein reham chahiye tou
tumhein uski iltijah mujhse karni hogi.
376
00:26:23,264 --> 00:26:24,641
Mujhe reham nahi chahiye.
377
00:26:26,226 --> 00:26:27,894
Mujhe apna badla pura karna hai.
378
00:26:29,025 --> 00:26:32,612
Jo kuch main nay saha hai,
waisa hi tum sab kuch saho.
379
00:26:36,383 --> 00:26:37,884
Tum mujhe marwa sakti ho, Clarke.
380
00:26:38,587 --> 00:26:40,464
Lekin tum apnay amaal
se kabhi munh nahi phair sakti ho.
381
00:26:40,659 --> 00:26:42,295
Meri takleef ka ikhtitaam aaj hoga!
382
00:26:42,535 --> 00:26:44,777
Tumhari takleef ki tou
abhi shuruwaat huwi hai!
383
00:26:53,694 --> 00:26:56,446
Titus, tum meray kamray
mein kya kar rahay ho?
384
00:26:59,730 --> 00:27:02,191
Tum nay aman ki itni baatein ki hain
385
00:27:03,497 --> 00:27:06,148
ke mujhe lagta hai waqt aagaya hai
ke ab hum bhi aapas mein sulaah kar lein.
386
00:27:08,132 --> 00:27:09,154
Theek hai.
387
00:27:20,478 --> 00:27:22,891
Main samajh sakta hun tum kis
soorat e haal se guzar rahi ho, Clarke.
388
00:27:23,037 --> 00:27:26,702
Lexa ko manaanay kay baad ke woh humaray
faujiyoun kay qatal ka badla na le
389
00:27:26,793 --> 00:27:28,250
ab tumharay liye khud mushkil hogaya hoga
390
00:27:28,621 --> 00:27:30,719
ke apna badla kaisay poora karo.
391
00:27:31,449 --> 00:27:32,963
Shayad tum ab ye samajh chuki hogi
392
00:27:33,054 --> 00:27:36,035
ke is laaye amal par chalna humari qom
keliye kitna mushkil hoga.
393
00:27:36,507 --> 00:27:39,176
Is ka taaluq tumhari fauj kay sath huwe
haadsay se nahi hai.
394
00:27:40,219 --> 00:27:41,613
Emerson qusoorwaar hai.
395
00:27:42,959 --> 00:27:45,160
Kuch logon ki ghalti ki wajah se
puri qom ka qatal karna
396
00:27:45,251 --> 00:27:46,399
insaaf nahi kehlaata hai.
397
00:27:46,602 --> 00:27:50,236
Kya tum nay kuch logon ki ghalti ki wajah
se uski qom ko tabah nahi kiya tha?
398
00:27:52,099 --> 00:27:55,500
Tum aik rehnuma ho, Clarke.
Lexa tumhari baat maanti hai.
399
00:27:58,934 --> 00:28:00,689
Uski hifazat karnay mein meri madad karo.
400
00:28:01,666 --> 00:28:03,499
Khoon ka badla khoon se naa lena
aik ehmaqaana baat hai.
401
00:28:03,590 --> 00:28:06,123
Humari qom is baat ko qubool nahi karegi
aur mujhe darr hai...
402
00:28:08,344 --> 00:28:10,225
Mujhe darr hai iski wajah se
woh maari naa jaye.
403
00:28:13,900 --> 00:28:15,852
Main tumhari aisay kaam
mein madad nahi kar sakti
404
00:28:15,943 --> 00:28:18,092
jis se meri qom kay khilaaf
jung chhir jaye.
405
00:28:30,104 --> 00:28:31,647
Phir tou hum aik kushmokash
mein aagaye hain.
406
00:28:49,585 --> 00:28:50,729
Kya is se koyi takleef hogi?
407
00:28:52,375 --> 00:28:53,398
Ye taiyaar hogaya hai.
408
00:28:55,043 --> 00:28:57,187
Is se takleef pohanchti nahi
balkeh takleef ka khaatma hota hai.
409
00:28:59,307 --> 00:29:02,730
Lekin agar meri takleef ka taaluq
jism se nahi
410
00:29:02,821 --> 00:29:05,205
balkeh dimagh se ziada ho, tou?
