1 00:00:01,047 --> 00:00:02,239 Ab tak The 100 mein 2 00:00:02,364 --> 00:00:03,503 Thelonious ab yahan nahin. 3 00:00:03,593 --> 00:00:05,733 Us nay 12 logon samait, 12 guns li aur chala gaya. 4 00:00:05,823 --> 00:00:07,393 Hum City of Light ja rahay hain. 5 00:00:07,483 --> 00:00:09,463 Mujh par bharosa kar ke mere sath chalo, John Murphy, 6 00:00:09,553 --> 00:00:12,046 taakay main tumhein dikha sakun ke inn sab se barh kar... 7 00:00:12,758 --> 00:00:14,043 ...cheezain hai tumhare liye duniya mein. 8 00:00:14,501 --> 00:00:18,093 Humaray paas aik bari fauj hai jo baysabri se aik mission ke intezaar mein hai. 9 00:00:18,183 --> 00:00:20,708 Hum karengay, bas aik baar Bellamy taizaabi dhundh ko bandd kar de. 10 00:00:20,799 --> 00:00:22,133 Agar yeh aik ittehad hai 11 00:00:22,223 --> 00:00:23,713 bahir ke logon aur Ark walon ke beech, 12 00:00:23,803 --> 00:00:25,433 toh humein iss dhamki ko halka nahin lena chahiye. 13 00:00:25,523 --> 00:00:27,553 Jung ke liye aik council meeting honay wali hai aaj raat 14 00:00:27,643 --> 00:00:28,913 jismein tamam sarbarah shirkat karengay. 15 00:00:29,003 --> 00:00:30,173 Aur hum aik missile istemaal karengay. 16 00:00:30,263 --> 00:00:31,593 Humain logon ko nikaalna hoga. 17 00:00:31,693 --> 00:00:34,443 Agar hum niklay, toh unhein pata chal jayega ke aik jasoos yahan andar haii. 18 00:00:34,533 --> 00:00:36,483 Hum yahan se jayengay. Abhi foran. 19 00:00:36,574 --> 00:00:37,433 Hamla karo. 20 00:00:40,673 --> 00:00:43,113 Tumhein pata tha phir bhi tumnay aisa honay diya? 21 00:00:43,204 --> 00:00:45,031 Kuch logon ne toh Hazmat suits bhi nahin pehnay. 22 00:00:45,122 --> 00:00:47,800 Iska matlub ke woh theek hogaye hain. Marrow ka ilaaj mufeed hai. 23 00:00:47,891 --> 00:00:51,025 Unhon ne logon ko aik aik kar ke dorm se nikalna shuru kar diya hai. 24 00:00:52,053 --> 00:00:55,087 Humara saamna kiye baghair woh iss kamray se kisi ko nahin nikal saktay. 25 00:00:57,567 --> 00:00:58,482 Dhundo unhein. 26 00:00:58,573 --> 00:00:59,573 Hum tumhein chupanay walay hain. 27 00:00:59,663 --> 00:01:01,123 Yahan pe har koi Cage se mutafiq nahin hai. 28 00:01:01,148 --> 00:01:02,948 Mere saath aao. Ab tum mehfooz ho. 29 00:01:08,246 --> 00:01:09,558 Agar aik ishara mil jata ke hum 30 00:01:09,583 --> 00:01:11,963 apni maut ke taraf nahin ja rahay toh bohat acha hota. 31 00:01:15,156 --> 00:01:16,483 Aisa kuch nahin hoga. 32 00:01:16,858 --> 00:01:18,793 Aray, agar yeh suna hua hai toh batana. 33 00:01:18,883 --> 00:01:20,623 Phir se nahin, please. 34 00:01:20,658 --> 00:01:22,598 Aik Grounder aur aik Reaper bar mein jatay hain. 35 00:01:22,979 --> 00:01:25,219 Bartender Grounder ko dekhta hai, aur bolta hai, 36 00:01:25,310 --> 00:01:27,153 Hum tum jaisay logon ki yahan koi khaatir nahin kartay. 37 00:01:27,178 --> 00:01:28,698 Toh Reaper uthta hai aur chala jata hai. 38 00:01:32,367 --> 00:01:34,309 Samajh aayi? Reapers khatay hain Grounders ko. 39 00:01:34,400 --> 00:01:37,281 Main Jaha ki laathi le kar tumhein jaan se maar dunga. 40 00:01:37,372 --> 00:01:38,252 John. 41 00:01:39,271 --> 00:01:40,171 Ya phir yeh suno. 42 00:01:40,261 --> 00:01:41,751 Aik Arker, aik Grounder, 43 00:01:41,841 --> 00:01:43,761 aur aik pahari aadmi bar mein jatay hain. 44 00:01:44,111 --> 00:01:45,831 Arker bolta hai, Mujhay zara chaand ki roshni chahiye. 45 00:01:45,921 --> 00:01:47,711 Grounder kehta hai, main bhi lunga thori si 46 00:01:48,141 --> 00:01:49,989 Toh phir pahari aadmi, kehta hai... 47 00:02:17,891 --> 00:02:19,371 Koi bhi na hilay! 48 00:02:20,651 --> 00:02:22,381 Hum aik baroodi sunrang ke beech mein hain. 49 00:02:25,591 --> 00:02:27,391 Kiya kisi aur ko koi ishaara chahiye? 50 00:03:04,681 --> 00:03:06,201 Itna waqt ho chuka hai, Lieutenant. 51 00:03:06,801 --> 00:03:07,791 Ji, sir. 52 00:03:08,091 --> 00:03:09,831 Ab mujhay batao 44 ke baaray mein. 53 00:03:10,977 --> 00:03:13,461 Main ne sipahiyon ko bola hai ke har kamray mein jao. 54 00:03:13,858 --> 00:03:15,441 Bas kuch hi waqt ki dair hai. 55 00:03:16,046 --> 00:03:17,591 Toh, tumhare paas koi jaankari nahin. 56 00:03:22,403 --> 00:03:23,353 Ji, sir. 57 00:03:24,471 --> 00:03:27,141 Woh bachay hi har cheez ka zariya hai, Lieutenant. 58 00:03:27,633 --> 00:03:31,051 Aur 44 log aisay hi ghayab nahin hojatay aik band kamray ke andar. 