1
00:00:00,949 --> 00:00:02,730
Ab tak "The 100" mein...
2
00:00:05,712 --> 00:00:06,732
Nightblood.
3
00:00:06,823 --> 00:00:09,217
Luna kay paas hai. Aur humein
is hi wajah se usay dhoondna hoga.
4
00:00:09,308 --> 00:00:11,100
Agar uski Alie 2 tak rasaai hai...
5
00:00:11,190 --> 00:00:12,972
Tou woh humein bata sakti hai
ke Alie 1 ko kaisay rokna hai.
6
00:00:13,063 --> 00:00:14,657
-Hum tumharay sath nahi chal rahay.
-Isko yaad aagaya hai
7
00:00:14,748 --> 00:00:17,247
ke Alie nay khud ko Ark kay markazi hissay
mein download kiya tha.
8
00:00:17,530 --> 00:00:20,276
Agar us mein ab tak code maujood hai tou
humein dousra raasta mil sakta hai.
9
00:00:20,456 --> 00:00:22,718
Skaikru, maut kay farishtay hotay hain.
10
00:00:22,863 --> 00:00:24,637
Hum tumhein aik mehfuz raasta kyun dain?
11
00:00:24,761 --> 00:00:26,943
Lincoln nay humein bheja hai.
12
00:00:28,578 --> 00:00:29,488
Luna.
13
00:00:29,579 --> 00:00:32,393
Yehi woh Flame hai
jis mein tamaam commander ki arwaah hain.
14
00:00:32,544 --> 00:00:35,006
Kya tum isay qubool kar kay
agli commander bano gi?
15
00:00:35,514 --> 00:00:36,550
Nahi.
16
00:00:41,040 --> 00:00:43,355
Roshniyoun kay Shehar ko aabaad karnay
ka waqt aagaya hai.
17
00:00:44,404 --> 00:00:45,819
Ab mazeed jung larnay ki zarurat nahi hai.
18
00:00:45,910 --> 00:00:48,974
Hum dounon ye baat jaantay hain ke main
kisi haal mein isay nahi niglunga.
19
00:00:51,130 --> 00:00:53,540
Tumhein jung mein hi mujhe maar dena
chahiye tha.
20
00:00:53,630 --> 00:00:56,358
Ye bahadur hai. Agar yahan se baahar
nikalna hai tou humein iski zarurat hogi.
21
00:00:56,449 --> 00:00:57,823
Meri baat suno!
22
00:00:57,914 --> 00:00:59,855
Jaha ki fauj kay tamaam sipaahiyoun
nay chip nigal rakhi hai.
23
00:00:59,946 --> 00:01:01,341
Iska matlab woh us waqt tak nahi rukengay
24
00:01:01,432 --> 00:01:03,472
jab tak ya tou hum unka saath
dein ya humein maut aajaye.
25
00:01:15,418 --> 00:01:17,694
Indra, mujhe aazaad karnay
ki zarurat nahi hai.
26
00:01:17,785 --> 00:01:19,958
Un Skaikru kay logon ka mansooba acha hai.
27
00:01:20,049 --> 00:01:21,390
Bhaagna koyi mansooba bandi nahi hoti.
28
00:01:21,480 --> 00:01:23,360
Isay bhaagna nahi
balkeh jaan bachaana kehtay hain.
29
00:01:23,451 --> 00:01:24,599
Kab tak bhaagtay raho gay?
30
00:01:24,690 --> 00:01:26,939
Hum is khatray ka kabhi na kabhi
shikaar ban jayengay.
31
00:01:27,030 --> 00:01:28,181
Ye larka theek keh raha hai.
32
00:01:28,272 --> 00:01:30,154
Hum bahar jaa kar ikhatta hon gay
takeh aur mazboot hon.
33
00:01:30,245 --> 00:01:33,228
-Ye jung ki munasib hikmat-e-amli hai.
-Meray paas aik behtar mansooba hai.
34
00:01:33,373 --> 00:01:35,378
Unkay rehnuma Jaha ka qatal karnay ka.
35
00:01:37,084 --> 00:01:39,176
Main aisay mansoobay ki himayat karta hun.
36
00:01:39,267 --> 00:01:41,085
Lekin badqismati se
woh unka rehnuma nahi hai.
37
00:01:41,176 --> 00:01:43,491
Baqiyon ki tarah usay bhi qaabu mein
kiya huwa hai us cheez nay...
38
00:01:46,260 --> 00:01:47,255
Kis cheez nay?
39
00:01:48,225 --> 00:01:49,135
Kuch bhi nahi.
40
00:01:50,861 --> 00:01:52,363
Kher, choro, bhool jao.
41
00:01:53,010 --> 00:01:54,900
John, aisi soorat-e-haal mein...
42
00:02:08,275 --> 00:02:10,020
Key nigalnay keliye kaun amaada hai?
43
00:02:16,035 --> 00:02:18,300
Hum mein se koyi bhi Key
nahi niglay ga.
44
00:02:31,507 --> 00:02:33,260
Iska ye haal hum nay nahi kiya hai.
45
00:02:34,757 --> 00:02:37,613
In mein se dhoondo
kis ki zanjeer khooli huwi hai.
46
00:03:08,519 --> 00:03:09,540
Acha chalo ab baat suno.
47
00:03:09,565 --> 00:03:11,733
In chaabiyon ko uthao.
Woh imdaadi fauj talab kar legi.
48
00:03:12,923 --> 00:03:14,763
Tum bol rahay thay ke Jaha
ko qaabu mein kiya huwa hai.
49
00:03:14,940 --> 00:03:16,510
Mujhe batao tum kya jaantay ho.
50
00:03:16,601 --> 00:03:19,457
Hoshiyaari is mein hai ke humein
surang kay zariye bhaag jaana chahiye
51
00:03:19,548 --> 00:03:21,321
is se pehlay ke Alie kay bhejay huwe
tolay aajayein.
52
00:03:21,412 --> 00:03:23,310
Agar tumharay paas
koyi kaam ki maalumaat hai...
53
00:03:23,400 --> 00:03:25,771
Humaray paas is sab keliye waqt nahi hai.
Chalo batao mujhe.
54
00:03:29,839 --> 00:03:30,983
Jaha ka backpack eham hai.
55
00:03:31,700 --> 00:03:34,105
-Kya hai us mein?
-Uskay zariye AI kaam karti hai.
56
00:03:34,196 --> 00:03:36,716
Aur agar hum usko tabah kar dein tou phir
hum us AI ko bhi khatam kar paayengay.
57
00:03:38,739 --> 00:03:39,904
Mujhe pata hai woh kahan hai.
58
00:03:40,813 --> 00:03:44,063
Pakray jaanay se pehlay main nay dekha tha
ke unho nay mandir mein usay rakha tha.
59
00:03:44,433 --> 00:03:45,996
Unko tawaqah hogi ke hum bhaagengay.
60
00:03:47,123 --> 00:03:48,467
Hum is baat se faida utha saktay hain.
61
00:03:49,011 --> 00:03:51,662
AI unkay peechay jaayegi
jo bhaag rahay hongay
62
00:03:52,154 --> 00:03:53,708
aur us doraan hum backback
tabah karnay jaayengay.
63
00:03:53,799 --> 00:03:54,750
Hum jaayengay?
64
00:03:55,996 --> 00:03:57,565
Main ye kaam akaila nahi kar sakta hun.
65
00:03:57,847 --> 00:04:00,432
Kya tum apnay logon
ko bachaana chahti ho ya nahi?
66
00:04:02,583 --> 00:04:03,845
Jao. Abhi.
67
00:04:04,617 --> 00:04:06,046
Inhein raasta dikhao.
68
00:04:06,268 --> 00:04:07,470
Chalo, bhaago.