411
00:29:06,557 --> 00:29:07,828
Takleef jesi bhi ho
takleef kehlaati hai.
412
00:29:08,033 --> 00:29:09,299
Takleef jesi bhi ho
takleef kehlaati hai.
413
00:29:12,100 --> 00:29:14,300
Tumharay zakhamon
kay nishaan bohat gehray hain, Jasper.
414
00:29:17,071 --> 00:29:19,111
Zakham bharnay kay baad hi
uskay nishaan aatay hain.
415
00:29:26,489 --> 00:29:27,894
Main tum se dousri taraf milta hun.
416
00:29:30,635 --> 00:29:31,860
Kya main koyi mudaakhlat kar rahi hun?
417
00:29:33,601 --> 00:29:36,228
Bilkul bhi nahi. Aao humaray sath betho.
418
00:29:38,426 --> 00:29:39,517
Kya ye main dekh sakti hun?
419
00:29:45,935 --> 00:29:48,479
Is kay zariye tum shayad maujizaat
anjaam detay ho.
420
00:29:48,879 --> 00:29:49,905
Ye cheez hai kya?
421
00:29:50,264 --> 00:29:52,975
Aur mujhe nahi sunna ke isay Key
kehtay hain.
422
00:29:53,824 --> 00:29:55,159
Iskay peechay ki science batao mujhe.
423
00:29:56,283 --> 00:29:57,316
Koyi baat nahi.
424
00:29:58,255 --> 00:29:59,310
Tum isay batao.
425
00:30:01,381 --> 00:30:03,148
Ye aik silicon par mubni aala hai.
426
00:30:03,239 --> 00:30:06,817
Aik dafa jab isay khaa liya jaata hai
tou ye dimagh se jur jaati hai
427
00:30:06,908 --> 00:30:09,691
aur takleef milnay waalay zaraye
mein mudaakhlat karti hai
428
00:30:09,908 --> 00:30:14,096
jis se asaabi kamzoriyoun
ki nishurnuma ko rokti hai.
429
00:30:16,529 --> 00:30:18,074
Behtar hai isay bas Key kaha jaaye.
430
00:30:19,351 --> 00:30:21,713
Tumhein aiteraaz na ho tou kya
main iski jaanch partaal kar sakti hun?
431
00:30:21,842 --> 00:30:25,471
Mujhe bas dekhna hai ke iskay
koyi mazar asraat na hon.
432
00:30:25,932 --> 00:30:29,051
Kya tum nay iski jaanch kiye baghair
Wells ko khilaaya hota?
433
00:30:30,782 --> 00:30:31,809
Wells?
434
00:30:36,122 --> 00:30:37,141
Tumhara beta.
435
00:30:40,529 --> 00:30:41,533
Haan.
436
00:30:43,149 --> 00:30:45,359
Aray, haan, bilkul.
437
00:30:46,960 --> 00:30:48,378
Jasper, mujhe akelay mein
kuch baat karni hai.
438
00:30:49,473 --> 00:30:50,640
Kya mujhe ye waapis milegi?
439
00:30:51,547 --> 00:30:53,299
Abhi, jao yahan se.
440
00:31:00,597 --> 00:31:01,948
Main is amal ko abhi foran rok rahi hun.
441
00:31:03,873 --> 00:31:05,032
Iski koyi zarurat nahi hai.
442
00:31:05,123 --> 00:31:08,095
Abby, main nay apnay betay kay baaray
mein aik arsay se nahi socha hai.
443
00:31:09,525 --> 00:31:12,032
Maaf karna. Main nahi ijaazat deti
ke tum ye dousron ko khilao
444
00:31:12,123 --> 00:31:14,257
jab tak main iski khud jaanch partaal
nahi kar leti.
445
00:31:17,455 --> 00:31:20,125
Main takleef ko dur karnay
ki koshish kar raha hun
446
00:31:21,219 --> 00:31:22,434
bilkul jaisay tum kar rahi ho.
447
00:31:22,525 --> 00:31:23,612
Ye jo kuch bhi ho...
448
00:31:25,330 --> 00:31:27,541
takleef kay sath sath aur bhi bohat kuch
duur horaha hai is se.