59 00:03:31,141 --> 00:03:33,231 Aisa mumkin sirf tab hai jab kisi ne unki madad ki ho. 60 00:03:33,911 --> 00:03:35,091 Mere abbu. 61 00:03:35,741 --> 00:03:36,961 Yeh maaloom nahin, sir. 62 00:03:37,601 --> 00:03:40,011 Lekin sirf woh hi nahin hain jinhein zaati ikhtalaf tha humaray 63 00:03:40,101 --> 00:03:41,831 zinda rehnay ke tareeqon se. 64 00:03:41,921 --> 00:03:45,030 Woh yeh baat samajh nahin rahay ke woh bachay kitnay khatarnaak hain. 65 00:03:45,121 --> 00:03:47,121 Unhon ne aik poora level shuaaon se uraa diya. 66 00:03:47,211 --> 00:03:48,291 Main aap se mutafiq hun, sir. 67 00:03:48,381 --> 00:03:50,413 Aur ab jab kay level paanch aaloodgi se paak ho chuka hai, 68 00:03:50,504 --> 00:03:52,294 toh hum iskay baaray mein sach bata ssktay hain. 69 00:03:52,571 --> 00:03:55,491 Unn bachon ne humaray 10 sipaaahiyon ko maara hai. 70 00:03:55,961 --> 00:03:58,101 Iss waja se hum unhein yahan se baahir nikaal saktay hain. 71 00:03:59,490 --> 00:04:00,391 Jo kar saktay ho karo 72 00:04:00,481 --> 00:04:01,541 Ji, sir. 73 00:04:02,791 --> 00:04:04,981 Ab baahir walay khadshay ke baaray mein batao. 74 00:04:05,071 --> 00:04:06,071 Unn par zara ghaur karo. 75 00:04:08,872 --> 00:04:11,821 Uski poori fauj bilkul veil ke halkay ke bahir hai. 76 00:04:12,513 --> 00:04:13,370 Kyun? 77 00:04:13,461 --> 00:04:14,661 Woh seekh rahay hain, sir. 78 00:04:14,751 --> 00:04:16,621 Main ne aap ko bataya tha yeh Commander alag hai.. 79 00:04:16,711 --> 00:04:19,381 Woh kiya kar laygi? Humein intezar karwaye gi? 80 00:04:19,471 --> 00:04:22,181 Hum yahan par 97 saalon se mehfooz hain. 81 00:04:22,641 --> 00:04:25,221 Woh apna sabar kho degi aur jab aisa hoga, 82 00:04:25,611 --> 00:04:26,961 tab dhundh ko nasab kar dena. 83 00:04:40,161 --> 00:04:41,431 Agar hum ghalat sabit huay toh, 84 00:04:42,001 --> 00:04:44,601 aur bijli band karnay se taalay nahin khulay toh? 85 00:04:45,261 --> 00:04:46,861 Tumharay logon ne kaha tha ke aisa hoga. 86 00:04:51,991 --> 00:04:53,791 Tumhein araam karna chhaiye, Clarke. 87 00:04:54,981 --> 00:04:56,691 Hum darwazon ko khudi toar dengay. 88 00:04:57,851 --> 00:05:00,051 Jung ke waqt itnay mansoobay kaam nahin aatay. 89 00:05:01,571 --> 00:05:03,941 Aisay sawal karkay jinkay jawab tumhein pehlay se pata hain 90 00:05:03,966 --> 00:05:05,806 tumhari tawanayi zaaya horahi hai. 91 00:05:06,131 --> 00:05:07,881 Itnay log maray hain iss waja se, Lexa. 92 00:05:11,221 --> 00:05:12,501 Isay kaam karna parega. 93 00:05:14,631 --> 00:05:17,101 Tum wahi kar rahi ho jo main ne kiya tha jab mujhay sarbarahi mili thi. 94 00:05:20,221 --> 00:05:23,251 Hum aagay nahin barh rahay aur iss waja se tum gehri soch mein mubtala ho gayi ho. 95 00:05:23,770 --> 00:05:25,991 Aik baar Bellamy zehrili dhundh band kar de aur jung shuru ho jaye, 96 00:05:26,081 --> 00:05:27,631 toh sab kuch samajh aa jayega. 97 00:05:30,171 --> 00:05:31,511 Lekin agar woh nahin kar paya? 98 00:05:33,711 --> 00:05:36,391 Agar yeh waqai kahtron se bhara hua ho aur main ne phir bhi usay wahan bhej diya? 99 00:05:37,481 --> 00:05:38,741 Tum uski parwah karti ho. 100 00:05:40,561 --> 00:05:42,551 Mujhay unn sab ki fiqar hai. 101 00:05:44,281 --> 00:05:45,761 Phir bhi tumhein uski pareshani zyada hai. 102 00:05:46,481 --> 00:05:49,051 Main hum mein se kisi ko bhi zinda nahin rakh paati agar woh na hota toh. 103 00:05:49,141 --> 00:05:50,411 Humein uski zaroorat hai. 104 00:05:52,041 --> 00:05:54,641 Aur ab lagta hai ke uski maut meri waja se hi hogi. 105 00:05:54,732 --> 00:05:57,474 Aik sarbarah honay ka matlub hi yahi hota hai, Clarke. 106 00:05:57,630 --> 00:06:00,526 Sach toh yen hai ke, humein sipahion ki aankhon mein dekh kar unhein batana hai, 107 00:06:00,551 --> 00:06:02,461 Jaao mere liye jaan de dou. 108 00:06:02,552 --> 00:06:04,252 Kaash yeh itna aasaan hota. 109 00:06:05,921 --> 00:06:07,731 Kiya hum wapas se mansoobay par tabsara karain? 110 00:06:08,219 --> 00:06:09,191 Nahin. 111 00:06:11,311 --> 00:06:13,591 Tum aik aisi sarbarah ban sakti ho jisay log dekh kar mutaasir hon. 112 00:06:14,701 --> 00:06:17,091 Log jissay ummed rakahin aur apnay khuaab bunain. 113 00:06:18,951 --> 00:06:21,211 Aisi sarbarah jis ke liye log larain aur jaan dain. 114 00:06:21,831 --> 00:06:23,691 Main ne kabhi iss cheez ki khuahish nahin ki thi. 115 00:06:25,461 --> 00:06:27,571 Main bas koshish kar rahi hun ke hum zinda rahain. 116 00:06:37,351 --> 00:06:39,301 Tum paida hi isiliye hui thi, Clarke. 117 00:06:41,602 --> 00:06:42,911 Bilkul meri tarha. 118 00:06:59,096 --> 00:07:00,641 Bellamy. Sun saktay ho. 119 00:07:00,732 --> 00:07:02,332 Haan, main zara masroof hun, Raven. 120 00:07:02,708 --> 00:07:03,791 Tumnay check-in bhi nahin kiya. 121 00:07:03,881 --> 00:07:05,761 Kiya tumnay zehreeli dhundh ka zariya dhundh liya? 122 00:07:05,851 --> 00:07:07,421 Main abhi ussi ke liye ja raha hun. 123 00:07:07,831 --> 00:07:09,511 Meri soch se bhi zyada waqt lag raha hai. 124 00:07:10,631 --> 00:07:12,681 Mere paas yahan itni jankari nahin ke main khudi usay band kar dun. 125 00:07:12,988 --> 00:07:13,951 Tumhein mujhay kuch batana hoga. 126 00:07:14,041 --> 00:07:15,361 Mian koshish kar raha hun. 127 00:07:18,981 --> 00:07:20,111 Kuch garbar hai. 128 00:07:20,520 --> 00:07:21,451 Kiya? 129 00:07:21,541 --> 00:07:23,261 Mera key card kaam nahin kar raha. 130 00:07:23,821 --> 00:07:24,741 Yeh theek nahin. 131 00:07:24,831 --> 00:07:26,391 Mujhay andar janay ka dusra raasta nikalna parega. 