69
00:04:09,955 --> 00:04:11,365
Tumhein kis baat ka intezaar hai?
70
00:04:15,034 --> 00:04:16,902
Un kay peechay buray log lag jayengay na?
71
00:04:18,139 --> 00:04:20,384
Main apni qismat tum dounon kay sath
aazmaana chahta hun.
72
00:04:22,224 --> 00:04:24,022
Tumharay waalid
ko tum par bohat fakhar hoga.
73
00:04:25,342 --> 00:04:26,730
Tou kya laahe amal hai?
74
00:04:29,254 --> 00:04:30,449
Bohat dehaan se rehna hai.
75
00:04:41,865 --> 00:04:42,820
Mujhe maaf karna.
76
00:04:42,986 --> 00:04:44,673
Mujhe unkay mansoobay
ka andaaza nahi huwa tha.
77
00:04:44,763 --> 00:04:45,880
Koyi baat nahi.
78
00:04:45,990 --> 00:04:47,550
Tum nay achi tarah khidmat ki hai.
79
00:04:47,965 --> 00:04:49,154
Ab tum ghar par aagaye ho.
80
00:04:49,628 --> 00:04:51,770
Aur uskay elaawa ab hum sabko
yahan muntaqil kar rahay hain.
81
00:04:51,916 --> 00:04:54,648
Abhi hee shuru kay
qaidi yahan muntaqil horahay hain.
82
00:05:01,363 --> 00:05:02,930
Is amal mein itna ziada waqt
tou nahi laga na?
83
00:05:03,290 --> 00:05:04,917
Mujhe ab samajh aagaya hai.
84
00:05:06,431 --> 00:05:08,256
Woh backpack tabah karnay jaa rahay hain.
85
00:05:09,573 --> 00:05:11,195
Phir hum is hijrat mein taakheer
kar letay hain.
86
00:05:12,611 --> 00:05:13,851
Uski koyi zarurat nahi hai.
87
00:05:15,019 --> 00:05:16,632
Taqreeban mukamal hi hogaya hai.
88
00:05:17,650 --> 00:05:19,170
Hum Emori ka sahaara phir le lengay.
89
00:05:23,470 --> 00:05:26,777
Emori, tum yahaan apnay nuqs
theek kar sakti ho.
90
00:05:28,237 --> 00:05:30,757
Agar koyi nuqs hotay
tou hi theek kar paati na.
91
00:05:31,470 --> 00:05:32,885
Main tumharay kis kaam aasakti hun, Alie?
92
00:05:32,983 --> 00:05:35,905
Tumhara dost John Murphy waapis
se mandir ki taraf barh raha hai
93
00:05:35,996 --> 00:05:37,326
nuqsaan pohanchaanay ki niyat se.
94
00:05:37,417 --> 00:05:39,645
Main chaahti hun tum usay roknay
mein meri madad karo.
95
00:06:18,715 --> 00:06:21,785
Meri jis jagah bhi nazar pari thi
wahan machhli ki khaal thi.
96
00:06:21,810 --> 00:06:24,200
Aur daant paray huwe thay.
Aur khoon tha.
97
00:06:24,602 --> 00:06:28,026
Mujhe pata tha ke agar unki nazar
mujh pe par gai tou agli baari meri hogi.
98
00:06:28,552 --> 00:06:32,149
Is liye main wahan sataah par tairti rahi
intezaar kartay huwe
99
00:06:32,598 --> 00:06:34,598
aur dua maangtay huwe
ke woh wahan se chalay jaayein.
100
00:06:34,857 --> 00:06:37,061
-Lekin woh wahan se nahi gaye.
-Woh aagai hai.
101
00:06:37,341 --> 00:06:38,988
Shayad us nay apna iraada badal liya hai.
102
00:06:40,110 --> 00:06:42,650
Akhir kaar main nay zindagi ya maut
ka faisla kiya.
103
00:06:42,741 --> 00:06:44,304
Aaj raat kashtiyaan aajayengi.
104
00:06:44,545 --> 00:06:47,719
-Phir tum log humesha keliye chalay jaana.
-Luna, humein baat samjhaanay do.
105
00:06:47,810 --> 00:06:50,135
-Main mana kar chuki hun.
-Nahi, tumhein ye jaanna hoga.
106
00:06:53,986 --> 00:06:57,397
Wahan koyi aisi cheez maujood hai
jis se hum sab barbaad hojayengay.
107
00:06:58,317 --> 00:07:00,776
Woh jo kuch bhi hai,
yahan tak nahi pohanch saktay.
108
00:07:03,506 --> 00:07:06,476
Woh apnay daanton ko peesta
mujhe dekh raha tha.
109
00:07:09,766 --> 00:07:10,886
Mujhe tum se baat karni hai.
110
00:07:13,253 --> 00:07:15,151
Ye ishaara meray liye hai.
111
00:07:18,008 --> 00:07:22,086
Gehraai mein se koyi bari si cheez
ubhartay huwe nikli thi.
112
00:07:22,301 --> 00:07:24,307
Aik bara sa haiwaan...
113
00:07:24,398 --> 00:07:26,008
Tumhein shayad iski waapis zarurat hogi.
114
00:07:28,730 --> 00:07:29,730
Shukriya.
115
00:07:31,180 --> 00:07:32,290
Aur meri talwaar kahan hai?
116
00:07:32,575 --> 00:07:34,576
Tumharay hathiyaar
kashti par maujood hongay.
117
00:07:37,557 --> 00:07:39,648
Azeem Luna kay baaray mein
itna kuch samjha aata hai
118
00:07:39,673 --> 00:07:41,395
ke woh zarurat mandon ko bachaati hai.
119
00:07:42,191 --> 00:07:43,561
Tum bachaao nahi chahti ho.
120
00:07:44,086 --> 00:07:45,846
Tum chahti ho ke koyi jung mein
tumhara sath day.
121
00:07:46,252 --> 00:07:48,060
Bilkul sahi kaha.
Hum aik jung lar rahay hain.
122
00:07:48,927 --> 00:07:50,988
Luna, tum is baat
ko nazar andaaz nahi kar sakti ho.
123
00:07:53,510 --> 00:07:55,447
Lincoln bhi yehi chahta
ke tum humari madad karo.
124
00:07:55,708 --> 00:07:57,168
Aik Commander ban kar?
125
00:07:58,255 --> 00:07:59,333
Mujhe aisa nahi lagta.
126
00:07:59,964 --> 00:08:01,711
Lincoln ko humaray qawaaid o zawabit
maalum thay.
127
00:08:02,629 --> 00:08:05,279
Hum unhein panah detay hain
jo ab larna nahi chahtay.
128
00:08:05,963 --> 00:08:07,363
Jo ab qatal karna nahi chahtay.
129
00:08:08,256 --> 00:08:09,428
Khud ko dekho.
130
00:08:10,511 --> 00:08:12,002
Tum sirf larna hi jaanti ho.
131
00:08:13,091 --> 00:08:15,791
Tum sirf maarna jaanti ho.
132
00:08:16,970 --> 00:08:19,286
Lincoln aisi guzaarish liye yahan kabhi
bhi nahi aata.
133
00:08:19,961 --> 00:08:21,421
Main zindagi bhar keliye uski maqrooz hun.
134
00:08:38,732 --> 00:08:41,534
Mujhe yaqeen nahi aata Alie kay paas
itni awaam hogai hai.
135
00:08:41,658 --> 00:08:43,954
Tumhein ye jhoond dikhai day raha hai?
Ye aik imaarat hai.
136
00:08:44,839 --> 00:08:47,585
Lekin ye sab jo hain
woh logon kay dimagh hain.
137
00:08:48,069 --> 00:08:50,084
Ye jagah un se bhari pari hai.
Hazaaron ki tadaad mein hain.
