1 00:00:01,020 --> 00:00:02,480 "The 100" mein is say pehlay. 2 00:00:02,571 --> 00:00:05,030 Tumharay bohat saray log Mount Weather mein phansay huway hain. 3 00:00:05,120 --> 00:00:06,710 In ka khoon dawai kay taur par istemaal hota hai. 4 00:00:06,800 --> 00:00:08,815 Mere log bhi wahaan qaidi banay huway hain. 5 00:00:08,906 --> 00:00:10,070 Tum hamein yeh kyun dikha rahi ho? 6 00:00:10,161 --> 00:00:11,861 -Kyun kay main dar rahi hun. -Kis cheez say? 7 00:00:11,952 --> 00:00:13,019 Kyun kay ab tum logon ki baari hain. 8 00:00:13,110 --> 00:00:15,325 Harper nashtay kay liye nahi aya. Kya tum logon nay usay daikha hai? 9 00:00:16,416 --> 00:00:17,656 Hum dono kay pass aik hi tareeqa hai apnay logon ko 10 00:00:17,681 --> 00:00:18,781 bachanay ka. Hamein aik sath is ka hissa banna parega. 11 00:00:18,876 --> 00:00:20,090 Mujhe tum say pyaar hai. 12 00:00:20,180 --> 00:00:23,110 Main nay jo kuch bhi kiya, woh sab is liye kiya kyun kay tum mehfooz raho. 13 00:00:23,200 --> 00:00:25,070 Jisay tum log Finn boltay ho usay mere pass lay kar ao. 14 00:00:25,161 --> 00:00:27,278 Us ki maut hi ab hamari sulah karwa sakti hai. 15 00:00:28,780 --> 00:00:30,840 Nahi. Finn! 16 00:00:30,931 --> 00:00:32,009 Ab woh kya karaingay us kay sath? 17 00:00:32,100 --> 00:00:34,470 Finn nay 18 insaani janain leen hain. 18 00:00:34,560 --> 00:00:36,863 Usay bhi itni hi takleef uthani paraygi. 19 00:00:38,358 --> 00:00:39,808 Mujhe bhi tum say pyaar hai. 20 00:00:42,120 --> 00:00:43,600 Tum kuch nahi hoga! 21 00:00:43,691 --> 00:00:45,031 Shukriya, shehzadi! 22 00:00:49,710 --> 00:00:51,360 Nahi! 23 00:01:37,479 --> 00:01:38,539 Mujhe karnay dou! 24 00:01:40,895 --> 00:01:44,010 Woh us par tashaddud kartay tou mujhe, mujhe.... 25 00:01:44,101 --> 00:01:46,784 -Koi baat nahi. -Mujhe karna para. 26 00:01:46,875 --> 00:01:49,560 -Koi baat nahi. -Mujhe karna para. 27 00:01:50,250 --> 00:01:51,720 Main nay kya kiya hai? 28 00:02:00,130 --> 00:02:02,440 Commandar ab baat karnay kay liye tayyar hai. 29 00:02:23,230 --> 00:02:25,180 Khoon ka jawab khoon say day diya gaya hai. 30 00:02:26,130 --> 00:02:28,560 Meri taraf kay kuch log kehtay hain kay yeh kaafi nahi hai. 31 00:02:28,650 --> 00:02:31,877 Woh chahtay thay kay qaatil hamari rasm o riwaaj kay mutaabiq takleef uthaye. 32 00:02:32,573 --> 00:02:35,799 Magar unhein nahi pata kay tumhari takleef us say kahi zyada hogi. 33 00:02:36,786 --> 00:02:40,140 Jo aaj tum nay kiya hai woh tumhara peecha zindagi bhar nahi chore ga. 34 00:02:41,860 --> 00:02:43,970 Magar phir bhi talaafi ki jayegi. 35 00:02:44,060 --> 00:02:46,819 Tondc kay logon ko laash day di jayegi. 36 00:02:46,910 --> 00:02:49,510 Takay qaatil aur qatal dono aag ka hissa ban jaye. 37 00:02:49,820 --> 00:02:51,870 Sirf us hi surat mein aman ho sakta hai. 38 00:02:51,960 --> 00:02:53,720 Nahi hum nay pehlay hi bohat kuch kar liya hai. 39 00:02:53,810 --> 00:02:55,430 Larkay ko us kay apnay hi dafnaye tou sahi rahay ga. 40 00:02:55,520 --> 00:02:58,293 Bohat kuch kar chukay hain? 18 logon ki maut ka dard baqi hai abhi. 41 00:02:58,384 --> 00:03:00,300 Abhi us qaatil ko maarna baaqi hai. 42 00:03:00,390 --> 00:03:02,220 Mera gaoun insaaf ka muntazir hai. 43 00:03:02,310 --> 00:03:04,740 Tumhein insaaf nahi badla chahiye. 44 00:03:04,830 --> 00:03:06,785 Tum nay abhi daikha nahi hai mera badla. 45 00:03:06,876 --> 00:03:08,016 Hum karaingay. 46 00:03:09,725 --> 00:03:11,651 Aur jab yeh kaam ho jayega tab 47 00:03:11,742 --> 00:03:13,764 hamein yeh baat karni hogi kay apnay logo ko Mount Weather say bahir kaisay nikalain. 48 00:03:14,157 --> 00:03:15,260 Hamaray saray logon ko. 49 00:03:15,350 --> 00:03:17,400 Hum aik jaisi cheez hi chahtay hain, Clarke. 50 00:03:17,491 --> 00:03:19,761 Bohat achi baat hai. Hum kab niklaingay? 51 00:03:19,852 --> 00:03:20,965 Abhi. 52 00:03:24,400 --> 00:03:25,950 Apnay sathiyoun ka intekhaab kar lo. 53 00:03:30,960 --> 00:03:33,360 Clarke, tumhein yeh karnay ki zaroorat nahi hai. 54 00:03:34,031 --> 00:03:35,340 Hai zaroorat. 55 00:03:35,710 --> 00:03:37,730 Agar aman bahaal nahi huwa. 56 00:03:38,410 --> 00:03:40,180 Tou main nay Finn ko bila wajha maara. 57 00:03:47,760 --> 00:03:49,431 Clarke sahi bool raha hai. 58 00:03:50,080 --> 00:03:51,814 Hamein yeh karna hoga. 59 00:03:51,905 --> 00:03:53,970 Grounders kay sath aman qaim karnay say hi hum log bach saktay hain. 60 00:03:54,060 --> 00:03:55,930 Mujhe nahi lagta unhein aman kay matlab bhi pata hongay. 