132 00:07:27,151 --> 00:07:28,421 Main phir raabta karunga. 133 00:07:29,031 --> 00:07:32,291 Wahin theher jao! Haathon ko uppar karo. 134 00:07:34,521 --> 00:07:36,951 Mashriq ki taraf. Mulzim ke peechay ja rahay hain. 135 00:07:37,041 --> 00:07:40,091 Woh Lovejoy nahin hai. Phirse suno, woh Lovejoy nahin hai. 136 00:07:52,961 --> 00:07:53,901 Alag ho jao. 137 00:07:57,751 --> 00:08:00,411 Andar dekhrahay hain. Hum log aakhri level par ja rahay hain. 138 00:08:02,301 --> 00:08:05,381 Tumhein ghair liya hai! Bahar nikalnay ka koi raasta nahin! 139 00:08:11,858 --> 00:08:13,121 Apni aankhain khuli rakho. 140 00:08:13,213 --> 00:08:14,741 Garza, kiya tumhein woh nazar aaya? 141 00:08:22,731 --> 00:08:23,981 Garza, kiya hua batao? 142 00:08:24,864 --> 00:08:25,911 Garza. 143 00:08:28,148 --> 00:08:30,181 Garza. Kiya tumhein woh nazar aya? 144 00:08:44,081 --> 00:08:46,411 Mujhay bulaya gaya hai? Waqai? 145 00:08:46,501 --> 00:08:48,081 Haan. Shukriya. 146 00:08:48,172 --> 00:08:50,182 Mujhay tumhari madad chahiye iss zehreeli dhundh ki waja se. 147 00:08:50,273 --> 00:08:53,101 Bellamy tab radio karega jab usay dispersal system nazar aye ga, 148 00:08:53,191 --> 00:08:54,559 lekin main pehlay baat kar lena chahti hun. 149 00:08:54,650 --> 00:08:56,810 Mujhay lagta hai... Hans kyun rahay ho? 150 00:08:56,901 --> 00:08:58,481 Uff, zara dekho toh. Yeh toh ailaan karnay ka din hai. 151 00:08:58,572 --> 00:09:01,532 Tum bhi dekho zara. Raven Reyes kisi se madad maang rahi hai? 152 00:09:01,623 --> 00:09:02,800 Yeh toh taareekh mein likha jaye ga. 153 00:09:02,891 --> 00:09:04,531 Koi baat nahin. Main khudi kar lungi. 154 00:09:04,621 --> 00:09:05,781 Aray. Mazaak tha. 155 00:09:06,621 --> 00:09:08,461 Mazak. Main yahi karta hun. 156 00:09:08,551 --> 00:09:10,561 Hazaron Grounders jangal mein camp kar ke baithay hain iss intezaar 157 00:09:10,651 --> 00:09:12,721 mein ke woh humare doston ko bacha lain. 158 00:09:13,375 --> 00:09:15,301 Aur woh kahin nahin ja saktay kyun ke... 159 00:09:16,411 --> 00:09:18,261 ...kyun ke mujhsay koi hall nahin nikal raha. 160 00:09:19,051 --> 00:09:20,761 Aray. Koi bhi nahin nikal sakta. 161 00:09:21,220 --> 00:09:23,791 Yeh waisay hi bohat mushkil hai, aur tumhare paas zyada jaankari bhi nahin. 162 00:09:27,411 --> 00:09:28,503 Acha. 163 00:09:28,594 --> 00:09:30,621 Toh, woh aisi dhundh hai jo logon ko pighla deti hai. 164 00:09:30,711 --> 00:09:33,521 Kiya khaasiyat hai uski? Dhamaka khaiz amal? 165 00:09:33,612 --> 00:09:36,602 Please mujhay batao ke ismein Brownian diffusion hai. 166 00:09:36,693 --> 00:09:38,271 Tumhein batata chalun ke 167 00:09:38,961 --> 00:09:40,531 Main maahir tha siyaal harkaat ka. 168 00:09:40,621 --> 00:09:42,681 Tumhein lagta tha ke tum har cheez mein maahir thay. 169 00:09:44,781 --> 00:09:46,721 Tajurbaati saboot jhoot nahin bolta. 170 00:09:51,801 --> 00:09:55,521 Theek hai. Chalo ab stoichiometry par dhiyaan dain. 171 00:10:25,321 --> 00:10:26,471 Sab theek hai? 172 00:10:26,918 --> 00:10:28,901 Main baar baar iss baat ko soch rahi hun, 173 00:10:28,991 --> 00:10:31,361 bas yeh samajhnay ke liye ke 174 00:10:32,641 --> 00:10:34,161 tum abhi tak zinda kaisay ho. 175 00:10:36,401 --> 00:10:37,681 Kiya kehna chahti ho tum? 176 00:10:37,991 --> 00:10:40,761 Main ne tumhein Tondc mein dekha tha missile lagnay se pehlay. 177 00:10:41,443 --> 00:10:43,641 Main tumhein jaanti hun, Clarke. Kuch toh garbar hai. 178 00:10:44,331 --> 00:10:47,470 Aur phir tum aur Lexa ghayab ho gaye aur hairaani se bach bhi gaye. 179 00:10:49,781 --> 00:10:51,731 Mujhay batao ke tumhein pehlay se pata nahin tha ke yeh sab hoga. 180 00:10:58,531 --> 00:10:59,591 Octavia... 181 00:11:05,111 --> 00:11:07,401 Tumnay unn sab logon ko marnay diya. 182 00:11:09,031 --> 00:11:11,331 Tum mujhay wahan marnay ke liye chor deti. 183 00:11:12,033 --> 00:11:13,723 Main ne yeh sab Bellamy ko bachanay ke liye kiya, 184 00:11:14,549 --> 00:11:16,321 taakay hum yeh jung jeet sakain. 185 00:11:16,411 --> 00:11:17,821 Tumhein yeh samajh nahin aa rahi? 186 00:11:18,331 --> 00:11:20,021 Agar hum Tondc chor kar bhaagtay, 187 00:11:20,111 --> 00:11:22,141 Mount Weather ko pata chal jata ke kisi ne humein aagah kar diya. 188 00:11:22,231 --> 00:11:24,181 Unhein tumhara bhai mil jata. 189 00:11:24,271 --> 00:11:27,091 Nahin. Bellamy tumhein esa karnay ko nahin bolta. 190 00:11:27,181 --> 00:11:28,861 Woh koi aur raasta nikal leta. 191 00:11:30,901 --> 00:11:32,411 Main yeh risk nahin le sakti thi. 192 00:11:33,250 --> 00:11:35,870 Sahi. Kyun ke ab ikhtiyar sirf tumhare paas hai. 193 00:11:35,961 --> 00:11:37,851 Aur tum yeh faisla karogi ke kisko phenka hai. 194 00:11:40,141 --> 00:11:42,351 Tum toh council ke sath forun ghulmil jao gi. 195 00:11:45,191 --> 00:11:46,541 Suno. Octavia. 