138
00:08:50,207 --> 00:08:51,941
Usnay Polis par bhi qabza kar liya hai.
139
00:08:52,032 --> 00:08:53,414
Alie ki fauj barhhti jaa rahi hai.
140
00:08:53,505 --> 00:08:55,671
Hum andar jaanay mein jitni dair karengay
uski taaqat utni barhhti jayegi.
141
00:08:55,758 --> 00:08:58,535
Tum andar jaanay ka soch rahi ho?
Nahi, Raven. Humara laahe amal...
142
00:08:58,560 --> 00:09:01,006
Humesha ki tarah Clarke
ka intezar karna hai na.
143
00:09:02,010 --> 00:09:03,644
Lekin kya pata ye hum
khud anjaam day sakein?
144
00:09:04,455 --> 00:09:06,159
Humaray paas Becca kay dousray raastay
ka password hai.
145
00:09:06,602 --> 00:09:07,566
Main bhi saath mein hun.
146
00:09:07,657 --> 00:09:10,507
Tum nay kaha tha jis lamhay hum password
istemal karengay, Alie ko khabar hojayegi.
147
00:09:10,701 --> 00:09:12,620
Haan shayad usay pata chal jayega.
148
00:09:12,711 --> 00:09:14,309
Iska matlab humaray paas
sirf aik moqah hai.
149
00:09:14,579 --> 00:09:16,147
Kya is kitaab mein koyi
aisa qaatilaana code hai
150
00:09:16,238 --> 00:09:17,480
jo tum nay mujhe bataaya na ho?
151
00:09:17,830 --> 00:09:19,108
Phir hum mansoobay par hi amal karengay.
152
00:09:19,215 --> 00:09:21,122
Clarke ja kar Luna ko Flame degi.
153
00:09:21,213 --> 00:09:23,483
Us Flame mein maujood AI jo hai
woh Luna ko qaatilaana code degi.
154
00:09:23,574 --> 00:09:25,724
Hum apnay aik moqay ka faida utha kar
us code ko yahan daakhil karengay
155
00:09:25,815 --> 00:09:27,052
aur bas phir kaam tamaam hojayega.
156
00:09:27,337 --> 00:09:28,713
Mujhe ye muhawara nahi pasand hai.
157
00:09:32,669 --> 00:09:33,591
Shabaash.
158
00:09:33,941 --> 00:09:36,023
Bas naqsha taiyaar kartay hain.
Tumhein aur kya dikh raha hai?
159
00:09:36,941 --> 00:09:39,147
Humari jagah mehfuz hai.
Bryan aur Miller nigraani kar rahay hain.
160
00:09:39,237 --> 00:09:40,487
Yahan kaisay maamlaat hain?
161
00:09:42,538 --> 00:09:43,664
Achay nahi chal rahay na?
162
00:09:46,750 --> 00:09:47,719
Thora sa waqfa le lo.
163
00:09:47,810 --> 00:09:50,105
Junoob mein maujood airlock
ko mehfuz karnay mein meri madad kar do.
164
00:09:51,290 --> 00:09:54,711
Chalay jao. Mujh par bharosa nahi hai
tou ye kitaab apnay sath le jao.
165
00:09:55,197 --> 00:09:56,635
Tumhein Becca ka password yaad hai.
166
00:09:56,726 --> 00:09:58,497
Phir tou shayad tumhein mujh par bharosa
karna hi parega.
167
00:10:09,924 --> 00:10:11,063
Mujhe uski fikar horahi hai.
168
00:10:11,322 --> 00:10:13,854
-Woh dou dinon se kaam par lagi huwi hai.
-Tumhara bhi yehi haal hai.
169
00:10:13,955 --> 00:10:15,969
Haan, lekin main khud ko sambhaalnay
ki koshish tou kar raha hun,
170
00:10:16,462 --> 00:10:17,593
Sach keh raha hun.
171
00:10:17,684 --> 00:10:20,202
Alie kay code ko dekh kar, mujhe physics
kay aam ehkaamaat dikhtay hain
172
00:10:20,227 --> 00:10:21,835
aur uski kaarkirdagi behtar karnay
ka nizaam hai.
173
00:10:21,920 --> 00:10:24,135
Raven ko Roshniyoun ka Shehar dikhta hai.
174
00:10:24,298 --> 00:10:26,267
Uskay liye woh sirf code nahi
balkeh haqeeqat hai.
175
00:10:29,945 --> 00:10:31,570
Kya hum airlock kay paas nahi jaa rahay?
176
00:10:32,204 --> 00:10:33,607
Usko pehlay hi band kar diya hai.
177
00:10:36,359 --> 00:10:39,237
-Kya tum theek ho?
-Haan, main theek hun.
178
00:10:41,297 --> 00:10:42,622
Main bas ye soch rahi thi...
179
00:10:43,988 --> 00:10:46,619
ke dou dinoun se kisi nay humein maarnay
ki koshish nahi ki.
180
00:10:46,887 --> 00:10:48,459
-Par aisa khatam thori hoga.
-Mujhe pata hai.
181
00:10:49,856 --> 00:10:51,840
Lekin kya ab hum is khof
mein bethay rahengay
182
00:10:51,882 --> 00:10:53,588
ke hum par kabhi bhi humla ho sakta hai?
183
00:10:53,728 --> 00:10:55,509
Humaray paas
aur koi raasta bhi nahin hai.
184
00:10:57,874 --> 00:10:59,223
Shayad hai.
185
00:11:08,616 --> 00:11:10,880
Tum jo thi, wohi ho na?
186
00:11:10,971 --> 00:11:13,503
Tum par tou masnooi zahanat
ka asar nahi huwa hai na?
187
00:11:14,336 --> 00:11:15,570
Main waisi hi hun, jaisi pehlay thi.
188
00:11:16,282 --> 00:11:17,255
Zabardast.
189
00:11:20,913 --> 00:11:22,081
Uff, meray Khudaaya.
190
00:11:49,198 --> 00:11:50,767
-Shukriya.
-Koyi baat nahi.
191
00:11:52,183 --> 00:11:54,108
Kya us shark ka waqiya tumharay sath
waaqai mein huwa tha?
192
00:11:56,048 --> 00:11:57,086
Thori bohat had tak huwa tha.
193
00:11:57,730 --> 00:11:59,816
Main jab bhi sunaati hun
tou kahani behtar ban jaati hai.
194
00:12:02,159 --> 00:12:03,857
Kya tumhara taaluq
waqai mein khila se hai?
195
00:12:04,325 --> 00:12:05,303
Haan.
196
00:12:08,403 --> 00:12:10,523
Main tou kabhi
is rig se bahar bhi nahi gai hun.
197
00:12:11,523 --> 00:12:13,676
Sahi bataun tou ye achi baat hai.
198
00:12:16,706 --> 00:12:17,860
Mera naam Jasper hai.
199
00:12:18,161 --> 00:12:20,111
-Mera naam Shay hai.
-Tum se mil kar khushi huwi.
200
00:12:25,447 --> 00:12:27,153
Jasper waqai mein muskura raha hai.
201
00:12:33,253 --> 00:12:35,425
Clarke. Jaanay bhi do is baat ko.
202
00:12:36,561 --> 00:12:38,114
Hum baghair kaam huwe nahi jaa saktay.
203
00:12:38,205 --> 00:12:40,152
Humaray paas
aur koi raasta nahin hai.
204
00:12:41,458 --> 00:12:42,737
Shayad hai.
205
00:12:44,051 --> 00:12:45,534
Tum kis baaray mein baat kar rahi ho?
206
00:12:46,208 --> 00:12:49,534
Main bol rahi hun ke us se baghair puchay
ye us kay dimagh mein ghusa detay hain.
207
00:12:50,376 --> 00:12:53,197
Aisa hargiz nahi kar saktay, Clarke.