449
00:31:42,134 --> 00:31:43,803
Hum isay apnay maqsad ko roknay
nahi day saktay.
450
00:31:44,539 --> 00:31:47,042
Fikar mat karo, Thelonious.
451
00:31:53,092 --> 00:31:54,510
Main us par nigah rakhunga.
452
00:32:14,812 --> 00:32:16,190
Jaal taiyaar ho chuka hai.
453
00:32:16,999 --> 00:32:19,600
Jaisay hi jaal bichh jayega
hum Polls ki taraf rawaana hojayengay.
454
00:32:20,689 --> 00:32:22,302
Humein iska qatal kar dena chahiye.
455
00:32:23,841 --> 00:32:26,271
Commander ko ye baat zarur sunaani hogi
456
00:32:26,362 --> 00:32:28,010
woh bhi is Khilaai Qom ki zubaani.
457
00:32:30,813 --> 00:32:32,189
Woh dekho! Woh aagaye hain.
458
00:32:46,702 --> 00:32:47,813
Mujhe kuch sunai nahi day raha.
459
00:32:48,362 --> 00:32:49,614
Shayad ghar par koyi nahi hai.
460
00:32:56,161 --> 00:32:58,247
Hello? Koyi maujood hai yahan?
461
00:32:58,753 --> 00:33:00,457
Shayad woh gaari ki roshni dekhtay
hi bhaag gaye.
462
00:33:12,326 --> 00:33:13,925
Roko usay, woh unko khabardaar kardegi!
463
00:33:18,691 --> 00:33:21,022
Isko roshan kardo!
Unkay aanay ka intezar karna.
464
00:33:34,570 --> 00:33:35,852
Meray daayein jaanib koyi hai.
465
00:33:37,271 --> 00:33:40,084
Bellamy! Unko wahan se bahar nikaalo!
466
00:33:40,770 --> 00:33:41,787
Ye aik jaal hai!
467
00:33:41,957 --> 00:33:42,957
Taiyaar hojao!
468
00:33:43,702 --> 00:33:46,642
-Nishaana lagao!
-Hum par humla huwa hai! Bacho!
469
00:33:47,963 --> 00:33:50,174
Ye zehreela dhwaan hai!
470
00:33:54,228 --> 00:33:55,649
Peechay hatto! Peechay hatto!
471
00:33:55,888 --> 00:33:58,599
Dhwein se peechay hatto.
Waapis se gaari ki taraf jao.
472
00:34:00,142 --> 00:34:02,311
Monty! Meri madad karo!
473
00:34:03,344 --> 00:34:06,273
-Mujhe jaanay dou!
-Meri madad karo!
474
00:34:07,775 --> 00:34:09,180
Mujhe usay bachana hi hoga.
475
00:34:09,568 --> 00:34:11,528
-Monroe!
-Monty!
476
00:34:11,945 --> 00:34:13,630
Peechay hatto! Peechay hatto!
477
00:34:13,989 --> 00:34:15,590
Hannah, chalo!
478
00:34:15,964 --> 00:34:16,986
Chalo!
479
00:34:17,076 --> 00:34:20,310
Monroe! Monroe!
480
00:34:29,963 --> 00:34:31,173
Monty!
481
00:34:33,300 --> 00:34:34,760
Monty, chalo.
482
00:34:35,012 --> 00:34:36,640
Humein isay dhwein se duur rakhna hoga.
483
00:34:49,525 --> 00:34:51,140
Inko humari khabar kaisay huwi?
484
00:34:56,704 --> 00:34:57,727
Monroe?
485
00:34:59,062 --> 00:35:00,563
-Monroe.
-Nahi.
486
00:35:01,288 --> 00:35:02,704
Ye tumhari behan ka kiya dhara hai.
487
00:35:04,142 --> 00:35:05,393
Usko is baat ki kaisay khabar thi?
488
00:35:06,404 --> 00:35:08,001
Humaray camp mein dhokay baaz bhi hain.