61 00:03:56,020 --> 00:03:58,380 -Commandar ko tou pata hai. -Woh bacchi hai. 62 00:03:58,960 --> 00:04:01,240 Un logon ki rehnuma aik bacchi hai. 63 00:04:03,822 --> 00:04:05,070 Hamaray sath bhi aisa hi hai. 64 00:04:19,390 --> 00:04:20,770 Duur jao yahaan say. 65 00:04:21,580 --> 00:04:23,020 Raven, mujhe maaf karna. 66 00:04:23,310 --> 00:04:25,450 Main nay kaha duur jao. 67 00:04:25,540 --> 00:04:27,382 Mujhe pata hai kay yeh kitna mushkil hoga tumharay 68 00:04:27,407 --> 00:04:29,104 liye magar main Grounders kay sath ja rahi hun, 69 00:04:29,170 --> 00:04:31,680 aur main chahti hun kay tum radio par kaam karti raho. 70 00:04:33,170 --> 00:04:35,140 -Tum kya kar rahi ho? -Unhein isay abhi lay kar jana hoga. 71 00:04:35,230 --> 00:04:36,760 Haan sahi baat hai, peechay hato. 72 00:04:36,850 --> 00:04:38,960 Hamein aik minute do barah e karam Raven... 73 00:04:39,885 --> 00:04:41,130 Tum nay is kaam kay liye haami bhari thi? 74 00:04:41,220 --> 00:04:44,230 Hum isay usi gaon main lay kar ja rahe hain jahaan khoon kharaba huwa tha. 75 00:04:44,320 --> 00:04:45,922 Wahaan aik maut ki rasam hai. 76 00:04:46,013 --> 00:04:48,640 Aur sirf isi tarha hum apnay logon ko Mount Weather say bahir nikaal saktay hain. 77 00:04:51,650 --> 00:04:54,990 Phir main bhi chal rahi hun aur fikr nahi karo... 78 00:04:55,538 --> 00:04:57,480 main tumhara radio bhi lay aoungi. 79 00:06:14,510 --> 00:06:15,500 Kuch mila? 80 00:06:16,620 --> 00:06:17,530 Daikhtay raho. 81 00:06:17,620 --> 00:06:19,490 Harper ko jo kuch bhi huwa hai, kisi nay tou kuch daikha hoga. 82 00:06:19,580 --> 00:06:22,310 Kitni jaghaon par ho sakti hai woh? Hum log aik band kamray main hain. 83 00:06:22,400 --> 00:06:23,890 Yahaan aisay kamray bhi hongay jin ka hamein kuch pata nahi hai 84 00:06:23,980 --> 00:06:26,310 aisi jaghain jo naqshay par na hoon. 85 00:06:26,598 --> 00:06:28,308 Kya aisa mumkin hai? 86 00:06:28,399 --> 00:06:29,860 Mujhe shuba hai magar ho sakta hai. 87 00:06:29,950 --> 00:06:31,850 Shukriya tum nay bohat madad ki hai. 88 00:06:31,940 --> 00:06:34,192 Araam say, Miller. Maya hamari dushman nahi hai. 89 00:06:34,283 --> 00:06:35,290 Kya tumhein yaqeen hai is baat par? 90 00:06:35,380 --> 00:06:37,130 Haan bilkul hum say zyada woh apni jaan khatary mein daal rahi hai. 91 00:06:37,220 --> 00:06:39,860 Such mein? Kya yeh bhi kennel mein jayegi agar pakri gayi tou? 92 00:06:39,950 --> 00:06:41,088 Bus karo. 93 00:06:42,699 --> 00:06:43,880 Mujhe kuch mila hai. 94 00:06:44,433 --> 00:06:46,813 Yeh hamein us antenna tak lay kar jayega jo zameen mein hai. 95 00:06:46,904 --> 00:06:48,550 Agar hum radio tak rasayi haasil kar lain 96 00:06:48,641 --> 00:06:50,781 Arkwide channel kay zariye paighaam bhaij saktay hain. 97 00:06:50,872 --> 00:06:52,080 yeh batanay kay liye, kay hum yahaan par hain. 98 00:06:52,570 --> 00:06:54,457 Saathway level par jo command center hai bus 99 00:06:54,482 --> 00:06:56,494 waheen radio hai jo kay bohat mehfooz jagha hai. 100 00:06:56,560 --> 00:06:57,640 Tum pehlay gayi ho wahaan. 101 00:06:57,730 --> 00:07:00,000 Haan sirf isi liye kyun kay wahaan say khatarnaaq cheezain hatayi jaani thi. 102 00:07:00,090 --> 00:07:01,650 Aur yeh kaam dobara honay mein thora waqt lagay ga. 103 00:07:01,675 --> 00:07:02,544 Hamein radio nahi chahiye. 104 00:07:03,061 --> 00:07:05,220 Hamein un taaron tak rasayi chahiye jo us mein jaa kar lagtay hain. Yahaan par. 105 00:07:05,770 --> 00:07:06,968 Yeh tou Art Warehouse hai. 106 00:07:07,063 --> 00:07:08,864 Yahaan tou main tum logon ko lay ja sakti hun. 107 00:07:08,931 --> 00:07:09,813 Achi baat hai. 108 00:07:09,904 --> 00:07:13,400 Hamein bus dou foot lambi deewar paar karni hogi, 109 00:07:13,490 --> 00:07:15,840 taar ko dhoondna hoga aur us nizaam mein laga na hoga 110 00:07:15,930 --> 00:07:18,700 khamoshi kay sath takay command center ya bahar koi hamari awaaz na sun lay. 111 00:07:18,790 --> 00:07:21,720 -Bus yehi karna hai? -Nahi. 112 00:07:21,811 --> 00:07:23,460 Hamein thora taanbay ka taar bhi churana paray ga, 113 00:07:23,550 --> 00:07:24,530 wahaan kay muhafizon kay anay janay ka waqt 114 00:07:24,555 --> 00:07:25,444 aur aik walkie-talkie bhi chahiye hoga. 115 00:07:25,510 --> 00:07:28,300 Aur aik bari si hathori bhi. 116 00:07:50,960 --> 00:07:53,600 Hey tum theek tou ho? 117 00:07:55,930 --> 00:07:56,810 Haan. 118 00:07:59,820 --> 00:08:01,100 Tum nay sahi kiya. 119 00:08:03,285 --> 00:08:04,870 Ab mujhe saari zindagi us baat kay sath jeena parega. 