Ye Emerson jesi soorat-e-haal nahi hai.
208
00:12:53,288 --> 00:12:54,972
Woh humein maarnay
ki koshish kar raha tha.
209
00:12:55,063 --> 00:12:58,313
-Tumhein lagta hai main nahi jaanti thi?
-Clarke, aisa karnay ki zarurat nahi hai.
210
00:12:58,781 --> 00:13:01,024
Hum jung larnay kay baad
waapis Arkadia jaa saktay hain.
211
00:13:01,115 --> 00:13:02,905
-Hum hathiyaar utha lengay.
-Kis se larengay?
212
00:13:03,352 --> 00:13:05,109
Woh fauj humaray logon par mubni hai.
213
00:13:06,497 --> 00:13:08,380
Tumhari tarah mujhe bhi
yehi tareeqa pasand nahin.
214
00:13:08,569 --> 00:13:12,306
Lekin agar Raven theek keh rahi hai aur
is mein maujood code Alie ko rok sakta...
215
00:13:17,528 --> 00:13:18,869
Mujhe koyi behtar mansooba batao.
216
00:13:23,897 --> 00:13:24,958
Hum yaheen rukengay.
217
00:13:25,049 --> 00:13:27,375
Sirf is tarah tumhein uskay sath
akailay rehnay ka mauqa mil sakega.
218
00:13:30,038 --> 00:13:32,540
Alie bhi logon ko mauqa deti hai.
219
00:13:33,002 --> 00:13:35,410
Hum nay Luna ko mauqa diya tha.
220
00:13:36,906 --> 00:13:37,991
Us nay inkaar kar diya.
221
00:13:48,916 --> 00:13:51,626
Mujhe... Mujhe ab waapis jaana chahiye.
222
00:13:51,717 --> 00:13:55,813
Nahi. Hargiz nahi. Kuch dair keliye
haqeeqat ko intezar karaaya ja sakta hai.
223
00:14:07,415 --> 00:14:09,573
Mujhe itnay arsay
se aisa mehsus nahi huwa.
224
00:14:10,839 --> 00:14:11,843
Khush ho?
225
00:14:12,871 --> 00:14:13,819
Haan.
226
00:14:14,908 --> 00:14:16,337
Aur mehfuz bhi mehsus kar rahi hun.
227
00:14:19,200 --> 00:14:21,437
Shuker hai tum milay. Chalo jaldi aao,
mujhe kuch zaruri mila hai.
228
00:14:25,740 --> 00:14:26,675
Woh bilkul yahan maujood hai.
229
00:14:26,766 --> 00:14:28,692
-Woh kya cheez hai?
-In hifazati iqdaamaat ko dekho.
230
00:14:28,783 --> 00:14:30,986
Alie kay pooray code mein
sab se sakht iqdaam is taraf hain.
231
00:14:31,077 --> 00:14:32,768
-Firewall?
-Aik qilay ki tarah mehfuz hai.
232
00:14:32,857 --> 00:14:34,037
Woh isay Citadel kehti hai.
233
00:14:34,127 --> 00:14:35,417
Is se pooray shehar ki nigraani hoti hai.
234
00:14:35,507 --> 00:14:37,375
Isay paani se alag kiya huwa hai
jaisay ke koyi khaai ho...
235
00:14:37,466 --> 00:14:38,961
Araam se batao ke kya samjha rahi ho?
236
00:14:39,052 --> 00:14:41,012
Main keh rahi hun
ke woh kuch chhupa rahi hai.
237
00:14:42,587 --> 00:14:43,574
-Nahi.
-Monty.
238
00:14:43,665 --> 00:14:44,895
-Nahi.
-Becca kay password kay zariye,
239
00:14:44,986 --> 00:14:47,617
-main code ko tabdeel kar sakti hun.
-Hum is par behas kar chukay hain.
240
00:14:47,707 --> 00:14:49,587
Hum uska bahar se hi naqsha banayengay.
Hum andar nahi jaayengay.
241
00:14:49,677 --> 00:14:51,657
Hum andar jaaye baghair nahi pata laga
saktay ke woh kya chhupa rahi hai.
242
00:14:51,682 --> 00:14:54,044
Jab dousray waapis aajayengay tou unhein
bhi bata kar sath faisla karengay.
243
00:14:54,136 --> 00:14:55,369
Aur agar baaqi sab waapis nahi aaye?
244
00:14:55,465 --> 00:14:56,900
Woh waapis zarur aayengay.
245
00:14:57,458 --> 00:15:00,299
Aur woh aik supercomputer sath mein
laayengay jo iskay liye bana hai.
246
00:15:00,760 --> 00:15:02,730
Tum apnay kaam mein behtareen hogi, Raven,
247
00:15:03,883 --> 00:15:05,197
lekin tum aik AI tou nahi ho na.
248
00:15:09,017 --> 00:15:10,137
Mujhe is baat se nafrat hai.
249
00:15:11,401 --> 00:15:12,401
Mujhe pata hai.
250
00:15:13,369 --> 00:15:14,819
Thori dair sojao gi
tou behtar mehsus karo gi.
251
00:15:16,408 --> 00:15:19,595
Main naqsha banati rehti hun, kya pata
uski koyi aur kamzori bhi ho.
252
00:15:23,208 --> 00:15:24,660
Chalo sath mil kar kaam kartay hain.
253
00:15:26,375 --> 00:15:28,225
Mera waada hai ke main tumhara waqt
barbaad nahi karunga.
254
00:15:28,387 --> 00:15:29,867
Main bas tumharay sath maujood hunga.
255
00:15:36,319 --> 00:15:40,856
Khayaal rakhna ke tum khud na phans jao.
Hum bachon ka shikaar nahi kartay.
256
00:15:42,922 --> 00:15:46,847
Ye zaruri hai ke hum sab sath
mein mil kar kaam karein.
257
00:15:49,226 --> 00:15:51,276
Khila se aanay waali larki
tum se baat karna chahti hai.
258
00:15:52,165 --> 00:15:54,849
Waisay maanna parega
ke woh datti rehti hai.
259
00:15:55,415 --> 00:15:57,047
Aaj keliye sabaq pura huwa.
260
00:15:57,406 --> 00:16:01,235
Jaao machhli kay jaal taiyaar karnay mein
Derrick ki madad karo.
261
00:16:19,479 --> 00:16:20,598
Kya ye bachay yaheen paida huwe thay?
262
00:16:20,941 --> 00:16:22,003
In mein se kuch huwe thay.
263
00:16:22,395 --> 00:16:23,966
Ziada tar jung se aaye huwe
yateem bachay thay.
264
00:16:24,097 --> 00:16:26,193
Ya us aqeeday se bhaag kar aagaye
jis par yaqeen nahi rakhtay thay.
265
00:16:27,218 --> 00:16:28,898
Jaisay ke tum intikhaabi jalsay
se bhaag aai thi.
266
00:16:30,891 --> 00:16:32,644
Titus nay meray baaray mein
tumhein kya bataaya hai?
267
00:16:35,079 --> 00:16:36,234
Ke tum buzdil thi.
268
00:16:37,322 --> 00:16:38,827
Khaandaan se ghadaari ki thi tum nay.
269
00:16:41,628 --> 00:16:43,272
Haan, Titus aisi hi baatein karta hai.
270
00:16:44,853 --> 00:16:47,293
Lexa ki maut uskay liye afsos naak hogi.
271
00:16:47,887 --> 00:16:49,247
Woh usay sab se ziada pasand karta tha.
272
00:16:53,237 --> 00:16:54,323
Tumhein Lexa ki parwa thi.
273
00:16:56,872 --> 00:16:57,916
Haan.
274
00:16:59,053 --> 00:17:00,486
Lexa bohat khaas thi.