196 00:11:46,631 --> 00:11:47,561 Kiya? 197 00:11:52,567 --> 00:11:54,001 Tum yeh baat kisi ko nahin bata sakti. 198 00:11:54,772 --> 00:11:55,766 Agar logon ko pata chala... 199 00:11:55,791 --> 00:11:57,491 Toh phir ittehad toot jayega. 200 00:11:59,293 --> 00:12:01,071 Main bewaqoof nahin hun, Clarke. 201 00:12:07,182 --> 00:12:08,092 Commander. 202 00:12:08,191 --> 00:12:09,351 Octavia. 203 00:12:09,861 --> 00:12:12,601 Ab waqt hai junoobi sipahiyon ki jaga ki gardish karne ka. 204 00:12:12,974 --> 00:12:14,280 Tumhein unhein janay dena chahiye. 205 00:12:14,371 --> 00:12:18,011 Indra tawaqqa rakhti hai ke main Lincoln ke saath nigrani karun. 206 00:12:18,271 --> 00:12:20,111 Aur ab tumhari zaroorat hai ke tum sipahiyon ki post pe jao. 207 00:12:20,821 --> 00:12:22,361 Indra tumhein wahin milegi kuch dair mein. 208 00:12:40,781 --> 00:12:42,321 Woh kuch nahin kahegi. 209 00:12:43,031 --> 00:12:44,861 Tum yeh baat itni asaani se nahin bol sakti. 210 00:12:46,161 --> 00:12:48,311 Kaafi log yeh baat jaan chukay hain, Clarke. 211 00:12:49,882 --> 00:12:52,852 Tum apnay logon ki parwah karo, aur main apno ki karungi. 212 00:13:20,881 --> 00:13:22,441 Vincent, mujhay tumhari madad chahiye. 213 00:13:25,031 --> 00:13:27,154 Yeh radio pe har jaga chal raha hai. Woh tumhare baaray mein jaantay hain. 214 00:13:27,290 --> 00:13:28,256 Kiya kisi ne tumhein yahan aatay dekha? 215 00:13:28,281 --> 00:13:31,346 Nahin. Main rozan aur khali baramdon mein rehta tha, jaisay tumnay kaha tha. 216 00:13:31,371 --> 00:13:32,381 Vincent. 217 00:13:34,160 --> 00:13:35,221 Koi baat nahin. 218 00:13:35,341 --> 00:13:36,371 Lee humaray saath hai. 219 00:13:36,461 --> 00:13:38,291 Dante bilkul mere abbu ki tarha thay. 220 00:13:39,361 --> 00:13:41,491 Hum mein se kuch logon ko Cage ka mansooba pasand nahin. 221 00:13:42,035 --> 00:13:44,261 -Kahan hain Jasper, Monty, aur Maya? -Woh theek hain. 222 00:13:44,351 --> 00:13:47,201 Shukar hai Lee ka, humnay unhein aisi jaga pe rakha, jahan ki talashi le li gayi hai. 223 00:13:48,111 --> 00:13:49,271 Yeh khartarnak nahin hoga? 224 00:13:49,362 --> 00:13:50,752 Humare paas aur koi raasta nahin. 225 00:13:50,843 --> 00:13:53,280 Unhon ne sab ko bata diya hai jo kuch level 5 pe hua. 226 00:13:53,371 --> 00:13:55,501 Woh kehtay hain tumnay 10 sipaahiyon ko maara hai. 227 00:13:55,791 --> 00:13:58,425 Pata nahin hum kab tak yeh chupan chupayi ka khail khail payengay. 228 00:13:59,091 --> 00:14:00,971 Kiya tumnay zehreeli dhundh nikaal di hai? 229 00:14:01,331 --> 00:14:04,211 Nahin. Nahin. Issi waja se yahan aaya hun. 230 00:14:05,071 --> 00:14:06,431 Mujhay aik aur raasta chahiye. 231 00:14:06,522 --> 00:14:07,686 Main tumsay bhi aagay hun. 232 00:14:07,777 --> 00:14:10,811 Tum wahan tak pohanch saktay ho retrofit zones ki madad se. 233 00:14:13,941 --> 00:14:15,011 Wahan jana mana hai. 234 00:14:15,689 --> 00:14:17,591 Na koi camera, na koi gasht karnay wala. 235 00:14:18,211 --> 00:14:20,051 Hum kuch istemaal karke bachon ko bhejtay rahengay. 236 00:14:20,941 --> 00:14:22,261 Aur yeh humara dusra raasta hai. 237 00:14:22,871 --> 00:14:24,111 Tumhein iski bhi kaafi zaroorat paregi. 238 00:14:24,201 --> 00:14:25,751 Aik bayrung torch. 239 00:14:27,281 --> 00:14:29,461 Shumali maghrib ke corridor mein jao. 240 00:14:40,161 --> 00:14:43,101 Indra. Tumhein toh nigraani par rehna tha na? 241 00:14:43,571 --> 00:14:45,261 Main post pe nahin khara ho sakta. 242 00:14:46,631 --> 00:14:48,801 Khair, Octavia kahan hai? 243 00:14:48,891 --> 00:14:51,241 Lincoln ke saath. Pahaar se nigraani kar rahi hai. 244 00:15:28,291 --> 00:15:30,581 Hilna mat. 245 00:15:32,044 --> 00:15:33,821 Mujhay hukum mila hai. 246 00:15:33,911 --> 00:15:35,038 Mujhay parwah nahin hai. 247 00:15:35,381 --> 00:15:37,501 Yeh nahin honay wala. 248 00:15:41,631 --> 00:15:42,581 Ab chalo. 249 00:16:15,841 --> 00:16:16,781 Ab dikhayi de raha hai. 250 00:16:36,850 --> 00:16:37,761 Wahan. 251 00:16:39,021 --> 00:16:41,081 Ab humare paas roshni hai, aur zara dekho. 252 00:16:41,991 --> 00:16:46,171 Pairon ke nishaan ghayab ho gaye. Mitti. Yeh urti hai. 253 00:16:52,891 --> 00:16:54,010 Kiya tum ne dekha? 254 00:17:01,821 --> 00:17:03,132 Yeh hai City of Light. 255 00:17:04,529 --> 00:17:06,391 Emori sach bata raha tha. 256 00:17:09,241 --> 00:17:10,391 Hum bohat qareeb hain. 257 00:17:14,921 --> 00:17:17,551 Aur tumhein aik ishara chahiye tha? Tumhare saamnay hai. 258 00:17:18,021 --> 00:17:19,361 Humein aagay barhna hai. 259 00:17:20,366 --> 00:17:21,374 Baroodi surangain? 260 00:17:23,481 --> 00:17:24,821 Humara yahan aana naseeb mein tha, John. 261 00:17:26,111 --> 00:17:29,531 Yeh baroodi jaal, yeh sab hamaray emaan ka imtehaan lene ka tareeqa hai. 262 00:17:31,381 --> 00:17:35,561 Acha, khair, main humehsa bohat bura tha intehaan dene mein, toh... chaliye. 263 00:17:36,231 --> 00:17:37,561 Pehlay aap, Chancellor. 