120 00:08:06,269 --> 00:08:08,680 Tumhein abhi bhi yeh lagta hai na kay yeh aman wali baat acha mashwara nahi hai? 121 00:08:08,770 --> 00:08:10,422 Mujhe lagta hai kay hum siyasat karnay mein apna waqt zayaa kar 122 00:08:10,447 --> 00:08:12,124 rahe hain jab kay hamaray dost museebat mein phansay huway hain. 123 00:08:12,191 --> 00:08:13,807 Bellamy hamein un ki fauj chahiye Mount Weather tak 124 00:08:13,832 --> 00:08:15,354 pohanchnay kay liye aur tumhein bhi pata hai yeh. 125 00:08:15,420 --> 00:08:18,790 Un ki fauj ko buri tarha shikast ho rahi hai Mount Weather mein hamesha say hi. 126 00:08:19,160 --> 00:08:22,820 Hamein aik andar ka banda chahiye jo hamari aankhein aur kaan ban sakay. 127 00:08:23,070 --> 00:08:25,060 Bhool jao yeh baat, yeh kaam bohat khatarnaaq hai. 128 00:08:25,151 --> 00:08:28,210 Clarke, agar tum wahaan say bahir aasakti ho tou main andar bhi ja sakta hun. 129 00:08:28,301 --> 00:08:29,680 Main nay kahaa nahi. 130 00:08:31,730 --> 00:08:33,440 Main tum say ahkamaat nahi laita 131 00:08:34,140 --> 00:08:35,770 mujhe aik behter wazahat chahiye aisa na karnay kay liye. 132 00:08:37,290 --> 00:08:39,970 Main tumhein bhi nahi khoona chahti samjhay? 133 00:08:46,198 --> 00:08:47,737 Fikr karna band karo, Gustus! 134 00:08:48,565 --> 00:08:50,031 Jaisay tum mujhe hamesha kehtay thay. 135 00:08:50,412 --> 00:08:51,959 Jo bhi ittehaad hota hai us mein khatra hota hai. 136 00:08:52,641 --> 00:08:55,646 Yeh 12 girouh ko aik sath milanay jaisa nahi hai. 137 00:08:56,360 --> 00:08:58,046 Sky walay log thora mujhtalif hain. 138 00:08:59,133 --> 00:09:01,093 Woh hum say zyada pahari log hain. 139 00:09:02,520 --> 00:09:04,318 Aur is say hamara ittehaad toot bhi sakta hai. 140 00:09:05,331 --> 00:09:07,811 Hamara ittehaad ya main? 141 00:09:09,627 --> 00:09:12,105 Ittehaad aap hi ho, Commander. 142 00:09:16,453 --> 00:09:18,301 Tou phir meri hifazat kar kay apnay farz ki shanasi karo. 143 00:09:21,770 --> 00:09:22,670 Mujhe batao. 144 00:09:22,760 --> 00:09:23,820 Theek hai, sir. 145 00:09:23,910 --> 00:09:26,609 Commander ki fauj kabhi Ark par hamla nahi karti. 146 00:09:26,700 --> 00:09:31,010 Balkay subha chay bajay woh in junglon mein thay. 147 00:09:31,471 --> 00:09:33,550 Outsiders kabhi peechay nahi hathtay, lieutenant. 148 00:09:33,640 --> 00:09:35,401 Nahi sir is commander kay zariye in logon 149 00:09:35,426 --> 00:09:37,144 nay kafi ittehaad kiya hai logo kay sath. 150 00:09:37,648 --> 00:09:38,990 Kya yahaan bhi aisa hi kuch huwa tha? 151 00:09:39,080 --> 00:09:42,260 Kuch pakka nahi hai sir magar is imkaan ko hum radh nahi kar saktay. 152 00:09:42,583 --> 00:09:46,370 Sir agar yeh ittehaad outsiders aur Ark kay beech mein hai, 153 00:09:46,460 --> 00:09:48,170 tou hum isay torhnay kay liye bohat kuch kar saktay hain. 154 00:09:48,260 --> 00:09:50,577 Hum inhein aik dosray ko hi maarnay daitay hain takay 155 00:09:50,668 --> 00:09:52,100 yeh idher aakar apnay logon ko churwanay ki kooshish na karain. 156 00:09:52,190 --> 00:09:54,190 Mujhe is baat ki koi parwah nahi kay un logon kay kitnay aadmi hain. 157 00:09:54,281 --> 00:09:56,360 Woh log bus hamara difaa torh na paye. 158 00:09:56,450 --> 00:09:59,130 Sir, hamein is khatray ko sanjeedah laina chahiye. 159 00:10:01,683 --> 00:10:03,240 Aisa hi kar rahe hain hum, lieutenant. 160 00:10:03,331 --> 00:10:04,960 Tumhein mera yaqeen karna hoga. 161 00:10:05,051 --> 00:10:08,600 Hamein zameen par utarnay say koi nahi rouk sakta. 162 00:10:21,960 --> 00:10:24,790 Clarke, hamari jagha zyada mehfooz hai. 163 00:10:24,881 --> 00:10:26,890 Hamein un ka bharosa karna hoga, Bellamy. 164 00:10:28,210 --> 00:10:30,250 Ab koi kisi ki jagha nahi rahi. 165 00:10:41,453 --> 00:10:42,399 Hey. 166 00:10:44,825 --> 00:10:46,760 Hamein Jaha kay baray mein baat karni hogi. 167 00:10:49,370 --> 00:10:51,292 Main usay saari zindagi qaid nahi rakh sakta. 168 00:10:51,383 --> 00:10:53,460 Shayad mujhe usay bijli ka jhatka daina chahiye. 169 00:10:55,740 --> 00:10:57,500 Main tou kehnay wala tha kay chor dou usay. 170 00:11:04,980 --> 00:11:06,410 Clarke himmat wali larki hai. 171 00:11:08,610 --> 00:11:10,120 Woh bardaasht kar laygi. 172 00:11:16,680 --> 00:11:17,850 Natrona. 173 00:11:36,061 --> 00:11:37,420 "Natrona"? 174 00:11:40,420 --> 00:11:41,600 Ghaddar. 175 00:11:42,120 --> 00:11:43,890 Mere log dartay hain mujh say. 176 00:11:45,970 --> 00:11:48,050 Unhein lagta hai kay Reaper abhi bhi mere andar hai. 177 00:11:50,310 --> 00:11:51,790 Tum mujhe bata saktay ho 178 00:11:53,540 --> 00:11:54,880 kay kya huwa tha. 179 00:11:55,560 --> 00:11:56,640 Nahi aisa nahi kar sakta main. 180 00:11:59,820 --> 00:12:01,360 Tum itnay buray insaan bhi nahi ho. 181 00:12:04,650 --> 00:12:05,890 Umeed hai kay tum sahi bol rahi ho. 182 00:12:44,928 --> 00:12:46,382 Darwazaa kholo. 