275
00:17:02,095 --> 00:17:04,157
Woh aman o ittehaad
ki taraf kaam kar rahi thi.
276
00:17:05,047 --> 00:17:06,857
Khoon ka badla khoon nahi hona chahiye.
277
00:17:09,480 --> 00:17:11,441
Jo usnay shuru kiya tum usay mukamal
kar sakti ho.
278
00:17:11,891 --> 00:17:14,021
Yahan bhi aman maujood hai.
279
00:17:14,325 --> 00:17:18,035
Luna, ye Flame tumhara paidaaishi haq hai.
280
00:17:18,713 --> 00:17:21,024
Baraaye meharbaani isko nigal lo.
281
00:17:21,917 --> 00:17:23,957
Sirf tum hi humein bacha sakti ho.
282
00:17:25,296 --> 00:17:29,067
Jaan bachaanay kay chakar mein
kitni aur jaanein jaayengi?
283
00:17:30,867 --> 00:17:33,155
Kuch log is laaiq hotay hain
ke unka qatal kiya jaaye.
284
00:17:33,758 --> 00:17:34,937
Main nahin maanti.
285
00:17:38,259 --> 00:17:39,958
Jaag utho.
286
00:17:51,601 --> 00:17:55,267
Main intikhaabi jalsay se haarnay kay darr
ki wajah se nahi bhaagi thi.
287
00:17:55,872 --> 00:17:58,473
Main isliye bhaagi thi kyunke mujhe
pata tha ke main jeet jaaungi.
288
00:18:01,827 --> 00:18:03,341
Tumhein shukar adaa karna chahiye, Clarke.
289
00:18:04,239 --> 00:18:07,697
Jab mujhe pehlay marhalay mein zabardasti
apnay bhai ka qatal karna para tha
290
00:18:08,028 --> 00:18:10,312
tou aglay marhalay mein
mera muqaabla Lexa kay sath tha.
291
00:18:11,477 --> 00:18:13,367
Kya tumhein nahi lagta
qismat is tarah mazaaq karti hai?
292
00:18:15,029 --> 00:18:16,761
Tumhein ye jaatay waqt mil jaayega.
293
00:18:29,175 --> 00:18:31,183
Yaad rakhna, unko maarnay keliye
goli mat chalaana.
294
00:18:31,274 --> 00:18:32,356
Humein unki zarurat hai.
295
00:18:33,101 --> 00:18:35,060
Tumharay maabood nay tumhein chhora kyun?
296
00:18:35,871 --> 00:18:37,084
Mujhe nahi pata.
297
00:18:38,079 --> 00:18:40,773
Lekin jab main us se phir se milungi
tou zarur puchungi.
298
00:18:40,900 --> 00:18:42,673
Kya tumhein yaqeen hai
ke woh flame mein hai?
299
00:18:42,764 --> 00:18:43,715
Haan.
300
00:18:44,583 --> 00:18:46,068
Aur agar meri maalumaat sahi hai
301
00:18:46,159 --> 00:18:50,167
tou uskay muttabiq iskay zariye
sab kay dimaagh aik saath jur jaatay hain
302
00:18:51,027 --> 00:18:53,127
jiski shuruwaat meray maabood nay ki thi.
303
00:18:54,140 --> 00:18:55,921
Nahi, usay mat maarna.
304
00:18:57,627 --> 00:18:59,526
Woh jaantay hain ke hum yahaan hain.
Darwaaza band kar do.
305
00:19:01,363 --> 00:19:03,453
Main ye hathiyaar ikhata karta hun.
Humein inki zarurat paregi.
306
00:19:09,781 --> 00:19:11,283
Woh is Pod ko tawaanai
faraham kar rahay hain.
307
00:19:16,132 --> 00:19:17,843
Aur us khufiya raastay ka kiya karna hai?
308
00:19:19,267 --> 00:19:22,127
Usko ab tak khabar hojayegi.
Main usay taala laga deta hun.
309
00:19:22,359 --> 00:19:23,557
Nahi, aisa mat karna.
310
00:19:26,223 --> 00:19:27,545
Us nay humein aatay huwe nahi dekha.
311
00:19:28,989 --> 00:19:30,739
Aur uskay elawa,
woh humaray bhaagnay mein kaam aayega.
312
00:19:33,072 --> 00:19:34,572
Tumhara shukriya, Titus.
313
00:19:40,503 --> 00:19:41,477
John.
314
00:19:42,464 --> 00:19:44,527
Ye aik nuclear tawaanai ka cell hai, John.
315
00:19:46,994 --> 00:19:49,440
Iska asar pooray shehar par hojayega.
316
00:19:52,872 --> 00:19:54,241
Tou phir hum isay kaisay tabah karein?
317
00:19:59,401 --> 00:20:00,480
Ehtiyaat se.
318
00:20:06,931 --> 00:20:09,401
-Jasper kahan hai?
-Apni nai saheli ko alvida kar raha hai.
319
00:20:19,703 --> 00:20:22,304
Maaf karna, captain.
Tumhein inhein waapis lay kar jaana hai.
320
00:20:23,397 --> 00:20:24,483
Ye tum logon ka samaan hai.
321
00:20:25,118 --> 00:20:26,880
Dousri taraf pohanchnay kay baad
hathiyaar mil jaayengay.
322
00:20:27,105 --> 00:20:28,126
Chalo ab andar jao.
323
00:20:31,048 --> 00:20:31,965
Flame kahan hai?
324
00:20:33,317 --> 00:20:34,637
Yaad rakhna, Clarke.
325
00:20:35,459 --> 00:20:37,261
Khud ki marzi hoti hai fasaad
kay raastay par chalna.
326
00:20:37,352 --> 00:20:38,269
Ye yahan maujood hai.
327
00:20:38,360 --> 00:20:40,766
Jab faisla larnay ya marnay
kay beech karna ho
328
00:20:40,884 --> 00:20:42,487
tou phir kisi ki marzi nahi chalti.
329
00:20:48,164 --> 00:20:50,865
Unho nay Flame apnay paas rakh li.
Woh humein qaid kar rahay hain.
330
00:20:51,972 --> 00:20:52,872
Aray!
331
00:20:53,219 --> 00:20:54,261
Ye kya harkat hai?
332
00:20:55,229 --> 00:20:57,111
Luna kay sipaahi us par hi humla
kar rahay hain.
333
00:20:58,330 --> 00:20:59,350
Alie yahan aa chuki hai.
334
00:21:02,631 --> 00:21:04,296
Tum chaho tou yahan phir se aa saktay ho.
335
00:21:04,605 --> 00:21:06,707
Mujhe kisi wajah se lag raha hai
ke ye itni aasaan baat nahi hai.
336
00:21:07,248 --> 00:21:09,765
Aur waisay yahan acha mehsus horaha hai.
337
00:21:10,088 --> 00:21:11,906
Mujhse tou yahan sab bighar jaayega.
338
00:21:16,913 --> 00:21:18,983
Shay, bhaago ke is se pehlay...
339
00:21:21,172 --> 00:21:22,187
Woh yahan aachuki hai.
340
00:21:22,605 --> 00:21:23,865
Isko meri maujoodgi ka ilm hai.
341
00:21:24,136 --> 00:21:26,583
Jao. Apni qom ko bolna ke woh chip
ko mat niglein!
342
00:21:26,717 --> 00:21:28,071
Woh larki dousron ko khabardaar na karay.
343
00:21:28,121 --> 00:21:29,180
Jao, foran se bhaago!
344
00:21:32,092 --> 00:21:32,995
Nahi.
345
00:21:37,687 --> 00:21:38,687
Nahi.
346
00:22:04,730 --> 00:22:05,820
Usay akaila chhor do!
347
00:22:06,776 --> 00:22:07,986
Tum kya kar rahay ho?
348
00:22:10,347 --> 00:22:11,298
Derrick.