264 00:17:50,331 --> 00:17:51,931 Tumnay isay bheja tha Octavia ko maarnay ke liye? 265 00:17:52,241 --> 00:17:54,241 Main ne bola tha woh masla nahin banaygi. 266 00:17:57,231 --> 00:17:58,345 Bahar jao. 267 00:17:59,181 --> 00:18:01,211 Nahin. Main isay kahin nahin janay dungi. 268 00:18:04,581 --> 00:18:06,931 Tab tak intezar karo jab tak main hukum na de dun. 269 00:18:11,121 --> 00:18:12,481 Tumhare saath aakhir masla kiya hai? 270 00:18:12,761 --> 00:18:15,431 Tum har uss insan ko nahin maar sakti jispay tumhein bharosa na ho. 271 00:18:15,851 --> 00:18:16,711 Haan, main maar sakti hun. 272 00:18:17,911 --> 00:18:19,071 Khair, main tumhein aisa nahin karnay dungi. 273 00:18:21,351 --> 00:18:23,281 Waisay toh dou din pehlay tum usay marnay ke liye chornay wali thi. 274 00:18:23,481 --> 00:18:24,461 Kuch nahin badla. 275 00:18:24,731 --> 00:18:25,759 Tum ghalat ho. 276 00:18:26,648 --> 00:18:27,771 Main badli hun. 277 00:18:28,411 --> 00:18:29,791 Main ab aur nahin kar sakti. 278 00:18:31,841 --> 00:18:33,191 Octavia aik khatra hai. 279 00:18:35,581 --> 00:18:37,471 Agar tum uskay itni qareeb na hoti, toh tum dekh sakti. 280 00:18:37,841 --> 00:18:39,881 Kyun ke main uskay qareeb hun 281 00:18:39,971 --> 00:18:41,441 isiliye mujhay pata hai ke woh wafadaar hai. 282 00:18:42,041 --> 00:18:44,401 Usay apnay bhai ke ilawa kisi ki fiqar nahin hai. 283 00:18:44,771 --> 00:18:46,771 Woh kabhi uski zindagi khatray mein nahin dalegi. 284 00:18:47,111 --> 00:18:49,024 Aur tum issi baat ki waja se khatra lena chahogi? 285 00:18:50,981 --> 00:18:52,621 -Apnay ehsaasat ki waja se? -Han. 286 00:18:53,771 --> 00:18:55,661 Tumhein lagta hai ke jazbaat hona aik kamzori hai. 287 00:18:55,752 --> 00:18:57,872 Lekin kamzor toh tum ho unhein chupanay ke liye. 288 00:18:58,891 --> 00:19:01,301 Main shayad munafiq hun, Lexa, lekin tum bhi aik jhooti ho. 289 00:19:02,461 --> 00:19:04,401 Tumhein kuch mehsoos hua Gustus ke liye. 290 00:19:04,491 --> 00:19:07,221 Tumhein abhi tak Costia ki yaad aati hai. 291 00:19:07,311 --> 00:19:09,471 Tum sab ko dikhana chahti ho ke tum sab se upar ho. 292 00:19:09,561 --> 00:19:12,071 Lekin main tumhein jaanti hun. 293 00:19:15,071 --> 00:19:16,671 Dafa ho jao. 294 00:19:17,771 --> 00:19:20,301 250 log maray uss gaaun mein. 295 00:19:20,391 --> 00:19:21,771 Main jaanti hun tumhein kuch toh mehsoos hua hoga. 296 00:19:22,681 --> 00:19:23,961 Lekin tumnay unhein jalnay diya. 297 00:19:27,881 --> 00:19:28,971 Sab ko nahin jalnay diya. 298 00:19:31,401 --> 00:19:32,331 Tumhein nahin jalnay diya. 299 00:19:41,581 --> 00:19:45,071 Khair, agar tum meri parwah karti ho, toh mujh par bharosa bhi karo. 300 00:19:46,301 --> 00:19:47,631 Octavia aik khatra nahin hai. 301 00:19:52,411 --> 00:19:53,491 Main aisa nahin kar sakti. 302 00:19:57,181 --> 00:19:59,301 Main apnay logon ki qurbani nahin de sakti. 303 00:20:00,341 --> 00:20:02,641 Agar tumnay kuch bhi Octavia ko nuqsan pohanchanay ke liye, 304 00:20:02,957 --> 00:20:04,763 Main sab ko bata dungi ke humein missile ke baaray mein pata tha. 305 00:20:49,692 --> 00:20:52,127 Yahan koi jaal nahin hai. Koi jaal nahin. 306 00:20:57,191 --> 00:21:00,691 Dekho, abhi sirf 4 mili hain aur baaqi hazaron rehti hain, Jaha. 307 00:21:05,561 --> 00:21:06,761 Hum pohanch jayengay, John. 308 00:21:08,421 --> 00:21:09,981 Main ab aur nahin kar sakta. 309 00:21:11,601 --> 00:21:13,321 Apnay aap ko sambhalo, Richards. 310 00:21:15,451 --> 00:21:16,991 Waisay tumhein kiya lagta hai, yeh kiya hoga? 311 00:21:18,031 --> 00:21:19,651 Uskay paas taaqat hogi. 312 00:21:20,874 --> 00:21:22,571 Nahanay ko mil jata tou acha hota. 313 00:21:22,661 --> 00:21:24,271 Harris ke bachay kuch purzay bhi dhul jatay. 314 00:21:26,631 --> 00:21:30,081 Sienna ne kaha yeh aik aisi jaga hai jahan sab khush amdeed hain. 315 00:21:30,921 --> 00:21:32,431 Yeh toh pehli baar hoga, haina? 316 00:21:35,171 --> 00:21:37,331 Dekho, mujhsay bardasht nahin ho raha. Yeh bilkul samnay hai! 317 00:21:37,421 --> 00:21:39,701 Aray! Richards, ruko! 318 00:22:39,561 --> 00:22:41,187 Hydrochloric acid. 319 00:22:41,628 --> 00:22:43,711 Sulfuric acid. 320 00:22:45,151 --> 00:22:46,531 Perchloric acid. 321 00:22:46,621 --> 00:22:48,531 Ab, tum bas unn sab acids ka naam le rahay ho jo tumhein pata hain. 322 00:22:49,431 --> 00:22:51,201 Waisay, darjay hararat aik masla hoga. 323 00:22:51,292 --> 00:22:53,352 Aray, yeh nitric acid bhi ho sakta hai. 324 00:22:53,801 --> 00:22:55,019 Kuch phata nahin tha. 325 00:22:55,110 --> 00:22:57,061 Acha. Mera maza kharab kar dou. 326 00:22:58,311 --> 00:22:59,351 Issay kuch madad nahin mil rahi. 327 00:22:59,757 --> 00:23:02,431 Jaisay main ne kaha, humein bas machine ko band kar dena chahiye. 328 00:23:02,521 --> 00:23:04,931 Iss tarha ki koi machine ho, uske safeguards toh zaroor hongay. 