183 00:12:59,360 --> 00:13:00,540 Hathiyaar dou. 184 00:13:02,080 --> 00:13:03,890 Hamein daakhil honay say pehlay hathiyaar saray bahir rakhnay hongay. 185 00:13:40,242 --> 00:13:41,881 Commander, sab theek hai. 186 00:13:56,857 --> 00:13:59,306 Commander! Commander! Khush amdeed! 187 00:14:01,195 --> 00:14:03,280 Aap inhein kyun yahaan layi ho? 188 00:14:05,429 --> 00:14:07,429 Sky kay logon ki maut ho jaye! 189 00:14:07,595 --> 00:14:09,595 Qaatilon apnay ghar wapis jao. 190 00:14:10,571 --> 00:14:12,810 Sky kay logon nay mujh say sab kuch cheen liya. 191 00:14:14,021 --> 00:14:15,021 Meri biwi. 192 00:14:15,502 --> 00:14:16,502 Mera baccha. 193 00:14:16,859 --> 00:14:17,867 Raastay say hat jao. 194 00:14:18,711 --> 00:14:20,423 Qaatilon ka yahaan koi kaam nahi hai. 195 00:14:33,450 --> 00:14:35,680 Commander, roko usay. 196 00:14:35,770 --> 00:14:38,430 Barah e karam, werna woh is kaam ka bhi ilzaam hum par lagayengay. 197 00:14:40,517 --> 00:14:41,584 Isay jeenay dou! 198 00:14:49,570 --> 00:14:52,180 Sky kay log ab hamaray sath ahtejaaj karaingay. 199 00:14:53,630 --> 00:14:56,130 Jis kisi nay bhi roknay ki kooshish kari 200 00:14:57,120 --> 00:14:59,110 usay marna parega. 201 00:15:06,680 --> 00:15:07,840 Khush amdeed. 202 00:15:29,684 --> 00:15:30,620 Yahaan par. 203 00:15:30,711 --> 00:15:32,630 Mawaaslati lines is deewar kay peechay hain. 204 00:15:49,240 --> 00:15:50,620 Kaafi hai tumharay liye? 205 00:15:52,068 --> 00:15:53,230 Ruko, woh tumhein sun saktay hain. 206 00:15:53,320 --> 00:15:55,020 Mujhe pata tha kay yehi mansooba hai. 207 00:15:55,110 --> 00:15:56,480 Isay apni khoon ki supply ruk janay ka dar hai. 208 00:15:56,570 --> 00:15:58,250 Daikho Miller yeh zaroori nahi kay tum mujhe pasand karo, 209 00:15:58,340 --> 00:16:00,750 aur jo bhi mere log kar rahay hain tum us sab kay liye mujhe ilzaam day saktay ho 210 00:16:00,840 --> 00:16:02,190 magar main sab kuch sahi karnay ki koshish kar rahi hun. 211 00:16:02,280 --> 00:16:03,850 Phir hat jao mere raastay say. 212 00:16:04,730 --> 00:16:06,000 Paanch seconds hain hamaray pass. 213 00:16:06,087 --> 00:16:07,079 Kya honay wala hai paanch seconds mein? 214 00:16:07,217 --> 00:16:08,991 Kya Miller ko andaza hojayega kay kitna ajeeb banda hai woh? 215 00:16:15,320 --> 00:16:16,680 Aik dost ka mujh pay ahsaan tha. 216 00:16:17,598 --> 00:16:19,060 Dhamakay kay liye is ki timing set kar dou. 217 00:16:35,751 --> 00:16:36,791 Inaam hath lag gaya. 218 00:16:43,722 --> 00:16:45,188 Tondc kay logon... 219 00:16:45,952 --> 00:16:46,952 aag say... 220 00:16:48,389 --> 00:16:51,256 hum apnay maazi kay dukh saaf kartay hain. 221 00:16:52,710 --> 00:16:54,320 "Tondc kay logon..." 222 00:16:54,430 --> 00:16:57,760 "aag say hum apnay maazi kay dukh saaf kartay hain." 223 00:17:13,477 --> 00:17:14,610 Clarke... 224 00:17:58,801 --> 00:18:00,667 Tumhari jung ab khatab huwi. 225 00:18:34,875 --> 00:18:36,499 Main nay aisa intezaam kar diya hai kay hamara 226 00:18:36,524 --> 00:18:37,906 SOS Arkwide channel par baar baar chalega. 227 00:18:37,973 --> 00:18:39,590 Agar main nay isay nashar karna shuru kar diya 228 00:18:40,060 --> 00:18:41,510 tou koi na koi isay zaroor sunay ga. 229 00:18:45,230 --> 00:18:46,750 Awaaz sun kay lag tou nahi raha kay sab kuch theek chal raha hai. 230 00:18:47,620 --> 00:18:48,700 Main yeh pehlay bhi sun chuka hun 231 00:18:49,434 --> 00:18:51,574 Exodus jahaaz kay black box par uskay... 232 00:18:52,535 --> 00:18:54,050 doobnay say foran pehlay. 233 00:18:55,821 --> 00:18:57,500 Unhonay Exodus jahaaz ko barbaad kar diya. 234 00:18:57,591 --> 00:18:59,010 Signals dabaye ja rahe hain. 235 00:19:01,330 --> 00:19:02,750 Ab kya daba rahe hain woh? 236 00:19:02,840 --> 00:19:05,650 Sab kuch, takay log aik dosray say baat na kar sakain. 237 00:19:05,740 --> 00:19:07,230 Kya hum mukammal taur pay phans chuke hain? 238 00:19:07,653 --> 00:19:09,020 Mukammal taur pay tou nahi. 239 00:19:14,519 --> 00:19:16,980 Main nay bhi aik khaas banday ko khoya hai. 240 00:19:20,191 --> 00:19:21,890 Us ka naam Costia tha. 241 00:19:24,100 --> 00:19:26,036 Usay Ice Nation nay pakar liya tha, 242 00:19:26,147 --> 00:19:28,814 Jis ki malka ko yaqeen tha kay usay mere raaz pata hai. 243 00:19:29,650 --> 00:19:31,150 Kyun kay woh meri thi. 244 00:19:33,173 --> 00:19:36,742 Unhonay us par tashaddud kiya maraa 245 00:19:37,400 --> 00:19:38,740 aur phir sir tun say juda kiya. 246 00:19:39,821 --> 00:19:40,871 Sun kar bohat dukh huwa. 247 00:19:41,620 --> 00:19:43,830 Mujhe laga kay main kabhi is dukh say bahir nahi aa paungi 248 00:19:43,921 --> 00:19:45,360 magar main bahar aagayi. 