349
00:22:13,077 --> 00:22:16,584
-Tum aisa kyun kar rahay ho?
-Main tumhein maar daalunga! Mat karo!
350
00:22:17,504 --> 00:22:19,777
Uskay sath aisa mat karo! Nahi!
351
00:22:29,750 --> 00:22:32,016
Alie is jagah ko dhoondnay mein
kaisay kamiyab huwi?
352
00:22:35,997 --> 00:22:37,587
Niylah ki taraf aik drone aaya tha.
353
00:22:38,074 --> 00:22:39,863
Us nay Flame dhoondnay keliye
humara peecha kiya hoga
354
00:22:39,888 --> 00:22:41,221
aur ab woh uskay qabzay mein hai.
355
00:22:43,553 --> 00:22:45,038
Aisa mat karo! Ruk jao!
356
00:22:51,121 --> 00:22:53,141
Is Key ko nigal jaao
aur phir kuch nahi hoga tumharay sath.
357
00:22:53,511 --> 00:22:54,804
Tumhein kya hogaya hai?
358
00:22:55,537 --> 00:22:56,773
Ye hosh mein nahin hai.
359
00:22:57,332 --> 00:22:59,069
Aur iski wajah
iskay hath mein maujood chip hai.
360
00:23:00,910 --> 00:23:03,807
Jasper humaray amal
mein rukawat laa raha hai.
361
00:23:03,832 --> 00:23:05,626
Usko Key khilaani hi paregi.
362
00:23:13,641 --> 00:23:14,597
Phir se dohrao.
363
00:23:19,272 --> 00:23:20,995
Woh Luna kay andar us AI ko ghusa degi.
364
00:23:22,849 --> 00:23:24,337
Usko Flame pehlay nigalna hoga.
365
00:23:26,958 --> 00:23:29,397
Agar Luna ko AI se milnay se pehlay
Key khila di jayegi
366
00:23:30,087 --> 00:23:31,735
tou Alie ko sab pata chal jayega.
367
00:23:32,733 --> 00:23:34,403
Hum usay kabhi nahi rok sakengay.
368
00:23:34,494 --> 00:23:35,962
Hum aisa honay nahi day saktay hain.
369
00:23:36,696 --> 00:23:37,617
Suno!
370
00:23:49,153 --> 00:23:50,393
Mujhe maaf karna, Luna.
371
00:23:53,825 --> 00:23:54,923
Mujhse ab bardaasht nahi hota.
372
00:23:54,948 --> 00:23:57,760
Agar tum ruk jao gay,
tou main Key nigalnay keliye taiyaar hun.
373
00:23:59,449 --> 00:24:00,446
Main taiyaar hun.
374
00:24:01,992 --> 00:24:02,931
Theek hai.
375
00:24:21,579 --> 00:24:22,652
Derrick.
376
00:24:36,833 --> 00:24:38,499
Tumhein sirf ye Key hi tou nigalni hai.
377
00:24:54,533 --> 00:24:56,998
Jaldi karo. Ye darwaaza ziada dair
tak salamat nahi bachega.
378
00:24:57,089 --> 00:24:59,079
Phir tum khud bhi hathiyaar utha lo.
379
00:25:00,769 --> 00:25:02,903
Tum sab yahan andar maaray jao gay, John.
380
00:25:05,255 --> 00:25:06,525
Jaldi karo, Thelonious.
381
00:25:06,616 --> 00:25:08,806
Abhi tak hijrat mukamal nahi huwi hai.
382
00:25:09,008 --> 00:25:11,205
Hum abhi tak soorang ka daakhli raasta
talaash kar rahay hain.
383
00:25:11,497 --> 00:25:14,355
Jab sipaahi darwaaza tor dengay
tou main waheen maujood hunga.
384
00:25:14,747 --> 00:25:15,716
Achi baat hai.
385
00:25:16,952 --> 00:25:18,642
John Murphy aur Claire Griffin saath thay
386
00:25:18,667 --> 00:25:21,501
jab unho nay dousri AI ko aakhri Commander
mein se nikaala tha.
387
00:25:21,691 --> 00:25:25,692
Agar us se Luna mein woh nahi ghusaya gaya
tou humein woh salamat chahiye hoga.
388
00:25:44,687 --> 00:25:46,260
Main tumhein barbaad karnay aarahi hun.
389
00:25:47,587 --> 00:25:48,920
Password ki tabdeeli
390
00:25:50,744 --> 00:25:52,069
Tum Clarke kay sath kiya karo gi?
391
00:25:52,160 --> 00:25:54,579
Jo mashwara dousron ko diya,
wohi usay dungi.
392
00:25:55,197 --> 00:25:56,467
Humaray sath jur jao warna...
393
00:25:59,247 --> 00:26:01,075
-Kya baat hai?
-Koyi meray code
394
00:26:01,166 --> 00:26:03,360
tak rasai haasil kar raha hai
woh bhi intizaamia kay huqooq kay sath.
395
00:26:03,979 --> 00:26:05,892
Kahan maujood ho kar
rasaai haasil kar raha hai?
396
00:26:06,215 --> 00:26:08,276
Ye humla Arkadia ki jaanib se aaraha hai.
397
00:26:08,809 --> 00:26:09,788
Arkadia?
398
00:26:11,167 --> 00:26:14,728
Ya tou Jacapo Sinclair hoga
ya phir Monty Green.
399
00:26:14,841 --> 00:26:16,425
Jacapo Sinclair mar chuka hai.
400
00:26:16,524 --> 00:26:18,719
-Tumhein ye baat kaisay pata?
-Woh ghair zaruri hai.
401
00:26:19,349 --> 00:26:21,777
Is nizaam mein daakhil honay ka tareeqa
meray maabood nay banaaya tha.
402
00:26:25,147 --> 00:26:27,806
-Main unko nikaal nahi paa rahi hun.
-Arkadia se taaluq tor dou.
403
00:26:27,831 --> 00:26:29,100
Woh bewaqufi kehlai jaayegi.
404
00:26:29,906 --> 00:26:34,041
Abhi tak hijrat mukamal nahi huwi hai
aur backpack bhi qabzay mein hai.
405
00:26:35,087 --> 00:26:36,747
Arkadia ka markazi hissa nahi huwa
406
00:26:37,614 --> 00:26:40,216
tou mujhe sirf
us Mobile Unit se tawaanai milegi.
407
00:26:44,233 --> 00:26:48,603
Agar woh usay tabah karnay mein kamiyab
hogaye tou main bhi khatam hojaungi.
408
00:26:55,962 --> 00:26:57,412
Woh andar Citadel tak pohanch gaye hain.
409
00:27:01,199 --> 00:27:04,640
Agar ye Monty hoga
tou main usay rok sakta hun.
410
00:27:05,669 --> 00:27:06,784
Kaisay roko gay?
411
00:27:14,796 --> 00:27:16,826
-Raven, kya tum paagal hogai ho?
-Haath mat lagana!
412
00:27:17,270 --> 00:27:18,432
Bilkul bhi haath mat lagana.
413
00:27:19,695 --> 00:27:21,013
Main uskay Citadel tak ghus gai hun.
414
00:27:22,279 --> 00:27:23,499
Itnay saaray darwaazay hain.
415
00:27:24,245 --> 00:27:25,337
Sab par taalay lagay hain.
416
00:27:25,963 --> 00:27:27,488
Lekin main taalay tor sakti hun.
417
00:27:29,485 --> 00:27:31,970
Main sahi keh rahi thi.
Woh yahan kuch chhupa rahi hai.
418
00:27:32,317 --> 00:27:33,697
Mujhe bas isko paar karna...
419
00:27:37,516 --> 00:27:38,935
Koyi mudaakhlat kar raha hai.