329 00:23:05,021 --> 00:23:06,451 Woh itni miqdaar mein acid bhar ke kyun rakhaingay qareeb 330 00:23:06,541 --> 00:23:08,051 jab tak unhein bay asar na kar payen. 331 00:23:08,141 --> 00:23:09,801 Yeh toh aam hifazati intezam hai. Chalo usay istemal karain. 332 00:23:09,891 --> 00:23:11,251 Bay taseer karna aik nihayati mushkil kaam hai. 333 00:23:11,341 --> 00:23:13,371 Please. Yeh aatay se baal nikalnay jaisa asaan hai. 334 00:23:13,461 --> 00:23:16,211 Tum phir se shuru ho gaye, tarqeebain bari aur kaam chotay. 335 00:23:17,231 --> 00:23:20,221 Main tumhein bata raha hun ke mere paas isko jaanchnay ka tareeqa hai. 336 00:23:44,301 --> 00:23:46,551 Raven. Main andar aa gaya. 337 00:23:47,551 --> 00:23:49,104 Umeed hai tumharay paas koi tarqeeb hogi. 338 00:23:49,876 --> 00:23:51,199 Ussi pe kaam kar rahi hun. 339 00:23:51,781 --> 00:23:52,971 Humein kuch batao jissay madad milay. 340 00:23:53,071 --> 00:23:54,290 Kiya nazar aa raha hai? 341 00:23:54,381 --> 00:23:55,951 Aik bara sa lohay ka hoze. 342 00:23:57,231 --> 00:23:58,491 Aik submarine jahaz ki tarha lag raha hai. 343 00:23:58,901 --> 00:24:01,821 Aur bhi kaafi tanks chemical formulas hain yahan 344 00:24:02,511 --> 00:24:03,651 aur khatray ke labels. 345 00:24:04,131 --> 00:24:07,721 Kuch pipes hain jo deewaron se juray huay hain. Aik Monitor hai. 346 00:24:07,874 --> 00:24:08,944 Acha, monitor ke paas jao. 347 00:24:10,161 --> 00:24:11,191 Hello tumhein bhi. 348 00:24:11,282 --> 00:24:13,111 Wick ka bura mat maano. Usnay koi madad nahin ki waisay bhi. 349 00:24:14,401 --> 00:24:16,551 Aray, Bellamy. Mera dost Monty kaisa hai? 350 00:24:16,641 --> 00:24:18,811 Theek hai. Lekin yeh nahin janta kab tak. 351 00:24:18,902 --> 00:24:20,272 Behtareen. Salam dua khatam hogayi. 352 00:24:20,534 --> 00:24:22,460 Suno, agar woh monitor aik control panel hai, 353 00:24:22,551 --> 00:24:24,351 toh hum iss cheez ko tabah karnay ke liye istemaal kar saktay hain. 354 00:24:24,441 --> 00:24:25,811 Zara pH scale ko talash karo. 355 00:24:25,901 --> 00:24:28,691 Acha. Iska aik scale hai, lekin baaqi... 356 00:24:29,101 --> 00:24:32,251 S-3, V-2-0-5, 357 00:24:32,721 --> 00:24:34,837 H-2-S-2-O-7. 358 00:24:35,631 --> 00:24:37,423 Kiya main bas isay tabah nahin kar sakta? 359 00:24:37,490 --> 00:24:39,061 Nahin. nahin, unhein maaloom par jayega ke unkay hathiyar band hogaye. 360 00:24:39,151 --> 00:24:41,021 Woh tech se kisi ko bhej dengay usay theek karne ke liye, 361 00:24:41,111 --> 00:24:43,451 ya phir koi aur asla nikal lengay jiske baaray mein humein kuch nahin pata. 362 00:24:43,541 --> 00:24:45,581 Aur, tum toh khud wahin pighal jaogay. 363 00:24:48,441 --> 00:24:50,731 Dekho, tumhein pata hai mujhay dhamakay karna pasand hai, 364 00:24:50,821 --> 00:24:52,713 lekin humein sahi se iska hall nikalna hoga. 365 00:24:53,631 --> 00:24:54,641 Hum yeh kar saktay hain. 366 00:24:58,101 --> 00:24:59,011 Chalo kaam per lagain. 367 00:25:26,101 --> 00:25:27,561 Aik aur imtehan kamiyab ho gaya. 368 00:25:32,851 --> 00:25:33,801 Hum pohanch gaye. 369 00:25:34,881 --> 00:25:35,721 Chalo. 370 00:25:55,191 --> 00:25:56,311 Kiya yeh koi mazak hai? 371 00:25:58,011 --> 00:25:59,616 Kiya yeh koi mazak hai? Bas yahi hai? 372 00:26:07,831 --> 00:26:09,851 Kiya humnay registan issay dhundh nay ke liye paar kiya tha? 373 00:26:12,444 --> 00:26:13,361 Aisa nahin ho sakta. 374 00:26:14,541 --> 00:26:16,641 Khair, ab dekho? Tumhara roshan khayal ma'ashara? 375 00:26:17,041 --> 00:26:18,961 Yeh koi shehar nahin hai. Yahan kuch nahin. 376 00:26:20,951 --> 00:26:22,591 Main khala se yahan neechay. 377 00:26:26,011 --> 00:26:27,421 Main ne maut ko dhoka diya. 378 00:26:28,761 --> 00:26:30,081 Yeh sab kisi wajah se hua hai. 379 00:26:32,281 --> 00:26:33,311 Kisi wajah se hi hum yahan hain. 380 00:26:41,431 --> 00:26:44,691 Acha, uh... level ka indicator. 381 00:26:45,373 --> 00:26:46,321 Nahin. 382 00:26:48,221 --> 00:26:50,141 Kiya tumhein actuator nazar aa raha hai kaheen? 383 00:26:50,709 --> 00:26:52,201 Kisi ke paas toh valves ka ikhtiyar hoga. 384 00:26:54,021 --> 00:26:55,621 Mujhay koi anzada nahin woh kiya cheez hai. 385 00:26:56,911 --> 00:26:59,901 Aram se. Acha chalo, aagay batao? 386 00:27:00,571 --> 00:27:02,191 Androoni dabao ka sensor 387 00:27:02,353 --> 00:27:03,302 Nahin. 388 00:27:03,611 --> 00:27:05,631 Setpoint aur alarm. 389 00:27:05,721 --> 00:27:07,381 Iss walay se toh duur hi raho. 390 00:27:08,011 --> 00:27:09,341 Muhafizat aur safayi. 391 00:27:09,728 --> 00:27:10,581 Ruko. 392 00:27:12,124 --> 00:27:13,194 Corrosion. 393 00:27:13,552 --> 00:27:16,741 Itnay puraanay tank ki hifazati oxide film ko phir se bahaal karna parega. 394 00:27:16,904 --> 00:27:18,134 Unn hein saaf aur bay asar karna. 