249 00:19:47,014 --> 00:19:48,064 Kaisay? 250 00:19:48,155 --> 00:19:50,840 Main nay pehchaan liya tha kay yeh meri... 251 00:19:53,655 --> 00:19:54,885 kamzoori hai. 252 00:19:55,421 --> 00:19:56,567 Kya cheez? 253 00:19:57,827 --> 00:19:58,886 Pyaar? 254 00:20:00,838 --> 00:20:02,570 Tou kya tum nay sab ki fikr karna... 255 00:20:03,767 --> 00:20:05,000 chor di? 256 00:20:10,700 --> 00:20:12,270 Main tou aisa kabhi nahi kar sakti. 257 00:20:12,361 --> 00:20:15,040 Tou phri jin logon say tum pyaar karti ho tum unhein khatray mein daal rahi ho 258 00:20:16,108 --> 00:20:18,190 aur dard bhi kabhi nahi janay wala. 259 00:20:21,520 --> 00:20:23,990 Jo mar chukay hain woh ja chukay hain Clarke. 260 00:20:26,286 --> 00:20:28,246 Air jo zinda hain woh bhookay hain. 261 00:21:03,796 --> 00:21:07,260 Barah e karam is tohfay ko qabool kar lain, Commander. 262 00:21:07,351 --> 00:21:10,076 Hum isay khaas mauqaon par peetay hain. 263 00:21:10,167 --> 00:21:11,800 Mujhe yaqeen hai is say kaam ban jayega. 264 00:21:24,038 --> 00:21:27,197 Shukriya, sky kay logoun kay Marcus. 265 00:21:27,288 --> 00:21:29,150 Koi baat nahi, Lexa. 266 00:21:30,577 --> 00:21:32,027 Kom trikru. 267 00:21:32,866 --> 00:21:35,160 Bus isay zyada nahi peena. 268 00:21:36,980 --> 00:21:39,770 Clarke, chalo saath peetay hain. 269 00:21:40,772 --> 00:21:42,390 Mujhe acha lage ga yeh. 270 00:21:58,321 --> 00:22:00,160 Mujhe ijazat dain is kaam ki. 271 00:22:16,807 --> 00:22:19,320 Aaj hum is aman ki wajha say khushi manayengay. 272 00:22:19,750 --> 00:22:22,040 Aur kal hum apni jung kay baray mein mansooba bandi karaingay. 273 00:22:22,796 --> 00:22:24,040 Un kay naam jinhein hum kho chukay hain 274 00:22:25,786 --> 00:22:27,850 aur un kay naam bhi jinhein hum jald hi dhoond laingay. 275 00:22:39,350 --> 00:22:40,350 Yeh zeher hain. 276 00:22:42,580 --> 00:22:44,050 Woh sky kay log thay. 277 00:22:46,583 --> 00:22:47,852 Hum nay kuch nahi kiya yeh pata hona chahiye 278 00:22:47,916 --> 00:22:49,162 tumhein kay yeh kaam hum nay nahi kiya. 279 00:22:49,244 --> 00:22:50,416 Isay marnay mat daina. 280 00:22:50,965 --> 00:22:51,932 Saray log bahir jao! 281 00:22:52,297 --> 00:22:53,312 In logon ki talaashi lo. 282 00:22:57,770 --> 00:23:00,070 Hum nay nahi kiya yeh kaam. 283 00:23:00,160 --> 00:23:01,350 Gustus nay mujhe tumharay baray mein khabardaar bhi 284 00:23:01,375 --> 00:23:02,496 kiya tha magar main nay nahi suni us ki baat. 285 00:23:02,563 --> 00:23:03,610 Lexa, barah e karam... 286 00:23:03,700 --> 00:23:04,920 Mujhe aik baat batao, Clarke. 287 00:23:05,010 --> 00:23:07,870 Jab tum nay us larkay kay dil mein khanjar ghusaya tha jisay tum pyaar karti thi 288 00:23:08,498 --> 00:23:10,240 kya tum nay yeh khuwahish nahi kay us ki jagha main hoti? 289 00:23:17,427 --> 00:23:18,427 Commander. 290 00:23:20,140 --> 00:23:21,237 Yeh mera nahi hai. 291 00:23:21,464 --> 00:23:22,848 Yeh is kay coat mein tha. 292 00:23:23,111 --> 00:23:24,551 Main tumhein bata rahi hun yeh mera nahi hai. 293 00:23:24,681 --> 00:23:26,231 Is nay talaashi laitay huway yeh rakh diya hoga. 294 00:23:32,580 --> 00:23:35,220 Koi bhi sky ka banda yeh kamra chor kay nahi jayega. 295 00:23:40,609 --> 00:23:41,660 Kuch karo. 296 00:23:42,358 --> 00:23:43,270 Indra... 297 00:23:43,699 --> 00:23:44,699 Indra, ruko. 298 00:23:46,455 --> 00:23:48,447 Mujhe in logon ki taraf say baat karnay dou. 299 00:23:49,416 --> 00:23:50,861 Tum bhi in hi logon ki tarha ho. 300 00:24:03,849 --> 00:24:04,774 Abay yaar. 301 00:24:04,865 --> 00:24:06,220 Tou ab hum mukammal taur pay phans chukay hain? 302 00:24:06,827 --> 00:24:09,437 Hamara paigham nashar tou ho raha hai magar woh aik dabi huwi frequency par hai. 303 00:24:09,528 --> 00:24:10,590 Tou usay theek karo na phir. 304 00:24:10,680 --> 00:24:12,117 Tou main idher aur kar kya raha hun? 305 00:24:12,208 --> 00:24:14,536 Isay source say hi band kiya ja sakta hai. 306 00:24:14,627 --> 00:24:16,230 Mujhe sirf paanch minute chahiye command center mein. 307 00:24:16,320 --> 00:24:17,940 Nahi, tum nay suni hai na Maya ki baat yeh bohat khatarnaaq kaam hai. 308 00:24:18,030 --> 00:24:19,009 Muhafiz araha hai. 309 00:24:19,100 --> 00:24:20,540 Hamein chalna chahiye ab, suraakh ko chupa dou. 310 00:24:20,631 --> 00:24:22,986 -Sahi. -Nahi chor do aisay hi isay. 311 00:24:42,260 --> 00:24:44,330 Woh bohat qareeb agaya hai kya karain ab? 312 00:24:46,366 --> 00:24:47,624 -Aik mansooba hai mere pass. -Kya? 313 00:24:47,715 --> 00:24:48,619 Yeh. 314 00:24:53,053 --> 00:24:54,553 Bahar niklo. 