420
00:27:39,133 --> 00:27:40,124
Koyi cheez hai kya?
421
00:27:40,627 --> 00:27:41,772
Haan, koyi insaan hai.
422
00:27:42,313 --> 00:27:43,696
Main isko paar nahi kar paa rahi hun.
423
00:27:44,177 --> 00:27:46,037
Kyun nahi? Kaun hai woh shakhs?
424
00:27:48,720 --> 00:27:49,716
Monty?
425
00:27:52,177 --> 00:27:53,673
Monty, kya tum mujhe sun saktay ho?
426
00:27:59,917 --> 00:28:00,965
Ammi?
427
00:28:03,798 --> 00:28:04,809
Monty.
428
00:28:06,084 --> 00:28:07,467
Kaash main tumhein dekh paati.
429
00:28:08,407 --> 00:28:09,727
Shayad kisi din dekh paaungi.
430
00:28:11,290 --> 00:28:12,703
Inki awaaz itni asal lag rahi hai.
431
00:28:13,237 --> 00:28:14,777
Ye Alie ka amal hai.
432
00:28:15,917 --> 00:28:17,561
Lekin dimaagh unka hi hai.
433
00:28:18,601 --> 00:28:19,843
Ye tumhari ammi hi hain.
434
00:28:21,925 --> 00:28:23,099
Kya woh mujhe sun sakti hain?
435
00:28:24,061 --> 00:28:25,210
Tumhein type karna parega.
436
00:28:29,047 --> 00:28:31,824
Humein aur waqt darkaar hai.
Hannah, us se baat karti raho.
437
00:28:31,915 --> 00:28:32,857
Monty?
438
00:28:34,449 --> 00:28:35,914
Monty kya tum abhi bhi wahan ho?
439
00:28:36,677 --> 00:28:38,090
Alie chahti hai ke hum ruk jaayein.
440
00:28:38,291 --> 00:28:39,800
Is hi wajah se us nay tumhari ammi
ko bheja hai.
441
00:28:40,159 --> 00:28:42,463
Woh nahi chahti ke hum jaan sakein
dousri taraf kya maujood hai.
442
00:28:42,859 --> 00:28:46,095
Mujhe pata hai tumhein takleef hai us baat
ki jo tum nay meray sath kiya.
443
00:28:48,966 --> 00:28:49,966
Mujhe maaf kijiye ga.
444
00:28:50,509 --> 00:28:51,447
Mujhe pata hai.
445
00:28:52,283 --> 00:28:54,293
Main us takleef
se nijaat dilaana chahti hun.
446
00:28:54,731 --> 00:28:57,201
Hum sab yehi chaahtay hain.
447
00:28:59,218 --> 00:29:01,654
Humein bas pata lagnay wala hai, Hannah.
Baat ko jaari rakho.
448
00:29:01,807 --> 00:29:03,423
Hum phir se aik sath ho saktay hain.
449
00:29:04,608 --> 00:29:05,830
Kya tum nahi chahtay aisa ho?
450
00:29:07,177 --> 00:29:09,947
Agar hum uska code delete kar dengay
tou phir kya hoga?
451
00:29:12,287 --> 00:29:14,287
-Monty.
-Batao ke kya hoga?
452
00:29:16,117 --> 00:29:18,727
Tum unhein humesha keliye kho do gay.
453
00:29:20,436 --> 00:29:21,651
Beta, main tum se muhabat karti hun.
454
00:29:26,557 --> 00:29:27,557
Mujhe kya karna hoga?
455
00:29:28,767 --> 00:29:29,777
Mujhe kya karna hoga?
456
00:29:37,651 --> 00:29:39,151
Tumhein enter ka button dabaana hoga.
457
00:29:40,593 --> 00:29:42,167
Enter
458
00:29:44,157 --> 00:29:45,160
Monty?
459
00:29:48,967 --> 00:29:50,236
Mujhe bhi aap se muhabat hai.
460
00:29:53,984 --> 00:29:55,210
File delete hogai hain
461
00:29:59,099 --> 00:30:00,247
Wahan se bahar niklo, Alie.
462
00:30:00,457 --> 00:30:01,957
Abhi foran Arkadia se bahar niklo.
463
00:30:02,047 --> 00:30:04,764
Main nay tumhein bataaya tha ke agar
main nay khud ko Arkadia se alehda kiya,
464
00:30:04,855 --> 00:30:07,775
tou mujhe sirf
us Mobile Unit se tawaanai milegi.
465
00:30:10,297 --> 00:30:11,787
Isko band kar dou.
466
00:30:22,808 --> 00:30:24,202
Main aakhri darwaazay
ko paar kar chuki hun.
467
00:30:27,901 --> 00:30:28,901
Mujhe dikhai de raha hai.
468
00:30:31,587 --> 00:30:34,117
Ye usko tabah karnay ka button hai.
Mujhe sirf isko...
469
00:30:34,727 --> 00:30:37,817
Nahi! Nahi, aisa nahi hosakta!
470
00:30:37,907 --> 00:30:38,886
Kya huwa?
471
00:30:40,067 --> 00:30:41,067
Kya hogaya hai!
472
00:30:44,543 --> 00:30:46,561
Is se pehlay ke main usko tabah
karnay ka button dabaati
473
00:30:46,586 --> 00:30:48,675
usnay khud ko markazi hissay
se alehda kar diya hoga.
474
00:30:50,257 --> 00:30:51,617
Iska matlab ye saari mehnat raayega gai?
475
00:30:52,487 --> 00:30:53,787
Nahi, Monty, aisa nahi hai.
476
00:30:54,166 --> 00:30:55,887
Ab humein usko tabah karnay
walay button ka maalum hai.
477
00:30:56,129 --> 00:31:00,017
Aik aisa button jisko hum istemal nahi
kar saktay kyunke code jaa chuka hai!
478
00:31:02,187 --> 00:31:03,307
Ye sab tumhari ghalti hai.
479
00:31:03,643 --> 00:31:05,520
Humein dousron kay aanay tak ka intezaar
karna chahiye tha.
480
00:31:06,466 --> 00:31:07,884
Kya tum phir se chip khaana chaho gi?
481
00:31:08,007 --> 00:31:09,839
Kya aisi baat hai?
Tum wahaan wapis jaana chaho gi?
482
00:31:11,550 --> 00:31:12,482
Ye lo.
483
00:31:13,634 --> 00:31:14,517
Isay nigal lo.
484
00:31:17,194 --> 00:31:18,277
Mujhe maaf kar dena.
485
00:31:19,537 --> 00:31:20,718
Mujhe maaf kar dena.
486
00:31:27,506 --> 00:31:28,429
Kya bakwaas hai.
487
00:31:28,454 --> 00:31:30,827
Darwaaza tootnay waala hai.
Mujhe batao ke iska kahan nishaana lagaun?
488
00:31:31,387 --> 00:31:33,297
Indra, bandookh nikaal kar rakho.
489
00:31:33,387 --> 00:31:36,597
Mujhe 60 second darkaar hain
hijrat mukamal karnay keliye.
490
00:31:42,971 --> 00:31:45,971
Waqt aagaya hai ke ya tou isay tabah
kiya jaaye warna phir bhaag liya jaaye.
491
00:31:46,815 --> 00:31:47,815
Acha, chalo tum kar saktay ho.
492
00:31:48,268 --> 00:31:50,507
Bas isko tawaanai pohanchaanay
walay cell ko mat maarna.
493
00:31:50,750 --> 00:31:51,637
Is taraf nishaana lagana.
494
00:31:51,867 --> 00:31:52,997
Usko behkaao, Emori.
495
00:31:53,087 --> 00:31:54,819
Tum usay aisa nahi karnay day sakti ho.
496
00:31:55,319 --> 00:31:58,107
John, meri baat suno.
John, meri baat suno.