395 00:27:18,225 --> 00:27:19,565 bohat zaruri hai. 396 00:27:20,661 --> 00:27:22,201 Bellamy, uss subdirectory ke paas jao 397 00:27:22,291 --> 00:27:24,821 aur dekho ke wahan koi bhi aisi cheez hai jis par Passivation likha hai 398 00:27:26,989 --> 00:27:28,041 Acha. Main karta hun. 399 00:27:29,965 --> 00:27:30,951 Mil gaya. 400 00:27:33,210 --> 00:27:36,543 Ispe likha hai, Aqueous sodium hydroxide bath. 401 00:27:37,221 --> 00:27:39,771 Yeh uska juz hai. Yeh hi zeher ko bay asar karega. Usay dabao. 402 00:27:44,411 --> 00:27:45,541 Kuch toh ho raha hai. 403 00:27:49,041 --> 00:27:50,681 Tumhein awaz aa jayegi pump ki. 404 00:27:51,181 --> 00:27:52,111 Mujhay awaz aa rahi hai. 405 00:27:55,705 --> 00:27:57,041 Sui hil rahi hai. 406 00:27:58,491 --> 00:28:00,801 -pH barh raha hai. -Yeh kaam kar raha hai. 407 00:28:15,891 --> 00:28:17,371 Passivation kamyaab hua. 408 00:28:17,462 --> 00:28:18,461 Waah! 409 00:28:23,051 --> 00:28:25,391 Theek hai. Ishara bhejdo. 410 00:28:27,811 --> 00:28:29,041 Roger that. 411 00:28:35,015 --> 00:28:35,925 Tumnay bulaya mujhay? 412 00:28:38,016 --> 00:28:38,911 Haan. 413 00:28:40,741 --> 00:28:42,781 Octavia ko ab mujhsay koi khatra nahin hoga. 414 00:28:46,791 --> 00:28:49,041 Mujhay tum par bharosa hai, Clarke. 415 00:28:51,671 --> 00:28:53,741 Main jaanti hun yeh tumhare liye kitna mushkil hoga. 416 00:28:59,581 --> 00:29:01,261 Tumhein lagta hai humare toar tareeqay zalim hain, 417 00:29:02,945 --> 00:29:04,691 lekin hum aisay hi zinda rehtay hain. 418 00:29:05,491 --> 00:29:09,121 Shayad zindagi mein sirf zinda rehnay ke ilawa bhi aur kaam hona chahiye. 419 00:29:10,941 --> 00:29:12,721 Kiya hum issay behtar ke haqdar nahin hain? 420 00:29:16,911 --> 00:29:17,891 Shayad hum hain. 421 00:29:43,094 --> 00:29:44,541 Mujhay maaf kardo. Main... 422 00:29:46,281 --> 00:29:49,371 Main tayyar nahin hun. Kisi ke sath rehnay ke liye. 423 00:29:52,931 --> 00:29:53,931 Abhi nahin. 424 00:30:01,207 --> 00:30:02,755 Ishaara! 425 00:30:02,779 --> 00:30:04,401 Commander jaldi aao! 426 00:30:14,121 --> 00:30:15,301 Bellamy ne kar dikhaya. 427 00:30:17,665 --> 00:30:19,631 Tumnay uss par bharosa kar ke sahi kiya. 428 00:30:23,928 --> 00:30:25,241 Ab hum lar ke rahengay. 429 00:30:36,396 --> 00:30:37,993 Commander. 430 00:30:38,018 --> 00:30:39,402 Dekho, Commander. 431 00:30:40,776 --> 00:30:42,433 Horn bajao. 432 00:30:47,966 --> 00:30:50,907 Chalo jung ki taraf! 433 00:31:01,000 --> 00:31:02,292 Jab main ne kaha tha, Chalo ab stoichiometry pe kaam kartay hai 434 00:31:02,317 --> 00:31:03,695 uska matlub yeh nahin tha. 435 00:31:12,231 --> 00:31:13,911 Yeh shayad aik acha faisla nahin hoga. 436 00:31:14,001 --> 00:31:16,591 Hum jung par ja rahay hain. Khamosh raho. 437 00:31:36,430 --> 00:31:38,390 Main bas keh raha hun, jo brace main ne banayi hai 438 00:31:38,415 --> 00:31:39,855 woh aasaani se utar sakti hai. 439 00:31:41,901 --> 00:31:43,611 Woh brace bohat basnaseeb thi. 440 00:31:44,849 --> 00:31:46,561 Main ne kaha tha na khamosh raho, Wick? 441 00:31:47,671 --> 00:31:49,411 Mujhay tum Kyle bhi bol sakti ho. 442 00:32:59,021 --> 00:33:00,741 Raven, aik masla ho gaya hai. 443 00:33:02,434 --> 00:33:03,811 Taubah, tum kahan ho? 444 00:33:04,446 --> 00:33:05,876 Mujhay nahin lagta ke zehreeli dhundh band hui hai. 445 00:33:05,967 --> 00:33:09,881 Paigham de dou Clarke ko. Humein fauj ko rokna parega. Raven! 446 00:33:10,361 --> 00:33:12,899 Bilkul, sir. Radio ka raabta band kar diya hai. 447 00:33:12,990 --> 00:33:14,901 Raven, kiya ho raha hai? 448 00:33:15,330 --> 00:33:16,500 Dobara panel ko tarteeb de dou. 449 00:33:17,341 --> 00:33:19,241 Fauj bhi bilkul tayyar hai. 450 00:33:27,841 --> 00:33:29,941 Acha kaam kiya radio ko dhundh kar, Lieutenant. 451 00:33:31,289 --> 00:33:33,099 Aik hi baar safaya kar dou aur dhiyaan rahay ke koi aur nahin bachay. 452 00:33:33,190 --> 00:33:34,090 Ji, sir. 453 00:33:34,435 --> 00:33:36,361 Aur mudhakhlat karnay walay ko le kar aao. 454 00:33:50,901 --> 00:33:52,081 Apnay hathiyar daal dou! 455 00:34:05,361 --> 00:34:06,361 Mere peechay aana. 456 00:34:06,791 --> 00:34:08,321 Uskay paas asla hai. Bahadur bannay ki zaroorat nahin. 457 00:34:12,218 --> 00:34:15,128 Bahir aao. Haath pehlay. 458 00:34:18,551 --> 00:34:21,401 Goli mat chalao! Tanks ko nahin lagni chahiye. 459 00:34:33,660 --> 00:34:35,591 Veil aapkay hukum ka muntazir hai, sir. 460 00:34:36,021 --> 00:34:38,821 Intezar karo jab tak sab ke sab nishanay ke andar na pohanch jayen. 461 00:34:38,911 --> 00:34:40,211 10 aur seconds. 462 00:34:40,302 --> 00:34:42,339 Roger that. 10 second mein chor dena... 463 00:34:43,832 --> 00:34:44,821 Naun... 464 00:34:47,497 --> 00:34:48,347 Aath... 465 00:34:49,901 --> 00:34:50,761 Saat... 466 00:34:51,101 --> 00:34:51,981 Uski goliyan khatam ho gayi. 467 00:34:52,142 --> 00:34:53,942 Tum uskay peechay jao. Hum tanks ko dekhtay hain. 468 00:34:54,459 --> 00:34:55,602 Chheh... 469 00:34:56,375 --> 00:34:57,458 Paanch... 470 00:34:58,930 --> 00:35:00,030 Chaar... 