315 00:24:56,291 --> 00:24:58,180 Dobara mujhe mat dikhna yahaan. 316 00:24:59,938 --> 00:25:00,960 Maaf kar dijiye ga. 317 00:25:07,067 --> 00:25:08,100 Raven... 318 00:25:08,792 --> 00:25:10,180 mujhe such janna hai. 319 00:25:10,270 --> 00:25:11,690 Main peechay hat jati agar main tumhari jagha hoti tou. 320 00:25:12,314 --> 00:25:14,630 Tum chahti thi kay main Lexa ko kal maarun. 321 00:25:14,721 --> 00:25:17,300 Agar tum nay usay zeher dainay ki koshish ki thi tou mujhe janni hai yeh baat. 322 00:25:20,394 --> 00:25:22,280 Yahaan sirf tum hi qaatil ho. 323 00:25:30,350 --> 00:25:31,620 Mujhe akaila chor do. 324 00:25:34,614 --> 00:25:36,154 Tum nay mere liye kuch nahi chora. 325 00:25:36,245 --> 00:25:37,775 Tum nay kyun khud ko un logon kay hawalay kiya? 326 00:25:42,465 --> 00:25:43,700 Jaan tum theek tou ho? 327 00:26:08,575 --> 00:26:10,074 Meri baat suno, Clarke. 328 00:26:10,165 --> 00:26:11,780 Mujhe pata hai kay tumhein kaisa mehsoos hota hai 329 00:26:12,602 --> 00:26:14,610 aisay jaisay kay dard kabhi jayega hi nahi 330 00:26:15,030 --> 00:26:16,250 magar Lexa ghalat hai. 331 00:26:16,537 --> 00:26:18,690 Tumhein yeh baat saari zindagi nahi tang karay gi. 332 00:26:19,204 --> 00:26:20,524 Dard kum ho jayega. 333 00:26:22,310 --> 00:26:24,300 Mujhe tumharay pyaar nay ab tak zinda rakkha hai. 334 00:26:32,280 --> 00:26:33,240 Yeh kya hai? 335 00:26:35,333 --> 00:26:36,990 Tum abbu ki baat kar rahi ho? 336 00:26:38,803 --> 00:26:40,624 Jo main nay Finn kay sath kiya us ka koi mawaznaa 337 00:26:40,649 --> 00:26:42,287 nahi us kaam say jo tum nay us kay sath kiya. 338 00:26:42,354 --> 00:26:43,414 Abhi nahi karo yeh, Clarke. 339 00:26:43,505 --> 00:26:45,050 Main sab ki hifazat kar rahi thi. 340 00:26:45,141 --> 00:26:46,739 Mere pass koi aur raasta nahi tha. 341 00:26:46,830 --> 00:26:47,940 -Magar tumharay pass tha. -Nahi. 342 00:26:48,030 --> 00:26:49,170 Tum nay usay pakar wa diya. 343 00:26:49,260 --> 00:26:51,970 Nahi main nay Thelonious pay bharosa kiya tha takay woh tumharay abbu say baat karay. 344 00:26:52,061 --> 00:26:53,668 Aur unhein manaye takay woh awaam ko kuch na batain. 345 00:26:53,759 --> 00:26:55,279 Tumhein pata tha kay abbu kabhi nahi rukaingay. 346 00:26:55,610 --> 00:26:57,090 Tumhein pata tha kay uskay sath kya hoga. 347 00:26:57,180 --> 00:26:59,110 Main baaqi sab ki bhi hifazat kar rahi thi. 348 00:27:00,070 --> 00:27:01,580 Main tumhein bacha rahi thi. 349 00:27:07,410 --> 00:27:08,390 Clarke, barah e karam. 350 00:27:17,200 --> 00:27:18,380 Hum sab aik jaisay hain. 351 00:27:30,999 --> 00:27:31,970 Kya unhein radio mila? 352 00:27:32,060 --> 00:27:34,610 -Nahi. Monty kahaan hai? -Mujhe laga tumharay sath hai woh. 353 00:27:36,313 --> 00:27:37,840 Main nay nahi daikha usay. 354 00:27:52,523 --> 00:27:53,480 Dobara phir say? 355 00:27:53,570 --> 00:27:54,720 Kal hi tou huwa tha yeh kaam. 356 00:27:54,810 --> 00:27:56,245 Hasb e mamool daikhnay aya hun. 357 00:27:56,886 --> 00:27:58,010 Zyada waqt nahi lagay ga. 358 00:28:20,490 --> 00:28:21,580 Hamein yahaan say nikalna hoga. 359 00:28:26,130 --> 00:28:27,819 Aik dosray ko bura bhala bol kar aur ilazaam 360 00:28:27,844 --> 00:28:29,644 taraashiyaan karnay say hum kuch nahi kar payengay. 361 00:28:38,063 --> 00:28:41,000 Lexa ko bhi is ittehaad ki utni hi zaroorat hai jitni hamein hai. 362 00:28:41,090 --> 00:28:42,960 Us nay yeh bhi dikha diya hai kay woh narm par sakti hai. 363 00:28:43,058 --> 00:28:44,208 Woh tumhari baat bhi sunti hai. 364 00:28:46,498 --> 00:28:48,200 Usay lagta hai kay hum nay usay maarnay ki kooshish ki thi. 365 00:28:48,290 --> 00:28:49,490 Magar hamein pata hai kay yeh sach nahi hai. 366 00:28:49,940 --> 00:28:51,609 Tou phir chalo pata lagatay hain kay kis nay kiya yeh kaam. 367 00:28:51,700 --> 00:28:52,890 Kaun usay mara huwa daikhna chahega? 368 00:28:54,426 --> 00:28:55,630 Kaafi saray log. Gin bhi nahi saktay hum. 369 00:28:56,390 --> 00:28:58,200 Tumharay sath ittehaad bana na aik bara khatra tha 370 00:28:58,755 --> 00:29:01,020 khaas taur pay jo Finn nay is gaon kay sath kiya hai us kay baad. 371 00:29:01,111 --> 00:29:03,280 Tou phir yeh koi wohi banda ho sakta hai jo is ittehaad ko torna chahe. 372 00:29:15,327 --> 00:29:16,340 Gustus kaisa hai? 373 00:29:16,431 --> 00:29:17,429 Bach jayega. 374 00:29:17,530 --> 00:29:18,796 Isay lay kar chalo. 375 00:29:19,113 --> 00:29:20,357 Ruko kya kar rahay ho tum? 376 00:29:20,420 --> 00:29:21,437 Is nay kisi ko zeher nahi diya. 377 00:29:21,528 --> 00:29:23,690 Main nay tum sab ko maarnay par zor diya tha 378 00:29:23,715 --> 00:29:25,684 magar commander nahi reham dili dikhayi. 