497
00:31:58,712 --> 00:32:00,401
Us mein sirf Alie maujood nahi hai, John.
498
00:32:00,491 --> 00:32:01,517
Us mein hum sab hain.
499
00:32:02,410 --> 00:32:03,637
Dhamaaka hona tou dur ki baat hai.
500
00:32:03,727 --> 00:32:07,331
Us mein main maujood hun. Emori.
501
00:32:08,317 --> 00:32:10,077
Tum aik ghalti kar rahay ho.
502
00:32:10,557 --> 00:32:13,402
Jin sab kay dimagh Roshniyoun kay Shehar
mein daakhil hogaye hain,
503
00:32:13,493 --> 00:32:15,757
woh waheen maujood hain.
504
00:32:17,867 --> 00:32:19,027
30 second aur darkaar hain.
505
00:32:19,177 --> 00:32:20,817
Agar tum usay tabah kar do gay
506
00:32:21,267 --> 00:32:23,507
tou humesha keliye hum sab
apnay dimagh kho bethengay.
507
00:32:26,137 --> 00:32:28,497
Main humesha keliye chali jaungi, John.
508
00:32:34,077 --> 00:32:35,407
10 second aur darkaar hain.
509
00:32:40,415 --> 00:32:41,468
Main aisa nahi kar sakta.
510
00:32:52,170 --> 00:32:53,169
Kya ye kaaraamad huwa?
511
00:32:54,217 --> 00:32:55,350
Tumhein kuch huwa tou nahi?
512
00:33:02,317 --> 00:33:03,857
Tum nay bohat dair kar di.
513
00:33:06,537 --> 00:33:07,546
Ab chaltay hain yahan se.
514
00:33:11,037 --> 00:33:12,367
Tumhein kuch nahi dekhnay de saktay.
515
00:33:26,307 --> 00:33:27,726
Unho nay aik surang ka istemal kiya hai.
516
00:33:30,131 --> 00:33:31,040
Dhoondo usay.
517
00:33:44,107 --> 00:33:46,031
Aaj woh sab tabah karnay
kay nazdeek aagaye thay.
518
00:33:47,197 --> 00:33:48,567
Aur woh phir se koshish karengay.
519
00:33:49,447 --> 00:33:51,337
Koyi baat nahi, Thelonious.
520
00:33:52,287 --> 00:33:54,605
Hijrat kamiyab hui.
521
00:33:54,837 --> 00:33:58,147
Bhaagnay waalay pod se malumaat
wusool hona mukamal hogai hain.
522
00:33:58,237 --> 00:34:00,107
Woh hum tak yahan nahi aasaktay.
523
00:34:29,067 --> 00:34:31,367
Jab tak hum yahan nahi aaye thay,
ye jagah mehfooz thi.
524
00:34:47,947 --> 00:34:48,947
Uff meray Khudaaya.
525
00:34:56,747 --> 00:34:58,294
Machine waalay kamray mein hain.
526
00:35:01,569 --> 00:35:02,491
Dousri manzil par.
527
00:35:13,696 --> 00:35:14,627
Aao chalein.
528
00:35:33,777 --> 00:35:36,373
Nahi. Aisa mat karo.
529
00:35:36,874 --> 00:35:39,017
Agar tum isko niglo gi
tou hi ye bachi salamat rahegi.
530
00:35:39,490 --> 00:35:40,427
Aisa mat karo.
531
00:35:44,882 --> 00:35:47,397
Is bachi ka gala kaat do gay
tou ye haar maan legi.
532
00:35:47,510 --> 00:35:48,827
-Luna?
-Aisa mat karo.
533
00:36:09,757 --> 00:36:12,159
Hum Clarke ko Nightblood
haasil karnay nahi day saktay.
534
00:36:13,378 --> 00:36:14,358
Isko jaan se maar do.
535
00:36:16,817 --> 00:36:18,487
Derrick, tum par qaabu kiya ja raha hai.
536
00:36:19,967 --> 00:36:21,287
Aisa mat karo, Derrick.
537
00:36:36,437 --> 00:36:37,607
O, dehaan se.
538
00:36:40,917 --> 00:36:43,337
Nahi. Nahi.
539
00:36:43,427 --> 00:36:45,151
Kya tum theek ho? Tumhein kuch nahi hoga.
540
00:36:57,647 --> 00:36:59,115
Main theek hun.
Woh meri himmat nahi tor paaye.
541
00:37:01,978 --> 00:37:03,093
Shay kahan par hai?
542
00:37:06,578 --> 00:37:07,631
Mujhe maaf kar dena.
543
00:37:09,737 --> 00:37:10,949
Yehi tou hum kartay rehtay hain.
544
00:37:14,987 --> 00:37:16,537
Mujhe maaf kar dena.
545
00:37:27,167 --> 00:37:28,736
Mujhe maaf kar dena.
546
00:37:57,387 --> 00:37:59,642
In mein se kisi nay bhi chip khaai hogi
lekin hum andaaza nahi laga saktay.
547
00:37:59,807 --> 00:38:02,777
Agar un par qaabu hoga tou woh humein Luna
mein Flame dalwaanay se pehlay rokengay.
548
00:38:02,867 --> 00:38:03,880
Chokannay rehna.
549
00:38:04,667 --> 00:38:06,398
-Us nay apna iraada badal liya?
-Chup raho.
550
00:38:10,397 --> 00:38:12,237
Taqreeb shuru honay wali hai.
551
00:38:14,647 --> 00:38:15,647
Luna, thehro.
552
00:38:17,137 --> 00:38:18,397
Mujhe bohat maaf kar dena.
553
00:38:18,777 --> 00:38:20,727
Ab tumhein andaaza hogaya hoga
ke humara saamna kis se hai.
554
00:38:21,167 --> 00:38:23,537
Aisay dushman jo jeetnay keliye
kuch bhi kar dengay.
555
00:38:24,157 --> 00:38:26,417
Woh sab par qaabu
kiye baghair nahi rukegi.
556
00:38:31,157 --> 00:38:33,057
Aaj meray azeez maaray gaye.
557
00:38:33,987 --> 00:38:36,947
Bila zarurat, meray haathoun hi.
558
00:38:38,677 --> 00:38:40,437
Main aisa phir se honay nahi de sakti hun.
559
00:38:49,537 --> 00:38:54,260
Ab jab hum apnay bhaaiyon aur behnon
ko samandar kay naam kartay hain,
560
00:38:55,127 --> 00:38:56,723
hum unki zindagiyon
ko sharf pesh kartay hain.
561
00:38:58,330 --> 00:39:00,957
Hum paani se banay hain,
562
00:39:01,191 --> 00:39:03,130
hum paani mein hi lotengay.
563
00:39:13,824 --> 00:39:16,157
Humein jaldi se taqreeb anjaam deni hogi.
564
00:39:16,260 --> 00:39:18,317
Alie apni fauj bhejay gi.
565
00:39:18,627 --> 00:39:21,527
Aur humein kisi alehda jagah
par amal mukamal karna hai.
566
00:39:21,977 --> 00:39:23,997
Tumhara maanna hai ke aik aisay dushman
ko haraana
567
00:39:24,087 --> 00:39:25,817
jo kisi cheez keliye nahi ruk sakta
568
00:39:26,577 --> 00:39:28,677
tou kya khud ko kisi cheez
par rokna chahiye?
569
00:39:31,007 --> 00:39:33,967
Ye khoon ka badla khoon lenay
se kis tarah mukhtalif hai?
570
00:39:34,887 --> 00:39:36,347
Tum zara thehro. Luna.
571
00:39:37,337 --> 00:39:38,377
Tum aisay hi bas...
572
00:39:52,333 --> 00:39:53,247
Nahi.
573
00:40:45,202 --> 00:40:46,202
Ab kya karengay?