489
00:35:53,701 --> 00:35:55,204
Aaj raat hum sab ikhatta huwe hain,
490
00:35:56,434 --> 00:35:58,839
jaise hum kayi baar pehli bhi huay hain
491
00:35:59,219 --> 00:36:01,551
aik shakhs ko marta dekhnay
kay silsilay mein.
492
00:36:04,318 --> 00:36:05,389
Wanheda...
493
00:36:15,042 --> 00:36:16,572
Tum apna badla pura kar sakti ho.
494
00:36:38,567 --> 00:36:39,580
Nahi.
495
00:36:56,050 --> 00:36:58,290
Mujhe nahi ilm ke kya tumhari maut
se mujhe sukuun mil jayega.
496
00:36:59,320 --> 00:37:01,210
Bas itna pata hai
ke main iski haqdaar nahi.
497
00:37:02,580 --> 00:37:03,885
Is aadmi ko maarna parega.
498
00:37:04,935 --> 00:37:07,065
Agar aik Skaikru isay nahi maaregi
tou phir Heda maaregi.
499
00:37:07,090 --> 00:37:10,550
Heda apni baat kar sakti hai.
Bohat huwa, Titus.
500
00:37:10,640 --> 00:37:11,792
Ye kya bakwaas hai?
501
00:37:13,560 --> 00:37:15,750
Main tumhein tumharay kiye
ki wajah se nahi maarungi.
502
00:37:16,230 --> 00:37:18,006
Main tumhein apnay kiye
ki wajah se maarungi.
503
00:37:21,036 --> 00:37:23,527
Main is shakhs ko zindagi bakhshti hun.
504
00:37:25,989 --> 00:37:27,668
Khoon ka badla khoon zaruri nahi hai.
505
00:37:33,871 --> 00:37:35,071
Khaamosh raho sab!
506
00:37:35,135 --> 00:37:37,537
Pahaar par huwe jitnay bhi jurm thay
507
00:37:37,779 --> 00:37:39,603
uska azaala sirf aik aadmi
nahi kar sakta.
508
00:37:41,050 --> 00:37:42,600
Wanheda is baat ko samajhti hai.
509
00:37:44,568 --> 00:37:47,738
Iskay amal kay zariye humein
aik nayaa mustaqbil dikhta hai.
510
00:37:48,760 --> 00:37:52,749
Aik aisi duniya jis mein tashadud ka jawab
humesha tashadud se nahi milta,
511
00:37:54,290 --> 00:37:57,004
aik aisi duniya jis mein humari nasalein
aabaad ho sakti hain
512
00:37:57,746 --> 00:37:59,581
maut kay saaye kay baghair.
513
00:38:12,180 --> 00:38:14,771
Is qaidi ko humari saltanat ki jagahon
se nikaal diya jaayega.
514
00:38:15,355 --> 00:38:16,466
Ye zinda tou rahega,
515
00:38:16,700 --> 00:38:20,412
lekin ye apnay khowe huwe logon
kay bhooton kay humrah rahega
516
00:38:21,389 --> 00:38:23,432
jo iskay sath iskay martay dam
tak maujood hongay
517
00:38:23,767 --> 00:38:28,355
is baat ko mad-e-nazar rakhtay huwe
ke ye apni qom ka aakhri shakhs hai.
518
00:38:37,756 --> 00:38:39,132
Tumhari umar daraaz ho.
519
00:38:54,930 --> 00:38:56,400
Aap mujhse milna chahtay thay, sir?
520
00:39:02,396 --> 00:39:03,734
Tumhari tabiyat kesi hai?
521
00:39:04,010 --> 00:39:05,209
Kaafi behtar hun.
522
00:39:06,179 --> 00:39:07,755
Haan. Hum sab kaafi behtar hogaye hain.
523
00:39:10,934 --> 00:39:12,942
Mujhe tumhari behan kay baaray
mein baat karni hai.
524
00:39:13,715 --> 00:39:16,058
Uski wajah se humaray dou logon
ki maut huwi hai.
525
00:39:16,416 --> 00:39:20,121
Aur us khaak mein zehreeli raakh milnay se
woh zameen naakaara hogai hai.
526
00:39:20,212 --> 00:39:22,891
Is mein Grounders ka qusoor hai.
Octavia unhein khabardaar kar rahi thi.