379 00:29:26,268 --> 00:29:27,810 Usay sirf tum mein say aik chahiye. 380 00:29:27,900 --> 00:29:30,330 -Yeh bay gunah hai. -Mujhe parwah nahi is baat ki. 381 00:29:30,943 --> 00:29:32,660 Agar yeh hilay tou phir in ka khoon bhi niklay ga. 382 00:29:33,260 --> 00:29:35,670 Hey ruko, janay do isay. 383 00:29:38,540 --> 00:29:39,960 Baqi tum sab azaad ho. 384 00:29:40,560 --> 00:29:42,590 Jab yeh mar jayegi tou is ittehaad ko bhi khatam samajhna. 385 00:29:46,270 --> 00:29:47,580 Tumhein bhaagna chahiye. 386 00:29:55,970 --> 00:29:58,090 Mujhe is mein koi khushi nahi milti, Raven. 387 00:30:00,090 --> 00:30:02,990 Magar is dafa insaaf ho kay rahega. 388 00:30:03,590 --> 00:30:07,000 Main nay kiya hi nahi yeh kaam tou kyun mujhe insaaf nahi mil raha? 389 00:30:08,220 --> 00:30:10,888 -Hamein kuch karna parega. -Ruko, hum kuch nahi kar saktay.. 390 00:30:10,979 --> 00:30:12,290 Lincoln, in say baat karo. 391 00:30:22,580 --> 00:30:24,870 Lincoln, in say baat karo yeh tumharay log hain. 392 00:30:25,610 --> 00:30:26,760 Ab aisa nahi hai. 393 00:30:27,805 --> 00:30:29,579 Tum yahaan ab mehfooz nahi ho mere dost. 394 00:30:29,670 --> 00:30:31,431 Main puri koshish karunga kay tum bach kay nikal jao. 395 00:30:31,890 --> 00:30:32,970 Phir tou tum akailay hi ho. 396 00:30:34,960 --> 00:30:37,380 Clarke, hamein ab chalna hoga. 397 00:30:38,340 --> 00:30:39,850 Main sab ko nahi bacha sakti. 398 00:30:48,260 --> 00:30:49,776 Kuch bolo. 399 00:30:56,675 --> 00:30:58,001 Clarke, chalo. 400 00:31:03,114 --> 00:31:04,490 Zeher shishi mein nahi tha. 401 00:31:09,502 --> 00:31:10,880 Clarke, ruko kya kar rahi ho tum? 402 00:31:10,970 --> 00:31:12,170 Tum maari jaogi. 403 00:31:12,261 --> 00:31:13,870 Mujhe us shishi ki zaroorat hai abhi. 404 00:31:16,401 --> 00:31:17,383 Ruko. 405 00:31:20,352 --> 00:31:21,500 Isay anay dou yahaan! 406 00:31:24,430 --> 00:31:26,045 Tumharay hi kisi aadmi nay tumhein maarnay ki koshish ki thi, Lexa, 407 00:31:26,070 --> 00:31:27,714 mere kisi banday nay yeh kaam nahi kiya. 408 00:31:28,148 --> 00:31:29,632 Tumhein bhaag kar chale jana chahiye tha. 409 00:31:30,173 --> 00:31:31,340 Main saabit kar sakti hun. 410 00:31:47,151 --> 00:31:48,481 Batao. 411 00:31:48,572 --> 00:31:49,990 Zeher is shishi mein nahi tha. 412 00:31:50,399 --> 00:31:51,605 Balkay cup mein tha. 413 00:31:52,942 --> 00:31:54,935 Yeh koi chaal ho sakti hai, commander. 414 00:31:57,264 --> 00:31:58,998 Is ki baaton mein mat ana. 415 00:32:02,108 --> 00:32:03,200 Yeh kaam tum nay kiya tha. 416 00:32:06,910 --> 00:32:09,180 Is nay cup bhi daikha tha. Aur Raven ki talaashi bhi li thi. 417 00:32:09,271 --> 00:32:11,330 Gustus mujhe kabhi takleef nahi pohanchaye ga. 418 00:32:11,420 --> 00:32:12,740 Tum hadaf nahi thi. 419 00:32:14,200 --> 00:32:15,230 Ittehaad ko nishana bana na tha. 420 00:32:15,890 --> 00:32:17,624 Hum nay nahi kiya yeh kaam aur tumhein bhi pata hai yeh baat. 421 00:32:21,444 --> 00:32:23,111 Tum ja saktay ho, Gustus! 422 00:32:23,766 --> 00:32:24,766 Such batao. 423 00:32:30,370 --> 00:32:32,790 Yeh ittehaad tumhari jaan bhi lay sakta hai, Heda. 424 00:32:35,770 --> 00:32:37,430 Main aisa nahi honay dunga. 425 00:32:40,686 --> 00:32:43,440 Yeh baywafai tumhari jaan lay lay gi. 426 00:32:44,977 --> 00:32:46,515 Isay darakht say lay ja kar baandh dou. 427 00:33:12,458 --> 00:33:13,545 Kya yaar! 428 00:33:14,973 --> 00:33:16,005 Chalo! 429 00:33:21,620 --> 00:33:24,460 Alpha station, tum sun rahay ho na hamari awaaz. 430 00:33:27,290 --> 00:33:29,233 Okay. 431 00:33:30,130 --> 00:33:32,440 Dabay huwaya signal ko band kar diya gaya hai. 432 00:33:34,619 --> 00:33:36,570 Hamaray pass zyada waqt nahi bacha hai. 433 00:33:36,661 --> 00:33:39,650 Jaldi karo main Jasper Jordan hun. 434 00:33:39,741 --> 00:33:42,190 Hamein madad ki zaroorat hai. Hum 47 log phansay huway hain. 435 00:33:42,280 --> 00:33:43,190 Haan! 436 00:33:44,160 --> 00:33:45,550 Haan! Haan! 437 00:33:45,641 --> 00:33:47,520 Hamein nahi pata kay hamaray pass kitna waqt hai. 438 00:33:47,611 --> 00:33:48,490 Jaldi karo. 439 00:33:50,058 --> 00:33:52,208 Main Jasper Jordan baat kar raha hun. Hamein madad chahiye. 440 00:33:52,299 --> 00:33:54,410 Kya tumhein yaqeen hai kay woh aik sath gaye thay gaaon mein? 441 00:33:54,500 --> 00:33:55,869 Haan bilkul. 442 00:33:55,960 --> 00:33:58,650 Sir, main nay kaha tha aap ko kay mujhe aur bhi log chahiye maidaan mein. 443 00:34:00,649 --> 00:34:01,839 Sergeant... 