471 00:35:02,175 --> 00:35:03,032 Teen... 472 00:35:05,474 --> 00:35:07,346 Dou... aik. 473 00:35:09,431 --> 00:35:10,781 Hum tayar hain veil ke liye. 474 00:35:57,766 --> 00:35:58,711 Bolo? 475 00:35:59,644 --> 00:36:01,514 Hum Veil ko bahir nakalnay mein naqaam hogaye. 476 00:36:02,015 --> 00:36:02,891 Kiya hua? 477 00:36:03,761 --> 00:36:06,201 Sipahiyon ne bataya ke dhamaka ho gaya chemical deployment ke doraan. 478 00:36:06,292 --> 00:36:07,771 Bohat jaanain halaak hueen. 479 00:36:08,621 --> 00:36:10,589 Veil naqaam ho chuka hai. Dohrata hun, veil naqaam ho chuka hai. 480 00:36:10,680 --> 00:36:12,041 Aur kiya istemaal kar saktay hain? 481 00:36:12,132 --> 00:36:14,252 Reapers itni bari quwwat ka saamna nahin kar sakta. 482 00:36:14,343 --> 00:36:16,593 Mujhay yeh nahin sunna ke hum kiya nahin kar saktay. 483 00:36:16,684 --> 00:36:18,504 Mujhay bbatao humare paas aur kiya hai. 484 00:36:20,709 --> 00:36:23,876 Kuch nahin. Humare paas bas band darwazon ka sahara hai. 485 00:37:00,960 --> 00:37:01,885 Suno. 486 00:37:05,554 --> 00:37:06,914 Humein humlay karnay wali team se milna hoga. 487 00:37:09,533 --> 00:37:13,541 Tum zara sa... duur honay ki koshish kar rahi ho. Kiya hua? 488 00:37:15,231 --> 00:37:16,141 Kiya? 489 00:37:16,983 --> 00:37:18,111 Aisa nahin. 490 00:37:23,069 --> 00:37:24,082 Theek hai. 491 00:37:25,804 --> 00:37:27,141 Yeh zyada ho gaya tha. 492 00:37:34,166 --> 00:37:35,094 Dekho... 493 00:37:37,576 --> 00:37:39,231 Agar tum yeh karna chahti ho, toh main tumhare saath hun. 494 00:37:41,153 --> 00:37:43,741 Lekin main koi khail nahin khelnay wala. Toh, soch lo. 495 00:37:53,386 --> 00:37:54,596 Humain aik jung jeetni hai abhi. 496 00:38:21,448 --> 00:38:22,432 Suno. 497 00:38:24,399 --> 00:38:25,421 Kiya chahti ho tum? 498 00:38:28,049 --> 00:38:29,221 Main tumhara mission badal rahi hun. 499 00:38:29,311 --> 00:38:31,201 Tum baarood jaal tak nahin ja rahi ho Indra ke saath. 500 00:38:31,710 --> 00:38:34,461 Main tumhein rear gaurd ki jaga de rahi hun, wahan tum mehfooz raho gi. 501 00:38:34,883 --> 00:38:36,819 Tum hoti kon ho. Main tumharay hukum par nahin chalti. 502 00:38:36,910 --> 00:38:38,461 Main Indra ka hukum maanti hun. 503 00:38:38,551 --> 00:38:40,241 Main tumhein bachanay ki koshish kar rahi hun, Octavia. 504 00:38:40,531 --> 00:38:41,541 Mujhay bachao gi. 505 00:38:42,382 --> 00:38:44,646 Aik din, ummed karti hun, tumhein samajh ajaye jo kuch main ne kiya. 506 00:38:44,737 --> 00:38:47,241 Kabhi nahin. Main iss jung mein tumhara saath de rahi hun 507 00:38:47,331 --> 00:38:48,961 kyun ke mujhay humaray dost wapas chahiye. 508 00:38:49,364 --> 00:38:50,671 Lekin uske baad, sab khatam. 509 00:38:57,091 --> 00:38:58,601 Commander tumhein bula rahi hain. 510 00:39:02,266 --> 00:39:03,421 Yeh sab kiske baray mein tha? 511 00:39:04,291 --> 00:39:06,251 Clarke mera tabadla kar rahi hai rear guard mein. 512 00:39:07,038 --> 00:39:08,241 Tum aik jungju ho. 513 00:39:08,331 --> 00:39:09,711 Tum baaroodon ke jaal mein mere saath hogi. 514 00:39:11,229 --> 00:39:12,369 Main jaanti hun tumhein kiya pareshani hai. 515 00:39:12,968 --> 00:39:14,441 Woh missile ke baaray mein jantay thay. 516 00:39:15,253 --> 00:39:16,827 Tumhein unsay nafrat kyun nahin ho rahi? 517 00:39:16,918 --> 00:39:18,090 Indra, unhon ne tumhein taqreeban maar diya tha. 518 00:39:18,181 --> 00:39:20,751 Unn hon ne kuch nahin kiya. Dushmano ne kiya. 519 00:39:21,091 --> 00:39:23,561 Lexa aik behtareen Commander hai kyun ke woh bayrehem hai. 520 00:39:24,100 --> 00:39:25,730 Issi liye hum yeh jung zaroor jeetengay. 521 00:39:25,821 --> 00:39:27,011 Yeh ghalat hai. 522 00:39:27,541 --> 00:39:28,571 Jung aisi hi hoti hai. 523 00:39:56,009 --> 00:39:57,600 Kiya mazaak hai. 524 00:40:00,961 --> 00:40:02,341 Kuch samajh nahin aa raha. 525 00:40:02,694 --> 00:40:04,321 Poori duniya bikhri pari hai, 526 00:40:05,541 --> 00:40:06,961 Lekin yeh panels bas juray huay hain. 527 00:40:07,441 --> 00:40:08,751 Khair, hum theek kar dete hain. 528 00:40:10,350 --> 00:40:11,251 John. 529 00:40:19,941 --> 00:40:21,201 Yeh kiya cheez hai? 530 00:40:23,635 --> 00:40:24,731 Yeh aik drone hai. 531 00:40:25,325 --> 00:40:26,535 Ussay nazar mat hatana. 532 00:40:46,231 --> 00:40:47,901 -Yeh kahan ja raha hai? -Mujhay nahin pata. 533 00:40:48,918 --> 00:40:50,521 Lekin hum iska peecha karengay. 534 00:40:50,881 --> 00:40:51,751 Ismein baith kar. 535 00:40:52,801 --> 00:40:55,481 Zara batao, tumhari pagalpan ki hadd kitni hai? 536 00:40:55,572 --> 00:40:56,952 Main bas jaanna chahta hun. 537 00:41:00,501 --> 00:41:03,971 Humein aik kashti chahiye aur kashti hazir ho gayi. 538 00:41:04,495 --> 00:41:05,861 Yahi humari qismat mein hai. 539 00:41:06,831 --> 00:41:09,531 City of Light yahin kahin hai aur hum usay dhundh kar rahengay. 540 00:41:11,191 --> 00:41:12,261 Ab, kashti mein baith jao. 541 00:41:16,888 --> 00:41:18,031 Sun liya sahab ko.