527
00:39:22,982 --> 00:39:25,582
Haan, aur aisa unko khabardaar
karnay kay baad huwa hai.
528
00:39:34,440 --> 00:39:36,978
Humaray camp mein koyi maujood hai
jo usay khabar day raha hai.
529
00:39:37,522 --> 00:39:39,054
Main jaanna chahta hun
ke woh kaun hai.
530
00:39:39,673 --> 00:39:41,287
Hum dounon jaantay hain ke woh kaun hai.
531
00:39:43,949 --> 00:39:44,980
Kane.
532
00:39:50,472 --> 00:39:51,852
Humaray paas koyi saboot nahi hai.
533
00:39:54,320 --> 00:39:55,740
Humein saboot ikhata karnay hongay.
534
00:39:58,026 --> 00:39:59,042
Jee, sir.
535
00:40:02,710 --> 00:40:03,710
Tum ab jaa saktay ho.
536
00:40:12,390 --> 00:40:14,843
Baraaye meharbaani meri baat suno?
537
00:40:14,933 --> 00:40:17,144
Main Clarke kay baaray mein
aur kuch nahi jaanta hun.
538
00:40:17,386 --> 00:40:19,376
Suno. Main aur kuch nahi jaanta hun.
539
00:40:20,938 --> 00:40:22,128
Clarke ki baat chhoro.
540
00:40:23,730 --> 00:40:25,035
Mujhe iskay baaray mein batao.
541
00:40:26,587 --> 00:40:29,006
Humaray paas kuch razamand log hain
lekin Keys nahi hain.
542
00:40:29,094 --> 00:40:30,259
Ye aik maslay ki baat hogi.
543
00:40:30,640 --> 00:40:31,870
Aik waqt mein aik masla suljhaana hai.
544
00:40:32,091 --> 00:40:35,142
Alie kay code ya us jaisi koyi bhi alaamat
Ark par maujood nahi hai.
545
00:40:35,233 --> 00:40:36,396
Tumhein tou is baat ka yaqeen tha.
546
00:40:36,487 --> 00:40:38,691
Mujhe abhi bhi yaqeen hai ke Becca
khila mein gai thi.
547
00:40:38,790 --> 00:40:40,869
Badqismati kay sath ye waazeh hota hai
548
00:40:40,959 --> 00:40:43,840
ke woh un 12 stations mein se kisi par
nahi gai thi jis par Ark mushtamil hai.
549
00:40:44,820 --> 00:40:45,880
Mujhe maaf karna.
550
00:40:46,595 --> 00:40:49,086
Mujhe ehsaas hai ke tumharay liye
us AI ka pata lagana kitna zaruri hai.
551
00:40:49,176 --> 00:40:50,218
13.
552
00:40:53,567 --> 00:40:54,611
13?
553
00:40:56,362 --> 00:40:59,907
Ye sach hai ke Ark 12 stations
par mushtamil tha.
554
00:41:00,088 --> 00:41:01,778
Lekin wahan 13 honay chahiye thay.
555
00:41:02,325 --> 00:41:04,298
Mujhe aisi koyi bhi malumaat nahi mili.
556
00:41:05,171 --> 00:41:06,910
Woh is wajah se kyunke
usay alehda kar diya tha.
557
00:41:07,456 --> 00:41:10,370
Aik khilaai station ko tabah karna
takeh baaqi kay station joor sakein
558
00:41:10,461 --> 00:41:13,756
din kay aakhir mein ittehaad
ki misaal nahi kehlai jaati hai.
559
00:41:14,864 --> 00:41:17,620
Nahi. Thehro. Thehro.
Meri baat ko tou suno!
560
00:41:20,053 --> 00:41:21,096
Mujhe aur maalumaat dou.
561
00:41:21,450 --> 00:41:22,470
Kaash aisa mumkin hota.
562
00:41:22,857 --> 00:41:24,378
Mujhe bas ye ilm hai ke aisa huwa tha.
563
00:41:26,704 --> 00:41:27,989
POLARIS
564
00:41:28,131 --> 00:41:30,205
Aur itna pata hai
ke uska naam Polaris tha.
565
00:41:31,683 --> 00:41:33,310
Bas bhi karo!