444 00:34:02,974 --> 00:34:04,440 Tum apni post par kyun nahi ho? 445 00:34:04,920 --> 00:34:07,360 Sir andar hasbe mamool kaam ho raha hai. 446 00:34:12,433 --> 00:34:13,670 Theek hai. Hazraat. 447 00:34:28,399 --> 00:34:29,420 Ruko. 448 00:34:32,018 --> 00:34:33,220 Tum indraaj karna bhool gaye. 449 00:34:36,139 --> 00:34:37,139 Oops! 450 00:34:38,043 --> 00:34:39,240 Roz ka kaam hai na tou bhool jata hun. 451 00:34:58,738 --> 00:35:01,718 Mujhe bachanay ka shukriya, khayaal rakhna apna. 452 00:35:08,520 --> 00:35:09,930 Tum nay kaha tha kay sab theek hai. 453 00:35:12,837 --> 00:35:14,630 Tumharay indraaj say tou nahi lag raha. 454 00:35:15,327 --> 00:35:18,390 Tumhein yaqeen hai? Kitni ajeeb baat hai. 455 00:35:18,481 --> 00:35:21,361 Agar tumhein bura na lagay tou mein isay kal theek kar dunga. 456 00:35:21,810 --> 00:35:23,030 Mujhe aik dosra kamra bhi daikhna hai. 457 00:35:52,870 --> 00:35:54,160 Yeh Finn bhi ho sakta tha. 458 00:36:25,186 --> 00:36:26,186 Mazboot bano. 459 00:36:48,688 --> 00:36:50,621 Tumhari larai ab khatam huwi. 460 00:37:07,604 --> 00:37:09,080 Hum bhi itnay mukhtalif nahi hain. 461 00:37:10,683 --> 00:37:11,700 Hai na? 462 00:37:28,340 --> 00:37:29,840 Tumhein kaisay pata chala kay woh Gustus ka kaam tha? 463 00:37:31,460 --> 00:37:34,310 Woh uski hifazat karnay kay liye kuch bhi kar sakta tha. 464 00:37:36,166 --> 00:37:37,380 Abhi samajh ayi yeh baat. 465 00:37:37,785 --> 00:37:39,310 Uskay balday usay mila kya yeh bhi tou daikho. 466 00:37:42,083 --> 00:37:43,120 Doston... 467 00:37:44,689 --> 00:37:45,840 Yeh kya hai? 468 00:37:45,931 --> 00:37:47,110 Isay suno. 469 00:37:47,200 --> 00:37:49,480 Mount Weather mein hum 47 log phansay huway hain. 470 00:37:50,680 --> 00:37:52,230 Us say baat karo aur kuch bolo. 471 00:37:53,613 --> 00:37:54,850 Yeh dohra raha hai. 472 00:37:55,487 --> 00:37:56,530 Woh log zinda hain. 473 00:37:58,242 --> 00:37:59,540 Hamein yeh abhi karna hoga. 474 00:37:59,631 --> 00:38:01,820 Tumhara tou ittehaad bhi hogaya hai ab. Yehi sahi waqt hai usay istemaal karnay ka. 475 00:38:03,680 --> 00:38:05,180 Sab say pehlay tou hamein aik andar ka aadmi chahiye. 476 00:38:06,829 --> 00:38:08,085 Tum sahi keh rahay thay. 477 00:38:08,176 --> 00:38:09,279 Kisi aisay andar ka banday kay baghair jo 478 00:38:09,370 --> 00:38:10,780 un ka difaa kum karay aur kimiyaai dhund 479 00:38:10,805 --> 00:38:12,104 ko bund karay 480 00:38:12,171 --> 00:38:13,671 fauj baykaar hai. 481 00:38:14,467 --> 00:38:15,650 Tumhein janaa chahiye ab. 482 00:38:15,983 --> 00:38:17,510 Mujhe laga tumhein yeh mansooba acha nahi laga 483 00:38:17,867 --> 00:38:19,570 aur main khud ko marwa lunga. 484 00:38:19,661 --> 00:38:20,998 Main kamzoor ban rahi thi. 485 00:38:22,356 --> 00:38:23,690 Yeh khatarnaaq sahi par karna zaroori tha. 486 00:38:26,747 --> 00:38:28,042 Mera Mount Weather ka naqsha. 487 00:38:28,746 --> 00:38:30,990 Koi raasta dhondo us radio tak pohanchnay ka aur un say baat karnay ka. 488 00:38:36,431 --> 00:38:37,437 Qismat tumhara sath day. 489 00:38:40,330 --> 00:38:41,390 Bell, tum kaisay... 490 00:38:41,480 --> 00:38:43,056 Main tumhein tunnels paar karwa dunga. 491 00:38:43,545 --> 00:38:45,315 Yeh waapis andar nahi ja sakta, filhaal tou nahi. 492 00:38:45,877 --> 00:38:47,390 Main tumhein dikhaati hun kay kya daikhna hai. 493 00:38:48,713 --> 00:38:49,951 Daikho mujhe... 494 00:38:50,779 --> 00:38:52,360 Jo main nay kiya hai us ka nateeja mujhe bhugatna hoga. 495 00:38:52,959 --> 00:38:55,350 Tou phir sath mil kay bhugattay hain. 496 00:38:55,440 --> 00:38:58,010 Nahi tumhari zaroorat yahaan hai tumhein hamara tareeqa kaar pata hai. 497 00:38:58,101 --> 00:38:59,740 Is kay baghair ittehaad kamiyaab nahi ho payega. 498 00:39:02,646 --> 00:39:04,225 Main aisa nahi honay dungi. 499 00:39:05,559 --> 00:39:06,916 Haan mujhe pata hai. 500 00:39:33,540 --> 00:39:35,950 Pyaar aik kamzoori hai. 501 00:39:52,903 --> 00:39:53,940 Clarke. 502 00:40:00,540 --> 00:40:01,857 Yeh tumharay liye hai. 503 00:40:05,234 --> 00:40:07,210 Yeh us aag ki khaak hai. 504 00:40:08,043 --> 00:40:10,960 Mujhe laga kay tum isay kahi ura dogi 505 00:40:11,605 --> 00:40:13,280 jis say tumhein khuda hafiz kehnay mein madad milay. 506 00:40:14,747 --> 00:40:16,350 Main pehlay hi khuda hafiz keh chuki hun. 507 00:41:08,310 --> 00:41:09,381 Harper. 508 00:41:09,842 --> 00:41:11,092 Hey, Harper. 509 00:41:13,296 --> 00:41:14,484 Inhonay kya kiya hai tumharay sath? 510 00:41:16,289 --> 00:41:17,389 Forty-seven. 511 00:41:19,445 --> 00:41:21,794 Unhonay hum sab kay liye aisa aik aik banaya hai.